Jump to content

Ramzan Naats Lyrics..


Gham-e-Madinah

تجویز کردہ جواب

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

Dear Brother And Sister Post Any Lyrics Regarding RAMADAN SHAREEF

 

My Contribution..

 

Kushiyo ki bahaare laaya

Ramzan mubarak aaya...

dil joom ke mera gaaya

Ramzan mubarak aaya..

 

Qur'aa ki tilawat hogi

bhar pur ibaadat hogi

Quraan ka tohfa laaya

Ramzan mubarak aaya

 

sehri ki ajab raahat he

iftar me wo ronaq he

ik kaif ajab he chhaya

Ramzan mubarak aaya

 

roze ki ye lazzat dekho

na pyas ki shiddat he wo

kya sabr he hum ne paaya

Ramzan mubarak aaya

 

Ramzan to he oos ki

ho saath me maa jiski

''turkee'' ne to ashk bahaya

jab Ramzan mubarak aaya

 

Allah meri maa ko

Ramzan ke sadqe me

sab maaf gunah karde

jannat bhi ataa karde

zahra ka mile saaya

Ramzan mubarak aaya

Link to comment
Share on other sites

 

Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar

Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar

 

Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar

Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar

 

Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka'aba Mujhe

Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar

 

Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor

Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab

 

Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan

Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar

 

Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko

Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar

 

Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri

Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar

Link to comment
Share on other sites

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

New Naat Lyrics By Owais Qadri..

 

1.Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh tak main dawaaN aaya

Saqi main tere sadqay, mai day, Ramazan aaya!

 

2.Is gul kay siwa har phool baagosh giraaN aaya

Dekhe hi gee ay bulbul jab waqt-e-faghaaN aaya

 

3.Jab baam-e-tajjali par woh naiyyar-e-jaaN aaya

sar thaa jo gira jhuk kar, dil thaa jo tapaaN aaya

 

4.Jannat ko Haram samjha aatay to yahaaN aaya

Ab tak kay har aik ka munH kehta hoon kahaaN aaya?

 

5.Taiyyiba ke siwa sab baagh paamaal-e-fanaa hongay

Dekho gay chaman walo jab ahd-e-khizaaN aaya!

 

6.Sar aur woh sang-e-dar, aankh aur woh bazm-e-noor

Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahaaN aaya

 

7.kuchh naat ke tabqay ka aalam hi niraala hai

sakta mein paRee hai `aql,chakkar mein gumaaN aaya!

 

8.jalti thi zameen kaisee thi, dhoop kaRee kaisee

lo, woh qad-e-bay-saaya ab saaya-kinaaN aaya!

 

9.Taiyyiba se hum aatay hain kehiye to jinaaN waalo

Kya dekh kar jeeta hai jo waaN se yahaN aaya!

 

10.lay tawq-e-alam say ab aazaad ho ay qumri

chiTThee liye bakhshish ki woh Sarwar rawaaN aaya

 

11.Naama say Raza kay ab miT buray kaamo

dekh meray pallah par woh Acchay Mian aaya

 

12.Badkaar Raza khush ho bad kaam bhalay hongay

Woh Acchay Mian pyaara acchoN ka miyaaN aaya!

Link to comment
Share on other sites

(bis)

TOU JAE GA MADINA

 

Nazdeek aa raha hai Ramzaan ka mahina

Sahil say Haajeyoon ka phir aa laga safeena

 

Aaqa saw.gif na toot jae ye dil ka Abgeena

Ab ki bars bhe Moula! rah jaon mein kahein naa!

 

Dil roo raha hai jin ka Ansoon chilak rhe hein

Un ashiqoon ka sadqa! Bolwaye Madina

 

Hijro Firaaq mein dil betaab ho rahe hein

Oshaaq roo rhe hein loo chal diya Safeena

 

Betaab ho raha hai Taiba ki hazeri ko

Ashiq tarap raha hai or phat raha hai seena

 

Roze ko dekhnay ko Ankhein taras rahe hein

Ay Waleey-e-Madina saw.gif!Ab tou bolaye naa

 

Nazere Karam Khodara meray seyaah dil per

Dam bhar mein jae ga ban ye Bebaha nageena

 

Rangeene jahaan se dil toot jae mera

Ya Rab ! mujhe bana day ashiq-e-Madina

 

Ansoon na tham rahe hoon dil khoon oogal raha hai

Jis waqt Teray saw.gif Dar pay aaon Shah-e-Madina

 

Bas Arzoo yahi hai Qadmoon mein jaan niklay

Piyaare Nabi saw.gif hamara madfan bane Madina

 

Ay bekasoon kay hamdam saw.gif! Duniya kay dour hoon gham

Bas jae dil mein Kaabah seena bane Madina

 

Tableegh Sunnatoon ki karta rahoon hamesha

Marna bhe Sunatoon mein hoo Sunnatoon mein jeena

 

ATTAR ki Huzoori ki Aarzo ho poori

Ho jae dour doori Ay Waaliy-e-Madina

 

Un kay Diyaar mein to kaise chale phiree ga?

ATTAR teri joraat ! Tou jae ga Madina

Edited by Hanafi Muslima
Link to comment
Share on other sites

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina

Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

 

Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna

kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina

 

Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana

Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

 

Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina

Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

 

kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina

Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

 

Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina

LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

 

Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana

Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

 

Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena

Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

 

Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina

Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

 

Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina

Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

 

Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina

Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

 

Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na

mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

GHUL OTHHA HAI CHAR SOO PHIR AAMADE RAMZAN HAI.

 

Ghul otha hai char soo phir Aamade Ramzan hai

Khil othe morjae dil taja howa Imaan hai

 

Ya Khuda (azw) ham aseeyoun per ye bara ahsaan hai

zindagi phir ata ham ko kiya Ramzan hai

 

Tujh pay sadqe jaon Ramzan! Tou azeemush shaan hai

Keh Khuda ne Tujh mein hi kiya Nazil Quraan hai

 

Abare Rehmat cha gia hai or sama hai Noor Noor

Fazale Rab se maghfirat ka ho gia samaan hai

 

Her ghari Rehmat bari hai her Taraf hein barkatein.

Mahe Ramzaan Rehmatoon or barkatoon ki kan hai

 

Aa gia Ramzaan ibadat per kamar ab band lo

Faiz lay lo jald k sin teesh(30) ka mahmaan hai

 

Aaseeyon ki maghfirat ka lay kar aya hai peyaam

Jhoom jao mujremoon! Ramzaan Mehe ghufraan hai

 

Baiyoo kar lo gunahoon se sabhe toba keh ab

Perh gae dosagh pay taale kaid mein shaitaan hai

 

Sunatein sab jhoom kar apnae jao baiyoo!

Khold kay dar khol gae hein dakhila asaan hai

 

Masjeedein abad hein zore gona kam ho gia

Mahe Ramzaan Al mubarik ka ye sab Faiz hai

 

Roza daro! jhoom jao kyoun kay DEEDAR-E-KHUDA (azw)

Khold mein ho ga tumhein ye WADA-E-RAMZAAN hai

 

Aik Roza jo qaza kar de,SUNO NAO(9) LAKH SAAL

WO JAHANUM MEIN JALE SARKAR (saw) KA FARMAN HAI

 

Ya Illahi! Tou Madine mein kabi Ramzaan dikha

Modatoon se dil mein ye ATTAR kay Arman hai

 

 

 

Edited by Hanafi Muslima
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

CHAL DIYA RAMZAAN HAI.

Aakhari roze hein dil ghamnaak muzdar jaan hai

Hasertao haserta ab chal diya ramzaan hai

Aashiqaan-e-Mahe Ramzaan ro rahe hein phot kar

Dil bara bechain hai afsorda dil-o-jaan hai

Dard-e-Riqat day phicharein kha k rota hai koi

Tou koi tasweer-e-Gham ban kar khara hairaan hai

 

Al Firaqol Firaq Ay Rab ky mahmaan Alfiraaq!

Alwidaa Alwidaa Tujh ko Mahe Ramzaan hai

 

Dastaane gham sunaein kis ko ja kar Aah! ham

Ya Rasool Allah (saw) daikho chal diya Ramzaan hai

Khob rota hai tarapta hai Gham-e-Ramzaan mein

Jo Musalmaan qadardaan-o-ashiq-e-Ramzaan hai

 

Rote rote hichkiyaan bandh jate hein hein oshaaq ki

Tujh mein kaisa soz Ay Allah (azw) kay mehmaan

Teri furqat mein dil-e-Aashiq kay toqre ho gae

Aur seena chak Teray, hijar mein Ramzaan hai

Waqte Iftaar-o-Sehri ki ronaqein hon gi kahan!

Chand din kay bad ye sara samaa sunsaan hai

Teri Aamad say dil psarmorda khil othe magar

Jald tarpa kar to chal diya Ramzaan hai

 

Hae sad Afsoos Ramzaan ki na ham ne qadar ki

Be sabab hi baksh day Ya Rab k Tou Rehmaan hai

Mah-e-Ramzaan Tujh mein jo Roze nahi rakhta koi

Wo bara mahroom hai badbakht hai' nadaan hai

 

Sab Musalamaa Alwidaa kahte hein rou rou kar Tujhe

Aah! chand ghareyoun ka Ab tou rah gia mehmaan hai

 

Rok sakte hi nahi Hae Tujhe ab kiya karein?!

Sab ko rota chore kar Tou chal diya Ramzaan hai

 

AsSalaam Ay Mah-e-Ramzaan! Tujh pe hoon lakhoon Salaam

Hijar mein ab Tera her Aashiq howa be Jaan hai

Chand Aansoon nazar hein bas or koch nahi

Naikeyoun say Aah!ye khali mera damaan hai

 

Wasita Ramzaan ka Ya Rab!Hamein tou baksh de

Naikeyoun ka apne pale koch nahi samaan hai

 

Mahe Ramzaan ham se Razi ho kar jaa Bahr-e-Khuda

Bakshwaana hasher mein k Tou mahe ghofraan hai

 

Kash! Aate saal ho ATTAR ko Ramzaan naseeb

Ya Nabi (saw) ! meethay Madine mein, bara Aarman hai

 

 

Edited by Hanafi Muslima
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...