Jump to content

i have one question


Raza ka ghulam

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

(salam)

 

 

 

mujeh ye puchna tha ke Anbiya ikraam , Shahaba-e- ikraam , Shuda-e-izaam , Siddeqeen , Saleheen aur auliya allah ke saat kiya laga na chahiye jaise ke Radi allahu tala anhu , rahmatullahi tala alai aur rizwaan ullahi tala alai ye kis ke saat lagate hain.

 

 

Aur agar us main male(Man) ho tu kiya use kar na chahiye aur agar female(woman) ho tu kiya use kar na chahiye.

 

Ye Maloom hona chahiye sab ko isliye main ye sawaal kar na chahta ho agar hum galt lafz use karein tu ho sakta hai us ka gunah ho. Isi liye mujeh jald se jald jawaab dein.

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

 

(ma) bahut achcha sawaal kiya aap ne .

 

Anbhiya Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu alai hissalaam aur agar do houn to Alaihummas salaam aur agar do se zayed ho Alaihimus salaam. Anbhiya Ikraam main sirf male (Man) hote hain Female (woman ) nahi hote.

 

Sahaba Ikraam ka naam zikr kar ne ke baad agar ek sahabi ( male) ho tu Radhi allahutala anhu do houn tu Radhi allahutala anhuma aur do se zayada houn tu radhi allahutala anhum.

 

Agar ek sahabiya (Female) hotu Radhi alllahutala anha agar do ho tu radhi allahutala anhuma aur agar do se zayeda hotu radhi allahutala anhunna.

 

Radhi allahutala anhu wagaira ka zikr aam taur se sahaba Ikraam hi ke saat istemaal kiya jata hai. Aur ye Quraan-e-Mubaraka se sabit hai.

 

Aulia Izaam (male) ka naam zikr kar ne ke baad agar ek ho tu rahematullahi tala alaihi do hu tu Rahematullahi tala alaihima aur agar do se zayeda hai tu Rahematullahi tala alaihim.

 

Agar Aurlia Izaam (Female) hotu Rahematullahi tala alaiha do hu tu Rahematullahi Tala alaihima aur do se zayeda hotu Rahematullahi tala alaihunna.

 

Aulia Izaam ke saat Radhi allahu an wagaira ka istemaal bhi kiya ja sakta hai.

 

Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar sahabaye Ikraam main se hotu Upper bataya gaya hai ke sahaba ikraam ke saat kiya istemaal kiya jata hai.

 

Aur agar Siddiqeen, Shuda aur saleheen agar aulia izaam main se hotu Us ka bhi Uppar zikr ho chuka hai ke Aulia allah ke saat kiya istemaal kiya jata hai.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

Barkaati bhai main aap ka bahut bahut shukr guzaar houn. Aap ka ye tafseeli jawab pada bahut achcha laga jazakallahu khaira.

 

Main samajta houn ke kisi ko yahan par is ka ilm nahi tha isliye ek din baad Barkaati bhai ne jawaab diya aur bahut achcha jawaab diya tu is seye sabit hota hai ke mere is sawaal se kai logoun ke ilm main izafa howa hoga.

 

Kiya main sahi kehra ha houn.

 

Jazakallahu khaira.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...