Jump to content

Jumeh ke khutbe ke barey main ek sawal


Raza ka ghulam

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

(salam)

 

 

jumeh ke aadab maloom karna hai jaise ke jumen main azaan hoti hai bhej main shahed wos ko azaan-e-sani kahete hain us ka jawaab dena chahiye aur kis tarha kaam awaaz main ya phir awaaz se de sakte hain , aur wos main jo huzoor sallahu alaihi wasaalam ka name aata hai tu aanghote choomte hain tu kiya ye us azaaan main kar sakte hian , Aur kutbe ke aakhir main dua hoti hai kiya us waqt haath uthana chahiye aur kiya aameen kehna chahiye, Aur kiya kutabe ke bhej main durood pada jata hai kiya. Mujeh jumeh ke kutbe ke barey main ye maloom maat kar na hai agar kisi ko pata ho to mujeh reply dein.

 

Jazakallahu khaira.

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

ji han jo khutbe ke bheej main azaan hoti hai us ko azaan-e-sani kehte hain aur azaan -e-khutba bhi kehte hai. Azaan-e-sani ka jawaab zabaan se dena jayez nahi hai. (bahar-e-shariyat, Durr-e-muqtaar)

 

Sarkaar ke naam aane par anghote nahi jhoom na chahiye sirf dil main darood pad sakte hain.

 

khutbe main jo dua hoti hai us waqt na haath uthaye na aameen kahe. Agar aisa kareinge tu ghunne gaar honge. (Raddul muqtaar, Bahar-e-shariyat).

 

Huzoor-e-Aqdas sallahu tala alaihiwasallam ka naam-e-paak khateeb ne liya tu hazreen aur samayeen dil main durood-e-sharif padehen zabaan se padne ki ijazat nahi. yuhin sahaba ikraam ke zikr par zabaan se Radhi allahu tala anhum kehne ki ijazat nahi hai.(Qanoon-e-Shariyat).

 

Khutba sunna wajib hai jab imam khutbe ke liye khada ho us waqt se khatm namaaz tak namaaz-o-azkaar aur har qism ka zikr mana hai. aur jo sunnat shuru kar chuka ho jald se jald puri kar lein.

 

Jo cheezein namaaz main haraam hain wo cheezein khutbe main bhi haraam hain.jaise khana ,pina aur salaam wagaira haraam hain.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...