Gulzar مراسلہ: 3 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 3 ستمبر 2008 Farz namaazon ka waqat kiss waqat se lekar kiss waqat tak hota hai? hamarey han sehri aur iftaari ke waqat ka thoda masla hai, kaissey pata chaley k sehri ka waqat khatam ho gya? aur iftaari ka waqat ho gya? iftaari ka waqat to merey khial se namaz-e-magrib ke saath hota, yani k jaissey hi magrib ka waqat hota aap iftaari kar saktey hain, kya sahi hai? namaaz ke calender par jo likha hota hai(Asar ki namaaz k liey) Shadow1 and shadow2, iss se kya murad hai? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 3 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 3 ستمبر 2008 Farz namaazon ka waqat kiss waqat se lekar kiss waqat tak hota hai? Farz Namazoo Kay Au'qat اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 4 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 4 ستمبر 2008 hamarey han sehri aur iftaari ke waqat ka thoda masla hai, kaissey pata chaley k sehri ka waqat khatam ho gya? aur iftaari ka waqat ho gya? iftaari ka waqat to merey khial se namaz-e-magrib ke saath hota, yani k jaissey hi magrib ka waqat hota aap iftaari kar saktey hain, kya sahi hai? Janab aap kisi Ahlesunnat ki masjid say poora time table lai kay ghar mai laga lain aur time table kay hisab say sahri aur aftari karain. yei pages ghour say parh lain.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 4 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 4 ستمبر 2008 namaaz ke calender par jo likha hota hai(Asar ki namaaz k liey) Shadow1 and shadow2, iss se kya murad hai? Zuhar kay baad saya yani shadow aahista aahista barhna shroo ho jata hai..... Fiqah e Hanfi kay Mutabiq Asar ka waqat jab shroo hota hai jab kisi cheaz ka saya yani Shadow us kay asal say mazeed , twice yani dugna (2 masl) ho jaiay ----- yani Shadow 2 kuch hazrat kay nazdeek Asar ka waqt us time shroo hota hai jab kisi cheaz ka saya apnay Asal say mazeed, 1 time ( 1 Masl) ho jaiay yani Shadow1. Mairi naqis raiy mai calendar pay shadow1 , shadow2 is waja say likha hota hoga. Ham Hanafi hai is leay Shadow 2 ko follow karain bahtar hoga kay kisi Hanafi Ahlesunnat ki masjid say time table lai lain aur us kay mutabik Asar aur deegar namazain ada kar lain. Allah azzawajal koi ghalati maaf farmaiay aamin wasSlam alaikum اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mushtaq_Attari26 مراسلہ: 4 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 4 ستمبر 2008 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 kya yeh sahi keh, sehri ka waqat sunrise se 1h30 minut khatam hota hai, jaissey ke farz karen k, sunrise 7h00 baje hota hai, aur hum is mein se 1h30 minut nikalein to sehri ka waqat 5h30 baje khatam hota hai, kya aissa hi hai? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 kya yeh sahi keh, sehri ka waqat sunrise se 1h30 minut khatam hota hai, jaissey ke farz karen k, sunrise 7h00 baje hota hai, aur hum is mein se 1h30 minut nikalein to sehri ka waqat 5h30 baje khatam hota hai, kya aissa hi hai? yei mai nay pahlay nahe suna wAllaho Aaam wa Rasuluh اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 (ترمیم شدہ) maine kissi se poocha ke sehri ka waqat kab khatam hota hai to unhon ne mujhe yeh trick batai, merey paas jo calender hai us par sehri k khatam honey ka waqat kuch aur hai aur iss trick k hisaab se waqat calender ke waqat se match nahi hota, hamarey qareebi masal'ay main koi ramzaan ka calender bhi nahi hai aur internet par maine ramazaan ke schedule ke barey mein dekha to wahan par bhi mujhe different auqaat miley, to main confus houn, ramzaan bhi hai, aur mujhe theek se pata nahi k sehri ka waqat kab khatam hota hai, Edited 6 ستمبر 2008 by Gulzar اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
marhaba مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 bai ap kis country sy ha aur us k kis province aur city main rahtay ha ta k ap ko time table bataya ja saky اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Montreal, Quebec, Canada اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
marhaba مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 bai ap following link sy prayer timing dakh sakty ha kisi b maheeny aur din ki aur qibla direction b dakh satay ha http://www.dawateislami.net/prayertimings/...activeYear=2008 sehri aur iftaari k auqat k liyay ap following link ko visit karain yeh bilkul durust timings ha ap in ko follow karain http://www.dawateislami.net/prayertimings/...tsFrom=9/1/2008 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 yeh to bilkul match nahi raha na, aap ki link k liahaaz se aaj ki sehri ka waqat 4:34AM hai, hamarey calender ke hisaab se 4:37 Am hai aur uper wali trick k liaaz se sehri ka waqat 4:50 AM hai, aur issi tarah iftaari mein bhi difference hai, beherhaal , aap ki effort k liey shukrya! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Gulzar bhai aap jo apki alaqay ki sab say nazdeeki Ahlesunnat wal jamat ki masjid hai waha say calendar lai lain aur phir us kay mutabiq amal kar lain aur dawat e islami ki website say jo aap nay bataya 3 min peachay hai tu neachay ugar aap check karain calendar kay bilkul neachay 30 30-September Tuesday 5:09 AM 6:38 PM Precaution: Sehar -3 min to Dawn Timings & Iftaar +2 min to Sun Set yani aap ka calendar aur dawat e i slami ki website pay jo calendar hai wo match kar raha hai kyu kay unho nay already mention kia howa hai kay ahtiyat ki waja say sahri ka time -3 mins show kar rahay hai aur aftar ka +2 mins.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 6 ستمبر 2008 Gulzar bhai aap jo apki alaqay ki sab say nazdeeki Ahlesunnat wal jamat ki masjid hai waha say calendar lai lain aur phir us kay mutabiq amal kar lain aur dawat e islami ki website say jo aap nay bataya 3 min peachay hai tu neachay ugar aap check karain calendar kay bilkul neachay 30 30-September Tuesday 5:09 AM 6:38 PM Precaution: Sehar -3 min to Dawn Timings & Iftaar +2 min to Sun Set yani aap ka calendar aur dawat e i slami ki website pay jo calendar hai wo match kar raha hai kyu kay unho nay already mention kia howa hai kay ahtiyat ki waja say sahri ka time -3 mins show kar rahay hai aur aftar ka +2 mins.. sahi kaha aap ne maine mukamal tor par ghor nahi kiya tha, shukrya! iftar ka jo website pe +2Minut hai, is ka kya matlib? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 7 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 7 ستمبر 2008 wo unho nay pahlay he calender mai 2 mint aagay ka time dia howa hai taky ghuroobe aaftab mai confirm ho jaiay aur calculation mai 1 2 mints ki mistake ho tu us ka hal ho jaiy.. wasSlam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 7 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 7 ستمبر 2008 (ترمیم شدہ) Sehri ke waqat konsi dua (niyat) padni chahiey aur roza iftaar karne k baad konsi dua padni chahiey? mujhe yeh dua mili hai lekin is mein likha hai Kal (tomorrow) ka roza, halan k sehri k waqat to roza shuru ho jata hai, Edited 7 ستمبر 2008 by Gulzar اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 7 ستمبر 2008 Report Share مراسلہ: 7 ستمبر 2008 Sehri ke waqat konsi dua (niyat) padni chahiey aur roza iftaar karne k baad konsi dua padni chahiey? mujhe yeh dua mili hai lekin is mein likha hai Kal (tomorrow) ka roza, halan k sehri k waqat to roza shuru ho jata hai, Yeh dua parh lain aur kal ka roza is leay kay Sahri aap raat kay akhri hissay mai kartay hai aur roza aglay din ka hota hai.. yani aj rat mai jo sahri karta ho wo aj kay rozay ki nahe balkay kal kay rozay ki hoti hai.. wasslam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Gulzar مراسلہ: 8 ستمبر 2008 Author Report Share مراسلہ: 8 ستمبر 2008 jaldi iftari karne se sahi sahi kya murad hai? hamarey han jab iftari ka waqat hota hai usi waqat azan ka waqat hota, ek taraf azan hoti hai aur doosri taraf log iftaar kar rahe hotey hai, azan sun kar iftar karna chahiey ya beech mein hi shuru ho jaen? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔