Jump to content

Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail

Ya Mohammadah

تجویز کردہ جواب

(bis)

(saw)

Main nay Ayaat ooper wali post main day di hain, ab ap inkaar kerain aur apni paish ki hoi ayat ko aap bhi ab perhiya ga ????

UFFO inni jaldi bhi kya hai zara pehly us heeeeee ko to talash kar layein phir khush hoiyega...... :lol:

Rahi baat Hazarat Umer k Aamal-e-Saliha ki to suniya, Kissi bhi Insaan ko yeh yaqeen naheen hota k us kay Aamaal Allah k Haan maqbool hain ya naheen

nahin janab kisi or ko ho na ho wahabiyo ko to pakka yaqeen hota hai ki unky (fasid :lol: ) Amaal maqbool hain, tabhi to wo apny amaalo par itna naaz karty hain ki is ghamand me Huzur (saw) ke zaat ke waseely ko shirk kehny se baaz nahin aaty, aap kahan ki baat karty hain..? Jab aap ye baat accept kar chuky hain ki Amaal ke maqbooliyat ka dawa koi nahin kar sakta to is par zidd kyu ki ja rahi hai ki wo shakhsiyat jo oron ko Allah ki bagah me maqbool karwaty hain unka waseela najayaz shirk hai. aql bech khai mukalefeen ne :unsure: . jab khud yaqeen nahin Amaalo ke maqbooliyat ka to sirf inka waseela paish karky hasil kya?

isi liye to mujhy baar baar wohi shair yaad aata hai....AQL HOTI TO.... :rolleyes:

.....is k liya Hazzarat Umer k inteqaal k waqaya perhi aur note kiji ga unhon nay apnay baitay ko akhari waqt kiya kaha Halan k unko Nabi nay janat ki basharat di thi aur woh bhi perhiya ga jab ramazan k baad eid k chand nazar ata tha to woh kiun rotay thay, un k dor-e-khilafat k waqyat perh lain? issi liya unhon nay Sahab main say Hazarat Abbass ko muntakhib kiya aur un say dua kerwai kiun k unko yaqeen tha k Hazzarat Abbass Allah k muqarrab aur naik banday hain aur yehi cheez sahaba say sabit hai aur hum bhi waisay hi kertay hain yani Allah k naik bandon say Allah k haan dua kerwatay hain . unhon nay jo Hazzarat Abbass say dua kerwai jo k jaiz amal hai.

kabhi kehty hain wahabis dua karwaty hain kabhi kehty hain ki sirf naik Amaal ka waseela paish karty hain baki sab shirk/ Biddat...ye kahiye ki hawa ka rukh dekh kar pala badal dalty hain... :lol: , jaisa ki is pury thread me aapki posts se zahir hai..

iss ki misaal aik aur deta hon, jub buhat saray ulama ikhatay hotay hain to namaz k liya woh aik doosray k dawat datain hain, phir jo bara aalim hota hai umooman wohi namaz perhwata hai. kia baqi ulama k aamal fasid ho jatay hain??

Janab ye misal to bari ajeeb di aapny yahi to hum aapsy poochty hain ki kya hazrat umar (ra) ka khud se dua na karna ya kisi or buzurg sahabi se dua na karwana is par dalalat karta hai ki unky amaal fasid/ gher maqbool thy...lahowla wala quwwata!!

aql hoti to khuda se larai na mol lete

ye ghataye usy manzoor barhana tera (saw)

Link to comment
Share on other sites

</FONT>

(1) janab aap say ista'da kee thee kay aap nay jo baat kahee hai us pay aap koi daleel paish karain kay Sirf Aa'mal he waseela hai magar aap samgh rahay hain ghaliban yaha time pas ho raha hai.

(2) hazrat aap khud aik dawa kartay hain khud is ki tarded kartay hain aap nay khud mana kay (3) Sahaba Hazrat Abbas raziAllah anho ko muqarrab jantay thay is leay un say dua karwai.. aap nay apnay alfaz mai tasleem kar lia kay waseela Muqarrabeen ka bhe hota hai tu ab phir wapis wohi ana aur zidd mai aray howay hain... Haq to alhamdulillah wazah ho chuka hai ..aap badale nakhwasta ya nadanista taur say he par aaap yei khud apnay alfaz mai likh chukay..

(1) Quran ki jo Ayaat paish ki us main sirf Aamal-e-Saleha hi ka hukam hai aur iss k elawa to Allah nay aur koi Hukam un ayaat main naheen diya. pehlay aap nay kaha k ayaat dekhain jab dekha di to mananay say hi inkaari ho gay. mujeh yeh samjh naheen aati quran ki ayat nazar anay k baad bhi aap kiun dat gay hain. yeh batain k un ayaat main Allah (swt) nay Amaal-e-Saliha k elawa kiss k hukam diya hai? iss say kiya zahir hota hai k time kaun pass ker raha hai?

(2) Main nay pehlay hi iss baat ko mana k Naik aur muqarab logon ki dua theek hai shaaid yeh bhi naheen dekha?

(3) "dua ibadaat ka maghaz hai" aap batain kissi k liya dua kerna Amal-e-Saliha naheen??, is ki misaal bhi main nay di thi lakin woh nazar say phir naheen guzari ya aap samjhana hi naheen chahtay thay? Phir main nay sahaba k Fazail ka zikar kiya aur yeh un sawalon ka jawab tha jo aap nay Hazarat Umer (raa) wali hadees say uthay thay apnay woh bhi guzar diya. shaaid aap nay yeh bhi naheen dekha k main apni post main likha tha k naik logon say dua kerwana jaiz hai aur agar aap kissi ki dua ko waseela bana rahay hain to theek hai, agar aap nay yeh sub kuch naheen dekha to time aap guzar rahay hain.

(1) ab phir mazeed bahas aap ko zaib nahe daiti magar baharhal jo aayatain aap nay is daway mai paish kee kay Sirf Aamal HIIII waseela hain us mai kis jaga aur kis muqam pay likha hai kay sirf aamal HIIII waseela hai jaisa aap nay dawa kia..

(1) sirf aik baat bata dein Jo Ayaat paish ki hain us main Amaal-e-Saliha k elawa kiss ka zikr hai??

Agar aap is baat ka jawab naheen detay to aap ko bhi mazeed behas zaib naheen deti?

(1) jo jawab aap nay dia us ka mairay sawal say koi ta'allak nahee maira sawal aap pay qayam hai is leay kay kay aap nay aslan sawal ka jawab dia he nahee... Mai nay pocha tha kay

(2) magar aap bari masoomyat say Mutawakkal ban gaiay. hazrat phir yaha aap mubahisa karnay aaiy kyu thay? ghar bhaith kay iman kay certificate milnay ka intizar kartay ?

(1) Allah (SWT) ko aur Nabi (SWT) ko aur unki shariat ko manana emaan hai. Aur rahi Nabi (saw) ko na mananay wali to aap kissi k emaan ko to janatay hi naheen, iss k khair faisal to Allah hi keray ga. meri iss (highlighted) baat pay naraz kiun ho gay. kiya ghalat kaha??

(2) Inshallah, Nabi (saw) k rastay ko apnatay hain uski hi koshish kertay hain Allah certificate bhi day ga uski rehmton say naummeed to kahbi bhi naheen hon gay.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

:lol: Janab haqeeqat sahab aap ki haqeeqat ye hai ki kabhi dum, kabhi sir, kabhi parr, aap pehly ek behas ko to puri kar lein aapsy jo mutably kiye gaye hain aap unko hazam karky naya topic cherh bethy hain isi liye aapki post kuch waqt ke liye unapproed ki gayi hai...(YE NA SAMJHIYGA KI HUMY AAPKI POST DEKH KAR WEHSAHT HO GAYI :lol: ) aap pehly ye jawab dein ki aapny jo Allah par jhoot bandha tha uska saboot quran se dene waly thy..? Sure baqra ki ayat 89 par mufassir ki rai paish ki gayi us ka aapky paas kya jawab hai? Jab aap khud accepet kar chuky ki amaal ki koi guarantee nahin ki maqbool hain ya nahin to phir bhi aap huzur (saw) ke maqbool waseely se kyo elergic hain...?

pehly kam se kam ye choty moty kaam to pury kar dein phr mazeed kuffaro or buton ki ke haq me jo ayatein utri thin unko Nabi, Wali or Momino par chaspa karky apna moqif sabit karny ki koshish karna or is hadees ka misdaq bhi bohot showk se ho jayiega aap ko kharjiyo ki sohbat mubarak ho...

197.gif

page 1

198.gif

page 2

199.gif

page 3

Ummat E Muslima par Shirk Ke Ilzaam Lagany Wala Khud Mushrik Hoga...apko Mubarak ho ye Hadees

:rolleyes:

204.gif

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

Jin WAHABIS ko "aapky sunaye nahin sunty Murda..."sunkar foran Qabristan ke murdo ki yaad aa jati hai unky liye para 11 ki ayat no. 31 kafi mufeed hai, is se kam ilm bakhoobi andaza laga sakty hain ki Quran ka Andaaz E Bayan kitna Faseeh or Blaeegh hai.... (al)

murdy_ko_zinda_se_zndy_ko_murda_se.JPG

Shayad ab bhi murda lafz sun kar hath dharmi ka muzahira karty huey wahabis ye kahyngy haan ji haan yahan bhi Qabirstan waly murdy hi murad hain... :)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

:lol: Janab haqeeqat sahab aap ki haqeeqat ye hai ki kabhi dum, kabhi sir, kabhi parr, aap pehly ek behas ko to puri kar lein aapsy jo mutably kiye gaye hain aap unko hazam karky naya topic cherh bethy hain isi liye aapki post kuch waqt ke liye unapproed ki gayi hai...(YE NA SAMJHIYGA KI HUMY AAPKI POST DEKH KAR WEHSAHT HO GAYI :lol: ) aap pehly ye jawab dein ki aapny jo Allah par jhoot bandha tha uska saboot quran se dene waly thy..? Sure baqra ki ayat 89 par mufassir ki rai paish ki gayi us ka aapky paas kya jawab hai? Jab aap khud accepet kar chuky ki amaal ki koi guarantee nahin ki maqbool hain ya nahin to phir bhi aap huzur (saw) ke maqbool waseely se kyo elergic hain...?

pehly kam se kam ye choty moty kaam to pury kar dein phr mazeed kuffaro or buton ki ke haq me jo ayatein utri thin unko Nabi, Wali or Momino par chaspa karky apna moqif sabit karny ki koshish karna or is hadees ka misdaq bhi bohot showk se ho jayiega aap ko kharjiyo ki sohbat mubarak ho...

Ummat E Muslima par Shirk Ke Ilzaam Lagany Wala Khud Mushrik Hoga...apko Mubarak ho ye Hadees

:rolleyes:

Janab aap nay post ko delete ker k acha naheen kia, agar aap BRAILWIAT ki AINAK uttar ker dekhtay to sub kuch wazah tha. khair agar aap ko nazar naheen bhi aya to aap ko daleel say post unapprove kerni chahiya thi. POST UNAPPROVE KERNAY SAY TO YEHI PATA CHALTA HAI AAP CHAHTAY HAIN K MAIN APNI POST BHI AAP HI KI MARZI SAY KERON. Ap us post ko upload kerain aur dekhain us main to saaf saaf likha hai k Allah k samanay Sifarashi lanay ki mumaniat hai.

aap jab chahain gay tab bane bhi ker dain gay. aap logon ka forum hai aap jo bhi post kerain woh theek hai aur hum log jo kerain usko bhi aap hi na approve kerna hai, aisa hi hai na.

Regards

Link to comment
Share on other sites

Hazarat Adam (as) wali Hadees k mutaliq

Janab Sarf e Nazar aap nay farmaya hai aur bar bar farmaya hai chalain aap ko shroo say yaad dilata ho

Adam alayhis salam ka huzoor pak ke naam se shafa'at ki dua maangna

قد أخرج الحافظ أبو الحسن بن بشران قال : حدثنا أو جعفر محمد ابن عمرو، حدثنا أحمد بن سحاق بن صالح، ثنا محمد بن صالح، ثنا محمد ابن سنان العوقي، ثنا إبراهيم بن طهمان، عن بديل بن ميسرة، عن عبد الله بن شقيق، عن ميسرة قال: قلت: يا رسول الله، متى كنت نبياً ؟ قال: (( لما خلق الله الأرض واستوى إلى السماء فسواهن سبع سماوات ، وخلق العرش،كتب على ساق العرش: محمد رسول الله خاتم الأنبياء، وخلق الله الجنة التي أسكنها آدم وحواء، فكتب اسمي على الأبواب، والأوراق والقباب، والخيام،وآدم بين الروح والجسد،فلما أحياه الله تعالى: نظر إلى العرش فرأى اسمي فأخبره الله أنه سيد ولدك، فلما غرهما الشيطان ، تابا واستشفعا باسمي إليه ) .

وأخرجه ابن الجوزي في الوفا بفضائل المصطفى من طريق ابن بشران

Tarjuma

Ibn Bushran rawayat kartey hain, shaykh Abu jafar muhammad ibn Amr , rawayat kartey hain Ahmed ibn ishaq ibn salih , rawayat kartey hain mohammed ibn sinan al awqi . rewyat kartey hain ibrahim ibn tahman sey jo rawayat kartey hain budayl ibn maysara sey jo rawayat kartey hain Abdullah ibn shaqiqi sey jo rawyar karetey hain Maysara al fajr ( Rd) ..inhoney Rasul Allah ( sal alllahu alay hi wa sallam) sey poocha " Ya Rasul Allah , aap kab nabee they? Unhoney farmaya " Jab Allah ney zameen paida ki aur usakey baad aasaman aur usako ssat aasmanon mein tabdeel kiya ( 2: 29) aur phir Kursee aur Kursee ke paaon per likha " Mohammed Allah ke rasul hain aur khatamul Anbiya( Muhammadun rasulullahi khatamun al anbiya) . Usakey baad Jannat ki khilqat huee jismein Adam aur Hawwa rahaney lagey.Aur Allah ney mera naam darwazon, patton , gumbad per us waqt likh diya jab adam ruh aur badan ke beech mein they. Jab Allah ney Adam mein jaan dali , us waqt Adam ney Kursee per mera naam likha hua paya , tab Allah ney unko batlaya ki ' wah ( mohammed , sal allahu alaihi wa sallam) tumharee aaney wali tamam naslon ke peshawa hain. Jab shaitan ne in dono ko ( adam aur hawwa) ko bahkaya tab in honay Allah se mafee mangee aur mera naam lekar shafaat ki dua maangee.

Hawala

1.Al wafa bi ahwal al mustafa , musannif , Imam ibn al jawzi al Hanbali (Rh)

2. Subul al Hadi wal Rashad , musannif , Imam Mohammed ibn Yusuf al salihi ( 942 AH)

inhonay is isnad ko JAYYAD LA BASA bihi kaha hai. ( vol. 1/p. 86, Darul Kutub Ilmiyya edn, Beirut)

Janab apnay saari posts shaid naheen perhi is Hadees k Zaeef honay k baray main, pehlay main likh chuka hoon shaid sarf-e-nazar farma gay khair phir aik nai daleel deta hon jo is hadees k Zaeef honay k baray main daleel hai (pehli wali post bhi perh lijia ga), ab k baar ghor kijiya ga. ab thora tafseelan zikar hai aur daleel bhi ulma ki naheen hai (k falan Aalim na kaha k Zaeef hai, falan nay kaha sahih hai) bal k Allah ki Kitab say hai.

Surah Bakra Ayaat 35-36 main Allah nay kaisay zikar kiya

post-2048-1220684563.jpg

Surah Aaraf ayaat 22-23 main Allah nay zikar kiya aur woh dua bhi batai jo Adam (as) nay aur Aman Huwa nay mangi.

post-2048-1220684643.jpg

mujeh pata hai ab bhi aap kahain gay k naheen woh hadees sahih hai, chahay us k zaeef hona Quran say bhi sabit hai. Yeh kia huwa, jo dua Hazarat Adam (as) ki aap bata rahay hain, Quran nay to koi aur dua batai hai.

Ab koee wahabi batlay kya karein? Agar koee hadees ko daif kahta hai to apanee daleel le kar aaye.

Chalo Wahabi ki na Mano, Allah hi ki man lo,

Aap nay jo sawal uthay woh to tehreer ker diya, sawal to main nay bhi poochay lakin jawab naheen diya, aur jin kitabon ka reference Mr. "y a Mohammad" nay diya main nay to yeh bhi poocha k woh kaun si hain.

Regards

Link to comment
Share on other sites

Is par koi jawab nahee
Or phir agar sirf taqwy ko waseela kehty hain to phir iska zikr alehda kyu kiya Allah azw.gif ne....sirf taqullaha keh dena bhar kafi tha....bawajood isky Allah ne irshad farmaya Wabteghu Elyhil Waseela....KYU ??

Janab aap phir sarf-e-nazar farma gay, iss ayat ki tafseer to main nay Tafseer ibn kaseer say upload ki thi aur aik aur doosri tafseer bhi upload ki thi shaid woh naheen dekhi, us main to saaf saaf likha tha k iss k matlab Allah ka qurab Aamal-e-Saliha say hasil kerna hai. Ab main kia keron nai tafseer kahan say lay ker aaon jo aap ki marzi ki ho.

Janab aap k sawalon k jawab day raha jo sawal aap nay uthay us k doosray sawal ka yeh phir jawab hai.

Regards

Link to comment
Share on other sites

Is sawal say bhee sarf e nazar farma gaiay yehi sawal bar bar dohraya gaya magar hunooz jawab nadarud.

salam.gif

Quran e karim Sora Bani Israel aayat no 57 khud he wazah kar rahe hai kay Wasila un ka hota hai jo Allah azzawajal ka ziada muqarrab aur muqam mai buland tar ho'n aur Mushrik jin maqbool bando ka but bana kay un ko Khaliq e kainat ka Sharik karnay lagay. wo tu khud Allah azzawajal ki bargah mai un say ziada maqbool bando ka waseela dhondhtay thay khud Allah azzawjaal kay khud say ziada Maqbool bando kay waseelay kay mutalashi thay tu Rabbul Aalameen kay sharik hona tu du'r ki bat hai. Waseela dhondhna jayaz aur Allah azzawajal kay muqarrab bando ka tareeka hai..

Janab aik baat per ghor kijia ga aap ki post jo 2 september 2008 ko ki thi yeh us k teesra sawal ka jawab hai

Janab yeh ayat aap hi k khilaf hai, Zara Sura Bani Isarael ki Ayat 56 ko 57 k saath mila ker perhain.

post-2048-1220687295.jpg

post-2048-1220687310.jpg

mujeh umeed hai aap meri post ko is dafa kam say kam perhain gay zaroor.

Regards

Link to comment
Share on other sites

Ap us post ko upload kerain aur dekhain us main to saaf saaf likha hai k Allah k samanay Sifarashi lanay ki mumaniat hai.

aap jab chahain gay tab bane bhi ker dain gay. aap logon ka forum hai aap jo bhi post kerain woh theek hai aur hum log jo kerain usko bhi aap hi na approve kerna hai, aisa hi hai na.

Regards

uff ye imotional taqreer, kis dil na paseej jaye...janab ye wo muqam nahin ki aap aisi taqreer karky readers ki symphathy hasil karny ki koshish karein.

Janab aap nay post ko delete ker k acha naheen kia, agar aap BRAILWIAT ki AINAK uttar ker dekhtay to sub kuch wazah tha. khair agar aap ko nazar naheen bhi aya to aap ko daleel say post unapprove kerni chahiya thi. POST UNAPPROVE KERNAY SAY TO YEHI PATA CHALTA HAI AAP CHAHTAY HAIN K MAIN APNI POST BHI AAP HI KI MARZI SAY KERON.

shayad aapki binai......isy parhy...mene kya likha tha....

Janab haqeeqat sahab aap ki haqeeqat ye hai ki kabhi dum, kabhi sir, kabhi parr, aap pehly ek behas ko to puri kar lein aapsy jo mutably kiye gaye hain aap unko hazam karky naya topic cherh bethy hain isi liye aapki post kuch waqt ke liye unapproed ki gayi hai...(YE NA SAMJHIYGA KI HUMY AAPKI POST DEKH KAR WEHSAHT HO GAYI :lol: )

kya humara waqt sirf isi liye hai ki aap aitraaz par aitraaz kiye jayein or hum jawab par jawab de kar pages par pages bhary jayein, janab aapki zimmedari thi agar aap munkereen e waseely ke thekydaar bankar aaye thy to humary jo mutably aapsy hoty rahy unka jawab dete. apsy kai bar kaha gaya ki pehy jo sawaal aap par qayam kiye gaye unka jawab de phir aagy barhy jab aap nahin many to humy aapki post unapprove karni parhi...

aapsy phir mutabla karty hain & this is last time....ki aap neechy di gayin posts ke links me poochy gaye sawalaat ke bary me kya kehna hai...kya aap jawab dengy ?

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30904

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30999

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=31149

Link to comment
Share on other sites

ab tak koi jawab nahee dia gaya

بھائی اب آپ دیکھیں شریعت میں اشیاء کی اصل اباحت ہے۔ اور کوئی چیز حرام و ناجائز اُس وقت ہوتی ہے جب کے قرآن و حدیث اُسے ناجائز کہے۔ اور ہم ایک ایسی دلیل کا مطالبہ کر رہے ہیں۔

اور وسیلہ کے متعلق جیسا کہ آیت کریمہ گزری۔ اُس کے متعلق میں پہلے بھی کہہ چکا کہ اگر اُس آیت سے اعمال کا بھی کوئی استدلال کرے تو یہ بھی ہمارے حق میں دلیل ہے کیونکہ اعمال مخلوق ہے۔ تو یہ کیونکر ممکن ہے کہ ایک مخلوق سے وسیلہ مانگا جائے تو وہ شرک نہ ہو اور زندہ انسان کے وسیلے سے دعا مانگی جائے تو وہ شرک نہ ہو وہی بات بعد وفات شرک بن جائے۔ یہ بات تو سراسر عقیدہ توحید کے خلاف ہے۔ اللہ عزوجل تو وحدہُ لاشریک ہے۔

Janab Surah Bani Isarael ko ayaat 56-57 hi iss ka jawab hai aur baqi buhat sari post main main nay jo ayaat post ki thein woh bhi aap k iss sawal ko radd kertein hain. aur jo meri post unapprove ki gai hei woh bhi iss per daleel thei buthat behtar ho ga agar un pages (ayaat) ko upload ker diya jai to aap ko mazeed clear ho ga. Agar ab bhi samjh na aye to main mazeed tafseel say jawab day doon ga.

Yeh Jawab 4th Sawal ka hai.

اعمال کیا ہیں خالق یا مخلوق؟

Link to comment
Share on other sites

5th Sawal ka Jawab

is baat par bhee koi jawab mausoool nahee howa

اگر مردہ سن سکتا ہے یہ ثابت ہوجائے تو پھر آپ وسیلہ کو مان لیں گے؟ نیز آپ یہ بھی بتائیں کہ کیا آپ انبیاء علیھم السلام کو اپنی قبور میں زندہ مانتے ہیں یا نہیں؟

Janab jo Ahadees is per apnay batoor daleel di thein main nay unko upload bhi kia tha k un Ahadees main saaf likha huwa hai k agar murda sunta hai ya bolta hai Allah k Nabi (saw) nay us k makhsoos muawaqay batay hain. Ghazwa Baddar walay waqaya to hadees say sabit hai k Hazarat Qatada (raa) nay kaha tha k Badar k Kuffar jo kunwain main thay Allah nay un ko us waqt Zinda kiya tha jab nabi (saw) nay un say khitab farmaya tha aur woh aik moajaza tha, aur baad main jab Hazarat Umer (raa) nay un say khitab kia to Hazarat Ayesha (raa) nay us ki tardeed ki thi aur wohi wali ayat perhi jiss main Allah Nay Nabi (saw) ko kaha k "aap murdon ko naheen suna saktay", aur janab aik baat aur yaad rakhiya Hazarat Ayesha (raa) wali hadees bhi up logon nay hi paish ki thi.

koi jawab nahee dia gaya

cntd........ Allah azzawjal kay Rasul nay Qasam utha kay farmaya kay Mausab bin umair raziAllah anho aur un kay rufaqa yei Qayamat tak jo bhe salam karay us ko jawab daitay hai tu suntay bhe nahee boltay bhe nahe ya baaz baaz moqay par boltay hai tu Nabi pak AlaihisSlam nay ma'azAllah Qayamat tak har har salam ka jawab daitay hai kyu farmaya?...Waisay yei kaun kaun say mawaqay aur auqat hai jab murday jo sun aur bol he nahe saktay achanak suntay bolnay lagtay ha??.......aur yei bhe bata deaijay kay Allah azzawjaal nay Anbiya kiram alaihimusSlam ko is dunya mai bhaija he kyu? Farishto kay Zimmay kaam kyu lagiaiay ? Malak ul Ma'ut Rooh kyu Qabz kartay hai? Farishtay Maa kay Pait mai Insan ki Tasveer kyu Banatay hai? Hawa kyu Chalatay hain? Aap ko bhook lagti hai tu Rooti ki taraf kyu bhagtay hain? Bimar hotay hain tu Dawa kyu pakartay hai?

Iss waqay ka mujeh complete reference day dein main Insha Allah Tafseel say is per tehqeeq keron ga.

Regards

Link to comment
Share on other sites

(1) aapsy phir mutabla karty hain & this is last time....ki aap neechy di gayin posts ke links me poochy gaye sawalaat ke bary me kya kehna hai...kya aap jawab dengy ?

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30904

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30999

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=31149

Janb sawal to main nay bhi post kia hain un k jawab kidhar hain?? Khair main apni poori koshish keron ga aap k sawalon k jawab don aur kuch k ooper day bhi diya hain.

"Last time " say kiya murad hai, yan mujeh ban ker diya jaye ga?

Regards

Link to comment
Share on other sites

is k jawab to kuch app ko mil gay hain,

Iss k liya to main nay jo teen ayaat paish ki thein us main to aap ko naheen nazar aya tha iss per main nay sawal yeh kia tha k Allah nay "Aamal-e-Saliha" k elawa kiss ka zikar kiya hai. Aap nay sawal uthaya the emaan ka, aap yeh to batain jab kiss baat per ikhtelaf hota hai to sabit ho jata hai k eman wala kaun hota hai aur kon naheen, acha tareeqa hai topic k rukh mornay per, jab ayaat nazar aa gai to emaan ki baat kernay lagay (waisay aik bar khud say ghor kerain k aap na jo point uthaya hai woh kitna weak ha?). kia sahaba main kabhi ikhtalaf naheen huwa? sawal jab kiya jatay hain to jawab bhi denay pertay hain, aab aap say bhi kiya gay sawalon k jawabat ki istedaa hai.

iss ki to aap nay zara jaldi ki hai thora intezaar to ker lain, aik to fatwa buhat jaldi day detain hain khud hi faisala ker k.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

Janab aap nay post ko delete ker k acha naheen kia, agar aap BRAILWIAT ki AINAK uttar ker dekhtay to sub kuch wazah tha.

Jo Hawaly paish kiye gaye mufassreen ke maslan Sure Baqra ayat no.89 ko hi le lein...wo bhi barelwi thy... jo wahabis ki matti paleet kary shayad wahabi un sab ko hi barelwiayt se tabeer karty hain... :lol:

Ap us post ko upload kerain aur dekhain us main to saaf saaf likha hai k Allah k samanay Sifarashi lanay ki mumaniat hai.

Aapny jis tarah Allah (azw) par jhoot banda ki Sirf Amaal HIwaseela hai (ye udhar aap par ta zindagi rahega jab tak ki aap toba na kar lein..... (ia) ) baki kuch nahin...to ismy kon si nai baat hai ki aap mazeed gumrahi ke mrtakib ho kar naye naye shaghufy chorh rahy hain...Jan boojh kar anjaan na bany, ki jahan mumaniyat hai wo momino ke liye nahin or aapny jo ayatein kafrio or buto ke haq me utri thi unhy Nabiyo Waliyo or Momino par laga kar kharjis ki zurriyat hony

ka dawa sabit kar diya ...... (al)

ab parhiye Quran ki sirf ayat mana ke sath na koi tafseer na koi tabsara...

Shafaat sab Allah hi ke paas hai (Kuffaro or buto ke Radd mein...)

39.44_sifarish_Allah_ke_hi_hathon_me_hai.GIF

Quran

6.51.GIF

Quran

32.4.GIF

Quran

Kuffaro ke liye na koi shafaat na koi sifarshi

9.113_9.80_kafiro_ke_liye_nahin.GIF

Quran

9.849.80_kafiro_ke_liye_nahin.GIF

Quran

63.6_9.80_kafiro_ke_liye_nahin.GIF

Quran

9.80_kafiro_ke_liye_nahin.GIF

Quran

shafaat/ Sifarshi Sirf Momino ke liye

47.19_musalmano_ke_liye_shafat.GIF

Quran

3.159_musalmano_ki_shafat_karo.GIF

Quran

24.62_Momino_ke_liye_maafi_mango.GIF

Quran

9.103_dua_karo_momiino_ke_liye.GIF

Quran

Shafaat/ Sifarish Sirf Wo karty hain Jinhy Allah ka izn mila...

2.255_izn_se.GIF

Quran

10.3_izn_se.GIF

Quran

19.87_izn_se.GIF

Quran

21.28_psanad_farmaye.GIF

Quran

53.26_pasand.GIF

Quran

34.23_izn.GIF

Quran

20.109.GIF

Quran

Allah ne izn kinhy diya... Shafaat/ Sifarish Sirf Momino karty hain

4.69_anbiya_wali_siddiq.GIF

Quran

43.86_muslal_man_hi_sifarish_karty_hain.GIF

Quran

40.7__farsihty_mafi_mangty_hain.GIF

Quran

42.5_farsihty_mafi_mangty_hain.GIF

Quran

4.85_sifaish_achchi.GIF

Quran

Shafaat / Sifarish E Rasool

(ra)

4.64_huzur_shafat_kary_to_gunah_maaf.GIF

Quran

9.59_Allah_ke_rasool_dete_hain_karam.GIF

Quran

9.62_huzur_ko_razi_karty.GIF

Quran

Shafaat/ Sifarish ka inkar karny waly kon

63.5.GIF

Quran

Shafaat/ Sifarish jinky liye nahin unky Amaal Barbaad

25.23.GIF

Quran

47.8.GIF

Quran

aap jab chahain gay tab bane bhi ker dain gay. aap logon ka forum hai aap jo bhi post kerain woh theek hai aur hum log jo kerain usko bhi aap hi na approve kerna hai, aisa hi hai na.

Nahin janab, nahin humny to aisa kuch nahin socha ya kaha...itni jaldi bhi kya hai yahan se farigh hony ki....Don't you worry. Waisy kharjiyo ke paas baith kar kesa lag raha hai aap ko hope you ae enjyoing there company... :lol:

Allah

(azw) la-deeniyat se mehfooz rakhy momino ko...Ameen

Link to comment
Share on other sites

Haqeqqt sahib se kuch suwal un ke reply hadees e hazrat Aadam (as) se related.

1) Aik ghalat riwayat jo ke quran ki sahi aayat k against ho. aisi hadees ko agar koi sahi or asnad ko jayid kahey tu aise shakhs par kya hukm hay?

2) Yeh hadees mukhtalif kutub main mukhtalif rawiyon se kuch different matan ke sath bhi naqal hay. agar kisi hadees ka aik rawi zaeef ho tu ulema farmate hain hadees ko zaeef na kaha jaye balke sannad ko zaeef kaha jaye. ho sakta hay us hadees ki koi or sannad sahi mil jaye. aisi kayi aahadees jinki baaz asnaad zaeef hain tu baaz hassan tu baaz jayid tak pohnchi hoyi. suwal ye hay k jo image apne post kya ghaliban hadees aadam k jawab main us main imam hakim ne hadees ko sahi kaha halanke woh abdul rahman bin zaid bin asalam ka zaaf jante they. tu aise main imam hakim par kya hukm hoga? or imam bulqeni, imam taqi ud din subki waghera par bhi hukm waziha farma den k quran ki aayat k sareeh against hadees ko sahi fermaya.

3) apne jis hadees ko quote kar k jo image post kya hay asif bhai ki post se. us hadees ko bhi ap ne pedhne ki zehmat ki? us main abdul rahman bin zaid bin aslam ka naam hi nahi hay. .. is lye ab ap zara mazeed tehqeeq kar k is sannad par kuch tabsara farmain. or pehla kam tu apke zimey hadees ko zaeef sabit karna hay. dosra kam pehle suwal ka jawab de kar hukm bayan karain imam ibn al jozi wa imam muhammad ibn yousuf al saleh par.

Link to comment
Share on other sites

post-2048-1220716739.jpg

pehli baat yeh k jo ayaat main nay paish ki thein aur unapprove hoi thein ab ap nay apni hi post main upload ker di kaun unapprove keray ga.

doosri baat, yeh jo ayat aap nay paish ki pehla baat yeh batain k iss main Khas aur Aam kahan say aye?? mat badlo Allah ki Ayaat ko aur un k mafhoom ko. Iss ayat main Allah nay pehlay yehi kaha k Allah hi Ibadaat k laiq hai aur phir apnay nabi (saw) ko keh raha hai k ap (saw) Astaghfar kerain aur phir kaha k momin mard aur aurton k liya bhi maghfirat mangain, aur yehi woh jaiz tareeqa hai jis ka Allah hukam detay hain aur nabi (saw) ka tareeqa bhi hai aur iss ayat main bhi wazah hai k Allah nay Nabi (saw) ko dua hi k kaha hai yeh nahi kaha waseela dhondo. main koshish keron ga Muslim say Dua wala sara bab upload keron ta k us main aap ko nazar aye k nabi (saw) na kaisay dua mangi phir batai ga waseela kahan hai. yeh baat pehlay sabit ho chuki k zinda say dua kerwana jaiz hai, aap nay sabit kerna hai k murda aap ki taqdeerain kaisay badlay ga aur inshallah badal bhi naheen sakta kiun Allah nay shirk ko na mauaaf kernay ka wada kiya hai. aur jo ap nay raag alap rakha hai nay kuffar aur buton ka woh asal main mushrikon ki baat hai. aur aap ko pata hi ho ga k mushrik kaun hota hai??? Inshallah baqi jo ayaat apnay paish ki us ka tafseel say jawab don ga??

aik aur ahem baat jis ko mushkil aati hai, woh mushkil khusha naheen ho sakta, aur inshallah yeh sabit ho ga???

main nay bhi kuch sawal kiya thay un k jawab kidhary hain?? jawab milay naheen??

Regards

Link to comment
Share on other sites

Hazarat Adam (as) wali Hadees k mutaliq

Janab apnay saari posts shaid naheen perhi is Hadees k Zaeef honay k baray main, pehlay main likh chuka hoon shaid sarf-e-nazar farma gay khair phir aik nai daleel deta hon jo is hadees k Zaeef honay k baray main daleel hai (pehli wali post bhi perh lijia ga), ab k baar ghor kijiya ga. ab thora tafseelan zikar hai aur daleel bhi ulma ki naheen hai (k falan Aalim na kaha k Zaeef hai, falan nay kaha sahih hai) bal k Allah ki Kitab say hai.

iska Jawab aap ko raseed kiya gaya is par aapk jawab ... :unsure:

ek baar or chk kar lein dada jaan bula rahy hain...

Dada Jaan Ibn Timiya is calling to visit his words... :rolleyes:

http://www.islamimehfil.info/index.php?s=&...ost&p=30912

Surah Bakra Ayaat 35-36 main Allah nay kaisay zikar kiya

rahi baat sure baqra ayat 37 ki to iska jawab sahih ahadees se diya ja chuka hai....

آدم علیہ السلام نے زمین پر آنے کے بعد تین سو برس تک حیاء سے آسمان کی طرف سر نہ اٹھایا اگرچہ حضرت داؤد علیہ السلام کثیر البکاء تھے آپ کے آنسو تمام زمین والوں کے آنسوؤں سے زیادہ ہیں مگر حضرت آدم علیہ السلام اس قدر روئے کہ آپ کے آنسو حضرت داؤد علیہ السلام اورتمام اہلِ زمین کے آنسوؤں کے مجموعہ سے بڑھ گئے۔ (خازن) طبرانی و حاکم و ابو نعیم و بیہقی نے حضرت علی مرتضیٰ رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ سے مرفوعاً روایت کی کہ جب حضرت آدم علیہ السلام پر عتاب ہوا تو آپ فکر توبہ میں حیران تھے اس پریشانی کے عالم میں یاد آیا کہ وقت پیدائش میں نے سر اٹھا کر دیکھا تھا کہ عرش پر لکھا ہے لا الہ الا اللّٰہ محمد رسول اللّٰہ میں سمجھا تھا کہ بارگاہِ الہٰی میں وہ رُتبہ کسی کو میسر نہیں جو حضرت محمد صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کو حاصل ہے کہ اللّٰہ تعالیٰ نے ان کا نام اپنے نام اقدس کے ساتھ عرش پر مکتوب فرمایا لہذا آپ نے اپنی دعا میں '' رَبَّنَا ظَلَمْنَا ''الآیہ ' کے ساتھ یہ عرض کیا '' اَسْئَلُکَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ اَنْ تَغْفِرَلِیْ '' ابن منذر کی روایت میں یہ کلمے ہیں۔ '' اَللّٰھُمَّ اِنِّی اَسْلَکَ بِجَاہِ محمَّدٍ عَبْدِکَ وَکَرَامَتِہٖ عَلَیْکَ اَنْ تَغفِرَلِیْ خَطِیْئَتِیْ '' یعنی یارب میں تجھ سے تیرے بندۂ خاص محمد مصطفٰے صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کے جاہ و مرتبت کے طفیل میں اور اس کرامت کے صدقہ میں جو انہیں تیرے دربار میں حاصل ہے مغفرت چاہتا ہوں یہ دعا کرنی تھی کہ حق تعالیٰ نے ان کی مغفرت فرمائی مسئلہ اس روایت سے ثابت ہے کہ مقبولان بارگاہ کے وسیلہ سے دعا بحق فلاں اور بجاہ فلاں کہہ کر مانگنا جائز اور حضرت آدم علیہ السلام کی سنت ہے مسئلہ : اللّٰہ تعالیٰ پر کسی کا حق واجب نہیں ہوتا لیکن وہ اپنے مقبولوں کو اپنے فضل و کرم سے حق دیتا ہے اسی تفضلی حق کے وسیلہ سے دعا کی جاتی ہے صحیح احادیث سے یہ حق ثابت ہے جیسے وارد ہوا '' مَنْ اٰمَنَ بِاللّٰہ ِ وَرَسُوْلِہٖ وَاَقَامَ الصَّلوٰۃَ وَصَامَ رَمَضَانَ کَانَ حَقاً عَلیٰ اللّٰہ ِ اَنْ یُدْخِلَ الْجَنَّۃَ '' حضرت آدم علیہ السلام کی توبہ دسویں محرم کو قبول ہوئی جنت سے اخراج کے وقت اور نعمتوں کے ساتھ عربی زبان بھی آپ سے سلب کرلی گئی تھی بجائے اس کے زبان مبارک پر سریانی جاری کردی گئی تھی قبول توبہ کے بعد پھر زبان عربی عطا ہوئی (فتح العزیز) مسئلہ : توبہ کی اصل رجوع الی اللّٰہ ہے اس کے تین رکن ہیں ایک اعتراف جرم دوسرے ندامت تیسرے عزم ترک اگر گناہ قابل تلافی ہو تو اس کی تلافی بھی لازم ہے مثلا تارک صلوۃ کی توبہ کے لئے پچھلی نمازوں کی قضا پڑھنا بھی ضروری ہے توبہ کے بعد حضرت جبرئیل نے زمین کے تمام جانوروں میں حضرت آدم علیہ السلام کی خلافت کا اعلان کیا اور سب پر ان کی فرماں برداری لازم ہونے کا حکم سنایا سب نے قبول طاعت کا اظہار کیا ۔(فتح العزیز)

mujeh pata hai ab bhi aap kahain gay k naheen woh hadees sahih hai, chahay us k zaeef hona Quran say bhi sabit hai. Yeh kia huwa, jo dua Hazarat Adam (as) ki aap bata rahay hain, Quran nay to koi aur dua batai hai.

Quran me us Hadees ke alfaaz ka zirk na kiya jana is hadees ke mozu / Zaeef ki daleel kab se hony laga...ab mujhy lagny laga hai ki we are waisting time with jehla..janab haqeeqat sahab agar waqai yahi daleel ban ny lagy to itni kutub ahadees kis kaam ki, ye fun hadees, asma o rijaal ka ilm....ahadees ke darjy....be ja hi muhaddsin ne apna waqt zaya kiya ...lo ji sahab aa gaya jehla wahabis ka fatwa..sab se pehly ja kar aap apny us aalim ko ye nayi daleel foran sunaye jisky article ko aapny pichli post me quote karky hazrat adam alehsalam wali hadees ko zaeef/Mozu sabit karny ke liye ayerhi choti ka zor lagaya tha...khuda jab deen leta hai to aql cheen leta hai...Allah (azw) samajhny ke liye Huzur (saw) ke sadqy or tufel me aql e saleem ata farmaye..Ameen

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

Ap us post ko upload kerain aur dekhain us main to saaf saaf likha hai k Allah k samanay Sifarashi lanay ki mumaniat hai.

kyu wahabi janab Quran hi tha na sab jo uper paish hua without Tafseer ? Sifarish, Sifarshi par Fundy Clear huey ki nahin :rolleyes: ....

pehli baat yeh k jo ayaat main nay paish ki thein aur unapprove hoi thein ab ap nay apni hi post main upload ker di kaun unapprove keray ga.

pehli baat ka jawab :- Aap pehly mutalby pury karein phir kahrjiyo me shamil hony ke saboot ko aam kar diya jayega... :rolleyes: Have Patience !!

doosri baat, yeh jo ayat aap nay paish ki pehla baat yeh batain k iss main Khas aur Aam kahan say aye?? mat badlo Allah ki Ayaat ko aur un k mafhoom ko. Iss ayat main Allah nay pehlay yehi kaha k Allah hi Ibadaat k laiq hai aur phir apnay nabi (saw) ko keh raha hai k ap (saw) Astaghfar kerain aur phir kaha k momin mard aur aurton k liya bhi maghfirat mangain,

Dusri baat ka jawab:- Wo aisy ki hum Ahle Sunnat apny nabiyo ko gunahgaar nahin, Her gunah or aib se Masoom manty hain, haan aisa zaroor ho sakta hai ki aap wahabis ky khud sakhta nabi gunahgaar ho sakty haongy hum to apny nabiyo ko gunaho se masoom manty hain (al) , or ismy humy koi tajjub nahin jab aapka ismail qateel apny khuda ke liye aib or Qizb mumkin manta hai to nabi ki to baat hi kya....? Lanat hai aiso aqeedo walo par jiska saboot tum Allah par jhoot bandh kar de chuky ho...

aur yehi woh jaiz tareeqa hai jis ka Allah hukam detay hain aur nabi (saw) ka tareeqa bhi hai aur iss ayat main bhi wazah hai k Allah nay Nabi (saw) ko dua hi k kaha hai yeh nahi kaha waseela dhondo. main koshish keron ga Muslim say Dua wala sara bab upload keron ta k us main aap ko nazar aye k nabi (saw) na kaisay dua mangi phir batai ga waseela kahan hai.

uff ye jahalat....waseely ka laghwi or sharai mafhoom mene kai pages pehly upload kiya tha par kam aqlo ko kuch to toufeeq milti jo parhty...tumhary ghar se hi sabit hai ki waseely ka mana hota hai wo zariya jis se maqsood ky hasil karny ki taraf pohcha jaye..ab chahy usy dua karwana keh lo ya phir waseela istemaal karna..par ye cohti si baat or aapky bary sir me...mushkil hi hai ki aa jaye ismy..

yeh baat pehlay sabit ho chuki k zinda say dua kerwana jaiz hai,

achcha waqai par aapny ye kya quote kiya tha humary moqif ke khilaaf isy bhool gaye :lol:

barahy_rast.jpg

chyjayeky Allah kehta hai ki MUJH se mango me duao ko sunta hu...or tum keh rahy ho dua karwa sakty hain zindo se, ary bhai kese dua karwa lein...? bari ajeeb baat hai bawajood isky Allah shey rag se bhi qareeb tha phir bhi zindo se dua ? (Haan ji haan Zindo se Goya ki Murda to khuda ho sakta hai par zinda khuda nahin, is liye zindo se dua karwana shirk nahin Murdy se karwana shirk hoga : wahabi mantaq , lanat hai wahabis par. Tum to hinduo se bhi gaye beety ho ki unka khuda to zinda hota hai par tumhary liye MURDA(Qabr wala) khuda ban jata hai, ki murdy se dua karwai waseela banaya to shirk nikal aay.) Quran se sabit kijye janab haqeeqat sahab wahabi. We ae waiting for it in your new thread.

Topic ye rakhiyega "Zinda to khuda nahin han MURDA zaroor khuda ban sakta hai".

aap nay sabit kerna hai k murda aap ki taqdeerain kaisay badlay ga aur inshallah badal bhi naheen sakta kiun Allah nay shirk ko na mauaaf kernay ka wada kiya hai. aur jo ap nay raag alap rakha hai nay kuffar aur buton ka woh asal main mushrikon ki baat hai. aur aap ko pata hi ho ga k mushrik kaun hota hai??? Inshallah baqi jo ayaat apnay paish ki us ka tafseel say jawab don ga??

iska mu tor jawab aapko kharji waly cerificate me diya....

aik aur ahem baat jis ko mushkil aati hai, woh mushkil khusha naheen ho sakta, aur inshallah yeh sabit ho ga???

:lol::lol::lol:

Lao Quran se sareeh daeel apny is fatwy par, ki nabi wali mushkil kushai nahin kar sakty..marty mar jaogy par isky alawa kuch na banega ki mazeed saboot paish karogy apny kharji hony ka. or haan is thread me nahin naye thread me......topic yaad hai na ?

Jehla, zinda dua karega to mushkil ko majazi tor par kon hal karny wala bana, jehla ye to batayein...hua na phir wo mushkil kusha...mujhy maloom hai ab tum zinda murdy ki phero me parh kar hajat rawai mushkil kushai ki nai behas shuru karny ki firaq me ho to janab usky liye aap naya topic create kaein yahan jo baat chal ahi hai us se faraar nahin hony diya jayega...

main nay bhi kuch sawal kiya thay un k jawab kidhary hain?? jawab milay naheen??

Wo apky daddu "Ibn Timiya" itni zor se aapko pukar rahy thy Hazrat Adam Alehsalam wali Hadees par ki unky shor me aapky wo sawal gum ho gaye.... jawab aapky raseed kiye ja chuky hain..

Link to comment
Share on other sites

pehli baat yeh k jo ayaat main nay paish ki thein aur unapprove hoi thein ab ap nay apni hi post main upload ker di kaun unapprove keray ga.

doosri baat, yeh jo ayat aap nay paish ki pehla baat yeh batain k iss main Khas aur Aam kahan say aye??

kia aap Asmat e Anbiya alaihiSlam kay bhee munkir hai'n? ...Qurane karim ki is ayat mai Li Zanbika kay Kaaf say Murad wo jo Aap kay Khas hain un kay gunaho ki mafi kay leay Astaghfar karain aur phir lil momineena wal mominat farma kay Allah azzawjal nay ta qayamat tamam momineen mominat pay ahsan e azeem farmaya, kay apnay Mahboob (saw) ki dua mai hamain bhee shamil farma dia. (al)

Link to comment
Share on other sites

Regarding waseela, Prophet (saw) himself said to his daughter that he cannot do any favour of her on judgment day. It makes pretti clear that no ones rightous deeds can help other one. A person will servive on his own deeds except certain cases. No sahaba used to give waseela nor prophet taught to do so.

######

furthermore, going to mazar to pray or to ask a dead body is direct Shirk. Who will debate me on this topic? All these are done for material gain only

The debate on Waseela is ongoing 7 pages pay peachay sara discussion ho chuka hai did u bother u read??

debate karain pahlay saray points peachay parh lain phir un ka jawab dain

Link to comment
Share on other sites

Janab mainay nay yeh quote kia

doosri baat, yeh jo ayat aap nay paish ki pehla baat yeh batain k iss main Khas aur Aam kahan say aye?? mat badlo Allah ki Ayaat ko aur un k mafhoom ko. Iss ayat main Allah nay pehlay yehi kaha k Allah hi Ibadaat k laiq hai aur phir apnay nabi (saw) ko keh raha hai k ap (saw) Astaghfar kerain aur phir kaha k momin mard aur aurton k liya bhi maghfirat mangain,

aur us k jawab main ap nay yeh quote kia

Dusri baat ka jawab:- Wo aisy ki hum Ahle Sunnat apny nabiyo ko gunahgaar nahin, Her gunah or aib se Masoom manty hain, haan aisa zaroor ho sakta hai ki aap wahabis ky khud sakhta nabi gunahgaar ho sakty haongy hum to apny nabiyo ko gunaho se masoom manty hain (al) , or ismy humy koi tajjub nahin jab aapka ismail qateel apny khuda ke liye aib or Qizb mumkin manta hai to nabi ki to baat hi kya....? Lanat hai aiso aqeedo walo par jiska saboot tum Allah par jhoot bandh kar de chuky ho...

</SPAN>

ab main do mukhtalif translations post ker raha hon dekhain iss main KHAS AUR AAM Kahan say nikalta hai. Kiun badaltay ho Allah ki Ayaat ko, aur yeh sabit kero k iss ayat main khan istemal huwa "KHAS" aur kahan "AAM".

post-2048-1220855373.jpg

phir main nay yeh post kia

aur yehi woh jaiz tareeqa hai jis ka Allah hukam detay hain aur nabi (saw) ka tareeqa bhi hai aur iss ayat main bhi wazah hai k Allah nay Nabi (saw) ko dua hi k kaha hai yeh nahi kaha waseela dhondo. main koshish keron ga Muslim say Dua wala sara bab upload keron ta k us main aap ko nazar aye k nabi (saw) na kaisay dua mangi phir batai ga waseela kahan hai.

aur janab nay quote kia tha

uff ye jahalat....waseely ka laghwi or sharai mafhoom mene kai pages pehly upload kiya tha par kam aqlo ko kuch to toufeeq milti jo parhty...tumhary ghar se hi sabit hai ki waseely ka mana hota hai wo zariya jis se maqsood ky hasil karny ki taraf pohcha jaye..ab chahy usy dua karwana keh lo ya phir waseela istemaal karna..par ye cohti si baat or aapky bary sir me...mushkil hi hai ki aa jaye ismy..

Janab pages upload to ker diya bataya naheen kahan say load kiya, kaun si kitab hai???? Janab nay ab yeh sabit kerna hai k murday ka waseela kaisay istemaal ker rahay ho??

nabi (saw) nay jo duain mangi un ko bhi dekh lo, Sahih Muslim k pages hain poora dua wala bab hai, ab batana nabi ka tareeqa kia tha dua manganay ka, koi waseela naheen tha sirf amaal hi ki baat hai.</SPAN>

post-2048-1220856368.jpg

post-2048-1220856397.jpg

post-2048-1220856423.jpg

post-2048-1220856456.jpg

post-2048-1220856741.jpg

achcha waqai par aapny ye kya quote kiya tha humary moqif ke khilaaf isy bhool gaye :lol:

post-393-1220726946.jpg

chyjayeky Allah kehta hai ki MUJH se mango me duao ko sunta hu...or tum keh rahy ho dua karwa sakty hain zindo se, ary bhai kese dua karwa lein...? bari ajeeb baat hai bawajood isky Allah shey rag se bhi qareeb tha phir bhi zindo se dua ? (Haan ji haan Zindo se Goya ki Murda to khuda ho sakta hai par zinda khuda nahin, is liye zindo se dua karwana shirk nahin Murdy se karwana shirk hoga : wahabi mantaq , lanat hai wahabis par. Tum to hinduo se bhi gaye beety ho ki unka khuda to zinda hota hai par tumhary liye MURDA(Qabr wala) khuda ban jata hai, ki murdy se dua karwai waseela banaya to shirk nikal aay.) Quran se sabit kijye janab haqeeqat sahab wahabi. We ae waiting for it in your new thread.

Janab jab hum kissi ko dua ka kehtay hain to humara maqsad hota hai k Allah say hi dua kijia ga. Aur jiss ko dua ka kaha jata hai woh Allah hi say dua kerta hai. ab samjho ayat ka mafhoom

post-393-1220726946.jpg

Aap k maqasid aur hotay hai issi liya to Allah ki ayaat main hujjatain paish ker rahay ho. aur Janab Surah Mohammad ki ayat 47 jo paish ki us main Allah nay hi nabi ko kaha k nabbi (saw) apnay liya bhi aur Momin aur Mominaat k liya bhi dua kerain jis say sabit hota hai k dua kerwani jaiz hai, ab jab nabi (saw) nay dua ki ho gi to woh kiss say ki ho gi yaqeenan Allah say hi ki ho gi (allah) aur baghair waseelay k hi ki hogi. ooper muslim k pages dekhna koi waseela naheen kissi dua main ab ayat k mafhoom samjh aaya.

Topic ye rakhiyega "Zinda to khuda nahin han MURDA zaroor khuda ban sakta hai".

Jaldi kia hai, aur buhat saray thread shurroo hon gay, pehlay bhi is topic main 'BRAILWIAT K AQAEED' ki baat ho chuki aap hi k aik dost nay ki, iss k baad to pehlay is ki bari hai phir aap k akhaaz kiya huwa topic per baat bhi ker lain gay.

Lao Quran se sareeh daeel apny is fatwy par, ki nabi wali mushkil kushai nahin kar sakty..marty mar jaogy par isky alawa kuch na banega ki mazeed saboot paish karogy apny kharji hony ka. or haan is thread me nahin naye thread me......topic yaad hai na ?

Jehla, zinda dua karega to mushkil ko majazi tor par kon hal karny wala bana, jehla ye to batayein...hua na phir wo mushkil kusha...mujhy maloom hai ab tum zinda murdy ki phero me parh kar hajat rawai mushkil kushai ki nai behas shuru karny ki firaq me ho to janab usky liye aap naya topic create kaein yahan jo baat chal ahi hai us se faraar nahin hony diya jayega...

kia yeh jawab kafi naheen jo mohammad sakib nay diya.

Regarding waseela, Prophet (saw) himself said to his daughter that he cannot do any favour of her on judgment day. It makes pretti clear that no ones rightous deeds can help other one.

Wo apky daddu "Ibn Timiya" itni zor se aapko pukar rahy thy Hazrat Adam Alehsalam wali Hadees par ki unky shor me aapky wo sawal gum ho gaye.... jawab aapky raseed kiye ja chuky hain..

yani hum mantay hain to humaray dada huway, chalo aaj say tumharay dada bhi huway kiun k unki baat quote ker aap nay bhi unko maan liya.

doosri baat jo reference aap nay diya un k original pages scan kero, tum nay to apni hi kitab k pages upload kiya hain.

Regards

</SPAN>

Link to comment
Share on other sites

kia aap Asmat e Anbiya alaihiSlam kay bhee munkir hai'n? ...Qurane karim ki is ayat mai Li Zanbika kay Kaaf say Murad wo jo Aap kay Khas hain un kay gunaho ki mafi kay leay Astaghfar karain aur phir lil momineena wal mominat farma kay Allah azzawjal nay ta qayamat tamam momineen mominat pay ahsan e azeem farmaya, kay apnay Mahboob (saw) ki dua mai hamain bhee shamil farma dia. (al)

Ooper main nay issi ayat k 2 mukhtalif translations post ki hain un k dekh lijia ga? aap log aik to ghalat mafhoom nikaltay hain phir us per dat bhi jatain hain. aur Allah k han koi Khas naheen aur na hi koi aam momin hai (ab yahan murad allah k anbiya ko na lena), bal k allah k Han farq taqway (Aamal-e-Saliha) hi ka hai.

Regards

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...