Jump to content

wuzu ke baad kangi karna kaissa hai?


Gulzar

تجویز کردہ جواب

ek aur baat, maine ek hadees pardi thee Reekh ke barey mein ke agar reekh nikaltey waqat us ki awaaz aye to us ke baad wuzu kar leney se wuzu nahi hota ya phir kuch aissi baat likhi thee mujhe theek se yaad nahi, agar kissi bhai ko kuch reekh ke barey mein maloom ho to apne ilm ka ek qatra yahan par bhi share kar dein, shukriya!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Pyarey Bhayi Aap Sey Arz Hai Key Sirf Mustanad Ulema-e-AhleSunnat Ki Kutub Ko Perhein Tu Aisey Ghalat Masail Aapko Nhin Milein Gey.. Aur Jo Mas'ala Miley ga Us Mein Shak Ki Gunjaish Nhin Hogi...

 

Aap Namaz Key Ahkaam Kitab Ka Muta'laa Kerein.. (ia) Aapkey Kayi Masail Hal Ho Jayen Gey...

 

1) Wuzo Key Baad Kanghi Kerna Aur Namaz Key Liye Masjid Ki Taraf Jana Bilkul Jaiz Hai..

 

2) Yeh Hadees Aap Ney Kahan Perhi? Ager Hawala Aap Key Pas Hai Tu Bara-e-Karam Post Ker Dein...

Reenkh Nikalney Sey Wuzoo Nhin Jata.. Aur Reenkh Na Pak Nhin Hai.. Ager Kaproon Per Lag Jayen Tu Kaprey Na Pak Nhin Hongey... Tu Yeh Kiyonker Mumkin Hai Key Reenkh Nikal Ker Wuzoo Hi Nhin Hota... Aur Ager Nhin Hota Tu Phir Kab Hota Hai?

 

Aap Namaz Key Ahkam Kitab Sey Wuzoo Ka Tareeqa Wala Booklet Perhein.. Jin Cheezon Sey Wuzoo Toot Jata Hai Aur Nhin Hota Yeh Sab Wahan Likha Howa Hai...

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

Asalamo Elekum!

meine yeh wali kitaab ''Wuzoo Ka Tareeqa'' pardi hai aur is kahin bhi mujhe likha hua nahi mila ke kangi kar ke jana chahiey ya nahi aur meine ahkame-e-naamaz ka bhi kuch hissa parda hai lekin kangi k barey kuch nahi mila,

Beher Haal, aap kehte hain yeh jaiz to yaqeeqan aap mujh se zyada ilm rakhney waley hain aur yaqeeqan sahi hi hongey, shukriya!

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

1-) kon kon se amal karney k baad wuzu karney se pheley istanja karna lazmi hota hai, masal k tor par agar reekh nikal jaey to wuzu toot jata hai, lekin aap dobara wuzu karein gey to aapko istanja karney ki zaroorat nahi hai bal'k bina istanja kiey hi wuzu ho jaey ga aur namaz bhi par saktey hain, aissey hi wo kon se amal hain jin k karney se istanja karna lazmi hota hai wuzu karney se pheley?

2-) reekh agar bohat zayda nikalti ho yani k awaz bhi ati ho aur kai martba kharij hui to bhi kya bina istanja kiey wuzu kar kay namaz pard saktey hain?

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...