Jump to content

Fiqah-e-Hanafi


Gulzar

تجویز کردہ جواب

Imam Abu Hanifa Rehmatullah Aalih Kufa Iraq mein paida howe or jo un ko follow karte hein wo Hanafi kahlate hein.Isi tarah Imam Shaafi Rehmatullah Aaleh ko follow karne wale Shaafi sunni Kahlate hein, ji haan Imam Abu Hanifa Rehmatullah Aalih Ahle Sunna wal Jamaat mein se hein.Or Hanafi Shaafi,maaliki,humbali ye sab sunni hein or Huzoor Ghose Aazam Radi Allah Anho ki ta'aleemat pr bhe amaal karte hein is silsale mein bait bhe karte hein.Or jo bait karta hai wo "Qadri" kahlata hai.

Link to comment
Share on other sites

(salam) ;

 

Allah azzawjal ka irshad hai sora Nahal aya 43 :

وَمَا أَرْسَلْنَا مِن قَبْلِكَ إِلاَّ رِجَالاً نُّوحِي إِلَيْهِمْ فَاسْأَلُواْ أَهْلَ الذِّكْرِ إِن كُنتُمْ لاَ تَعْلَمُونَ

(اور ہم نے تم سے پہلے نہ بھیجے مگر مرد, جن کی طرف ہم وحی کرتے، تو اے لوگو! علم والوں سے پوچھو اگر تمہیں علم نہیں)

 

Nabi pak alaislam kay du'r mai sahaba kiram rizwanullah ajmaneen ko jo bhee masla darpaish hota wo Nabi pak alaislam say pooch laitay aur us pay amal kartay .. Aap alaislam kay wisal e zahiri kay baad baaz sahaba kiram rizwanullah ajmaeen bhee aur dosray musalman bhee aisay Sahaba rizwanullah ajmaneen say jo buhat ilam walay thay aur Nabi pak alaislam say ziada ilam seekhnay ki waja say aur apnay ilm e quran o hadis ki waja say mumtaz thay, naiay naiay masa'il ka hal un say poch kar un kay fatwo pay amal kartay.. maslan Khulafa e Rashideen, Syedina Abdullah ibne Abbas , Syedina Abdullah ibne Umar raziAllah anhum aur aisay buhat say sahaba rizwanullah ajmaeen mumtaz muqam kay hamil thay jin say baad mai paida honay walay aksar musalman rahnumai hasil kartay rahay.. isi tarah yei silsila chalta raha kay musalmano mai har da'ur mai aisay loag maujood rahtay jin say dosray musalman faiz o hidayat hasil kartay aur apnay masail kay leay in ki taraf rujoo kartay... zahir hai aaik aam musalman tu is qabil nahe kay apnay har maslay ka hal Quran or Hadis say nikal lay (maslan telephone jab aaijad howa ab yei ulema e fiqh he bata saktay hain kay is ka kia hukm hoga ) is kaam kay leay aisay Aalim ki zarorat hai jo uloom e deen ka mahir ho aur Halal haram ko janta ho aur aisay tamam uloom ko janta ho jin ki zarorat hoti hai ..

 

in buhat say ulema mai say chand Ulema buhat he ziada mash'hoor howay in kay buhat shagird howay aur kaseer loago nay in kay ilm ko du'r dur tak pohnchaya jin mai say 4 Imam e Azam Abu Hanifa , Imam Shafai , Imam Malik aur Imam Ahmed bin Hanbal rahmatullah alaihim ka naam qabil e zikr hai kay in charo ki shuhrat buhat he ziada howi..aur is tarah yei mazahib e arba'a (4 mazahib yani rastay) sari dunya mai mashoor howay

 

Ab jo musalman Imam Shafai kay masail o fatawa pay amal paira hai wo Shafai kahlata hai isi tarah Imam Malik ki nisbat say Maliki , aur Imam Ahmed bin Hambal ki nisbat say Hambali aur Syedina Imam e Azam Abu Hanifa Nauman bin Sabit raziAllah anho jo taba'een mai say hain aap kay muqallid (aap ki pairwi karnay walay) Hanafi kahlatay hain

 

dunya mai majority muslims Ahlesunnat wal jamat hain aur Ahle sunnat wal jamat mai say majority muslims fiqa e Hanafi kay man'nay walay hain..

 

yei charo Mazahib e Ahlesunnat wal jamat khaltay hain aur charo he haq hain in mai aqa'id ka koi ikhtilaf nahee sab ka aqida aaik hai tareeka e aamal mai ashia ki fazeelat mai aur makrooh mubah waghaira mai baaz ikhtlifat hain tu jo jis Imam ka muqallid hai apnay Imam kay qaul (yani jo Imam kay nazdeek bahtareen tareeka aur jo imam ka fatwa hai ) pay amal karay inshaAllah us kay leay wo kafi hai kyu kay jaisa misal ooper dee aam musalman ulema say he pochta hai aur ulema kay qaul pay bharosa karta hai aur Allah azzawajal ka bhee yehi hukam hai kay jo cheaz na pata ho wo Ahle ilm say pocho

 

Sheikh Abdul Qadir Jeelani raziAllah anho Ha'nbali mazhab pay amal kartay thay aur aap kay silsila roohani mai jo aap kay mureed hain wo Hanafi bhee hain Shafai bhe hai Maliki bhee hain Hambali bhee hain wo aap ki mureedi ki waja say Qadiri kahlatay hain aap kay naam ki nisbat say.....

 

Qadiri koi fiqa ya mazhab nahee balkay Tarikat (Roohaniyat) ka aik silsila hai jaisay Chishti Suharwardi Naqshbandi waghaira jab koi musalman Allah azzawajal ki marifat Allah azzawajal ki ebadat aur wilayat kay rastay pay chalta hai tu wilayat ki manzilain tay karwanay kay leay usay murshid ki zarorat aur rehnumai chaheay hai tu jin kay rahnuma o Murshid Sheikh Abdul Qadir Jeelani raziAllah anho hain wo Qadiri kahlatay hain..

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

bohat achi info di aapne, mureed banaey ke liey kya requirement hain agar koi qadri banana chahta hai?

 

(salam)

 

Sunni Saheeh ul Aqida koi bhee peer ho jin ka silsila Nabi pak alaisSlam tak pohcnta ho..

 

aap ko Sheikh Abdul Qadiri Jeelani Ghouse Azam raziAllah anho ki mureedi mai aana hai tu Ahlesunnat wal jamat mai Qadiri Silsilay kay buzurg hain un mai say kisi kay hath pay bait kar lain mureed bannay ki koi khas requirement nahee laiken jis ki mureedi ikhtiyar karain us ka Sunni Saheh ul aqida hona lazmi lazmi lazmi shart hai badaqida Allah kay rastay pay chalanay wala nahe balkay shaitan kay rastay pay chalanay wala hota hai..

 

Mazeed aap pahlay is book ko ahtiyat say mukammal parh lain inshaAllah

 

Aadab e Murshid e Kamil:

 

http://www.dawateislami.net/library/litera...1&year=2006

 

 

Allah azzawajal aap ko murshid e kamil ki mureedi jald naseeb farmaiy aaaamin

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Sunni ho yani Ahlesunnat wal jamat , saheeh ul aqida yani sahee aqaid wala jo aqaid Allah azzawjaal kay Nabi pak alaislam nay Sahaba kiram rizwanullah ajmanee ko sikhaiay aur seena ba seena muntaqil howay jo Quran o Hadis say sabit hain aur Jin par Ummat ka hamaisha ittifaq raha aur jo Ummat kay Mamool kay kaam hain maslan Meelad , Isal e Sawab waghaira in sab kamo ka mukhalif na ho..

 

BadAqida . jo khud ko musalman kah kar bhee apni aqal apni soch say shaitani aqiday nikal lain aur islam kay seedhay rastay say alag ho jaiay .. maslan wahabi , deobandi , shia waghaira

 

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

Saif al salaam saab, maloom hota hai ke allah tallah ne aapko bohat ilm se nawaaz rakha hai, subhanallah.

maine sunna tha ke, pakistan, india aur bangladesh mein hazarat imam-e-azam Abu hanifa ko mana jata hai, to phir hum sab ko un ki mureedy karni chahiey, leikin bohat sare log hazrat ghauss al Azam Razi allah tallah ki mureedy karte hain. aissa kyon?

Link to comment
Share on other sites

  • 5 weeks later...
Saif al salaam saab, maloom hota hai ke allah tallah ne aapko bohat ilm se nawaaz rakha hai, subhanallah.

maine sunna tha ke, pakistan, india aur bangladesh mein hazarat imam-e-azam Abu hanifa ko mana jata hai, to phir hum sab ko un ki mureedy karni chahiey, leikin bohat sare log hazrat ghauss al Azam Razi allah tallah ki mureedy karte hain. aissa kyon?

 

Asslam alaikum mai nay aaj yei post daikhi

 

Hazrat mai aaik aam sa insan ho bas yei hai kay bachpan say meelad sharif ki mahfilo mai jata raha ho Alhamdulillah pakistan mai tha tu Rabiulawwal sharif kay 30 kay 30 din isha kay baad mahafil e meelad mai jata tha aur ulama-e kiram ki batain sun kar aur un ki kitabain parh kar jo pata laga wo bata daita ho Allah koi kami baishi maaf farmaaiy aamin.

 

gustakhane Rasul alaihiSlam isi leay meelad sharif kay buhat khilaf hai kay is ki waja say loago ko deen kay baray mai pata lag jata hia jo shaitan kay khilaf hai.. aap say bhee yei darkhwast hai kay khaub khaub meelad sharif ki mahfilo mai jaya karain ulamae kiram kay bayanat ko sunain aur deeni dunyawi barkatai'n hasil karain.

 

Pakistan , india , bangladesh nahee poori dunya mai sab say ziada Musalman Imame Azam Abu Hanifa (ra) ki fiqh pay amal kartay hai. aur Hazoor Ghous ul Azam sheikh Abdul Qadir Jeelani (ra) ki Mureedi mai hain ..

 

Mureedi Hazoor Ghos pak ki is leay kay aap sab say baray wali hain aur Allah azzawajal nay aap kay roohani silsila Qadriya ko sari dunya mai faiz ka zariya banaya...

Allah azzawjaal kay saray Auliya kiram Ghose Azam (ra) kay zair e qadam hai'n. Aaap ki mureedi karna Yani Allah azzawajal ki wilayat kay rastay pay Hazoor Ghosul Azam ko apna rasta dikhanay wala aur rahbar banana takay aap ki tarbiyat aap ki nazare karam say insan kay undar roohanyat paida ho.... isay Tareeqat kahtay hain.

 

ab Namaz kaisay parhain ,Roza kaisay rakhain aur isi tarah roazana paish anay walay mukhtalif umoor Shariyat e Islami kay mutabiq bahtareen taur par kaisay anjam dain . Jo loag Hanafi hai wo Imam e Azam Abu Hanifa (ra) nay jo fatway de'ay aur jo usool aur tareekay bataiay us kay mutabiq kartay hai'n.. kyu kay Aap ka zamana Nabi pak AlaihiSlam say sab say nazdeeki hai is leay aap nay buhat say Sahaba (ra) say mulaqat kari aur un say yei Tareekay seekhay. aur phir deegar musalmano ko aagay pohnchaiy....

 

Allah azzawjal nay Hanafi Qadiriyo par kitna fazal farmaya kay fiqh ho ya wilayat dono mai sab say baray Imam naseeb farmaiay (sa)

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

kya koi mujhe aissi book ki link de sakta hai, aissi book jo k namaaz ke barey mein ho, jo yeh batati ho k jab aap imam ke peechey hon to kiss waqat kya karna chahiey, masl'an salam kab pherna chahiey exactley..

lekin yeh lazmi hai k wo book fiqa-e-hanfi ki hi ho please.

 

mujhe dawate islami par yeh book mili thi ''Namaaz ke Ahkaam'' lekin agar koi aur book aap mujhe sugest kar dein to meherbani ho gi.

shukrya!

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

Janab Riz Danish Sahib..

Yeh Munazra Section Nhin Hai.. Aapki Posts Ko 3 Topics Mein Split ker Diya Gaya Hai... Is Liye Aap Mazeed Replies Wahan Kejiye.. Aur Mazeed Ikhtilafi Guftago Key Liye Munazra Section Mein Posting Kejiye...

 

Ghair Ullah ke lye lafz maula shirk ... Ghair Sahabi Key Lye Radi Allah Anhu na jaiz

 

Shajra ka matlab islam se kharij .. Sahaba e karam ka fiqah?

 

Ghaus ul Aazam Kehna Shirk hai

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...