Ahsan Riaz مراسلہ: 29 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 Asalam-o-Aliykum Wa RahmaULLAH -e- Wabarakatuhu Mera Sawal kuch yeh hai k , Mai aik jaga Job kerta tha aur maree aik nai company mai JOB ho gaiee thee ,mujhey samjh nahi a rahee thee k naiee company join karoon ya na karoon, mai no soocha dawat-e-islami k Hathon Hath Isikhara Service sai rajoo kerta hun , Jab mai nai phone kia to unhoon nai phone per mujh sai mera , maree walida ka aur new company ka naam poocha aur 1 ya 2 min mai jawab dai dia. ALHAMDULILAH AZAWAJAL mera taulak Dawat-e-Islami sai hi hai , aur mai AMEER-e-AHLESUUNAT k hath per BAIT bhee hun Laiken mai nai new JOB k liye apnay doost sai poocha , US na kahan Istikhara karoo , mai nai kahan mai nai istikhara kerwa lia hai Phone per Wo kahnay laga ka yeh kaisay ho sakta hai , Humain Hadith sai jo IStikharay ka Hukam milta hai wo to raat ko soonay wala tareeka hai yeh 2 min mai kaisay pata chal gia Wo kahnay laga k is tarekkay ka kisi Hadith mai hukam hai, ya yeh nia tareeka ISLAM mai introduce kar lia hai kaheen yeh BIDAT SAIA to nahi Us k bad sai mai bohat ziada WASWIS ka shikar howa wa hun , aur bohaaaaaaaaaaat ziada pareshan hun Please aap Islami bhai maree help karain, aur tasalee baksh jawab dain. Mai nai dawat-e-islami ki website per Fatwa section mai parha hai k phone per Istikhara kerna JAIZ hai, Laiken yeh kistarhan JAIZ hai please help me JAZAKALLAH , ALLAH AZAWAJAL aap ko JAZA ATTA Farmiya Ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah مراسلہ: 29 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 pehly to aapko NAJAIZ kehny waly sy pooochna chahiye tha k QURAN O HADIS ny ISTEKHARA K kisi aur tareeeqy sy istekhara krny ko RUDD farmaya........??? jo cheeez islam me mana nhe ki gai.........wo bilkul jaiz hy......... han agr QURAN O HADIS me mumani'at hy to wo na jaiz hogi........esy hi thorhi na hr cheez pr biddat ka fatwa lga k najaiz qarar dy do........??? BIDDAT awal to wo cheez hoti hy jiski BUNYAAD deeen me na ho...........jb k ISTEKHARY KI BUNYAD to deen e islam me mojood hy.......jesa k aap ny khud kaha...........Raat ko soty huay istekhary wala tareeeqa....... jb BUNIYAD mojood hy to phir biddat kesy.......??? 2ndly aagy biddat ki b 2 aqsaam hain......... ....... ... ..... ..... aap plzzzz thandy dil sy sochen........aur apni hi tehreeek DAWATEISLAMI sy budzan na hoon......... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah مراسلہ: 29 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 (ترمیم شدہ) ISTEKHARY KA SABOOOT TO MOJOOD HY........... aur istekhara kehty hain ALLAH sy mashwara leny ko.......... to tareeeqa mukhtalif hony sy kiya farq parhta hy.........???? wesy aap ghaur kren.........DUA mangny ki buniyad deeen me mojood hy.......mgr tareeeqa hr aik ka apna hy......... zrooori to nhe k jo DUA K ALFAAZ HADIS ME AAY HAIN SIRF UNHI ALFAZ SY DUA KI JAY........??? ap k batay huay quliye sy to hr APNY ALFAZ ME DUA KRNY WALA ghalat kr raha hy.....??? istarha nay alfaaz jb biddat hain........to BIDDAT BIDDAT KI RUTT LAGANY WALY B TO NAI PAIDAISH HAIN.......ye zamana e NABAWI me paida to nhe huay thy.........na aap zamana e Nabawi me paida huay..........jo hr nai cheez ko biddat manty hain wo APNY WAJOOOOD k bary me kiya kehty hain......??? (agr mujy ghalati pr paen to islah kr dain) Edited 29 جولائی 2008 by madinah_madinah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ahsan Riaz مراسلہ: 29 جولائی 2008 Author Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 JAZAKALLAH Piyare Islami Bhai ALLAH aap ko Jazaiay Khair Atta Farmiay ALHAMDULILAH AZAWAJAL Bidat ka masla mujhey bilkul clear hai. Yeh loog Khood Khatam-e-Bukharee Manian Deoband ki Sad Saala Takreeb Manian aur MILAD-UN-NABI(SALLA HO ALIYE WALHEE WASALAM) ko SHirk kahain Shuhadai-e-Lala Masjid theek aik saal bad nikalwain , jab k kisi nai bhee Shuda-e-Karbala conference nahi manieee Bidat ki 2 Qismain Hian Yeh sab to clear hai ALHAMDULILH E RABU ALAMEEN. Laiken jab mai nai ISTEKHARA kerwia tha us wo tu kuch waswa nahi tha , laiken us k kahany k bad waswasa yeh a rha hai k JAB ALLAH AZAWAJAL nai aik tareeka Hadith mai famra dia hai to hum nia tareeka kis buniyad per nikal rahay hain. Aur agar nia tareek theek bhee hai to hadith na sahi bazurgoon sai yeh amal sabit to ho ga na aisa to nahi na aaj 1400 saaal bad dawateislami nai yeh tareeka nikal lia ho. Please clear karain , aur ager koi reference mil jaiy to MADINAH MADINAH Mai Dubai mai hota hun is liye Yahan AhelSunnat k mufti bhee nahi miltay ,is liye masla clear kernay mai mushkil ho rahee hai JAZAKALLAH اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔