Ghulam E Mustafa مراسلہ: 28 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 28 جولائی 2008 aik bhai ne kuch Question kiye hain unn ke baray mein help cahiye thi. 1. Sahaba ka Ghustakh yani jo kahai ke Sahaba ke kehne ya nah kehne say koi farq nahi parta aisy insan ke baray mein kiya hukm hai ? 2. Ulama-e-Ahl e Sunnat ko jo bura bhala kahai uss ke baray mein kiya hukm hai ? 3. سواد اعظم کون ہے اس بارے میں معلومات ؟ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 29 جولائی 2008 Author Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 Anyone ????? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 29 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 aik bhai ne kuch Question kiye hain unn ke baray mein help cahiye thi. 1. Sahaba ka Ghustakh yani jo kahai ke Sahaba ke kehne ya nah kehne say koi farq nahi parta aisy insan ke baray mein kiya hukm hai ? 2. Ulama-e-Ahl e Sunnat ko jo bura bhala kahai uss ke baray mein kiya hukm hai ? 3. سواد اعظم کون ہے اس بارے میں معلومات ؟ aisa shakhs gumrah hay. kion k sarkar ne farmaya mere sahaba sitaron ki manind hain jiski bhi perwi karo hidayat pa jao ge. is main kayi aik soratain ulema ne bayan ki hain. sahi ul aqeeda sunni aalim ki toheen ba sabab e ilm e deen karne par hukm kufr tak ulema ne farmaya hay. or agar koi zati dushmani waghera ki wajah se karta hay tu sakht gunahgar hay. sawad e aazam ahlesunnat wal jamaat hay. or isko aaj kal barelavi bhi kaha jata hay. iske aqaid agar dekhe jayen tu wohi aqaid hain jo sadion se chaley aa rahey hain. jinko abdul wahhab najdi ne aakar shirk theraya. or apne se pehle sab musalmano ko bhi mushrik qarar dya. hata ke apne khandan apne walid tak ko. unke walid sahi ul aqeeda sunni aalim the or unke bhai shaikh suleman bhi. walid or bhai dono ne is najdi ka radd kya. or issi najdi se phir deobandi or anti hadees 2 shakhen bani. or chonke hamarey aqaid shurow se aarahey hain. or is waqt bhi sunni zyada hain. najdi tu nayi nasal jo inke hathon main aajati hay or phir apne maan baap ko bhi mushrik kehti hay. hadees e pak main hay sarkar ne irshad farmaya.. Allah meri ummat ko gumrahi par jama nahi karey ga. or sharq se gharb tak sunnyat ki aksariyat hay. iski gawahi tu al barelvya or degar kayi najdi kutub se milti hay. ye hamare haq honey ki daleel hay k ye najdi deobandis naya fitna hay jo 13veen sadi se shurow howa. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 29 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 29 جولائی 2008 ; Agar wo shaks ahadis e mubaraka ko janta hai kay (mafhoom) Nabi pak alailslam nay farmaya mairay Sahaba sitaro ki manind hain in may say jis ki pairwi karo nijat pao gaiy aur farmaya kay Alaikum bi sunnati wa sunnati khulafa e Rashideen kay tum pay mairi aur mairay khulafa e Rashideen ki ittiba laazim hai .. aur phir bhee wo is baat ka inkar karay aur kahay kay koi faraq nahe parta tu wo munkir e hadis kharij az islam ho ga aur jo shaks Nabi pak alaislam kay farmameen say waqif nahee aur aisay he inkar karta hai wo gumrah hai .... ugar ma3azAllah adawat aur dushmani dil mai rakhta hai aur koi buray kalmat kahta hai tu yei rafziyat ki nishani hai.. Ulema ki izzat darasal Ilm e deen ki izzat hai aur Ulema e haq ki mukhalifat karnay wala sakht badnaseeb gunahgar hai aur dar hai kay kahee iman ki dolat say mahroom ho kar nafaq mai giraftar na ho jaiy... Rasul pak alaislam nay farmaya jis ka mafhoom kay mairay ummat kay ulema Bani Israel kay Nabiyo ki manind hai (in kay zimmay deen e haq ki tabligh o isha'at ka kaam hai kyu kay ab koi aur Nabi nahe aaiy ga) aur farmaya kay jis nay kisi aalim ki ziyarat ki us nay mairi ziyarat ki aur jis nay kisi aalim say musafha kia us nay mujh say musafaha kia..... Swad e Azam ka matlab hai sab say bara group . Nabi pak alaislam nay farmaya jis ka mafhom hai mairi ummat 73 tukro mai bat jaiay gee jis mai say sab jahannami hai siwaiy 1 kay . Sahaba rizwan ullah ajmaeen kay pochnay pay aap alaislam nay 1 jannati group ki mukhtalif nishaniya bhe bayan kee un mai say aiak buhat bari phaichan yei hai kay yei har dur mai hamaisha sab say ziada hogain aur musalmano ki aksaryat kabhee gumrahi ka shikar nahe hogee inshaAllah.. Barr e saghir hindustan pakistan waghaira mai Swad e azam Ahlesunnat wal jamat Barelvi kay naam say mashoor keay jatay hain aur Arab sharif waghaira mai in ko Sufi kaha jata hai magar darhaqiqat Arab ho ya Ajam mashriq ho ya maghrib Alhamdulillah Swad e Azam Ahlesunnat waljamat (Hanafi , Malaki , Shafai, Hambali ) hamaisha aksariyat rahay aur rahay gain inshaAllah wallaho wa Rasuluh aalam wa may Allah azzawajal forgive any mistake اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 1 اگست 2008 Author Report Share مراسلہ: 1 اگست 2008 Thanks so much but meine tu socha Sahaba ko nah mann ne walay per bhi hukm-e-kufr aai ga اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ubaid-e-Raza مراسلہ: 1 اگست 2008 Report Share مراسلہ: 1 اگست 2008 bat na manna or mutliqan inkar karne main farq hay.. dosra kufr k muamley main bohot ehtyaat ki zarorat hay. sheikhain (hazrat abu bakar or hazrat umer ) ki gustakhi karne wala kafir hay. is tarha baz deger sahaba maslan hazrat ameer e muavya ki gustakhi karne wale ko ulema bad tareen gumrah or jahanam ka kutta kehte hain. is lye kisi ko be dhadak kafir na keh dena chahye. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 1 اگست 2008 Author Report Share مراسلہ: 1 اگست 2008 Ji thekh hai buhat sukriya but yeh Ghamdi ke baray mein uss bhai ne kaha ke Ghamdi kehta hai ke Sahaba ke kehne nah kehne say kuch farq nahi parta iss baray mein koi info ? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdur Rehman مراسلہ: 2 اگست 2008 Report Share مراسلہ: 2 اگست 2008 jo koi bhee kahta hai sahaba rizwanullah ajmaeeen kay kahnay na kahnay say faraq nahe parta us ki baat ka koi aaitabar nahee ... jis baat pay Sahaba alaihimur Rizwan ka ijma ho us ka inkar koi nahe kar sakta siway Rawafiz kay jaisay wo masla khilafat mai ijmae sahaba rizwanullah ajmaeen ka inkar kartay hain aur jis mamlay mai sahaba rizwanullah ajmaeen ka ikhtilaf ho us mai bhee kisi aaik ko bhee ghalat nahe kah saktay sab ka adab laazim o malzoom hai aur Nabi pak alaislam nay farmaya jis ka mafhoom hai kay jab mairay sahaba ka zikar aaiy tu apni zabano ko roako... phir bhee jo kahay kay Sahaba rizwanullah ajmaeen kay kahnay say koi faraq nahe parta wo kahta rahay us kay apnay kahnay say koi faraq nahe parta.... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔