Jump to content

wuzu ke doran


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

aaj kal mukammal baylabas ho kay nahanay ka dastoor hai tu jab aisi halat mai insan hai tu jo bhee zikar dua waghaira parhni hai wo apnay dil mai he parhni chaheay..

 

Aur jo attached washrooms waghaira hotay hain waha ugar istamal kay baad jaisay aaj kal riwaj hai flush kar dia jata hai tu koi najasat maujood nahe hoti ugar ain us jaga say hat kay ghusal waghaira ki jaga pay sirf wazoo kar rahay hain tu dua waghaira parh saktay hain.

 

aur madani mashwara yei hai kay jab ghar tameer ho ya jis ko Allah azzawajal taufeeq day kay wo yei tabdeeli kara sakay , ugar munasib ho to koi choti si jaga makhsoos wazoo kay leay bana le jaiay jaha bhaith kay sunnat kay mutabiq sab ghar walay wazoo kar sakain...

 

and Allah azzawajal knows the best and His Prophet alaihislam

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

asalamo elekum,

jawab keliey shukriya!

dekhiey humein riwaj ko to nahi na dekhna, kyo ki islam kabhi bhi riwaj keliey nahi badalta balque riwaj ko islam keliey badalna pardey ga mere khial se.

ab nahate hooey ya phir washroom ki hajat ke waqat to Allah allah nahi na kar saktey dil mein bhi, apne dil se poochiey ke aissi halat mein allah allah karna munsasib ho ga kya, beherhall,main to itna hi janana chahta hoon ke , ek taraf toillet hai aur danhi taraf tub hai nahaney ki aur wazu kharde ho kar karta hoon, ab ek hi room mein kabhi nahatey hain aur kabhi toillet istimaal karte hain,to main yeh janana chahta hoon ke aisi jaga par wuzu shuru karne se pheley darood ya bismillah pardna aur jab tak wuzu mukamil nahi ho jata us waqat koi tasbeeh karte rehna jaise ke aap paaoon dho rahey hon aur sath hi sath qalma bhi pard rahey hon, to yeh karna theek hai kya?

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

mai nay riwaj ko daikhnay ka nahee kaha isi leay kaha mumkin ho tu koi jaga makhsos kar laini chaheay magar ab aisa mayyasar na ho tu ... satar aya'n hu tu zikar jarri nahe kar saktay dil mai kar saktay hain aur aisay he har hal mai dil mai zikar kar saktay hain balkay iman kamil jis ka ho jata hai aur Allah ki marifat mil jati hai us ka dil tu har waqt Allah Allah he karta rahta hai sotay jagtay uthtay baithtay har waqt ... laiken zuban say karnay kay leay adab zarori hai..

 

baki jo jaga finafsihi najis na ho us jaga aap wazoo kartay howay kalma waghaira parh saktay hain aur jab jaga dosri mayyasar nahe aur sath mai toilet hai magar najasat nahee tu make sure istamal kay baad jaga saaf ho aur waha najasat maujood na ho balkay baha dee gae ho jaisay aaj kal aam aisay he hota hai kay sab gandagi pipe lines kay zareaiy gharo say bahar flush kar dee jati hai ...

 

Wallaho aalam wa Rasuluhu alaislam

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

koi shaks kaam pe tha aur washroom se farigh ho kar bahir aya, aur kuch minton baad kuch chotey peshaab ke qatrey(3 ya 4)us ki tang(leg) par gir gaey, phir us ne socha ke shaam ko jab ghar jaaon ga to wazoo k doran tang bhi saaf kar loon ga. lekin jab wo ghar aya aur us ne wazoo kya aur wo bhool gaya wo qatrey saaf karne aur wazoo kar ke jumaa ki namaaz pard li, issi tarah us ne asar k liye wazoo kiya lekin bhool gya tang saaf karni aur issi tara us ne magrib ka wazoo kya aur phir bhi yaad nahi aya saaf karna aur aissey us ne teen namazein pard lin. lekin jab isha ke wazoo karne se phele yaad aya aur usne wo qatrey wali jaga par haath giley kar k saaf kar liya.

 

sawal yeh hai k jo teen namazein us ne padi wo ho gaien ya nahi?

Link to comment
Share on other sites

ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH

 

GULZAR BHAI AJJ KAL KAY WASH JISS TARZ PER BANAY HOTAY HAIN, ISS MAIN NAJAZAT KA TAHARNA NAMUMKIN LAGTA HAI ILLA MASHA ALLAH, LAKIN PHIR BHI ETIAAT ZAROORI HAI WAZOO KARNAY SAY PEHLAY KHARAY HONI KI JAGAH PER PANI ACCHI TARHAH BAHA LAIN, DOOSRA JUB SIRF WAZOO KAR RAHAY HOON TO DARWAZA KHOOL KAR WAZOO KARAIN OR PHIR BISMILLAH OR JO ZIKAR KARNA HAI KAR SAKHTAY HAIN.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

wuzu karne ke baad agar koi apni sattar ko dekhta hai k kahin pe koi qatra to nahi girney wala aur sattar ko haath bhi lag jata hai, is sourat mein wuzu par kya asraat hongey?

agar sattar mein se koi qatra na girney wala ho bas thodi gili ho(jaissey k pani nazar a raha ho mamooli sa) lekin wo khud na gir sakta ho ya phir aissey keh lein k use haath laganey se haath haath par mamooli sa pani nazar aeyga to kya asrat ho gey wuzu par aur kapdon par?

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

wuzu karne ke baad agar koi apni sattar ko dekhta hai k kahin pe koi qatra to nahi girney wala aur sattar ko haath bhi lag jata hai, is sourat mein wuzu par kya asraat hongey?

 

 

Sitar ko dekhnay say ya Haath lganay say wuzu nhi toot'ta ... albatta sitar ko baghair kisi hail k ... means baghar kisi kapray waghera kay , choonay say (means direct touch krnay ) kay bad dobara wuzu krna mustahab hay

 

http://mufti.faizane...wer.php?Q=21867

 

 

 

 

agar sattar mein se koi qatra na girney wala ho bas thodi gili ho(jaissey k pani nazar a raha ho mamooli sa) lekin wo khud na gir sakta ho ya phir aissey keh lein k use haath laganey se haath haath par mamooli sa pani nazar aeyga to kya asrat ho gey wuzu par aur kapdon par?

 

 

Is Soorat main Hukam yehi hay k dobara wuzu kia jaye

 

 

http://mufti.faizane...wer.php?Q=21868

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...