Jump to content

Hasad kya hai?


Gulzar

تجویز کردہ جواب

hasad kya hota hai? aur kaise iss se bacha jaye? aur kaisey patta chale ke main hasad karta hoon ya nahi?

 

 

ager ksi key pass KOI NEMA"AT hy aur hameryy pass nahi yanii kisi key pass bhut dulat hay aur hameryy pass nahi aur phir hm ALALH SEY YEH DUA KERIN YA DILL MEIN YEH KHAYAL AYE key kash oss se nemat cheen li jaye tu ye hasad hota hy

 

 

jab yeh kafiat peada hoge tu its meanz hm hasad mein mubtala hein

Link to comment
Share on other sites

hasad karne waley ko hasid or jis se hasad kya jata hay ussey mahsood kehte hain.

 

hasad ki tareef: hasid ye tamana karey k mahsood ki naimat chin kar ussey mil jaye tu ye hasad hay.

 

or agar us se chin jane ki tamana na ho sirf milne ki tamana ho tu ye rashk hay. or ye jaiz hay.

 

zameen o aasaman ka sab se pehla gunah hasad hay.

 

aasman par shaitan ne hazrat aadam (as) ko hasad ki wajah se sajda na kya or zameen pr habeel o qabeel ka waqya. qabeel ne hasad ki waja se habeel ko qatal kya.

 

hadees e pak ka mafhom: hasad nekion ko is tarha kha jata hay jesey aag lakri ko.

 

hasid Allah ki taqseem par raazi nahi hota is lye dosre ki naimat chin janey ki tamana karta hay.

 

hasad gunah e kabeera hay.

Link to comment
Share on other sites

acha to agar ghar mein koi rishtey dar a kar rahe hamesha keliye , maslan koi bohat hi qareebi rishtey dar ho, aur Katha peeta bohat ho ghar mein. aur agar kissi ka dil dukhey ya dil jale iss liye ke yeh katha peeta bohat zayada aur mein nahi, (halanque kehna wala chahe to wo bhi kha pee sakta hai zayada lekin us ki adat nahi). bas agar soch kar ke wo kitchen mein gya hai, ya use kitchen mein dekh kar, ya wo yeh kha raha ho ga, wo kha raha ho ga ya use khate peetay dekh kar dil dukhey ya dil jale to kya yeh Hassad Hai?

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

acha to agar ghar mein koi rishtey dar a kar rahe hamesha keliye , maslan koi bohat hi qareebi rishtey dar ho, aur Katha peeta bohat ho ghar mein. aur agar kissi ka dil dukhey yeh katha peeta bohat zayada aur mein nahi, (halanque kehna wala chahe to wo bhi kha pee sakta hai zayada lekin us ki adat nahi). bas agar soch kar ke wo kitchen mein gya hai, ya use kitchen mein dekh kar, ya wo yeh kha raha ho ga, wo kha raha ho ga ya use khate peetay dekh kar dil dukhey to kya yeh Hassad Hai?

 

agar uske faidey k lye dil dukhta hay k ye itna kha kha kr bemar ho jaye ga. isey apni sehat ki fikr nahi phir tu hassad nahi hay. inamal aamal o bi'niyaat (aamal ka dar o madar naiyaton par hay)

 

or agar is lye dil dukhta hay k isey itna khaney peney ko kyon mil raha hay. or ye naimat is se chin jaye. (ye bhi aadat hoti hay k apne pas naimat mojod hay phir bhi dosre ki naimat k zawal ki tamana ki jati hay tu ye bhi hassad hay)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Abu Huraira RadiAllah Anhu se rawayat hai ke Rasool Allah (saw) ne farmaya:"Tum badgumani de bacho kyoun k badgomani sab se zaida jhothi baat hai or kisi ki raaz joi na karo, or na jasoosi karo or na kimat barhane k leye boli do, or na aik dosare se HASSAD karo or na apas mein boghz rakho,or na aik dosre se qata ta'aluk karo,or Ay Allah ke bande bai bai ho jao.(Imam Bukhari or Imam Muslim ne is ko riwayat kiya hai).

 

Is Hadeese Mubarika mein HASAD karne se bhe mana Farmaya gia hai.

 

Hasad kai kisam ka hota hai,Kisi ki maalo dolat,kisi ki sohrat ,izzat se wagairah.

 

Yani hasad karne wala chahata hai ke jis cheeze se wo mahroom hai,dosara bhe us se mahroom ho jae.Hasad rohani or maadi dono tarah ho skta hai.

 

Aik Hadees Pak hai"Hasad naikiyoon ko is tarah khaa jata hai,Jis tarah aag laqri ko jila kar rakh kar daite hai"

 

Link to comment
Share on other sites

agar kissi ka dil is liye dukhta ya jalta hai ke main har roz itna khata hoon aur wo mujh se zyada khata hai. maslan hasid agar subha aur shaam ko 2, 2 roti khata hai, aur mahsood 2, 2 roti khane ke bawajood fruit bhi khata hai, doodh mein fruit mix karke peeta ho, to kya hasad hai?

halnque ghar mein paissonki kami nahi hai, hasid aur mahsood donohi job karne waley hon. mahsood jo hai woh din mein kai baar khata peeta, aur thorda thorda nahi zayada zayada. aur hasidj ko yeh wehem rahey ke is ke khane peeney se cheezey khatam ho jayen gi( halank paisson ki kaminahi hai aur hasid janata hai ke us ke khane peeney se cheezey khatam nahi hon gi.

hasid yeh bhi chahta hai ke us ke dil mein se yeh masla khatam ho jaye, lekin nahi, hasid jaisey hi mahsood ko kithcen mein dekhta hai bas wo samajh laita hai ke ho gya shuru, yeh kha raha ho ga, wo kha raha ho ga, bas dil ka dukhna aur jalna shuru ho jate hain.

 

agar yeh Hassad hai, to please koi strong sa Illaj bataiey, aissa na ho ke marne ke baad pata chale ke tamam namaz, rozey aur naik amal to hassad ne jala diye aur sirf aur sirf gunahi reh jayen.

 

agar ho sakey to kissi qareebi ulma-e-qaram se pooch kar bata dijiey ga! please!

Edited by Gulzar
Link to comment
Share on other sites

agar yeh Hassad hai, to please koi strong sa Illaj bataiey, aissa na ho ke marne ke baad pata chale ke tamam namaz, rozey aur naik amal to hassad ne jala diye aur sirf aur sirf gunahi reh jayen.

 

agar ho sakey to kissi qareebi ulma-e-qaram se pooch kar bata dijiey ga! please!

 

 

(bis)

 

Strong sa ilaj ye hai ke Us k khane ka khiyaal apne dil se Nikaal dejeye.Or Piyaare Nabi Pak (saw) ki piyaari zindagi Mubarika ko apne Tassawur mein laye jinhoon ne ham gunahgaaroon k leye itne mushkilain othaen.Aap Tasawur mein laye k wo to Rehmatullil Aalameen (saw) hein or Unhoon ne apni pori zindagi mubarika mein sirf 3 martaba seerab ho kar khana khaya hoo gaa.

 

Salaam Us (saw) per ke Jis ne Badshahi mein Faqeere ki

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

ap nigran e shoora ka ye bayan sama'at farmain (azw)(ia) ap ko apnay is qism k tamam swalat k jawabat mil jaingay:

Ghussay K 8 Potay

 

mazeed is bayahn ko bhi awwal ta khir hosakay to akailay men baith ker sunain,:

 

Badgumani

(azw)(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 8 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...