Jump to content

kalma & darood


Gulzar

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

(wasalam)

 

Kalmae Shihadat or Duroode Pak ki apni apni Fazilatein hein.

 

KALMA SHIHADAT KI FAZILAT:

 

Jis qadar mumkin ho sake ye Kalima parha karein

 

Hadees Shareef mein Aya hai k:

 

Rasool Allah (saw) ne Farmaya keh "Jo sakhs bhe ye guwahi de ga Allah (azw) kay siwa koi ma'abood nahi or ye k Hazrat Muhammad (saw) Allah Azawajal k Rasool hein.Allah (azw) us per dozakh ki aag haram kar dain ge.Hazrat Ma'aaz bin Jabel Radi Allah Anhu ne(Ye Hadees sun kar) arz kya: Ya Rasool Allah (saw) kya mein logon ko is ki khaber na day doon k wo khos ho jaen.Aap (saw) ne Farmaya Tab to log isi per bharoosa kar lein ge aur sab naik kaam chore baithein ge.(Aur in k azro suwaab se mehroom ho jaen ge).Isi leye Hazrat Ma'aaz bin Jabel(Radi Allah Anhu) ne sirf(Haq baat chopane k) gunah se bachne ke leye Apni rehlat kay waqt is Hadees ko biyaan kya hai.

 

Aik or Hadeese mubarika mein hai "Jo sakhs sache dil se is Kalima Shihadat ko kahe ga.(Or phir is per qaim rhe ga or amal kare ga) to Allah us ko dozakh per haraam kar de gaa.

 

isi tarah Duroode pak ki bhio bohot zaida fazilatein hein.

 

FAZILATE DUROOD SHAREEF:

 

Quraan Majeed mein hai Allah (azw) or us k farishte Nabi Pak (saw) per Durood baijhte hein.Ay Imaan walo tum bhe Aap (saw) per Duroodo Salaam bejho".

 

Huzoor Pak (saw) ne farnmaya "Jo Mera Naam sun kar Mujh per Durood na baijhe wo bakheel hai".

 

Hazrat Jabir(radi Allah Anhu) kahte hein ke Rasool Allah (saw) ne farmaya "Jo sakhs subha or maghrib ki namazoon ke baad kalaam karne se pehle 100times durood Shareef parh lay to Allah us ki 100 zarooratein pori farmata hai.30 duniya mein or 70 aakhirat mein"

 

Rasool Allah (saw) ne farmaya "Dua us waqt tak zameeno asmaan key darmiyaan rahte hai jab tak Mujh per Durood na baijha jae".

 

Aik or Hadees pak hai "Jo Mujh per aik baar Durood Pak parhata hai Allah Azawajal us k leye aik qiraat ajr likhta hai,or qiraat Ohad pahaar jitna hai."

 

Aik or Jadha per Nabiye Rehmat (saw) ne Farmaya "Jis ne Mujh per 10 martaba darood pak parha Allah (azw) us per 100 Rehmatein nazil farmae gaa".

 

Abu Horaira RadiAllah Anhu se marve hai ke Rasool Allah (saw) ne farmaya: Jis ne Mujh per Aik martaba Durood parha Allah (azw) Us per 10 martaba Durood baijhe gaa.Or Tirmizi ne in Ilfaaz ka izaafa kiya : Or Allah (azw) is ke leye 10 naikiyaan bhe is(Durood parhane) ke badle mein likhe gaa".

 

Hazrat Abdul Masood Radi Allah Anhu se marvee hai ke Rasool Allah (saw) ne Farmaya: "Qiyamat kay roz logon mein se Maire sab se qareeb wo ho ga jo (is duniya mein) kasarat se mujh per Darood baijhta hai."

 

Hazrat Abdullah (RadiAllah Anhu) se mrvee hai ke Rasool Allah (saw) ne farmaya"bila shuba Allah (azw) ke Farishte zameen mein phirte or Mujhe Omat ka Salaam pohonchate hein."

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

asalamoelekum!

bohat shukrya jawaab ka!

maine sunna hai ke jis gar mein Tasveerein hon us ghar mein rehmat ke farishtay dakhal nahi hotey, aur iss dunyia mein allah ke farishtay goomtey hai koi agar darood pardey to use uper le janey keliye. sawal yeh hai ke, agar koi ghar mein darood pardey aur us ghar ke taqreeban har qamray mein tasveerain lagi hon to kya us ka darood qabool hota hai ya nahi?

 

aur maine yeh bhi parda hai ke agar koi ek bar darood pardey to allah tallah us darood se ek Farishta peda karta hai jo qayamat tak us darood ko pardney wale ke liye magfirat ki dua karta rehta hai. to kya kissi bhi darood se yeh farishta peda hota hai ya koi khaas darood hota hai is ke liye?

Link to comment
Share on other sites

drood e abraheemi afzal drood hay

 

 

g han jis ghar mein tesweerein aur kutta hoo os ghar mein rehmat key ferishty nahii aty

 

mazeed jo swal ap ne drrod shrref key baryy mein kia hay key qabool hota hay ya nahi tu koi aur membre iss hawley se ahga kerin

Link to comment
Share on other sites

afzal drood aapne darood-e-ibrahimi kaha hai, maine aissey bhi darood paredey hain ke jiney ek bar parndey se 6 laakh darood pardney kasawaab milta hai. is ke barey mein app ka kya kehna hai.

aur doosery sawaalon par agar koi roshni dal de to meherbani hogi,

 

fazail e durood shareef k waqyaat pr mushtamil is kitab ko pedhen.

Tum Pey Karodoun Darood

 

or maktaba tul madina lahore se published book Aab e kousar (writer:mufti muhmmad amin sahib) khared len. woh durood e pak k fazail par mushtamil kitab hay.

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

1-) tasveeron waley ghar mein darood padney ka utna hi sawaab milta hai jitna k koi bahir padey?

2-) aur maine yeh bhi parda hai ke agar koi ek bar darood pardey to allah tallah us darood se ek Farishta peda karta hai jo k insaan ke marne ke baad qayamat tak us darood ko pardney wale ke liye magfirat ki dua karta rehta hai. to kya kissi bhi darood se yeh farishta peda hota hai ya koi khaas darood hota hai is ke liye?

3-) har darood ka barabar ka sawaab hota hai ya kuch ka zayada aur kuch ka kam?

Link to comment
Share on other sites

1-) tasveeron waley ghar mein darood padney ka utna hi sawaab milta hai jitna k koi bahir padey?

 

Durood padne par sawaab tu milega hi lekin farishte us ghar main dakhil nahi hote aur padne wale ke khuloos ke aitebaar se farishte sarkaar ki baargah main us bandaye khuda ka darood pesh kar te hain tu jab tasveer ghar main hogi farishte dakhil hi nahi honge aur us ka durood sarkaar ki bargah main pesh bhi nahi hoga.

 

ye alag baat hai Allah aur RAsool ke fazal se sawaab murattabh ho.

 

 

 

3-) har darood ka barabar ka sawaab hota hai ya kuch ka zayada aur kuch ka kam?

 

 

ha har

ek

durood

ki

fazilat

ke

ietebaar

se

uska sawab alag alag kam zayada hota hai

Link to comment
Share on other sites

1-) agar darood pesh hi nahi hoga to phir sawaab kaissa, aap ko poora yaqeen hai ke pour sawaab milta hai, just for confirmation.

 

2-) agar koi shaks bahir pardey aur us ki jaeb(pocket) mein koi ID card ho ya Driving licence ho jis par tasveer lagi ho, to phir kya hota hai. masl'an sardk par chal raha ho kissi ID card ke saath.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

 

1-) agar darood pesh hi nahi hoga to phir sawaab kaissa, aap ko poora yaqeen hai ke pour sawaab milta hai, just for confirmation.

 

 

ye alag baat hai Allah aur RAsool ke fazal se sawaab murattabh ho

 

Jo jawaab diya gaya hai wo sahi hai isliye ke yahan par Allah aur Rasool ke fazal ki baat horahi hai. aur ye yaqeen bhi hai ke pura sawaab milega.

 

Insha Allahutala.

 

 

2-) agar koi shaks bahir pardey aur us ki jaeb(pocket) mein koi ID card ho ya Driving licence ho jis par tasveer lagi ho, to phir kya hota hai. masl'an sardk par chal raha ho kissi ID card ke saath.

 

 

 

jaeb main koi id card ya driving licence ya Rupees(note) hai jis par tasveer hai magar wo kisi ko nazar nahi aarahi hai. Isi tarha agar ghar main tasveer hone ke bawajood agar aap us ko ulta zameen par rakh dein tu aap ko tasveer nazar nahi aayegi.

 

Aur jab aap id card ke saath sardk par chal rahe hain tu card ko bhi ulta kar sakte hain taake image nazar na aaye ya phir aap us ko jaeb main bhi rakh sakte hain. Ye koi problem wali baat nahi hai.

 

Agar kisi bhai ko is jawaab me islah ki zaroorat nazar aaye tu zaroor islah kijiyega.

 

Jazakallahu khaira.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

************image removed on tinypic***********

 

Click Here for Fatwa about Darood and Tasaveer![/url]

 

is ko parney ke baad aap ko kya lagta hai, ke darood Baragah-e-Risalat M'ap salalaho alehey wasalam mein pesh hota hai ya nahi?

Edited by Sag-e-Attar
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...