Jump to content

Namaaz mein...


Gulzar

تجویز کردہ جواب

1-) theek hai lekin aap mujhe koi is barey mein hadess bata saktey hain please?

 

2-) ek shaks ba wuzu hai, ab us ka wuzu toot gya, masaln, filmein dramein dekhnein se ya phir internet istimaal karne se. to jab wo dobara wuzu karega to usey wuzu shuru se karna hoga? yani ke, Isntanjey se, ya phir wo haat doney se shuru karega? halanke use washroom janey ki hajat nahi ai aur na hi reekh nikli ho,

 

namaz ke shuru mein ja sana pard rahen ho to imam agar surat fathiya shru karde aur aap ne abhi sana pardna khatam na ki ho to kya ruk jaye ya phir mukamal karen? halanqe thordi si reh gai ho,

Link to comment
Share on other sites

اسلام وعلیکم

 

جہاں تک میری معلومات ہے اگر امام صاحب سلام پھیر کر اپنی نماز ختم کر دے تو آپ درود شریف اور دعا کو مکمل کرنے کے بعد دونوں جانب سلام پیرے کیونکہ اس کے بعد آپ نے نماز کے کسی رکن میں شامل نہیں ہونا اور آپ کے یہ بھی خدشہ نہیں کہ آپ کسی رکن میں شامل ہونے سے لیٹ ہو جاءے ۔ ہاں اگر آپ پہلے قعدے میں ہے اور امام صاحب اللہ اکبر کہ کر قیام میں کھڑے ہو چکے ہیں تو پھر آپ فوراً کھڑے ہوجاءے اور امام کے ساتھ قیام میں شامل ہوجءاے۔ کیونکہ اگر آپ التحیات پرری کرے گءے تو قیام کے لیے لیٹ ہوجاءے گءے۔

 

طالب دعا

 

قیصر مصطفٰی عطاری

Link to comment
Share on other sites

Asalamo Elekum!

Dekhiye merey is topic mein 2 Sawaal Hain, aur aap logon ke jawab

thordey mukhtalif hain. mein sawaal repeat kar deta hoon aur agar

kissi ko sahi maloom ho to Please jawab dijiey ga, aur agar koi kissi ulma-e-karam se pooch kar bata de to aur bhi acha hai,

 

1-) ek shaks ba wuzu hai, ab us ka wuzu toot gya, masaln, filmein dramein dekhnein se ya phir internet istimaal karne se. to jab wo dobara wuzu karega to usey wuzu shuru se karna hoga? yani ke, Isntanjey se, ya phir wo haat doney se shuru karega? halanke use washroom janey ki hajat nahi ai aur na hi reekh nikli ho,

 

2-) Namaz ke shuru mein jo sanna pard rahein hon, to imam agar surat fathiya shru karde aur aap ne abhi sanna pardna khatam na ki ho to kya ruk jaye ya phir mukamal karen? halanqe thordi si reh gai ho?

 

3-) isi tarah agar jamat qayam mein bethi ho, aur main abhi Darood

hi pard raha hoon aur imam salaam pher de to main bhi kya salaam pher doon? ya mukamal karke salaam pheroon?

 

 

Bohat shukriya jawab dene ka, agar koi sahi maloomat ke zariye jawab de.

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

 

1-) ek shaks ba wuzu hai, ab us ka wuzu toot gya, masaln, filmein dramein dekhnein se ya phir internet istimaal karne se. to jab wo dobara wuzu karega to usey wuzu shuru se karna hoga? yani ke, Isntanjey se, ya phir wo haat doney se shuru karega? halanke use washroom janey ki hajat nahi ai aur na hi reekh nikli ho,

 

jis condition ka aapny upar zikr kiya us halat mein wuzu filmy dramein dekhny se makrooh zaroor hota hai toot ta nahin, or jahan tak ho saky in sab khurafaat se ijtenaab karein....

 

2-) Namaz ke shuru mein jo sanna pard rahein hon, to imam agar surat fathiya shru karde aur aap ne abhi sanna pardna khatam na ki ho to kya ruk jaye ya phir mukamal karen? halanqe thordi si reh gai ho?

 

agar imam sahab qiraat shuru kar dein or aapny sana adhoori hi parhi ho to sana parhna rok dein or qiraat sunein....kyu ki jab quran parha jaye to isy khamoshi ke saath sunna farz hai...

3-) isi tarah agar jamat qayam mein bethi ho, aur main abhi Darood

hi pard raha hoon aur imam salaam pher de to main bhi kya salaam pher doon? ya mukamal karke salaam pheroon?

 

aap apni durood or dua muqammil karky salam pherin, foran unky saath salam phenry ki jaldi na karein..takheer ho jaye to koi harj nahin haan imam sahab se aagy nahin barhna chahiye (sajdy, ya ruku, salam mein) takheer ho to koi harj nahin....

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

3-) isi tarah agar jamat qayam mein bethi ho, aur main abhi Darood

hi pard raha hoon aur imam salaam pher de to main bhi kya salaam pher doon? ya mukamal karke salaam pheroon?

 

(salam)

Atahiyaat Pori Perhna Wajib Hai... Abdahu wa Rasooluh Tak... Aub Aap Ney Yaha Tak Perh Liya Aur Durood Perh Rahey Hain Key Imam Ney Salam Pher Diya... Tu Aap Pher Saktey Hain..

 

Albata.. Ager Aap Abadahu wa Rasooluh Tak Nhin Pochnchey They Key Imam Ney Salam Pher Diya Tu Aub Aap Yahan Tak Perh Ker Salam Pherein...

 

Isi Terha Aik Raka'at Choot Gayi.. Ya Aap Jama'at Mein Us Waqt Shamil Howey Jab Imam Salam Pherney Key Qareeb Tha... Aur Abhi Aap Ney Atahiyaat Shurow Ki Thi Key Imam Ney Salam Pher Diya Tu Aap Pori Atahiyaat Abdahu Wa Rasooluh Tak Perh Ker Kharey Hoon... Ya Aap Qaada e Ola mein Us Waqt Shareek Howey Jab Imam Teesri Rakaat Key Liye Khara Honey Wala Tha.. Aur Aapki Atahiyaat Shurow Hi Hoyi Thi Key Imam Khara Ho Gaya Tu Aap Atahiyaat Pori Perh Ker Kharey Hongey...

 

Namaz Key Wajibaat Waghera Jan'ney Key Liye Mufti Farooq Attari (Aleh Rahma) Ka Bayan Nisab e Shariyat Part 1 Suniye... www.faizaneatter.net Per Mojod Hai..

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

jawabat keliye shukriya,

Ya Mohammadah ne likha hai ke darood-paak poora pard ka salaam pherna chahiey aur sag-e-attar ne likha hai namukamal darood mein hi salaam pher sakte hain, kuch baat bani nahi,

 

Durood Aur Dua-e-Masoora Perhna Sunnat Hai.. Jabkey Atahiyaat Pori Perhna Wajib... Ager Buhut Zyada Takheer Na Ho Tu Perh Lein.. Wegerna Ager Nhin Bhi Perha Aur Salam Pher Diya Tu Namaz Ho Jaye Gi... Haan Imam Sey Aagey Nhin Berhna Chahye.. Ager Imam Abhi Salam Pher Raha Tha Aur Uskey Alfaaz Khatam Na Howey They Key Muqtadi Ney Salam Pher Diya Complete Tu Namaz Na Hoyi.. Is Terha Imam Ney Takbeer Kahi.. Mager Uskey Akbar Mukamal Honey Sey Pehley Muqtadi Ney Takbeer Mukamal Ker Key Hath Bandh Liye Tu Namaz Start Hi Na Hoyi... Isi Terha Imam Rukoo Mein Tha Key Koi Jamaat Mein Shareek Howa Aur Takbeer Allahu Akbar Keh Ker Rukoo Mein Gaya.. Uski Takbeer Us Waqt Khatam Hoyi Key Hath Berhaye Tu Ghutno Tak Pohnch Jayen Tu Namaz Na Hogi... Iska Tareqa Yeh Hai Key Jab Imam Rukoo mein Hoo Aur Koi Jamaat Mein Shareek Ho Tu Allahu Akbar Keh Ker Namaz Ki Terha Hath Bandh Ley Aur Aub Foran Rukoo Mein Chaley Jaye...

 

Aap Namaz Key Ahkam Book Ka Mutal'aa Fermain... Tu (ia) Buhut Sey Aehm Masail Sekhney Ko Milein Gey.. Ager Us Mein Sey Kisi Cheez Ki Samajh Na Aaye Tu Pochein...

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...

(bis)

(salam)

namaz ke doran jab hum chothi raqat mein, Qayam mein bhetehy hotey hai, aur abhi hum darood sharif hi pard rahey hon to Imam salam pher de, to kya hum daroon aur dua mukamal karke salam pheren ya usi waqat pher den?

 

(wasalam)

 

Aap Durood-e-Ibraheemi parh rhay hain aor imam say salam phair dea to aap imam ki perwi kartay huay salam phair dain.

 

http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=29526

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...