Parbati مراسلہ: 11 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 11 جولائی 2008 A neend nagar k bashindo A khawab nagar k shahzado Main tabeero ka tajir hun Kia tum tabeer kharido gay? Kia tum gum-gashta gum-karda Apni jageer kharido gay Manzar main kushada seenay hain Aur pas manzar main goli hai Har ik tasweer main mazlumo k Garm lahu ki holi hai Sarko pe jo hain faryad kuna Un maaon ki danda doli hai Khichti hai jo mere tasawar main Gham ki tasweer kharido gay? Main tabeero ka tajir hun Kia tum tabeer kharido gay? Dal jheel k khun milay pani se Bhar kar kuch jag laya hun Pathrai hui ankho k heeray moti aur nag laya hun galiyon main sisikti lasho ne jo di hai who shah rag laya hun un sab ne bus itna pucha hai TUM KAB KASHMIR KHARIDO GAY? As'hab e nabi k gulshan ki kaliyo se saji kuch chariyan hain Sunnat k suchay moti hain qura'n ki qeemti lariyan hain Kuch ishq e nabi halqay hain Kuch khof e khuda ki kariyan hain Har toq se jo azaad karay KIA WOH ZANJEER KHARIDO GAY Main tabeero ka tajir hun Kia tum tabeer kharido gay? Takbeer k pur haibat naray bhi Toheedi lalkar bhi hai Dushman ki safain jo cheer k rakh de ik aisee yalghar bhi hai Mere thailay main jazbo ki dhar hai jiss par who talwar bhi hai Koi taigh o tabal khanjar naiza koi shamsheer kharido gay? Main tabeero ka tajir hun Kia tum tabeer kharido gay? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔