Jump to content

Doran-e-Namaaz

Gulzar

تجویز کردہ جواب

(salam)(bis)

mera sawaal yeh ke, meine ek hadees pardi thi ke doran-e-namaaz dono paon (foot) ke darmiyan 4 finger ka fasla hona chahiey, aur doosri ek meine hadees mein parda tha ke doran-e-namaaz aap ke paaon doosrey namazi ke paaon se mile honey chahiey, agar zara sa bhi fasla reh jaye to shaitaan ah jata hai.

masla yeh ke, agar apne paaon ke darmiyan 4 finger ka fasla rakh ka namaaz ada ki jaye to ek namazi ke paaon dooserey namazi ke paaon se nahi mill saktey, yani ke fasla reh jata hai.

aur agar paaon se paaon mila kar namaaz ada ki jaye ta ke shaitaan na ah jaye to 4 fingers ka fasla nahi rehta apne dono paaon mein.

please is masley ka hal jalad az jalad beaan kar dijiey, agar koi waqaiey sunnat aur hadees ke mutabiq bata sakta hai.

bohat bohat shukrya,

(salam)

Link to comment
Share on other sites

Bhai mein koi Mufti ya Alim tu nahi but jahan tak mujhe pata hai Islam mein Shakti nahi aur meine iss baray mein yahi parha hai ke Aik Namazi ka Kandha (Shoulder) dosray namazi say mila hona cahiye nah ke uss ka Foot aur Namazi ke dono foots ke darmayan 4 ungli ka fasla hona cahiye iss masla per meine aik Alim say bhi pocha unhon ne kaha ke namazi jaisy asaani say khara hoo sakay zarori nahi ke 2-2 Feet apne foots ko khool kar Wahabion ki tarha khara howa jai :)

So Namaz mein koi shakti nahi app jaisy asaani say khara ho sakty hain hoo jai aur 2-2 Feet khool kar khara hone ki koi hadith bhi nahi jaisa ke wahabiyah khara hotay hain.

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

گلزار صاحب میں عالم تو نہیں لیکن کوشش کرتا ہون کہ آپ کے سوال کا تسلی بخش جواب دے سکو۔ اور آپ سب سے گذارش ہے کہ اگر میری کوءی بات جو غلط ہو تو مجھے بتا دے تا کہ میں بھی اپنی اصلاح کر سکو۔ جہاں تک میرا علم میں ہے فقہ حنفی میں باجماعت نماز کے دوران کندھے سے کندھا ملنا چاہیے۔ جس کےمتعلق نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد ہے کہ جماعت کے دوران اپنی صفوں کو درست رکھو اور کندھے سے کندھے سے کندھا ملا کر رکھا کرو۔ کیونکہ شیطان تماری صفوں میں اس طرح گھستا ہے جس طرح بھیڑ کا بچہ ریوڑ میں (الفاط کا ردوبدل ہوگا لیکن مفہوم ہی ہوگا۔) اور جہاں تک میرا خیال ہے جب نماری حضرات کندھے سے کندھا ملاءے گءے تو صف بھی سیدھی ہو جاءے گی اور پاؤں کے درمیان خلا بھی نہیں رہے گا۔ میرے مشاہدے کی بات ہے کہ جب زیر ناف ہاتھ باندھے جاتے ہیں تو بازؤ اور آپ کا جسم کم احاطہ گھیرتے ہیں۔

طالب دعا

قیصر مصطفٰی عطاری

Link to comment
Share on other sites

4 unglion ka fasla rakhna chahiey yeh darust hai aur kandhy say kandha bhi mila hona cahiye.

But jo Wahabi hotay hai woh bilkul apni both taangain khool kar namaz partay hain 2-2 Feet say yeh muraad hai jo k bilkul ghalat tareeqa hai namaz mein aisa khara hona cahiye jaisy app asaani say khare ho sakty hain.

lekin jis masjad mein main jata hoon, wahan pe Morroco ke log namaaz pardney atey hai aur kabhi kabhi imamat bhi karate hai. aur jab namaz pardtey hain to doran-e-namaaz koshish karte hain ke un ke paaon doosrey namazi ke paaon se mile hon, aur jab woh paaon milatey hain to un ke dono paaon mein taqreeban 15 se 20 unglion ka fasla ho ja ta hai. balqe jab wo sajde se farigh ho ka stand hotey hain to khardey ho kar paaon ki taraf dekhtey hain, shaid doosrey namazi se paaon milane ke liye. to aisa karna daroosat hai kya? aur woh to ache khaasey namazi parezi aur bohat neik insaan lagtey hain aur dardi bhi hai. to main thorda confus hoon ke mujhe un ki tarah karna chahiey ya nahi? waisey to aap ne sawal ka jawab de diya hai, phir bhi agar koi aap mein se achi tarah is masley ko janta hai to please thordi aur roshni daal dijiye. aap ka bohat shukriya ho ga.

Hum Fiqah-e-Hanafi Key Mutabiq Dono Pa'on key Darmayan 4 Ungliyoon Ka Fasla Rakhein Gey.. Maybe Kisi Aur Fiqah Mein Masala Change Hoo... Aur Morroco Key Loug Us Fiqah Sey Ta'aluq Rakhtey Hoon.. But Hum Apney Imam Imam-e-Aazam Abu Hanifa (ra) Ki Taqleed Kerein Gey...

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

Ok bohat shukriya janab! mujhe mere swal ka jawab mil gya, bohat shukriya.

ek baat batai tafseel se agar mumkin ho sakey to, jitne bhi imam hain is duniya mein, sab hee ache aur sache hain, jaise ke imab abu hanifa, imam hanbal, imam hasan basri , Hazrat Ghauss-al-Azam. aur humsab musulman in sab imamon ko mante hain, to phir koi imam abu hanifa ko manta hai aur koi imam hanbal ko, Aisa kyon? kya difference hai?

Link to comment
Share on other sites

ek baat batai tafseel se agar mumkin ho sakey to, jitne bhi imam hain is duniya mein, sab hee ache aur sache hain, jaise ke imab abu hanifa, imam hanbal, imam hasan basri , Hazrat Ghauss-al-Azam. aur humsab musulman in sab imamon ko mante hain, to phir koi imam abu hanifa ko manta hai aur koi imam hanbal ko, Aisa kyon? kya difference hai?

(salam)

Her Ghair-e-Mujtahid Key Liye Lazim Hai Key Woh Aik Mujtahid-e-Aadil Ka Daman Paker Ley.. Key Jin Masail Mein Quran-o-Hadees Mein Khamoshi Hai.. Ya Bazahir Aik Dosrey Sey Mukhtalif Hain tu Muqalid Apney Imam Ki Itibaa Kerey...

Taqleed Per Aap In Articles Ka Muta'liaa Ferma'ein.. Aapka Masala Hal Ho Jaye Ga.. InshaAllah (azw)

Taqleede Imam-e-Aazam (Radi Allah Anhu)

Taqleed-e-Mujtahid, Mahfoz Rasta

http://www.dawateislami.net/library Is Link Per Ja Ker Writers Mein Sey Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi (Aleh Rahma) Per Click Kerein.. Wahan Per Ja-Al Haq Book Ka 1st Chaptor Read Kerein.. (Is Waqt Server Too Busy Ki Wajah Sey Site Open Nhin Ho Rahi)

Link to comment
Share on other sites

Bhai sabhi Imam Haq per hain hum kisi ka inkaar nahi karty maghar Imam Azam Abu Hanfia (ra) kyon ki Huzoor (saw) say qareeb ke dour mein howay hain so iss liye unn ka muqam o martaba bhi zyada hai magher yeh nahi ke baqi Imam ghalat hain.

Fiqh Hanafi aur Dosry Fiqh mein kuch masail per ekhtlaf hai magher jaisa ke Sag-e-Attar bhai ne kaha hum Imam Azam Abu Hanifa (ra) ki taqleed karty hain so humain unn ke tareeqa per chalna cahiye.

Link to comment
Share on other sites

islam ek hai to sab imam yaqeeqan ek hi rastey par chalte hongey. is tarah se to Hazrat Gauss-al-Azam razi allah talah anho ka darja bhi bohat buland hai aur wo bhi Nabi s.a.w ke wisaal ke kuch arsey baad peda hooey they. aur taqyamat tak sab se zayada mureed un ke hi hon gey, to phir hum un ki rah par kyon nahi chalte?

Link to comment
Share on other sites

گلزار بھاءی جب آپ مسجد میں نماز پڑھنے جاءے اور جماعت میں امام کی پیروی کر رہے ہو تو غور کیجیے گا کہ اگر نمازی حضرات اپنے کندھوں کو آپس میں صیح طرح ملا لے تو نمازیوں کے قدموں کے درمیان بھی اتنا فاصلہ نہیں رہتا کہ شیطان گھس جاءے اور فرض کرے اس کے بعد بھی دیکھنے میں اتنا فاصلہ نظر آءے تو سمجھ لے یہ شیطانی وسوسہ ہے اور شیطان کا کام ہی یہ ہے۔

طالب دعا

قیصر مصطفٰی عطاری

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...