Qaderi مراسلہ: 8 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 8 جولائی 2008 Dear islamic brother please give me a peace of informatin about "Power Ball lottery" because two days later i receive an e-mail that you have won the prize please give me info about what is this is it true? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 8 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 8 جولائی 2008 (ترمیم شدہ) bahi sab se pehlay main ye khana chati hoon kay ye lottrey wagera muslmano kay liye jaiz nahi hai........islam main is ki mamanat hai.....ager mil bhi jaye to ye haram kay pesay hotay hain..............wesay ye miltay to nahin..........smile.......... allah azwajal asay dhokay bazoon se humain mahfooz rakhay ameen............ aur jaha tak ye kay app ko msg aya hai to ye fake hai...........sab jhoot hota hai....shayad wo app ko msg karain kay nahi ye sach hai to app un ka yaqeen nahi kijiye ga.....ye log pehlay e-mail ker ker kay logoon ko itna yaqeen dilatay hain kay ye waqai sach hai app log apna phone number doo......etc..... phir jab phone num mil jata hai to bar bar call ker kay kehtay hain kay ya sach hai...........but sab fake hota hai.....and then ye khatay hain kay app ki itna bara inaam niklaa hai app humain apna address dain hum check app ko ponchain gain.....phir address bhi lay letay hain....... phir cand dinoo bad kehtay hain kay hum ne check bijwa diya hai app ko mil jaye ga aur phir kuch dinoo baad dobara call kertay hain kay app ka check rok liya gaya hai kay itna bara amount kisi dosray mulk kesay ja raha hai aur phir kahin gain kay wo is pay tex mang rahay hain app ita amount hum is account num pe send kardoo...... jab app un ka bata huwa amount un kay account main send ker dain gain to phir bassssssss...... wo kahin gain kay kon sa prize kesa prize.............bhol jain kay koi prize nikla bhi tha...........ye log asay hi dhoka detay hain............. meri sab se request hai kay ager kisi ko bhi asi e mail milti hai to us per bilkul yaqeen na kiya jaye yeh sara sar jhoot hota hai........ ye mamlaa humaray janany waloo kay sath ho choka hai.....in logoon nay un say 1,00,000(1 lakh) rupees tex kah ker mangay jab pesay unhain mil gaye to agey se ye jawab aya jo app ko bata diya gaya hai...... Edited 8 جولائی 2008 by Karam Ho Ya Rasool Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 9 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 9 جولائی 2008 Meray aziz dost qaderi bhai... Sister ne buhat detail say app ko iss ke baray mein bata diya aur bilkul thekh bataya mein sirf itna kehna cahon ga app iss tarha ki E.mails open nah kiya karain kyon ki baz oqaat aisa hota hai ke app aghar E.mail mein diye gai link per click kar dai tu iss say app ke computer ki sari Information unn ke pass chali jati hai jinhon ne yeh e.mail send ki thi so aise E.mails ko open hee nah kiya karain yeh nah ho ke app ke computer mein virus waghaira shamil ho jai jiss say app ko pareshani ka samna karna paray waisy iss tarha ki zyada e.mails logh sirf apni Advertisement ke liye karty hain aur baz oqaat Hackerz bhi karty hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qaderi مراسلہ: 11 جولائی 2008 Author Report Share مراسلہ: 11 جولائی 2008 Thanks for that..... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Parbati مراسلہ: 14 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 14 جولائی 2008 FRAUD اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔