Jump to content

Salam On Khwaja e Khwajgaan


Gham-e-Madinah

تجویز کردہ جواب

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

Khwaja e Khwajgaan Tum Pay Lakho Salam

Fakhre Hindustaan Tum Pay Lakho Salam

 

Aaftabe Risalat kay ho ek kiran

Nazishay Arifaan Tum Pay Lakho Salam

 

Tum ne phailaee islam ki raushni

Deen ke paasbaan Tum Pay Lakho Salam

 

Raunaqe rauza e pak hai dil nasheen

Misle qasre jinaan Tum Pay Lakho Salam

 

Aap ke Dar se patay hai shah o gada

Faiz har do jahaan Tum Pay Lakho Salam

 

Hum ko izn e Huzoori ata kar diya

Kitne ho maherbaan Tum Pay Lakho Salam

 

Hum ghareebaun ke Sarkaar Khwaja piya

Hami e bay kasaan Tum Pay Lakho Salam

 

Naaz hum ko ghulami ki nisbat pay hai

Khusrawe ins o jaan Tum Pay Lakho Salam

 

Hum ghulame ghulamane Sarkar hai

Tum hamare hum tumhare Tum Pay Lakho Salam

 

Aap ke Dar se daulat milgaee hamay

Baat hai bay gumaan Tum Pay Lakho Salam

 

Bheek Saqib ko chashme karam ki milay

Mohsine qalb o jaan Tum Pay Lakho Salam

 

Bheek hum sab ko chashme karam ki milay

Mohsine qalb o jaan Tum Pay Lakho Salam

 

Manqabat – Khawaja-E-Khawajgan

 

Khawaja-E-Khawajgan Haami-E-Bekasa

Iljita Sun Lo Shah-E-Umam K Liye

Kerdo Kerdo Karam Murshid-E-Mohtaram

Tum Ko Bhaija Gaya Hai Karam Ke Liye

 

Hai Tumhari Talab Haasil-E-Bandagi

Is Say Barh Ker Nahi Hai Ibadat Koi

Mere Sajday Hein Ey Khawaja Hind-Al-Wali

Bus Tumhare Hi Naqsh-E-Qadam Ke Liye

 

Noor-E-Shah-E-Najaf Mere Khawaja Piya

Tere Chaukhat Pay Waliyon Nai Sajda Kia

Khaaliq-E-Dojahaan Say Ye Rutba Mila

Tere Darbaar Faiz-O-Karam Ke Liye

 

Shah-E-Ajmer Mera Masiha Hai Tu

Dard Mandoon Ke Dukh Ka Madawa Hai Tu

Teri Nisbat Ka Daman Rahay Haath Mein

Bus Dawa Hai yahi Ranj-O-Gham Ke Liye

 

Kamraan Hath Hai Sayyad-E-Mehrbaan

Hai Tera Kaam Khawaja Khata Poshiyan

Laaj Rakhna Fana Ki Moeen-E-Jahaan

Hashr Mein Taajdaar-E-Haram K Liye

 

Khawaja-E-Khawajgan Haami-E-Bekasa

Iljita Sun Lo Shah-E-Umam K Liye

Kerdo Kerdo Karam Murshid-E-Mohtaram

Tum Ko Bhaija Gaya Hai Karam Ke Liye

 

 

 

 

Khwaja e Khwaajgaan Mo’inuddin

Ashraf e Awliya Roo e Zameen

 

Aaftaab e Siphar e Kaun o Makaan

Baadshah e Sareer e Mulkey Yaqeen

 

Dar Jamaal o Kamaal e Oochey Sukhan

Ee Mubeen Buwad Bahisn e Haseen

 

Matla’e Dar Sifaat e Oo Guftam

Dar ‘Ibadat Buwad Choo Dar e Tameen

 

Aey Darat Qibla Gaah e Ehle Yaqeen

Bar Darat Mehr o Maah Saudah Jabeen

 

Roo e Bar Dargahat Hami Saayand

Sad Hazaaraan Mulk Choo Khusrave Cheen

 

Khaadimaan e Darat Hama Rizwaan

Dar Safaa Rowza At Choo Khuld e Bareen

 

Zarra e Khaake Oo Abeer e Sarisht

Qatrah Aabe Oo Choo Maa e Mo’in

 

Ilahi Taabuwad Khursheed o Maahi

Chiraag e Chishtiyaan Raa Roshnaahi

Link to comment
Share on other sites

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH

 

By: Ustaad e Zaman, Hazrat ‘Allama Hasan Raza Khan Barelwi ‘Alaihir Rahmah

Khwaja e Hind Woh Darbaar Hai A’ala Teyra

Kabhi Mehroom Nahi Maangney Waala Teyra

 

Hai Teri Zaat Ajab Behr e Haqeeqat Pyaarey

Kisi Tairaak Ney Paaya Na Kinaara Teyra

 

Kis Qadar Josh Tahayyur Key ‘Ayaan Hain Aasaar

Nazar Aaya Magar A’inaa Ko Talwa Teyra

 

Gulshan e Hind Hai Shaadaab Kaleyjey Thandey

Waah Aey Abrey Karam Zor Barasna Teyra

 

Kya Mehak Hai Key Mu’attar Hai Dimaag e ‘Aalam

Takhta e Gulshaney Firdaus Hai Roza Teyra

 

Tujh Mey Hain Tarbiyatey Khizr Key Paida Aasaar

Behr o Bar Mey Hamain Milta Hai Sahaara Teyra

 

Phir Mujhey Apna Dar e Paak Dikhadey Pyaarey

Aankhein Pur Noor Ho Phir Deykh Key Jalwah Teyra

 

Zilley Haq Ghaus Pey Hai Ghaus Ka Saaya Tujh Par

Saaya Gustar Sarey Khuddaam Pey Saaya Teyra

 

Tujh Ko Baghdad Sey Haasil Huwi Woh Shaan e Raf’ee

Dang Reh Jaatey Hain Sab Deykh Key Rutba Teyra

 

Kyun Na Baghdad Mey Jaari Ho Teyra Chashma e Faiz

Behr e Baghdad Hee Ki Nehr Hai Darya Teyra

 

Jab Sey Tu Ney Qadam e Ghaus Liya Hai Sar Par

Awliya Sar Pey Qadam Leytey Hain Shaahaa Teyra

 

Mohyuddin Ghaus Hain Aur Khwaja Mo’inuddin Hain

Ai Hasan Kyun Na Ho Mehfooz ‘Aqeedah Teyra

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...