Jump to content

waqt ki ujrat or naat khwaani???


devesh

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

Mufti Akmal sey pooch gya that kay na'at khwaano ko fee demand karna jaiz he ya nahin. Unho ney jawaab mein kahaan ye haraam hey mager waqt ki fee leyney mein harh nahin. Isi kay mutalaq Ameer e ahle sunnat sey poocha gya unho ney is sey kuch itiraz kiya. Aap logon ka kya khayal hein. Ye bohat wazih hein hamarey pasandeedah thana khwan fee demand kartey hein aor isey aik karobar bana dya hein. Mujehy bohat dukh is baat par mahsoos hota hai.

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Kiya Aap Ameer-e-AhleSunnat (dba) ka Jawab Share Ker Saktey Hain... Kiyon Key Main Ney Khud Aik Madani Muzakirey Mein Bapa Jan Sey Suna Tha Key Waqt Ka Ijara Ker Key Naat Khuwani Jaiz Hai... Main Woh Clip Talash Kerney Ki Koshish kerta Hoon Abhi...

 

Kiyon Key Waqt Ka Ijara Kiya Tu Naatkhuwan Apney Waqt Key Paisey Ley Raha Hai.. Aur Jo Naatkhuwani Woh Kerey Ga Yeh Ijara Kerney Waley Ney Ussey Kam Diya Hai... Aur Is Doran Ijara Kerney Wala Jo Kam Lena Chahey Ley Sakta Hai...

 

Ager Waqt Ka Ijara Na Hoo.. Tu Dalalatan ya Sarahatan Naat Khuwani Ki Fees Lena Haram Hai...

Aap Ager Ameer-e-AhleSunnat (dba) Ka Answering Clip Share Ker Dein Tu Masala Clear Ho Jaye Ga.. (ia)

 

Ye bohat wazih hein hamarey pasandeedah thana khwan fee demand kartey hein aor isey aik karobar bana dya hein

 

Kisi bhi Baat Per Daleel Zarori Hai... Aur Baghair Daleel Bura Guman Kerna Gunah Hai... Aur Suni Sunayi Bat Key Muta'aliq Tu Hadees Pak Mein Wazeh Hukm Hai Key Us Shakhs Key Jhoota Honey Mein koi Shak Nhin Jo Her Suni Sunayi Bat Aagey Pohncha Dey.. (Mafhoom)

 

Jab Key Hamarey Kuch Top Sunni Naatkhuwan Ney Khud Hi Kaha Hai Key Hum Ney Kabhi Fees Ki Demand Nhin Ki..

 

Wassalam Ma'Al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Bai ap Naat khawni ki ujrat k baray may janay k liyay Ameere Ahle Sunnat (m-a) ki book Naat Khawn aur Nazrana ka mutala farmayay mujy is ka link nahi mil raha ap dawateislami ki site sy lay li giyay ga

Ap madani muzakra#67,68 aur 69 sunnay ap ko sab kush clear ho jayay ga (azw)(ia)

ap in ko zrur sunnay links yeh ha

Vol#68

http://www.dawateislami.net/services/muzakra/urdu/index.aspx

Vol#67

http://www.dawateislami.net/services/muzakra/urdu/index.aspx

Vol#69

http://www.dawateislami.net/services/muzakra/urdu/index.aspx

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

me ny mufti akmal sb sy suna hy waqt ka ijara.........jo un ny qurr'a hazrat k liye kiye gay suwal k jwab me farmaya........k q k Quran parhna sikhana zaroorat e deeni hy, aur waqt ka ijara kr k parhana bilkul jaiz hy.........

 

isi pr qayas kr lijiye..........k fe zamana naat khuani kr k logon k diloon me ishq e Rasool (saw) ujagar krna b buht barhi zarooorat hy waqt ki........ (ghalati pr paaen to foran islah farma dain)

WALLAHU TA'AALA ALAMU WA RASOOLUHU AALAM (azw) wa (saw)

aur jb hamen BAPA JAN (dba) k qaul e mubarak sy sabooot mil gya to aur kiya chahiye......???

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

 

behen bhaiyon Ameer--ahle sunnat (m-a) ka taaza tareen muzakara isi hawaley sey deykhyey aur phir faysla karay.

http://uk.youtube.com/watch?v=FXqGPouvcJk&...feature=related

 

Yaqeenan kuch faraq mufti akmal kaey fatway sey. Is ko bhi mad-e-nazar rakhna chahiyey kay qtv key shuhra afaak thana khwaan ziyaada tar fee fix kartey hein aur merey khyaal mein iska bhi kuch mudakhilat that mufti sahib kay fatway par. ye UK mein iyk bohat bara masala hey hamarey liye kyunkey ye gustakho ko angusht-e-tanqeed ka mowq mila.

 

(wasalam)

Edited by devesh
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

<object width="425" height="344"><param name="movie" value="

name="allowFullScreen" value="true"></param><embed src="
type="application/x-shockwave-flash" allowfullscreen="true" width="425" height="344"></embed></object>
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

see dis video

 

i dont thnk so k saary Maroof sana khuan pesy lety hain:

 

 

name="allowFullScreen" value="true"></param><embed src="
type="application/x-shockwave-flash" allowfullscreen="true" width="425" height="344"></embed></object>&">
name="allowFullScreen" value="true"></param><embed src="
type="application/x-shockwave-flash" allowfullscreen="true" width="425" height="344"></embed></object>&" type="application/x-shockwave-flash" wmode="transparent" width="425" height="350" />

Edited by madinah_madinah
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...