Mutlaashi مراسلہ: 12 جون 2008 Report Share مراسلہ: 12 جون 2008 In The Name Of Allah, The Most Gracious & The Most Merciful! Ye bay paani k tar rehtay hain mourjhaya nahi kartay.. Yom-e-aashoraa kei aik aur roshan subaah Hazrat Husain (r.a) kei yaadon k gul mehkati hoovee taloo hoovee aur aansoon main doobi shaam soonehree naqoosh kay kae charaagh palkon par roshan kar gai. Aakhir aesi kayaa baat hay Hazrat Husain(r.a.) kei yaadon main k har nae hijree saal ka aaghaaz hotay hei jahaan dil odaas-o-maghmoom hotay hain tao roohon main huq k liyay jeenay kei nai omung aur zehan-e-shaoor main huq-o-batil ki bahimi kashmakash ka azli ehsaas bedaar honay lagta hay??? Har saal waqt waqea-e-karbala kee yaadon ko dohrata kiyoun mehsoos hota hay? Yay khaas kefiyat aakhir Nawasa-e-Rasool(s.a.w.) kei shahadat say mansoob kiyoun hay? Zamanay ko kabhei Nooh(a.s.) k betay Kanaan k doobnay par rona kiyoun nahi aayaa? Firon kei gharqabi ka gham kiyoun na hoovaa? Namrood k marmitnay, Saamri k darbadar honay, qoom-e-aad-o-samood aur qom-e-Loot k mitnay par kisi kei aankh kiyoun na roi??? Kitni hei tareekhi jungein hooveen… zamana jeetnay walon ko yaad na rakh saka phir haarnay walon ya mitnay walon ko koi kaya yaad rakhtaa….. mager haqeeqat tao yay hay k huq k naam par mitnay walon kei shaan hei aur hoti hay….yay raaz zamany ko Payaray Hussain (r.a.) jis adaa say samjha gae ussi adaa aur azmat ko Salaam-e-Aqeedat pesh karnay k liyay hei tao aqeedatmandon kei palkain ashkon say beegh jati hain aur dil-o-dimaagh Sarkaar kei aehl-e-baet ki yaadon k gulon say mehak oothtay hain…. Muhammad Mustafa K Baagh Kay Sab Phool Aesay Hain Yay Bay Paani K Tar Rehtay Hain Mourjhaya Nahi Kartay Zabaan Par Shikwaa-E-Ranj-O-Alam Laayaa Nahi Kartay Nabee K Naam Lewaa Gham Say Ghabraaya Nahi Kartay Husain(r.a.) kei yaad main behnay walay ashk kisi pachtaway ya kisi buray anjaam par ya unn kei shahadat par afsos ka izhaar hargiz nahi hain. yay ashk tao uss qaabl-e-fakhar Hastee Hussain(r.a.) ki azmaton ko salaam pesh kartay hain jo kamaal adaa k saath Huq kei raah main sub kuch qurbaan kar gae. Mosaa aur Firon kei jung tao har daor main jaari rehti hay mager jeet hameshaa huq kei hei hoti hay. baatli qoowatain waqti taor par jitni marzi mazboot hon mager haqeeqi falaah Huq k liyay larnay aur huq k liyay marnay walon ko naseeb hoti hay. Iss baat ka jeetaa jaagtaa saboot Nawasa-e-Rasool(s.a.) kei azeem shahadat hay jis kei bina par wo aaj bhei zindaa logon k dil-o-dimaagh par apnay Naana ki seerat-e-hasna k roshan naqoosh raqm kartay hain… mot say bher kar zindagee ko mitanay wali aur koi shay nahi hay. Issi mot say bachnay k liyay insaan tamaam zindagi apnay dushmanon say apni jaan apni olaad kei har mumkin hifaazat karta hay k kahein koi hamain nagehaan maar na dalay…zinda rehnay k liyay insaan kitni hei tagodood karta hay…hataa k apni jaan kei falaah k liyay wo doosray insaanon kei jaanon say khelnay say bhei daregh nahi kartaa …apnay bhalay k liyay doosron ko nuqsaan pohnchaya jata hay…khuda k qanoon ko tora jata hay….mager jab mot aati hay tao sab kuch apnay saath baha lay jati hay…nafsanafsi, khudparasti k iss aalam main yay siraf Allah k chaahnay walon kei hei shaan hoti hay k wo apni raza say apnay Maalk-e-haqeeqi par apni jaan lootaa kar mot ko bhei maat de jatay hain…unn kaa jeenaa marnaa huq k liyay hota hay…unn kei dosti dushmani huq k liyaya hoti hay…unn ka apni jaan par bhei huq nahi hota iss liyay wo jaan denay say ghabhraatay nahi… mager apni falaah k liyay kisi masoom ki jaan kabhi nahi letay… na hei bayjaa zulm dhaa kar apni taaqat manwatay hain…aur yahi ISLAM ka haqeeqi mafhoom hay… Muhammad Mustafa ki shaan-e-rahmat tao zara dekho Sitam sehtay tao hain lekin sitam dhaayaa nahi kartay Hazoor(s.a.w.) nay farmaayaa hay k Musalmaan wo hay jis kei zubaan aur haath say doosray mehfooz rahain…tao kaya jin k haathon say Hussain(r.a.) shaheed kar diyay gae wo musalmaan thay? Ya jo aehl-e-baet Huq k naam par mit gae wo islaam k haqeeqi waaris hain? Kon insaaniyat ki azmaton ko meraaj bakhsh gae aur kon hewaaniyat k maqaam say gir kar zulam kei intehaa kar gae…. iss baat ka feslaa kisi makhsoos firqay ya maslak k logon par manhasar nahi balkay poori insaaniyat k Haathon main hay… Kaya sirf musalmaan k piyaray hain Hussain(r.a.) Charkh-e-no-e-bashar k taaray hain Hussain(r.a.) Insaan ko bedaar to ho laynay do…. Har qom pookaray gi hamaray hain Hussain(r.a.)! Allah Paak nay Rasool (s.a.w.) say farmaya: “WARAFANA LAKA ZIKRAK” (Bayshak Ham nay Aap(s.a.w.) k ziker ko Aap(s.a.w.) k liyay buland farmaya hay)…Aur Allah Paak ka waadaa barhuq hei hoovaa karta hay…har Musalman jo namaaz parhta hay tao Muhammad(s.a.w.) aur unn kei AALL par darood-o-salaam bhejhta hay…tao Hussain(r.a.) aur Hassan(r.a.) bhei uss main shaamil hotay hain…kiyoun k unhon nay Rasool(s.a.w.) kei sunnat ko tahaayaat zindaa rakhaa…aur jo bhei kuch paas thaa sab Allah aur Rasool(s.a.w.) k deen k liyay fidaa kar dalaa…..bint-e-Rasool(s.a.w.) Fatima(r.a.) k Farzand nay karbala main waaday nibhaa diyay….tao phir kesay dushmanan-e-Rasool baynishaan na rehtay……“innashaniyaka hoowal abtar”… Karoon Teray Naam Pay Jaan Fidaa Na Bas Aik Jaan Dojahaan Fidaa Do-Jahaan Say Bhi Nahi Jee Bharaa Kaya Karoon Karoron Jahaan Nahi ager mehaz warsay main Rasoolon kei oladon ko yay shaan milti tao Nooh(a.s.) ka mushrik beta Kanaan tofaan main kiyounkar doobta …Hussain(r.a.) nay apnay tarz-e-amal say saabit kiya k aslaaf k roshan naqsh-e-paa par chal kar hei unn kei azmaton k ameen bana ja saktaa hay. Jo naqsh-e-paa par chal paray wohi apnay hain aur jo dagar say hut kar chalay wo qaaflay say bichar kar darbadar hogaye. Yahi wo ehsaas hay jo Hussain(r.a.) kei yaadain har nae islami saal k aaghaaz par baawar karwa jati hain k aey Duniya walo! Main aaenaa-e-Khatim-u-Rasool(s.a.w.) abn-e-Fatima-o-Haider houn meri seerat-o-kirdaar main Nabi-e-Aakhir-u-zamaan ka akas dekh sako tao khudh ko pehchaan lo k tum kon ho??? Kis Nabi k naamlewaa ho??? Main nawaasa-e-shaah-e-do-jahaan hokar bhei karbala main bhookaa,payaasa rehnay ko tarjee deta houn aur Huq ki raah par jaan lootaata houn…batao tumharay paas Muhammad(s.a.w.) k oumatei honay ka kaya saboot hay??? Array o naasamajh qurbaan hojaa inn k naqshe-paa par Yay lamhay zindagei main baar baar aayaa nahi kartay ham tao jab bhei guzray Maah-o-Saal k lamhaat k aaieenay main apna aks dekhtay hain tao ghabraa jatay hain….k ham tao zeeqada, zilhija aur Muharram jesay moqadas mahino main bhei apnay hei mulk main aik doosray k zulm ka shikaar hojatay hain…. melaad-e-Mustafa(s.a.w.) kei mehfilon main hamaray ulmaa-e-karaam shaheed kar diyay jatay hain…. firqawarana fasaadaat ko pedaa karnay k liyay hamaray ibadatgaahon ko nishaana banaya jata hay…mager ham par kuch asar nahi hota….k hamari tao zindagiyoun main hei Islam ka jazba hamaray dilon say mit’ta chala jaa raha hay… yahi haal rahaa tao na tao hamara jeenaa hamaray kisi kaam aae gaa na hamari mot say kisi qisam ka koi nafaa hasil hogaa….balkay munafiqana mot par tao dozakh k gharay hei hamaray muntazar hon gay….apnay aslaaf kei azmaton ko dekhtay hain tao un k naqsh-e-paa ko mashal-e-raah bana kar chalnay ka hoslaa bedaar hota hay aur jab apnay ghatiyaa kirdaar par nazar kartay hain tao sharm-o-nidaamat say sar jhuka letay hain…hamaray ashk aslaaf k qaabl-e-fakhar kirdaaron par aqeedat kay aur hamaray apnay gunahon par nidaamat k ehsaas say labrez hotay hain….aur shayad jazbat-o-ehsaasaat ki issi kefiyat kaa naam zindgani hay… Haqeeqat main wo loutfay zindagee paayaa nahi kartay Jo yaad-e-Mustafa say dil ko garmaayaa nahi kartay Nadaamat saath lay kar hasher main aey aasiyo jaanaa Sunaa hay sharm walon ko wo sharmaya nahi kartay Jo inn k daaman-e-rahmat say wabasta hain ae hamid Kisee kay saamnay wo haath phelayaa nahi kartay….. aslaaf kee shaan ka ziker karna mehaz qaseedaagoi nahi hay balkay hamaray aslaaf kei khoobsoorat batain hamara qeemti sarmaya hain…aur iss warsay main milay sarmaya kei hifazat ka fareezaa mehaz makhsoos ayaam main un kei yaadain dohraa kar adaa nahi ho saktaa…balkay unn kei achee achee baton ko tahaayaat apnay kirdaaron ka hissa bana kar hei ham unn kei nisbat say pehchaanay jaa saktay hain…kaya pata guzartay maah-o-saal main ham main say kon kon kab kab apni jaan say guzar jae gaa…jo Musalmaan apni saanson say jeenay ka ehsaas naa paa sakay aur apni zindagei ko kisi naik maqsad main na guzaar sakay… wo doosray insaanon say apnay saath kis qisam kei bhalai kei tawaqo rakhtay hain???? Ham namaaz main kin par salaam bhejtay hain aur haqeeqi zindagiyon main kin k naqsh-e-paa kei perwee kartay hain??? Kaya yay tazaad hamain roohani becheniyoun aur pastiyon kei taraf nahi layjaarahaa???? Allah kei rehmat ko sachay dil k saath toba ashtaghffaar kartay hoovay thaam kar hei ham haqeeqi sakoon aur apni baatilana sochon par kaamil fataah paa saktay hain……. Aasiyo Thaam Lo Daaman-e-Mustafa………………. Phir Kaho Rabb kei Rehmat Pe Laakhon Salaam Assalamoalaikaa Ayoohanabaiyoo Warahmatullahi Wabarakatu ASALAMOALAINA WA’AALA IBAAD Allahi thoaleeheen Sallooalaihiwa’aalihi dge Acts And Will Of Allah The Desire" اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔