Qufl e Madinah مراسلہ: 19 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 19 مئی 2008 Is Topic main Meethay Meethay Murshid Ameer e Ahlesunnat k Pyaray Pyaray Ilm o Hikmat say bharay huwe Farman Share karain Mere Meethay Murshid ki baatain Aab e zir say likhnay k Qabil hain Bazahir choti si baat ho gee laikin gor karnay walay k liye Ilm o Hikamat ka khazan hath aaye ga Allah hamain Hamesha Bapa jaan k daman say wabasta rakhay.Aameeeeeeeen Bijahin nabi yel ameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qufl e Madinah مراسلہ: 19 مئی 2008 Author Report Share مراسلہ: 19 مئی 2008 Ameer e Ahlesunnat farmatay hain 1)Ishq e Rasool say barh kar koi dolat nahi. 2)Jis khush Naseeb ko Ishq e Rasool ka Anmol khazana mil gaya usay mazeed kisi dolat ki hajat nahi. 3)Muhabbat e Rasool a'ain Iman hai is k bagair zindagi fazool hai. 4)Ishq e Rasool k bagair zindagi weeran aur khushk hai. 5)Haqeeqi maldar wo hai jo dolat e Ishq e Rasool say behramand ho. 6) Hadaiq e Bakhshish Imam e Ahlesunnat Aashiq e Mah e Risalat Molana shah Ahmad Raza Khan ka Ishq o masti main dobay huwe kalam ka majmoa'h hai main kehta hun jisay Ishq e Rasool ki Talash ho wo is Mubarak kitab ko bar bar parhay us k dil muhabbat e Rasool say zaroor sarshar ho jaye ga. 7)Agar mujhe yaqeeni tor per Dua ki qabooliyat ki ghari atta ho jaye to main us waqt apnay mohsin Aaqa per sirf Darood e Salam hi parhun ga. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam E Mustafa مراسلہ: 19 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 19 مئی 2008 JazakAllah Azawajal..... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
marhaba مراسلہ: 19 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 19 مئی 2008 very very nice sister ap is silsalay ko jari rakhay BAPA JAN kay farmodat par to ankhay band kar kay amal karna chaheyae apni aqal kay ghoray nahi doranay chaheyae amal karnay main ap hi ka faida ho ga hamaray BAPA JAN to aisay ha k un ko to hamari sehat ka bi bara khiyal rehta ha hamain wo buhat tibi mashwaray ata farmatay ha jin say buhat faida puhanchata ha halankay peer rohani doctor hota ha lakin hamaray BAPA JAN jismani doctor bi ha ALLAH hamaray BAPA JAN kay ilam,amal,sehat aur umer may barkat day un kay darjaat mazeed buland farmayae AMEEN اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qufl e Madinah مراسلہ: 20 مئی 2008 Author Report Share مراسلہ: 20 مئی 2008 Mere Meethay Murshid farmatay hain 1)Maal ki Muhabbat main halakat he halakat hai jab k Moula aur Mustafa kareem ki muhabbat main nijat he nijat hai. 2)Safr e Madinah ki takleef bhi Phoolon ki tarhan khushgawar hoti hai. 3)Jis Dil main Soz e Ishq e Rasool na ho wo banjar zameen ki tarha hai. 4)Mizaj main "chirchirapan aur gusa" raah e tableeg bal k duniya k deegar mua'mlaat k hal main b rukawat hai. 5) Gusaa ki aadat nikal do warna pachtana paray ga. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Jazba-e-Deen مراسلہ: 21 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 21 مئی 2008 JazakAllah buhat achi sharing hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
سگِ عطار مراسلہ: 21 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 21 مئی 2008 .. Buhut Acha Topic Start Kiya Aap Ney... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qufl e Madinah مراسلہ: 23 مئی 2008 Author Report Share مراسلہ: 23 مئی 2008 , Buhat acha izafa kia hai........ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah مراسلہ: 24 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 24 مئی 2008 ey kash hum Murshid k farameen pr murrr mitny waly bun jaain........ eeyy kaassssshhhhhhhh...........hum in sb baaton pr amal krny ki taufeeq paa lain..........ey kaasshhhh.........!! MUTEE APNY MURSHID KA MUJ KO BANA DY..... ME HO JAUN IN PR FIDA YA ILAHI.......!! SADA PEER O MURSHID RAHEN MUJ SY RAZI KABI B NA HOON YE KHAFA YA ILAHi.....!! BARHY BY QARARI, ME MURSHID PY WAARI, YOON HO JAUN IN PR FIDA YA ILAHI.....!! aameeeeeeeeen bijahin Nabiyil ameeeeeeeen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 24 مئی 2008 Report Share مراسلہ: 24 مئی 2008 mashah allah bohat payari batain share ki hain.bas app sab se madani ilteja hai kay isi tarhan bapa jaan ki batain humay batatay raha kijiye.ya allah humay in batoon per amaal kernay ki toofiq ata farmaa.(ameen) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah مراسلہ: 1 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 1 جولائی 2008 *~. Farman e Murshid: "kon kisi ka sath deta hy...?? dil badalty dair nhe lgti; waqt k sath afkar, soch aur khayalaat badal jaty hain...!!" اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Karam Ho Ya Rasool Allah مراسلہ: 1 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 1 جولائی 2008 (ترمیم شدہ) kaya hi sach kaha bapa jaan nay............. jazak allah hu khaira behna................bohat payari baat share ki hai........... Edited 1 جولائی 2008 by Karam Ho Ya Rasool Allah اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Qufl e Madinah مراسلہ: 1 جولائی 2008 Author Report Share مراسلہ: 1 جولائی 2008 Ameer e Ahlesunnat farmatay hain : 1)Baat Baat per logon ko jhar dainay ki a'dat Insan ko Qehr e muzilat main dhakail daiti hai. 2)Dant dapat ki a'dat basa auqat ba'isay nidamat hoti hai. 3)Baat Baat per routh janay wala deen ka kaam kar he nahi skta.Deen k mubaligh ko to chaheye k wo apnay dil ko misl e samundar banaye rakhay k samundar Barish,nadi aur absharoon k shreen pani k saath saath ganday naloon ko bhi ly kar chalta aur apnay rang main rang dalta hai. 4)Sab logon say hans hans kar garam joshi k saath miltay raha karo duniya main har dil azeez ban jao gay aur aakhirat main is ka ajr pao gay. 5)Har aik k saath purtpak tareeqay say milnay wala sab ka manzoor e nazar ho jaya karta hai. 6)Agar aap ye gur jan gaye k "Kahan kya bolna chahaye" to izzat o shokat zarur aap k qadam chomay gee. was'salam ma'alikram اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faizan e Attar@Madani Inaamat مراسلہ: 1 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 1 جولائی 2008 JAzakumullahu khiara ameen Ammeer e Ahlesunnat damat barakatuhumul aaliya apney bayan -----AIK MUBALIGH KO KESA HUNA CHAHYEE ----- me fermatey hein, Hazret Baba Faridudeen Shaker Ganj (Rahmatullahe Alihe) Fermatey hein, " wo Mureed bht khoush Naseeb hey ju apney Peer k alfaaz , Goush e Housh sey sunnta aor inko likh leta hey """ """"JU Mureed Apney Peer K malfoozaat sunn ker likh leta hey ,,, usey her her Haraf k Badley Hazaar Hazaar saal ki eta'at ka swab milta hey , aor merney k baad uss ka muqaam ELLIYYEEN me banay Jata hey """ ( Abrarul Uliya) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Hanafi Muslima مراسلہ: 2 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 2 جولائی 2008 MashaAllah Nice Sharing Jazakillahul Khaira(Nameeen) اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madinah_Madinah مراسلہ: 17 جولائی 2008 Report Share مراسلہ: 17 جولائی 2008 Faramein Ammeer e Ahel sunnet damat barakatuhumul aaliya. Babul Madina 1- Madani kaam jahan jahan nahi hu raha iss k liyee ........kurrtey rahein.........jab tak kurrtey rahein gey ..........kaam banta chala jaiy ga . Babul Madina 2- Mehrubaani Fermain .................Mery Haal per reham fermain ...........mujey apki bht zarurt hey.................(Madani Muzakara Ijtemayee etekaaf 1428 Hijri). Babul Madina3- Dawat-e-islami k hu ker reh jain.........aor apney ooper zimmey daari dawateislami ki koee na koee daal lein..................(Madani Muzakara Ijtemayee etekaaf 1428 Hijri). Babul Madina 4- Mera Dill Chahta hey k sab Dawateislami ka madani kaam Mitt KER karein. Babul Madina 5- Mayoosi ka Lafaz apni Dictionary sey nikaal dein . Babul Madina 6- HIMMET NAHI HAARINI CHAHYEE. Babul Madina 7- Ju Active mubaligh hutey hein ........wo lagey rehtey hein..........ju madani kaamu sey door hu jatey hein ..............wo madani mahol sey bi dooor hu jatey hein. Babul Madina 8 - Zimmey Daari ley ker banda bach jata hey ,aor madnai mahol sey jurra rehta hey. Babul Madina 9- Me darta tha k itna bara kaam me nahi ker sakta .......lakin jazba tha ....Ullama e Ahlesunnet ney mujey Ammeer e Ahle sunnet ka Khataab dey ker..........muj per itni bari zimmey daari daal di ........k me zimmey daari me Jakkerrr ker reh gaya..............( aor aaj Dawateislami ap k samney hey.) Babul Madina 10- Ager salahiyyet hey tu Khud agey barrh ker apney Zimmey daaroon sey baat karein k mujey koee zimmey Dari sonp dijyee. Babul Madina 11- bara12 madani kaam kerney ki zimmey daari sab qabool fermain...........( etekaaf kerney waloon sey fermaya.) Babul Madina 12 - ham jahan bi rahein gey ..........dawateislami ka madani kaam kertey rahein gey .......TAN----MANN-------DHAN---------sab dawateislami ka hey.(ferman e Nigraan e Shoora). -----------------------------------Madinah------------------------------------ methey bapa jaan k inn feramain .....amm mureedun k liyee feramain hein..........lakin khaass mureedoon k liyee ..........Ahkaamaat hein. 3 shab Rajabul Murajjab 1429 hijri. Madina shareef ka waqet 9-45 pm. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attari.Tdm مراسلہ: 20 اگست 2010 Report Share مراسلہ: 20 اگست 2010 Assalam O Alaikum Plz Ap Daily Aameer Ahla Sunnat K Madni Phool Post Lazmi Karan Mari Ap Se Madni Iltija Hai Kia Mai Bhi POst Ker Sakta Hun اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast مراسلہ: 20 اگست 2010 Report Share مراسلہ: 20 اگست 2010 Assalam O Alaikum Plz Ap Daily Aameer Ahla Sunnat K Madni Phool Post Lazmi Karan Mari Ap Se Madni Iltija Hai Kia Mai Bhi POst Ker Sakta Hun Wa ALaikumussalam ismaimehfil main aap bhi khushamdeed aor ji han aap bhi post kar sktay hain .. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Attaria786 مراسلہ: 20 اگست 2010 Report Share مراسلہ: 20 اگست 2010 2 times LIVE madni muzakara AMER AHLAY SUUNAT ka lagta hai .RAMZAN MUBARIK main to plz must watch timing 3:00 PM to 5:30 PM and 11:00 PM to 2:30 AM .. madni ilteja madni muzakray main asa ilam hota hai k barsoon tak kitabain parain pher b nahi milta to zaroor deakh karain waslam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Janti Zever مراسلہ: 10 اگست 2012 Report Share مراسلہ: 10 اگست 2012 for sharin faizan e madni muzakra jari rahey ga اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AaqaKaMujrim مراسلہ: 24 فروری 2014 Report Share مراسلہ: 24 فروری 2014 Mafhoom arz hai (ba-waasita Islami bhai)"Sunnat ke mutaabiq Waleema karne wale apni Mazaaro me chale gaye." اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AaqaKaMujrim مراسلہ: 3 مارچ 2014 Report Share مراسلہ: 3 مارچ 2014 Mafhoom arz hai -" 'Eteraaz' ye Nifaaq ko janm deta hai." اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mubahsir مراسلہ: 31 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 31 اکتوبر 2014 Bohut achi post hai aur buhot acha kam kar rahe hai ap log. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔