Jump to content

Na'at khwan charging to attend mahafil


ottomanhanafi

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

Mein UK ka rhnay wala hoon aur mujhey suney ko aya ke baaz thana khwan mahfil tab jaatey jab unhey fix fee milay. yaha tak suna hain key Owais Raza £2000 baaz auqaat talab kartey. Is hawaley se 'ulama ka kiya nukta-e-nazar hein. Mein to hayraan hoon kay Owais bhai jeysey parhey likhey aadmi bhi na'at ko karobaar banaliya.

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

wesy........sirf suni sunai pr yaqeeen kr lena........ :unsure:

hadis e pak ka mafhoom hy,

insan k jhooota hony k liye yehi kafi hy k wo suni sunai pr beghair tehqeeeq yaqeeen kr k aagy puhcha dy......

 

 

ALLAHU AALAM k haqeeeqat kia hy...??

MUjy itna pata hy k hamary sheher me Owais Bhai ko jb b bulaya hy intehai tang dastoon ny bulaya hy, aur jin ny unko bulaya tha,un ny KHUD BATAYA tha k Owais bhai free or cost aay hain, koi fee etc nhe maangty.....

 

Muazzim e deeeni k baary me Budgumani nhe krni chahiye.......

read resala Budgumani (by al madinatul ilmiya)

 

Edited by madinah_madinah
Link to comment
Share on other sites

BARAY MADINA AP ...........as soon as possible

 

risala ..........jiss ka naam hey

 

NAAT KHUWAAN AOR NAZRANA...........hasil ker k peryee

 

insha Allah Azzawajal sari baat samaj me aa jayee gi

 

aik baar perney sey samaj na ayee

 

tu pir paryee...........pir bi kuch confusion hu tu .......ullam e karam sey rabta karein.

 

http://www.dawateislami.net/services/askim...u/udefault.aspx

 

issk ilawa Naat khuwani k 12 madani phool perna bi bey-had mufeed rahey ga

 

insha Allah Azzawajal.

 

http://www.dawateislami.net/library/detail.aspx?litid=lit-71

Link to comment
Share on other sites

(salam)

ye ghalat hay. owais bhai paisey talab nahi karte hain.

 

naat khuwan or nazrana booklet ka mutaliya kejye. is main hay ke naat khuwani ki ujrat haram hay.

 

or mujhe kisi ne bataya tha or ye bat confirm hay ke owais bhai se qtv par kisi ne phone se suwal kya ke ap naat khuwani ki bohot ujrat lete hain. tu unho ne kaha bhai sab se pehle tu main apka shukrya ada karon ga ke ap ne ye suwal poch lya. aj main tv par beth kar is masale ko clear kar don. takey logon ke dilon se shubhaat or bad gumani dor ho jaye. main ne aaj tak kisi se 1 rupya bhi talab nahi kya naat parhne par. ab agar kisi ne khud de dya tu ye jaiz hay.

 

or is ke bare main bhi naat khuwani or nazara booklet main tafseel mojod hay or momin par husn e zan rakhna wajib hay. pas aisi bad gumani na karani k naat khuwan riyakari ke lye parhta hay ya paise le kar parhta hay. ke quran e pak ki ayat ka mafhom hay ke momino aksar gumano se bacho beyshak baaz guman gunah hain. or alahazrat (ra) fatawa razwya sharif main farmate hain. "khabees guman khabees dil main paida hota hay"

 

bad gumani se related ameer e ahlesunnat ka bayan "badgumani gunah hay" or nigran e shora ka bayan "badgumani" sunye.

 

or ye baat sahi hay k jab kisi ko koi naimat milti tu hasideen paye jatey hain. tu naat khuwano ko awaz ki naimat mili tu ab hasideen tarha tarha se afwahain udatey or badgumani karte or gheebaton or bohtano ka silsila shurow karte hain.

 

Allah humain badgumani, ghebaton, bohtanon se mahfoz farmaye. ameen

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Ager Time Ka Ijara Ker Liya Jaye Aur Phir Naat Khuwani Key Liye Bulaya Jaye Tu Naat Khuwani Key Yeh Ujrat Halal Hai Aur Yeh Masala Bhi Naat Khuwani Aur Nazrana Booklet Mein Ghaliban Mojod Hoga... Madani Muzakiron mein Ameer-e-Ahle Sunnat (dba) Ney Yahi Irshad Fermaya Hai.. Aur Momin Per Husn-e-Zan Rakha Jaye..

Wassalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

(bis)

(saw)

(salam)

see dis video

 

i dont thnk so k saary Maroof sana khuan pesy lety hain:

 

 

name="allowFullScreen" value="true"></param><embed src="
type="application/x-shockwave-flash" allowfullscreen="true" width="425" height="344"></embed></object>&">
name="allowFullScreen" value="true"></param><embed src="
type="application/x-shockwave-flash" allowfullscreen="true" width="425" height="344"></embed></object>&" type="application/x-shockwave-flash" wmode="transparent" width="425" height="350" />

Edited by madinah_madinah
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...