Jump to content

Ahtijaji Juluus Aur Islam Mein Unki Hasiat Kia Hai??????


Abdul Mustafa

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

 

 

Dawate Islami Per Aitraaz Kia jatahai k ham loog Ahtijaji Juluus nahi nikaltay,iska jawab kia hoga???

Misaal k taur per Namuus-e-Risalat k liye juluus ham kiyun nahi nikaltey????

Please Any One Answer.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Mere piyare bhai mein buhat hee kam ilm hoon, itna to patta naheen. Mein apne ilm k mutabiq is ka jawaab dene ki koshish krta hoon. Pahli baat ye k "Kia sirf ihtijaaji juloos nikalina hee kaafi hai???" Naheen, aur hargiz naheen. Sirf ihtijaaji juloos nikalinna hee kaafi naheen hai. Agar hum apne hukmiranon se kissi cheez ka mutaliba krte hain, to is se pahle hum ko khud ko badalinna parega. For Example: "Hum hukmiranon ko kahte hain k Denmark se safarti t'aluqaat khatam karden, aur un ki products ka bycott krden." Lakin hum ne apne aap ko dekha hai ??? Sirf products ka bycott ya safarti t'aluqaat khatam krna hee kaafi naheen hai. Hum aaj sirf naam k musalimaan rah gae hain. Y'ane hum sirf "Nasli" musalimaan hain, "Asli" Musalimaan naheen. Hamare chahire pr darhi naheen hai. Hamare jism pr angrezon k malboosaat hain (Paints, shirts, coat n Ties.). Hamare ghar men un hee logon ki Movies, dramas aur na jane kia kia chal rahe hain ??? To mere bhai sab se pahle to hum ko khud ko bycott karna hogga, un kufaron ki soorat ka (Y'ane hum ko chahire pr daarhi sajani hoggi, jis ka aaj ye 1400 saal pahle piyare aaqa (saw) ye kah kr ne hukum diya tha k "Apni munchhon ko khoob past karo, aur darhiyon ko mu'aafi do. Yahudiyon see soorat mat bano." ). To kia hum un k chahire ka bycott karine k liye tayyar hain ???? Kia hum un k malboosat ka bycott krne, aur sunaton bharra libaas pahnine k liye tayyar hain ??? Kiya hum un ki movies dramas, channels, Dish , cable wagherah ka bycott karne k liye tayyar hain ? Kia hamari Islami bahnen parda karke un ki be raah rawi ka bycott krne k liye tayyar hain ???

 

Ishq sirf buland baang d'awe naheen balike k amli saboot b maangita hai. Agar hum khud un ki in cheezon ko bycott naheen kr rahe hain, to hamare hukmiraan kahaan un ka, aur un ki products ka bycott karen ge ??? Lihaza sirf ihtijaaji juloos nikalinna, aur buland baang n'are lagane ka naam "ISHQ" naheen hai.

 

Aur agar bil farz is se "ISHQ" ka izhaar hotta b hai to, aaj kal k halaat aise naheen hain k "Is qism k ihtijaaji juloos kiye jaen."

 

BCoz k "Dawat e Islami aik Non Political, Non Terriorist aur Non Extriemist Quran aur Sunnat International tehreek hai. Ab agar bil farz is ka juloos nikalitta b hai, to koi shar passand sabz imama pahin kr, aur safed libaas pahin kr, Jalao, pathrao wagherah karta hai to yaqeenan is se Dawat E Islami ka image kharaab hogga. aur is ki maqbooliyat b kam hoggi."

 

Lihaza issi wajah se Dawat E Islami sirf khaali n'aron aur ihtijaajon wala juloos naheen nikalitta. Dawat E Islami amlan pichhle (26+2) 28 barson se kufar ka munh kalla kr rahi hai, aur un ki soorat ka, un k malboosat ka, un ki Movies, aut un k har us fa'il wagherah ka bycott krne ka dars de rahi hai, jis se Allah (azw) aur us k Habeeb (saw) ne manna farmayya hai.

 

Umeed hai k aap ko meri baat samajh men aa gaee hoggi.

(salam)

Edited by Mudasir Yaseen
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...