Jump to content

Allah ne sub se pehlay kia paida kia? HADITH-E-NOOR

Ghulam E Mustafa

تجویز کردہ جواب

  • 1 month later...

Sag-e-Attar Bhai app ne jo kuch likha buhat acha likha MasahAllah but listen Wahabi Kharabi ka koi ilaaj nahi yeh logh Nabi ki zaat say bughz rakhtay hain iss liye yeh Radd chukay hain.

Maine kal hee '' La'Nabi Ba'adi '' Monthly Magazine ke aik shumaray main para hai ke '' Milaad Publishers Lahore '' ne Hadith-e-Noor per aik Book chappi hai jiss main Sanad bhi sath hee hai InsahAllah main '' La'Nabi Ba'adi '' ka woh Page jald scan kar ke post karne ki koshish karoon ga.

Per phir wohi Baat Wahabi Kharaabi ka koi elaaj he nahi.

Link to comment
Share on other sites

asa

yeh riwyat buhat jagha per mozo behs rahee hay .aour her dafa is per sub say bara aitraz he yeh hay kay is kee sannad kowee nahin .aour jis kitab ka hawala diya jata hay ,us kay bhee jis hisay main yeh riwyat batayee jatee hay woh ghum shuda hay.

abb sawal to yeh hay kay jab yeh riwayat kisi kitab main mojod hee nahin to phir is say estadlal kaisa.

aik sahib nay likha kay dubai kay aik mohaqiq nay is per tehqeeq kee hay.yahan bhee yeh sawal hay kay woh tehqeeq kiya thee.kiya unhoon nay us kitab ko talalsh kiya.ya woh kitab un ko kaheen say wirsay main mili.akhir un kee tehqeeq kis baat per thee.

abb yahan per aik baat aour hay , kay sannad pochnay walay us ko sanadan ghalt sabit karna chahtay hain.halnakay yeh riwyat sandan bhee ghalt hay mitannan bhee.is leyai kay yeh khilafay quran hay .khilafay hadith hay.

khilfay quran is leyai kay quran nay anbiya ko bashar he kaha hay noor nahin.allah aik jagha kehta hay kay agar duniya main kowee farishtay hotay too main farishta hee paighambar behjta .isi tarha allah nay kaha kay main nay sub say behtar taour per insan ko tehleeq kiya hay.yeh kuch intehayee mukhtasir dalail qurani hain jo is baat ka ishara kar rahay hain kay nabi insan hee hota hay.

isi tarha kam o baish 45 ahadith aisee hain jis main nabi akram saw nay apnay app ko bashar kaha hay .inhee main kuch ahadith aisee hain jis main kisi sahabi nay app ko bashar kaha hay.

in dalail kay hotay howay yeh baat buhat he wazeh hay kay yeh riwyat theek nahin.aour is per esrar karna bhee theek nahin.

aik request hay aik dosray ko buray namoon say yaad karnay say behtar hay hum ekhlaq say baat karain.jazakallah khairan

Link to comment
Share on other sites

abb sawal to yeh hay kay jab yeh riwayat kisi kitab main mojod hee nahin to phir is say estadlal kaisa.

ap ne sab se pehli post pedhi hay? bohot se naamwar muhadisen ne ise masnaf abdul razaq se naqal kar k sahi likha hay..

aik sahib nay likha kay dubai kay aik mohaqiq nay is per tehqeeq kee hay.yahan bhee yeh sawal hay kay woh tehqeeq kiya thee.kiya unhoon nay us kitab ko talalsh kiya.ya woh kitab un ko kaheen say wirsay main mili.akhir un kee tehqeeq kis baat per thee.

baghair topic pedhey reply hoga tu is se bhi zyada mazahya suwalat post hone ka khadsha hay.

abb yahan per aik baat aour hay , kay sannad pochnay walay us ko sanadan ghalt sabit karna chahtay hain.halnakay yeh riwyat sandan bhee ghalt hay mitannan bhee.is leyai kay yeh khilafay quran hay .khilafay hadith hay.

lejye naya fatwa.. kya kya jaye jab aise fatwe chalte hain tu na sahabi bachte hain na tabaee.. mohadisen tu bohot bad men hain.

khilfay quran is leyai kay quran nay anbiya ko bashar he kaha hay noor nahin

ye tu ap keh rahe hain. dar ul ifta deoband ki bhi sun len.

noor_o_bashar_darulifta_deobandar.GIF

ab hum kis ki manain?

yeh kuch intehayee mukhtasir dalail qurani hain jo is baat ka ishara kar rahay hain kay nabi insan hee hota hay.isi tarha kam o baish 45 ahadith aisee hain jis main nabi akram saw nay apnay app ko bashar kaha hay .

tu hum ne kya bashriyat ka inkar kya hay? bashryat ka munkir tu kafir hay. or kya noor o bashar aik dosre ki zid hain? kya aaqa (saw) main ye dono khusosyat nahi payi ja sakti hain? jibrail (as) kayi bar bashari roop men aaqa (saw) k pas hazir howe. tu hazrat jibrail (as) noor hain ya bashar?

in dalail kay hotay howay yeh baat buhat he wazeh hay kay yeh riwyat theek nahin.aour is per esrar karna bhee theek nahin.

ye tu ap keh rahe hain. rashid gangohi sahib fatawa rashidiya main kuch or kehte hain. ke ye riwayat saha sitta main nahi hay magar hazrat shah wali ullah (ra) ne sahi kaha hay. faqat bandah rashid gangohi..

ab hum kis ki manain?

Link to comment
Share on other sites

ap ne sab se pehli post pedhi hay? bohot se naamwar muhadisen ne ise masnaf abdul razaq se naqal kar k sahi likha hay..

bahi sahib jab yeh kisi kitab main hay he nahin to kis tarha say mohadiseen nay isi naqal kiya..aour dosree baat kay jab yeh hay hee quran o sahih ahadith kay khilaf to phir kowee bhee mohadith hoo chahay imam bukhari hee hoon un ke baat bhee naqabilay amal ho ghee.

baghair topic pedhey reply hoga tu is se bhi zyada mazahya suwalat post hone ka khadsha hay.

yeh topic kayee fourm per chal rah hay aour her jagha sirf or sirf yehee baat duhrayee ja rahee hay kay janab isay chunkay buhat say mohadatheen nay naqal kar diya hay is leyai sahih hay.mashallah kiya tarz aiy istadlal hay.

lejye naya fatwa.. kya kya jaye jab aise fatwe chalte hain tu na sahabi bachte hain na tabaee.. mohadisen tu bohot bad men hain.

ubaid bahi main nay isay khilafay quran o hadith kaha hay to yeh naiay fatawa na howa bulkay usoolay hadith ke bunyad hay.

ye tu ap keh rahe hain. dar ul ifta deoband ki bhi sun len.

allah dar al uloom waloon ke bhee ankahain kholay aour un ko bhee hidayat day.aour taqleed say bahir nikal kar sochnay ke toufeeq day.ameen

tu hum ne kya bashriyat ka inkar kya hay? bashryat ka munkir tu kafir hay. or kya noor o bashar aik dosre ki zid hain? kya aaqa (saw) main ye dono khusosyat nahi payi ja sakti hain? jibrail (as) kayi bar bashari roop men aaqa (saw) k pas hazir howe. tu hazrat jibrail (as) noor hain ya bashar?

bahi mera yeh kehana hay kay app saw noor thay hee nahin bulaky app ke taleemat ,o irshadat noor thay.aour qiyamat tak yeh her muslaman kay leyai noor he rahain ghay.aour hum isi noor kay nateejay main quran o deen ko samhj saktay hain.

to kiya kabhi sydna jabareel ko bashar kaha .nahin. kiuon kay woh noor thay is leyai agar woh kabhi bashri roop main app bhee gayai to noor he kehlatay hain.

aour main buaht achee tarha janta hoon kay app mairee is baat ko too tasleem nahin karain .ghay.magar app saw ko noor sabit karna shia ka kaam hay.aour us ke wajha woh apnay imamoon ko nooree makhlooq kehtay hain.aour un kay imam jab hee noor sabit ho saktay hain kay jab nabi akram saw ko noor kaha ja aiy .warna to aitraz karnay walay shia ko tanna day saktay hain kay tumharay imam kaisay noor hay jab kay tumharay nabi saw bashar hain. isi aitraz say bachnay ke wajah say shia yeh riwyat gharee kay app saw noor hain.app to shayad is baat ko na manain.magar aik riwyat main yeh baat kahee gayee kay main aour ali noor say banain hain.

ye tu ap keh rahe hain. rashid gangohi sahib fatawa rashidiya main kuch or kehte hain. ke ye riwayat saha sitta main nahi hay magar hazrat shah wali ullah (ra) ne sahi kaha hay. faqat bandah rashid gangohi..

ab hum kis ki manain?

bahi jo baat haq hoo usay manain . magar aik baat hay app nay mairee kisi ayat per kowee baat nahin likhi.

Link to comment
Share on other sites

quran o sahih ahadith kay khilaf to phir kowee bhee mohadith hoo chahay imam bukhari hee hoon un ke baat bhee naqabilay amal ho ghee.

  1. Bara-e-Karam Aap Quran-o-Hadees Sey Woh Dalail Post Ker Dein Jo Sarkar (saw) Key NOOR Honey ki Nafi Kerein.. Note Ker Lein.. Noor Honey Ki Nafi... Bashar Honey Key Dalail Nhin.. Kiyon Key Bashariyat Key Hum Qa'il Hain...
  2. Ya Noor Aur Bashar Ko Aik Dosrey Ki Zid Sabit Ker Dein Tu Bhi Muamla Hal Ho Jaye Ga...
  3. Aap Keh Rahey Hain Key Hadees Ki Sanad Nhin Hai.. Aap Pichli Posts Check kerein Main Ney Hadees-e-Pak Ki Mukamal Sanad Post Ki hai.. Aur Us Sanad Per Warid Aetarazaat Ka Rad bhi Post Kiya Hai.. Aap Is Sanad Per Apna Tehqeeqi Jawab Post Ker Dein.. Pata Chal Jaye Ga Oney Poney Damoon Jadeed Muhaqiq Koun Hai...
  4. Jo Sarkar (saw) Ko Bashar Bhi Maney Aur Noor Bhi Maney Us Per Shariat Ki Taraf Sey Kiya Hukm Lagey Ga?

Umeed Hai Aap 4 Suwalon Key Tarteebwar Jawab Post Kerein Gey Aur Koi Idher Udher Ki Bat Nhin Kerein Gey..

Qayamat tak koi aise Ayt ya hadith nahi pesh kar sakty jiss mein Sarkar (saw) ke noor hone ki nafi ki gai ho. InsahAllah...

Link to comment
Share on other sites

Bara-e-Karam Aap Quran-o-Hadees Sey Woh Dalail Post Ker Dein Jo Sarkar (saw) Key NOOR Honey ki Nafi Kerein.. Note Ker Lein.. Noor Honey Ki Nafi... Bashar Honey Key Dalail Nhin.. Kiyon Key Bashariyat Key Hum Qa'il Hain...

buhat he acha sawal kiya hay .aur is jawab bhee isi sawal main hay.yani chunkay nabi akram saw ko kowee noor kehta hee nahin tha to is kee nafi bhee quran main naa ayee.sedhee see baat hay kay agar app saw ko kowee noor kehta too is mozo per kowee ayat milti.quran ka is mamlay main khamoosh rehna is baat ke daleel hay kay app saw noor na thay.

Ya Noor Aur Bashar Ko Aik Dosrey Ki Zid Sabit Ker Dein Tu Bhi Muamla Hal Ho Jaye Ga...

bahi yeh mamala garamaar ka nahin hay.aik aqeeday ka masala hay.is kay leyai quran o hadith say bhee baat ho saktee hay gramar say nahin.

Aap Keh Rahey Hain Key Hadees Ki Sanad Nhin Hai.. Aap Pichli Posts Check kerein Main Ney Hadees-e-Pak Ki Mukamal Sanad Post Ki hai.. Aur Us Sanad Per Warid Aetarazaat Ka Rad bhi Post Kiya Hai.. Aap Is Sanad Per Apna Tehqeeqi Jawab Post Ker Dein.. Pata Chal Jaye Ga Oney Poney Damoon Jadeed Muhaqiq Koun Hai...

bahi is per tehqeeq to main tab karoon jab main is hadith ko sahih samjhta hoo. main nay quran o sahih hadith say baat ke hay . aour quran o hadith kay mutabiq app saw bashar thay.

Jo Sarkar (saw) Ko Bashar Bhi Maney Aur Noor Bhi Maney Us Per Shariat Ki Taraf Sey Kiya Hukm Lagey Ga?

app saw noor nahin thay.aour yeh baat khilafay quran hay khilafay hadith hay .abb khilafay quran o hadith juram per app jo bhee saza daina chahain woh bata dain .

Link to comment
Share on other sites

  • 5 years later...
  • 10 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...