Jump to content

Kia in Mazaro'n aur Qabron ko Dha daina jaiz nahe?


Commander_Faisal

تجویز کردہ جواب

(bis)

Salam to all muslims,

Muhtram "Ghulam E Mustafa" sahib main nay to abhi tak kaha hi nahi kay in mizaron per buri harkat hoti hain is liyey in ko dha deyna chaheyay,aap kay apnay dil main chor hay to alag baat hay.In Mizaron ko dha denay ki baat is liyey ki gai hay kiyun kay yeah islam main jaize nahi hain.

Aur yeah aap log kiya propergenda kertay rehtay hain kay ham "Roza-e-Rasool" ko dhana chahtay hain aap nay meri kis ibarat say yeah nateega nikala hay, is trah kay jumlay istemal ker kay logo ko nafsiyati tor per badzan na kiyea jaye ,Or inshaALLAH Band inhi logo ka bajay ga jo nam nihad "Ishq-e-Rasool" ka libada orh ker apnay buzurgo ki baton ko Rasool (S.A.W) ki batoon say ooper rakhtay hain.Bray Meherbani Tehzeeb kay dairay main reh ker Quran-o-Hadees kay Dilail kay sath baat ki jaye.Mehaz tanay deynay say kam nahi chalay gay.

Salam.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Faisal Sahib Aap Thora Sabr Sey Kam Lein... Aur Tasali Sey Discussion Mein Hissa Lein.. Abhi Aap Sahi Jaga Per Pohnchey Hain... Insha Allah (azw) Aapkey Her Aitaraz Ka Jawab Diya Jaye Ga.. Bas Aatey Jatey Rahiye Ga...

 

Bray Meherbani Tehzeeb kay dairay main reh ker Quran-o-Hadees kay Dilail kay sath baat ki jaye.Mehaz tanay deynay say kam nahi chalay gay.

 

Yahan Per Abuse Language Use Kerney Ki Kisi Ko Ijazat Nhin Hai... Koshish Hoti Hai Key Apney Members Ki Posts Sey Bhi Aisay Alfaaz Edit Ho Jayen.. Ager Nazer Mein Aajatey Hain Tu... Is Liye Pur Aman Mahol Mein Behs Hogi Dalail Sey.. Kisi Post Mein Aisay Alfaaz Nazer Aayen Tu Report Ker Dein...

 

koi Mod yahan us ki kitab ka Hawala likh dain.k us ne ye Khabees abarat kahan likhi hai..

 

Najdi Apni Kitab Auzah Al-Baraheen Mein Likhta Hai...

 

Huzoor (saw) Ka Mazar Gira Deney Key Laiq Hai Ager Main Is Key Gira Deney Per Qadir Howa Tu Gira Doun Ga... (Naoz Billahu Min Zalik)

 

Aur yeah aap log kiya propergenda kertay rehtay hain kay ham "Roza-e-Rasool" ko dhana chahtay hain

 

Faisal Sahib Apney Abdul Wahab Najdi Ki Is Ebarat Per Tabsra Kerein...

Link to comment
Share on other sites

(bis)

Salam 2 all muslims,

"Sag-e-Attar" sahib Roza-e-Rasool(S.A.W) kay mutaliq main apna nukta nazar bayan ker chuka hoon,ham kisi Shaikh Abdul Wahadb kay muqalid nahi jo un ki baat ko bila daleel man lain,aap nay sirf un ka dawa paish kiya hay yeah nahi bataya kay un kay is daway kay peechay kon say dalail thay,aager ho sakay to un ki kitab say pages syaq-o-sabaq kay sath scan ker kay post karain,maray pas yeah book nahi hay.Agar yeah baat sabit ker di jaye kay yeah waqai unhi ki ibarat hay to main phir kahoon ga kay kisi ki shariyat kay bare main koi baat ham bagair Quran-o-Haddes ki daleel kay nahi man saktay.

Umeed hay aap meri pehli post ka or tafseeli jawab dain gay.shukriya

wsalam

Link to comment
Share on other sites

Commander Faisal already debated the very same topic with the very same uploaded pages in the forum Nooremadinah.net long ago. And he got answers by a prominent user known as "Pakistani" but he still denied all those.

So, I hope so whatever we will say he won't listen once again, but let us try one more time!

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Faisal bhai aap ki poori post parrhi bohat acha laga. Inn logon ke paas sawae waswason k aur koi daleel nahin. Islam ke mukhalif aik nai shariet kharri ki hui hai inn logon ne. Nabi s.a.w. ko Hazrat Ayesha R.A. ke hujre main dafan kerne ki aik aur sab se barri wajah yeh bhi thi k khud Nabi s.a.w ki hadees ke mutabiq Nabi ko wahin dafan kia jaata hai jahan woh fot ho. Iss ke baad Hazrat Abu Baker R.A. aur Hazrat Umer R.A. ka dafan hona bhi tamam Sahaba Ikraam ke ijmaa se hua aur Ijmaa hujjat hai.

Ahadees main jab saaf mana mojood hai Qabron ko pukhta kerne ki aur unn per amarat wagera banane ki phir shubhat se daleel pakarna sawae gumraahi ke kuch nahin.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Ooper aik hawala pesh kia gaya hai sag-e-attar ki taraf se:

Najdi Apni Kitab Auzah Al-Baraheen Mein Likhta Hai...

 

Huzoor Ka Mazar Gira Deney Key Laiq Hai Ager Main Is Key Gira Deney Per Qadir Howa Tu Gira Doun Ga... (Naoz Billahu Min Zalik)

 

Sag-e-Attar sahib se guzarish hai k iss hawale ko Muhammad-bin Abdulwahab ki apni kitaab se saabit keren phir iss per mazeed baat ho gi. Woh woh baat inn se mansoob ki gai hai jo unhon ne kabhi shaed ki hi na ho. Meri tamam parhne walon se guzarish hai k aap log khud Imam Muhammad-bin-AbdulWahab ki books ko parhen. Mahez sunni sunai baaton ki taraf dhiyan na den.

Beshak aik taraf Imam Muhammad-bin AbdulWahab ki Kitaab-ut-Toheed rakh lain aur aik taraf Ahmed Raza Khan ki koi kitaab. Aap ko pata chal jae ga k Quran-o-Hadees ki baat kon kerta hai aur qisse kahanian kon sunata hai.

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Faisal bhai aap ki poori post parrhi bohat acha laga. Inn logon ke paas sawae waswason k aur koi daleel nahin.

 

Seraiki Language Mein Aik Misal Hai.. Kaan Chit'ta Hey .. Yani Kawwa Safaid Hai.. Yehi Misal Aapko Pehlay Bhi Kayi Bar Yahan Di Gayi Hai.. Kiyon Key Tamam Wahabiyon Key Areas Mein Kawwey Safaid Hi Hotey Hain...

 

Aap Aub Dalail Ko Maney Hi Na... Fuqaha Key Makroh-e-Tanzeehi Aqwaal Sey Haram Ka Hukm Sabit Kerein Aur Kufaar Sey Related Aahadees Musalimano Ki Qaboor Per Chispaan Kerein Tu Hum Kiya Ker Saktey Hain? Kufar Sey Related Aayat wa Aahdees Ko Musilmano Per Chispaan Kerney Waley Key Barey Mein Hazrat Abdullah Ibn-e-Umer (raa) Ka Qaul Perhye...

 

post_393_1169717520.jpg

Ooper aik hawala pesh kia gaya hai sag-e-attar ki taraf se:

Najdi Apni Kitab Auzah Al-Baraheen Mein Likhta Hai...

Huzoor Ka Mazar Gira Deney Key Laiq Hai Ager Main Is Key Gira Deney Per Qadir Howa Tu Gira Doun Ga... (Naoz Billahu Min Zalik)

Sag-e-Attar sahib se guzarish hai k iss hawale ko Muhammad-bin Abdulwahab ki apni kitaab se saabit keren phir iss per mazeed baat ho gi.

 

Saboot Hum Pesh Nhin Kerein Gey Aap Pesh Kerein Gey Key Yeh Qaul Najdi Ka Hai Ya Nhin... Yehi Asool Aapki Posts Sey Sabit Hai.. Hum Ney Aapko Buhut Scanned Proofs Diye Hain Sabiqa Topics Mein... Aur Aap Sirf Hawala Likhtey Hain...

 

Aur Asool Bhi Yahi Hai Key Aapko Apney Reformer Ki Her Kitab Key Barey Mein Ilm Hona Chahye.. Aur Jiski Kutub Key Barey Mein Aapko Ilm Nhin Usko Reformer Kis Base Per Kehtey Hain?

 

Aur Scanned Proofs Dekh Ker Bhi Aapka Aur Malang Deobandi Waghera Sub Wahabiyon Ka Aik Saa Haal Hai.. Mager Thora Sa Farq Hai.. Woh Khamosh Ho Jata Hai.. Aur Aap Apney Ulema Ko Gumrah Qarar Dey Detey Hain.. Is Liye Abdul Wahab Najdi Ko Bhi Aap Ney Un Qareeb Gumrah Qarar Dena Hai.. Mujhey Thora Waqt Mil Jaye Phir InshaAllah (azw) Aapko Is Per Ba Hawala Post Keron Ga....

 

Beshak aik taraf Imam Muhammad-bin AbdulWahab ki Kitaab-ut-Toheed rakh lain aur aik taraf Ahmed Raza Khan ki koi kitaab. Aap ko pata chal jae ga k Quran-o-Hadees ki baat kon kerta hai aur qisse kahanian kon sunata hai.

 

InshaAllah (azw) Is Per Bhi Likhein Gey... Phir Jawab Dejiye Ga.. Yeh Rat Na Lagaye Ga Key Hum Kisi Ko Nhin Mantey Yeh Abdul Wahab Najdi Ki Ghalat Batein Quran-o-Hadees Key Against Hain... Pas Aapki Apney Her Aalim Key Barey Mein Is Baat Ka Matlab Clear Hai Key Woh Quran-o-Hadees Key Against Likhtey Hain Is Liye Kisi Ki Koi Bat Ka Aitabar Nhin Kerna Chahye... Gumrah Hain Gumrah Kertey Hain Wali Hadees Ka Misdaq Hain...

 

الھم ا نی نعوذ بک من فتنۃ الوہابیہ ۔ الھم آمین بجاہ النبئی الآمین صلی اللہ علیہ وسلم

Link to comment
Share on other sites

جناب فیصل۔ آپ کا دماغ پھر گیا ہے۔

مجھے تم یہ بتاءو اس میں ان مزاروں کا کیا قصور۔

تم لوگ نہیں بناتے تو نہ بناءو تمہارے لءے یہی مثال کافی ہے کہ مر گیا مردود نہ فاتحہ نہ درود۔ :unsure:

اب مجھے بتاءو کہ اللہ نے دنیا بناءی اس میں مسلمان بھی بناءے کافر بھی۔

اب اگر کور کافر کسی مسلمان کو قتل کرتا ہے تو اس میں اللہ کا کیا قصور ؟

کوءی انسان چوری کرتا ہے تو اس میں اللہ کا کیا قصور ؟

کوءی انسان کسی کو گالی دیتا ہے اس میں اللہ کا کیا قصور ؟

کوءی انسان حضور نبی کریم (saw) کی شان میں گستاخی کرتا ہے اس میں اللہ کا کیا قصور ؟

تم لوگوں کو وہی برا لگتا ہے جو ہم لوگ کرتے ہیں۔

اور الحمد اللہ تم نے جو تصور پوسٹ کی اس میں کہیں مجھے سجدہ کرتا انسان نظر نہیں آیا۔

Link to comment
Share on other sites

ji muhtaram faisal sahib is debate ko per kar aur khas tor per ap ki post ko per kar kuch sawalat piyada howay hain maray zahan mein omeed ha ke ap zaroor to the point jawab do gay.

ap ne aik hawala diya ha ke (in buzorgon olliyia Allah ko dekh kar humrari ankhin thandi ho jati hain isliye jaiz ha.mera ishara hergiz her giz ghunbade khazra ki taraf nahi tha)

to muhtaram faisa sahib mein ap se aik sawal daryafat karon ga ke kiya kam az kam ap ki ankhin ghunbade khazara ko dekh kar thandi hoti hain ya nahi?ager ap mugh se yeh sawal karo to mera jawab han mein ho ga.

ap se guzarish ha ke ap bi yan ya na mein jawab ata karo.ap ki post se kafi aur bi sawalat hain jin ka jawabe talab hon likin mein waqat kay ihsas se tamam sawalat aik hi post mein nahi karon ga. is liye ke ap pehlay is sawal ka jawab hi ha ya na mein day do ta ke mamla fehmi ka ahsas ojagar ho na ke behas baray behas wali baat.omeed ha ke ap meray sawal ka jawab ata karin gay to the point to baqi sawalat bad mein karon ga.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...