Jump to content

Dr. zakir nalaik ka ilmi o tehqeqi taaqub


Ubaid-e-Raza

تجویز کردہ جواب

  • 5 weeks later...
  • 4 months later...
nalaik.gif

 

Asslamualikum Warehmatullah Waberkathaoo Wamaghfiaratahoo Wajzekamullah e Khairun......

 

 

[A Nabee Jub Tum Aurton Ko Talaque do to in ki iddat k moqie per talaque do aur iddat ginttei raho aur Allah se dartei raho jo tumhara rab hei na tum hi in ko in k gheron se nikalo aur na woh khud hi niklein mager jub khulam khulla koi be haiyaai ka kaam karein aur ye Allah ki hadein hein aur jo Allah ki hadon se barhaa to is nain apnain Nafss per zulm iya aap ko kiya maloom k shayad Allah is k bad aur koi nai bat payda kar dei....{Surah Al #:65 (Talaque) Aiyat #: 1}]

________________________________________________________________________

 

Yani K Jub Iddat Poori Ho Jai To un Ko Chorh Do Naan k 3 Talaque 1 sath dei kar us k saman hat main de do.... Acha yehaan ye to pata ahin chala k iddat kitnain din ki hei.....?

 

[Pass Jub Woh Apnee Iddat Ko Pohnch Jain to unhein dastoor se rakh lo ya unhien dastoor se chorh do aur do moter admee apnian main se gawh kar lo aur Allah k lyein gawahee poori do ye nasihat ki batein unhien sumjhai jati hein jo Allah aur qaiyamat per emaan rakhtei hein aur jo Allah se dartaa hei Allah is k Lyein Nijaat Ki Soorat nikaal Deitaa Hei..{Surah Al #:65 (Talaque) Aiyat #: 2}]

_________________________________________________________________________

Ji Haan Yehaan Pata Chaltaa Hei K Iddat kitni Hei 3 Maheenain yani K Aap Chahei 3 talaque kaho ya 1000 kaho aap ko us aurt ko 3 maheenian main hi chorhna ahoga aur 3 mahenian main ye aap ka sulah ka time hogaa....

 

[Aur Talaque Dee hoi Aurtein (3 Haizz) tuck apnian aap ko rkein rakhein aur in k lyein jaizz nahin k chupain jo Allah nain in k paiton main paidaa kiya hei ager wo Allah aur qaiyamat k din per emaan rakhtee hein aur in k khawand is muddat main in ko lotaleinein k lyein ziyada haque dar hein ager woh islah ka iradah rakhtei hein aur dostoor k mutabique in k wissa hi haque hei jeissa in per hei aur mardon ko in per fazeelat de hei aur Allah ghalib hikmat wala hei..{Surah # 2 (Albaqarah) Aiyat # 228}]

_________________________________________________________________________

yehaan talaque ka naam hei talaque jo 1 amal hei yani k us aourat se chutkara pana ager tum already 2 bar us se chutkara paa chukei ho to 3 bar akhree bar hogi is k bad tumhein halala jo kehlata hei woh karna parhie ga... jo kuch log pehli talaque main hi kar leite hein.... Allah tala hdyat dei....

 

[Talaque 2 martaba hei phir bhalaai k sath rok leinaa hei ya naiki k sath chorh deinaa hei aur tumharei lyein is main se kuch bhi laina jaiz nahin jo tum nain unhien diya hei mager ye k donon darein k Allah k hadien qaim nahin rakh sakeinggei phir ager tumhein khoaf ho k donon Allah ki hadein qaim nahin rakh sukeinggein to in donon per is main koi gunah nain k aurat maqza dei kar peecha churhaa lei ye Allah k hadein so In se tajawuzz na karo aur jo Alah ki hadohn se tajawuzz karei ga so wohee zalim hei...{Surah # 2 (Albaqarah) Aiyat # 229}]

_________________________________________________________________________

Ji Junab yehaan halal ka ziker agaiya hei ager 3 baar talaque de di to 4 bar nahin kar suktaa dubara shadee usi aurat se jis ko 3 bar talaque de chukaa hei is ko kisi aur mard se is ki shadee kar wanni parhei gi aur woh jub issei talaque dei ga to ye us se shadee kar sakei ga aur kuch sahe hadith se yebhi sabit hota hei k is dusre mard ko us aurat k sath mubashrat karna zaroori hei.......

 

[Phirr Ager Isei Talaque dei dee to is k baad is k lyein woh halal na hogi yehana tuck k woh kisi aur khawand se nikaah karei phir ager woh issei talaque dei dei to in donon per koi gunah nhin k appas main rujo kar lein ager in ka gumaan ghalib ho k woh Allah ki hadein qaim sakeinggei aur ye Allah ki hadein hein woh Unhein Khoal kar biyaan kartaa hei in logon k lyein jo ilm Rakhtei hein ..{Surah # 2 (Albaqarah) Aiyat # 230}]

__________________________________________________________________________

yehana izke rhei k un aurton ki iddat yani k 3 maheenian honain ko aain to in ko rakh lo ya phir chorh do jub ap ki talaque ho jaigi 3 mahenain mein ...

 

[Aur Jub Aurtein Ko Talaque De do phirr woh apne iddat ko pohanch jain tounhein hussun e sulook se rok lo ya unhine dastoor k mutabqieu chorh do aur unhein talkeef denain k lyein na roko taa k tum sakhtee karo aur jo aessa kare ga to woh apnian upper zulm karei ga aur Allah ki aiyton ka tamaskhar na urhao aur Allah k ehssan ko yaad karo jo is nain tum per kiya hei aur jo is nain tum per kitaab aur hikmat utaree hei k tumhein is se nasiyhatkarei aur Allah se daro aur jaan lo k Allah har cheez ko khoob jannei wala hei.{Surah # 2 (Albaqarah) Aiyat # 231}]

__________________________________________________________________________

Ji Janaab Yehaan pata Chaltaa Hei Iddat Ka Time Kitna Hei 3 Maheenain......!

 

[Aur Tumhari Aurton Main Se Jin Ko Haizz Ki Umeed nahin Eahee Hei Ager Tumhein Shubaa Ho To In Ki Iddat 3 maheenain Hein Aur in Ki BHi Jinhein Abhi Haizz Nahin Aiyaa Aur Hamal Walion Ki Iddat In K Bacha Jannei Tuck Hei Aur Jo Allah Se Dartaa hei Woh Is K Kaam AsaaN kar Deitaa hei..{Surah Al #:65 (Talaque) Aiyat #: 4}]

__________________________________________________________________________

ager iddat tamaam ho jai aur talaque ho jai to dubarah nikah karna parhei ga poranain walei khawand se ager dubara miulna hei to aesse hi rujoo nahin ho paiga koi halalei i zarorat nahin hie pehli talaque main hala jub hoga jub 3 bar talaque ho chuki hogi.....!

 

 

[Aur Jub Tum aurton ko talaque de do pass woh apnee iddat tamaam kar chukein to ub unhein apneei khawand se nikah karnian se na roko jub k woh appas main dastoor k mutabique razee ho jain tum main se ye nasihat isse ki jati hei jo Allah aur qaiyamat k din per emaan rakhtaa hei ye tumharei lyein barhee pakeezi aur barhee safai ki bat hei aur Allah hi jantta hei aur Tum nahin janttei..{Surah # 2 (Albaqarah) Aiyat # 233}

___________________________________________________________________________

 

 

Ji Janaab yehaan Main Nian Hadith Se kaam nahin liya Kyun k humarie Shia Bhai Hadith ko To Batil Manttei Hein....... To Ye To Quran Majed Hei Mantte To Is ko Bhi Batil Hein Mager Zahiri To Boltei Hien naan Hamara Quran Pe Emaan Hei....... To Ub ye bat Maniye .....! :icon_peace:

 

Wa Asslamualikum Warematullah Waberkathao Wamaghfiratahoo Wajzekamullah e Khairun.......

 

 

Maire lyein Sirf Allah(SWT) Hi Kafee Hei.....!

_____________________________________________

Link to comment
Share on other sites

  • 5 weeks later...
kahen Woh hadith ye to nahin ....!!!!

 

Shahayd objection karnain main ghaltee ho gai hei....!!!!

 

talaque1.jpg

 

 

Why are you backbiting(geebat) a man? if any of you has courage, why not you ask about this face to face?

 

I this is how people are taken away from the truth. Agar aap log Quraan and Hadith ko lekar itne durust hain to aap log uk 100s cheezo ko kyon maante hain jo Hadeeth ke khilaaf hain

Link to comment
Share on other sites

Why are you backbiting(geebat) a man? if any of you has courage, why not you ask about this face to face?

 

I this is how people are taken away from the truth. Agar aap log Quraan and Hadith ko lekar itne durust hain to aap log uk 100s cheezo ko kyon maante hain jo Hadeeth ke khilaaf hain

 

Aslamulikum Warehmatulah Waberkataho

 

bhai jaan ye site urdu hei please urdu main hi bat karein aur aap jo bhi kehnaa chahtei hein daleel ki roshni main bat karein binaa daleel koi bat kkoi power nahin rakhtee aur deen main hujjat Rabbei Kabaa ki Bat Hei Ya kamlee Walei Ka Farmaan Hei..

 

 

Wa Aslamulikum Warehmatulah Waberkataho

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...
Shal Bin Saad (ra) and Hazrat Rakana (ra) ki riwayat

 

(bis)

 

Asslam-o-Alyekum

 

Janab do batain araz karna chahta hon

 

 

 

1) Sahal bin sad ki riwayat ka Hadith number kia hai? (jild number se dhondh nahin paa raha)

 

 

 

2) rahi bat talaq-e-Bata ki, to janab

pehli ye ki ye riwayat aap ke khilaf hi jati hai, mulahiza ho aap ke aik aalim ki fikar angaiz tehrir

 

"Muffasir-e-Quran, Pir Mazhar Shah Azhari, Dawat-e-Fikro Nazar(Majmooa Muqalate Aalema Page 234,

Ahle MAdian ka urf ye tha ke Talaq-e-Salas (Three) ko talaq-e-Bata kaha kertye thye na ye ke talaq-e-al Bata ko talaq-e-Salas". is Lehaz se MAdani Urf ke mutabiq Hazrat Rakana (ra) ne apni bivi ko talaq-e-Slas de this (yani ke aik majlis main teen talaq), lakin talaq ke baad unhon ne apni bivi ko rakhna chaha to Hazoor-e-Akram (saw) ne un ko is ki ijazat marhamat farma di.

 

is ke liye aur bhi ahadith mojood hain lakin khair kuch baad ke liye bhi chor rakha hai

 

 

Asslam-o-Alekum

Phir milaingye Insha Allah (azw)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

1) Sahal bin sad ki riwayat ka Hadith number kia hai? (jild number se dhondh nahin paa raha)

 

(bis)

 

OK janb i got it now,

Janab hadith ke silsilye main Imam Bhkhari (ra) ne bab bandha hai "Laan" ke hukam main

 

kher to jawab ye banta hai ki us (Janab Sahal Bin Saad (ra)) ki hadith and us se mutassil hadith main dono main laan ka tariqa our us ke baad judai kernye ke tareeqye ka zikar hua hain na ke talaq-e-Salas ke baye main

is tariqye main zikar hai ke agar shohar o bivi laan kar lain to ab un main tafreeq karwa di jaye na ke unhye bandh kar rakha jaye is ki lawa is makhsoos sahabi (ra) ke is mas alye ke silsilye main wahi nazil hoi thi

 

ab aap hi sochain un ka amal kia tha aur hum kia kartye phir rahye hai??

 

 

Asslam-o-Alekum

Phir Milaingye (Insha Allah)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...