Jump to content

Hadayat ka Raasta


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

BUHUT ACHI BAT KI APP NE BUT EK ADDITION KARON GA KE...AGAR HANBLI ...AUR HANFI FIRQE KI BAT NAHI KI TO BHAI DEOBANDI KI KAHAN KI HAI....????AUR QADRI...NAQSHBANDI KI BAT NAHI TU DEHELVI...THANVI....NANOTVI...LUDHEYANVI....AMBETHVI....GANGOHI KI KAHAN BAT HOI HAI AGAR TUM SAMNE WALE PE UNGLI UTHA RAHE HO TU ZARA ULMA E DEOBAND KO HI DEKH LO

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Bohat achi baat ki hai aap ne bhai "smartcoolguy". Bilkul main iss baat se agree kerta hoon k ager hanafi banane ka hukam nahin to deobandi banane ka bhi nahin. Issi tarah ager chishti,qadri wagera ki nisbet ker k alag alag tareeqe rawaaj dena sahih nahin to NANOTVI...LUDHEYANVI....AMBETHVI....GANGOHI ya aur bhi kissi aalim ki baat ko deen samajh lena uss se bhi barri gumraahi.

 

Bhai aap se guzarish hai kam az kam iss asool ko apna manhaj banaen k Quran-o-Sunnet k muqable main kissi ki baat bhi qabool nahin. phir iss per her cheez check karen aur faisla karen. Ho sakta hai k amal main kotahi ho jae lakin iss ka yeh matlab to nahin k asool ko hi chor dia jae. Jiase ham sab maante hai k jhoot bolna kabeerah gunaah hai lakin ham main se akser kotahi ka shikaar ho ker jhoot bol bhi dete hai to iss ka yeh matlab to nahin k jhoot ko bura samajhna hi chor dia jae.

 

Issi tarah Quran-oSunnet ko hi apna asool bana ker rakhen phir ussi ko miar banane ki dawet dain aur uss ke khilaaf her baat radd karen chahe apne ki ho ya parae ki. Allah samajhne ki tofeeq de. Aameen

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Khalil Rana sahib, yeh kaisi sabeel-ul-huda hai ke aik muqalid doosre imam ke muqalid ke peeche namaz ko parrhna jaez nahin samjhta tha. Yahan per yeh aitraaz nahin chale ga k woh aqeede ka ikhtilaaf ki wajah se hai kion k main aap ko saboot de sakta hoon k hanfi aalim siref rafa-yaden kerne ki wajah se shafai aalim ke peeche namaz ko batil samjha.

 

Bait-Ullah shareef main chaar chaar masale qaem hona kia aqeede ke ikhlilaaf ki wajah se tha ya taqleed ki wajah se.

 

Ahnaaf aur shafai aik doosre ke khilaaf qitaal kerte rahe, jange larte rahe woh kia aqeede ka ikhtilaaf tha ya taqleed ka?

 

Hanafi aalim jo shafia se ger-muslimon ki tarah jazia lene ki baat kerte rahe woh aqeede ka ikhtilaaf tha ya taqleed ka?

 

Inn sab baaton ka saboot maangne per mohia kia ja sakta hai.

 

Iss ke bawajood aap ki yeh masoomiet k yeh taqleedi group aik hi sabeel ki alag rahen hain sawae khud ko aur logon ko dhoka dene ke koi maani nahin rakhta.

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Khalil sahib aap ne jo misaalen ikhtilaaf ki di hain mujhe inn se ikhtilaaf nahin hai bal k main to iss baat ka qael hoon k hadees ya daleel ko miar banate hue ager ijtihaadi galati ho jae to uss main gunjaesh hai.

 

Mere baat ka matlab to yeh hai k daleel wazeh hone per bhi apni apni baat per arre rehna faroi masael ko buniad bana ker aik doosre ke peeche namaz tak na parhna. Jis ki wazeh misaal Bait-Ullah sharif main char masalon ka qaem hona hai.

 

Aap ne Sahaba Ikraam R.A. ke baahmi jangon ki misaal bhi di halan k unn main se kissi ne bhi aik doosre ke peeche namaz parhni nahin chori thi.

 

Lahaza ijtihaadi aur taqleedi ikhtilaaf ko aik jaisa qarar dena sakht dhoka dene wali baat hai.

 

wasalam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...