Jump to content

Share Ur Experinces & probs abt children


Madinah_Madinah

تجویز کردہ جواب

(bis)

(saw)

 

(wasalam)

 

(ja)

sistz ! main yahan aik new topic star ker rahi hoon abt child psychology

ap sab membz bhi yahan bachon k baray men apnay experinces share or disscuss karen!

i wana ask mera bhai hy ek..........buht sensitive........

itna sensitiv k agr hw krty wqt us sy koi word ghalat likha jay to b rony lgta hy k ghalat hoagya........... wesy to buht sensable b hy........jis cheez sy ek baar rok dain us k qareeeb b nhe jata........pr buht c baten feel buht ziada krta hy.......

(jst like me :( )

i usually thnk k agr ye mery jesa bun gaya to ye b rul jay ga.......

kesy deal kia jay esy bachon k sath.......???

any idea........??

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

 

(wasalam)

 

(ja)

ss v nice boook..........!!

i wana ask mera bhai hy ek..........buht sensitive........

itna sensitiv k agr hw krty wqt us sy koi word ghalat likha jay to b rony lgta hy k ghalat hoagya........... wesy to buht sensable b hy........jis cheez sy ek baar rok dain us k qareeeb b nhe jata........pr buht c baten feel buht ziada krta hy.......

 

 

(salam)

 

Unkey Ander Khud Aitamadi Key Kami Lag Rahi Hai.. Wallahu Aalam... Unka Hosla Barhain Jahan Tak Ho Sakey... Aur Ghalti Per Unko Malamat Na Kerein.. Balkey Ghalti Per Kahain Key Koi Baat Nhin Aisa Hota Rehta Hai.. Her Kisi Sey Ghalti Hoti Hai.. Sath Ahsan Tareqey Sey Tashee Bhi Ferma Dein..

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

piari bahan aap ka bhai 5 saal ka hai aur yahi woh age hoti hai jis main bachay ki buniad banti hai agar is age main hi is habit sai us ko nijat mill gaye to agay ki life us k liye asaan ho gi .... is k liye to sab sai pahlay hamain apnay ghar ka mahool daikhna chaiye kah hum kaheen us bachay ko neglect to nahin kar rahay ya us ki achi baaton pai us ko appriciate na kar rahay hoon ya us ko aisi baaton pai dant par rahi ho jis pai us ko dant parnay ki tawaqqa na ho some times aisa bhi hota hai kah hum bachay ko bohat ziada piar kartay hain aur us ka laad uthatay hain phir zara si ghalti pai bhi us ko daantain to woh rona shoroo kar daita hai ya baaz martaba aisa hota hai kah bacha daant sai bachanay k liye pahlay hi rona shoroo kar daita hai .....

 

aisay bachon kai saath jo bohat sensetive hoon ziada sai ziada communicate karna chaiye per exapmle jab woh school sai ghar wapis ayen to un sai school kai baray poochna chaiye kah kaisa din guza kaya kia wahan us kai dost kaisay hain us kai home work kai baray baat karni chaiye kah kis subject main us ko problem hai ....aisay bachay jo sensitive aur sensable hoon un kai dost bhi kam hotay hain coz woh sharmatay rahtay hain aur dost kam banatay hain is liye un ko dost bananay main appriciate karna chaiye un ko samjhana chaiye kah doosray bachon kai saath dosti karo un kai saath kahilo un kai saath mixup ho jao is tarah bachay main self confidence paida hota hai parents ya baray bahan bhaion ko chaiye kah aisay bachay kai saath baith kar thori dair us ki pasand ka cartoon bhi daikhay ya agar woh koi game khail raha hai to thori dair us kai saath woh game khailay yah us ki game ko us kai saath baith kar daikha jaye is tarah bhi bachay main aitmaad paida hota hai aur woh khush hota hai ..aisay bachon ko agar kisi baat sai manna karna ho to aik dam hi us ko rok nahin daina chaiye balkah us ko aram sai samjhna chaiye kah yah baat ya yah kaam hamaray liye is liye acha nahin hum karain gay to hamain nuksaan hoga ....bachon kai saath parents ya baray bahan bhaion ko dosti karni chaiye ..khaas toor pai parents agar apnay bachay kai saath friendship rakhain gay to un ko bachay ki problem samjhnay main bohat saani hogi ....agar bacha ghalti par bhi hoga to parents bohat asaani sai usay samjha bhi saktay hain :)

anyways maine apnay views likhain hain may be maine kuch ghalat kaha ho agar aap ko mairi koi baat buri lagi hai to main maafi cahti hoon (ja)

madani duaoon main yaad

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

Bohot acha Article Share kiya Sana Sis aapne.. Maa Shaa Allaah

 

Jis Key Ander Aehsas-e-Kamtari Ho wo..

Her Waqt Ba Wuzoo Rehney Ki Koshish Kerey..

Mazeed Aik Wazeefa Hai..

"Wa Laha'ola Wala Quw'wata Illah Billah'il Aliy'il Azeem"

Iska Ka Kasrat Sey Wird Kerein...

Wa alaikumus Salaam... bikul Sahi baate suggest ki Admin Bhai aapne..

Maa Shaa Allaah... May Allah rewards you...

 

1. aisay bachon kai saath jo bohat sensetive hoon,

ziada sai ziada communicate karna chaiye

2. aisay bachon ko agar kisi baat sai manna karna ho,

to aik dam hi us ko rok nahin daina chaiye balkah,

us ko aram sai samjhna chaiye kah yah baat ya yah kaam hamaray liye is liye acha nahin,

hum karain gay to hamain nuksaan hoga

3. bachon kai saath parents ya baray bahan bhaion ko dosti karni chaiye.

Iqra Sis... bohot achi suggestions aapki taraf se parhne ko mili...

Maa Shaa Allaah... may Allaah rewards you...

 

regards, was Salaam

Edited by Qaseem
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(bis)

(saw)

(wasalam)

piari bahan aap ka bhai 5 saal ka hai aur yahi woh age hoti hai jis main bachay ki buniad banti hai agar is age main hi is habit sai us ko nijat mill gaye to agay ki life us k liye asaan ho gi .... is k liye to sab sai pahlay hamain apnay ghar ka mahool daikhna chaiye kah hum kaheen us bachay ko neglect to nahin kar rahay ya us ki achi baaton pai us ko appriciate na kar rahay hoon ya us ko aisi baaton pai dant par rahi ho jis pai us ko dant parnay ki tawaqqa na ho some times aisa bhi hota hai kah hum bachay ko bohat ziada piar kartay hain aur us ka laad uthatay hain phir zara si ghalti pai bhi us ko daantain to woh rona shoroo kar daita hai

 

ss isko hum log appreiciate b krty hain buht.........aur kisi b baat py kabi b degrade nhe krty........bal k agr wo koi mistake b kry to hum log usko kehty hain k koi bat nhe........magar wo khud apni mistakes ko buht barhi mistake assume kr leta hy...... :( n mera ye bhai esa hy k hmary liye centre of attention hy........we can never neglect him...........IN'SHA ALLAH.......

ya baaz martaba aisa hota hai kah bacha daant sai bachanay k liye pahlay hi rona shoroo kar daita hai .....

 

ye b nhe k usko mistake krny pr dant parhny ka khatra ho.........agr ye hota tb b uska rona bnta hy.......mgr hum log usko bilkul nhe dant;ty......

Edited by madinah_madinah
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

aisay bachon kai saath jo bohat sensetive hoon ziada sai ziada communicate karna chaiye per exapmle jab woh school sai ghar wapis ayen to un sai school kai baray poochna chaiye kah kaisa din guza kaya kia wahan us kai dost kaisay hain us kai home work kai baray baat karni chaiye kah kis subject main us ko problem hai ....aisay bachay jo sensitive aur sensable hoon un kai dost bhi kam hotay hain coz woh sharmatay rahtay hain aur dost kam banatay hain is liye un ko dost bananay main appriciate karna chaiye un ko samjhana chaiye kah doosray bachon kai saath dosti karo un kai saath kahilo un kai saath mixup ho jao is tarah bachay main self confidence paida hota hai parents ya baray bahan bhaion ko chaiye kah aisay bachay kai saath baith kar thori dair us ki pasand ka cartoon bhi daikhay ya agar woh koi game khail raha hai to thori dair us kai saath woh game khailay yah us ki game ko us kai saath baith kar daikha jaye is tarah bhi bachay main aitmaad paida hota hai aur woh khush hota hai ..aisay bachon ko agar kisi baat sai manna karna ho to aik dam hi us ko rok nahin daina chaiye balkah us ko aram sai samjhna chaiye kah yah baat ya yah kaam hamaray liye is liye acha nahin hum karain gay to hamain nuksaan hoga ....bachon kai saath parents ya baray bahan bhaion ko dosti karni chaiye ..khaas toor pai parents agar apnay bachay kai saath friendship rakhain gay to un ko bachay ki problem samjhnay main bohat saani hogi ....agar bacha ghalti par bhi hoga to parents bohat asaani sai usay samjha bhi saktay hain

hmmmm well.......u said communicate kren ziada sy ziada........ communiacate to krty hain per ziada sy ziada z impossible :) cz my mom z bzee in her own buisness........father bzee in his own work........all ss n bro in schools..... n me in uni......aftr school all others go for tusions.....n me com back at home in the evening.........we have conversation aftr dat.........means aftr maghrib we get time 2 communicate.........sumtims (usually on sundays) we watch cartoons with him......yes he z shy.......n hesitates to make frnds.......he z in nursury class n his frnds r only girls :) he doesnt makes boy frnds :) i thnk its reason z dat boys fight with each other n he dislikes fighting.......he z v peacful baby.......n dont know how to fight...... so innocent he z......... n so much cuteeeeeeee.........!! :) aur mujy buht herat hoti hy k itny choty bachy teacher ki baaton ko ignore kr dety hain........bt he NEVER ignores.........hamesha naseehat ko yad rakhta hy........aur H.W krty waqt batata hy k teacher ny hamen ye kaha.......ka achy bachy esy krty hain........dis n dat....... he remembrz wt he z adviced.......!!

 

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

 

(salam)

actually sister!

bachay ko maan baap 2no hi ki tawajju ki beintiha zaroorat hay, ap k bhai k ander jo kami hay us ki waja yehi nazer ati hay k usay maan baap 2no ki tawajju nahi mil pati or rahi baat k ap us k sath baith ker cartoon dekhain khailain,baten karen is ki bhi hasiyat hay laikin jo baat maan baap ki tawajju ki hoti hay wo kisi ki bhi nahi hoti ,olad ko maan baap k qurb se jo sukoon hasil hota hay wo dunya k kisi rishtay se bhi hasil nahi hosakta or ye baat sirf bachpan tak mehdood nahi,bacha ho jawan ya boorha kisi bhi umer men maan baap ki kami koi or poori nahi kersakta,

or is k ilawa baaz bachay bohat hassas tabiyat k hotay hain kisi baat ko doosray bachay jitna feel karain us se ziada feel kertay hain to aisay bachay bohat ziada attension k mustahiq hotay hain maan baap ager personal attension na den to un bachon ki halat aisi hi hoti hay jaisi ap ne bayan ki, is ka meri naqis raye men to yehi hal hay k jab bacha choti choti baton ko bara feel kerta hay is ka matlab hay k wo mamooli baton ko bhi bohat hasiyat deta hay or be intiha tawajju ka talib hay.

is liye aisay bachon per khusoosi tawajju maan baap ko deni chahiye kion k yehi age hay jab bachay ki shakhsiyat sazi hoti hay ager abhi koi kami reh gai to sari zindagi door nahi hosakti or bachay men kabhi bhi phir confidence create nahi kiya jasakta,

ummeed hay ap apnay bhai men mojood is kami ko poora kernay ke liye apna role bharpoor tareeqay se ada karengi.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ham sab waliden ko apni olad ki sahih tarbiyyat kernay or un ki sahi shakhsiyat sazi kernay ki tofeeq ata farmaye

aameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

actually sister!

bachay ko maan baap 2no hi ki tawajju ki beintiha zaroorat hay, ap k bhai k ander jo kami hay us ki waja yehi nazer ati hay k usay maan baap 2no ki tawajju nahi mil pati or rahi baat k ap us k sath baith ker cartoon dekhain khailain,baten karen is ki bhi hasiyat hay laikin jo baat maan baap ki tawajju ki hoti hay wo kisi ki bhi nahi hoti ,olad ko maan baap k qurb se jo sukoon hasil hota hay wo dunya k kisi rishtay se bhi hasil nahi hosakta or ye baat sirf bachpan tak mehdood nahi,bacha ho jawan ya boorha kisi bhi umer men maan baap ki kami koi or poori nahi kersakta,

or is k ilawa baaz bachay bohat hassas tabiyat k hotay hain kisi baat ko doosray bachay jitna feel karain us se ziada feel kertay hain to aisay bachay bohat ziada attension k mustahiq hotay hain maan baap ager personal attension na den to un bachon ki halat aisi hi hoti hay jaisi ap ne bayan ki, is ka meri naqis raye men to yehi hal hay k jab bacha choti choti baton ko bara feel kerta hay is ka matlab hay k wo mamooli baton ko bhi bohat hasiyat deta hay or be intiha tawajju ka talib hay.

is liye aisay bachon per khusoosi tawajju maan baap ko deni chahiye kion k yehi age hay jab bachay ki shakhsiyat sazi hoti hay ager abhi koi kami reh gai to sari zindagi door nahi hosakti or bachay men kabhi bhi phir confidence create nahi kiya jasakta,

ummeed hay ap apnay bhai men mojood is kami ko poora kernay ke liye apna role bharpoor tareeqay se ada karengi.

Allah pyaray aaqa k sadqay men ham sab waliden ko apni olad ki sahih tarbiyyat kernay or un ki sahi shakhsiyat sazi kernay ki tofeeq ata farmaye

aameeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen

wassalam ma'al ikram

 

aaah........!! :( umme anwar baji aap ny waqaeee bilkul sahi baat kahi.......

parents r parents........no one can take their place.........!!

parents ka khud achi post pr hona to theek hy.........pr jb wo tawajju hi na dy pain apny bachon pr........apni duties ki wja sy..........to waqaeee.....wo apny main duty ko ignore kr rahy hain...... :|

me INSHA ALLAH (azw) apny parents ko infiradi koshish kr k bayan:

"ehsaas e zimme dari"

sunaooon gi.............

aap ny buht achi taraf tawajju dilai..........(ja)(azw)

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

(bis)

(saw)

(salam)

respected members!

bachon ki taleem o tarbiyyat k hawalay se Ameer e Ahl e Sunnat damat barkatuhum ul aliya ne aik madani muzakray men kuch madani phool irshad farmaye hain ,ap sab bhi sunye:

bachon Ki taleem O tarbiyyat K Usool

(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

(bis)

(saw)

(salam)

Olad Ki sahih islami tarbiyyat kernay k baray men aik mufeed vcd nigran e shoora ki maktaba tul madina ne jari ki hay tamam waliden ko ye vcd zaroor dekhni chahiye:

Tarbiyyat e Olad

(azw)(ja)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...