Jump to content

haqeeqat e bidat


Aabid inayat

تجویز کردہ جواب

  • 1 month later...
w/salaam bhai mazmoon pasand karnay ka shukria bhai aur is ki inpage file mery pass mehfooz naheen rahi afsoos warn aap ko zaroor send karta.

abid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" yani her biddat zalalat hay.bahi jab itni app saw ka qaool hay kay her qisam ke biddat zalalat hay to woh biddat chahay saeeya hoo ya hasana woh qullo main dakhil hoon ghee.

app nay likha kay ,deen main fiqah ya ejtehad say kaam laina bhee biddat main shumar ho gha.bahi ehtehad ka matalb kiya zara is per ghaour kar laitay to yeh na likhtay.ejtehad ka matalb he yeh hay kay kisi masallay per agar quran o sunnat main nas mojod na hoo to quran o sunnat he koo samnay rakh kar ,hall nikala ja aiy.aour mairay bahi yaad rahay yeh masala sharayee bhee ho sakta hay aour ghair sharayee bhee.

dosree bat kay bahi app nay deen main kisi nayai kaam ,aour deen kay leyai kisi nayai kaam ka farq he mita diya.bahi yeh dono alehda alehda estlahat hain ,kuch loog aitraz kartay hain kay pehlay masjidoon kay minar nahin thay abb kiuon hain. to bhai masjid kay minar sirf khubsortee kay leyai hain. na kay yeh masjid main kee janay wali ebadat ka hisa hain.agar kisi masjid ka minar na bhee ho too us main bhee nimaz ho ja aiy ghe.is lehaz say minaroon ke kowee sharayee haisiyat nahin .isi tarha kay aour bhee buhat say dosray mamlat hain jin ke ghalt tashree kee gayee hay.

Edited by Sag-e-Attar
Please Always Use lowercase in ur posts...
Link to comment
Share on other sites

abid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" YANI HER BIDDAT ZALALAT HAY.BAHI JAB ITNI APP SAW KA QAOOL HAY KAY HER QISAM KE BIDDAT ZALALAT HAY TO WOH BIDDAT CHAHAY SAEEYA HOO YA HASANA WOH QULLO MAIN DAKHIL HOON GHEE.

 

Aap se sirf eik choota sa sawal hai. Ba'jamaat Taraweeh "Bida'h-e-Sai'ya" hai? "Bida'h-e-hasanah" hai? ya phir "Bida'h-e-Dalalah" hai?

 

Azray-e-Karm iss ka jawab dalail ke saath dijiye ga.

Edited by Sybarite
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

 

(salam)Sab Sunni Bhaiyo Behno Ko...

 

Janab Asim Sahab, Apsy Ilteja Hai Ki Meri Posts Ka Reply Karny Se Pehly Aap Sybarite Bhai Ke Choty Se Question Ka Jawab De Dein Phir Aagy Barhy...Shukriya

 

 

abid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" yani her biddat zalalat hay.bahi jab itni app saw ka qaool hay kay her qisam ke biddat zalalat hay to woh biddat chahay saeeya hoo ya hasana woh qullo main dakhil hoon ghee.

 

Ji Janab Bilkul, Agar Aap Ko Biddat E Hasna Ka Matlab Na Samajh Aa Raha Ho Ya Phir Sari Biddat, Biddatein Zalala Hai Or Phir Sab Zalalat Naar Me Le Janengi To Mere Khayal Se Aapko In Scan Pages Se Zyada Shayad Hi Koi Achchy Se Samjha Saky.....Mera Ishara Aap Samajh Gaye Hongy, If I Am Not Mistaking !!! :rolleyes:

Biddat_e_Hasna.JPG

Link to comment
Share on other sites

dosree bat kay bahi app nay deen main kisi nayai kaam ,aour deen kay leyai kisi nayai kaam ka farq he mita diya.bahi yeh dono alehda alehda estlahat hain ,

 

ji janab agar aap jo farma rahy hain wo agar drust hai to ye batayein ki tablighi jamat deen me naya kaam hai ya deen ke liye naya kaam hai bcz aapky Ehtashamul Hasan sahab to isy biddat e hasna likh rahy hain ....aap lafzon se na khely ki deen/islam me naya kam nikalna ya phir usky liye naya kaam nikalna ye usool aapny kahan se nikal liya zara iski wazahat kar dein quran or sunnat ki roshni mein or rahi baat aapka ye aitraaz ki DEEN MEIN NAYA KAAM BIDDAT HAI na ki DEEN KE LIYE NAYA KAAM BIDDAT NAHIN to phir aap sahih muslim utha kar dekhy ki us hadees se aap nawaqif hain isy dubara ghor se suny bhi or pahy bhi jo me quote kar raha hu...

 

 

Imam Muslim (raa) related from the route of Jarir Ibn Abdullah, that the Prophet said:

 

Islam_me_naya_kaam_nikalna__sahih_muslim.rm

hadith.JPG

Link to comment
Share on other sites

Above Hadith of Sahih Muslim means: The one who innovates a Good Innovation in Islam has its reward and the reward of those who would practice with it until the Day of Judgment; without lessening the rewards of those who practice with it. The one who innovates the innovation of misguidance, would take the sin for it and the sin of those who practice with it until the Day of Judgment ; without lessening the sin of those who practice with it.

 

This hadith, which is confirmed and of the sahih classification, is a foundation for proving the validity of the good innovations in Islam. The good innovation is called the 'liked innovation'. The saying of the Prophet in the hadith refers to the good innovation as opposed to the bad innovation signifying that it includes those innovations that comply with the Book of Allah and the Sunnah of the Prophet. Every innovation innovated by the people of knowledge that complies with the Book of Allah and the Sunnah of the Prophet is a good innovation, as indicated by the above-mentioned hadith of the Prophet: "He who innovates a good innovation in Islam would have the reward of it and of those who practice with it until the Day of Judgement; without lessening the reward of those who practice with it"

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

aam tor par deobandi wahabi ye kehty hain ki biddat wo kaam hai jo Rasool (saw) ya sahaba (ra) ne ya phir tabaieen (ra) na kiya ho, unky liye lamha e fikriya hai janab Rasheed Ahmad Gangohi sahab ka ye fatwa.........MUTAALA KAREIN, MULAHIZA KAREIN JO CHAHY KAREIN PAR KUCH TO KAREIN APNI AQLO KA...ALLAH (azw) HIDAYAT DE..AMEEN

 

fi-aman:

gangohi__khatme_bukhari_jayaz_hai__biddat_nahin.rm

Biddat_E_Hasna___Gangohi___Thanwi__ki_zubani.rm

Fatawa_Rasheedya_1.jpg

Jo_kaam_huzur_sahaba__ne_na_kiya_kya_wo_haram_hai.rm

Link to comment
Share on other sites

Aap se sirf eik choota sa sawal hai. Ba'jamaat Taraweeh "Bida'h-e-Sai'ya" hai? "Bida'h-e-hasanah" hai? ya phir "Bida'h-e-Dalalah" hai?

 

Azray-e-Karm iss ka jawab dalail ke saath dijiye ga.

asa

tarwee biddat nahin hay il leyai kay ,taraweeh aik nafal nimaz hay aour yeh akailay akailay bhee parhee ja saktee hay aour bajamat bhe.

app saw nay 3 din tak bajamat yeh nafal nimaz ada ke.sahaba rz ap saw kay samnay bajamat nafal nimaz ada kartay thay.is leyia app is ko sunnat he kahain ghay.biddat nahi.

Link to comment
Share on other sites

ji janab agar aap jo farma rahy hain wo agar drust hai to ye batayein ki tablighi jamat deen me naya kaam hai ya deen ke liye naya kaam hai bcz aapky Ehtashamul Hasan sahab to isy biddat e hasna likh rahy hain ....aap lafzon se na khely ki deen/islam me naya kam nikalna ya phir usky liye naya kaam nikalna ye usool aapny kahan se nikal liya zara iski wazahat kar dein quran or sunnat ki roshni mein or rahi baat aapka ye aitraaz ki DEEN MEIN NAYA KAAM BIDDAT HAI na ki DEEN KE LIYE NAYA KAAM BIDDAT NAHIN to phir aap sahih muslim utha kar dekhy ki us hadees se aap nawaqif hain isy dubara ghor se suny bhi or pahy bhi jo me quote kar raha hu...

 

 

Imam Muslim (raa) related from the route of Jarir Ibn Abdullah, that the Prophet said:

 

bahi sahib is hadith ka jo matlab app lay rahay hain to us ke wajha say to kowee bhee biddat na howee ,

phir to shia bhee sahih hain , qadyani bhee sahih hain.aour dosree jitni bhee jamatain hay woh sub sahih hain kiuon kay is sub kay mutabiq to in ka her kaam acha hee hay aour woh isay deen ka hisa bana kar hee paish kartay hain.

bahi is hadith ka matalb bara seedha hay kay agar kowee naik kaam jis ka main sirf aik lafz say ezhar karoon gha,sadqa jariya.kiya jaaiy to us ko us ka ajar qiyamat tak milay gha.is main buhat say kaam ho saktay hain.app kahain pani ka entezam kar saktay hain.app kahee kowee darakht laga saktay hain,app kis ko taleem dilwa saktay hain. aour is qisam kay naik kaam jo app kay baad bhee jaree rahain to,is ajar app ko qiyamat tak milta rahay gha.

aour agar kowee bura kaam choro karay ghay to us ka ajar us ko qiyamat tak milay gha.maslan app video ke shop kholtay hain to is say ziyda emkan burayee phailnay ka hay.app apnay parosee ko nuqsan punchatay hain.app apnay muhalay kay bachoon ko ghalt rah per laga daitay hain.ya is qabeel kay kowee bhee aour kaam kartay hain to in kamoon say jab tak burayee chaltee rahay ghee app ko is ka ajar milata rahay ghay.

abb is hadith say app nay deen main nayai kaam ke ejad say kaisay mila diya.halankay is hadith main bara he wazeh taour per kaha gaiya hay kay agar deen main kowee acha kaam jaree karay gha.nayai kaam ka too nahin kaha gaiya mairay bahi.

aour aik baat aour bata doon main kisi alim sahib ke taqleed nahin karta chahay woh deobandi hoo, ahalay hadith hoo ya kowee bhee aour ,jab tak kay woh quran o hadith say apni baat sabit na karay .

Edited by asim10
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

post_snapback.gifabid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" yani her biddat zalalat hay.bahi jab itni app saw ka qaool hay kay her qisam ke biddat zalalat hay to woh biddat chahay saeeya hoo ya hasana woh qullo main dakhil hoon ghee.

awwal to aap apny is qowl se ruju ka lein to aap ke liye behtar hoga kyu ki apky is qowl ki taab Hazrat Umar (ra) par ja kar lagti hai....

 

zara aapny aql ko yahan use karein....

 

Husny biddat

 

Sahhih bukhari

(1) Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, "Whoever prayed at night the whole month of Ramadan out of sincere Faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven." Ibn Shihab (a sub-narrator) said, "Allah's Apostle died and the people continued observing that (i.e. Nawafil offered individually, not in congregation), and it remained as it was during the Caliphate of Abu Bakr and in the early days of 'Umar's Caliphate." 'Abdur Rahman bin 'Abdul Qari said, "I went out in the company of 'Umar bin Al-Khattab one night in Ramadan to the mosque and found the people praying in different groups. A man praying alone or a man praying with a little group behind him. So, 'Umar said, 'In my opinion I would better collect these (people) under the leadership of one Qari (Reciter) (i.e. let them pray in congregation!)'. So, he made up his mind to congregate them behind Ubai bin Ka'b. Then on another night I went again in his company and the people were praying behind their reciter. On that, 'Umar remarked, 'What an excellent Bid'a (i.e. innovation in religion/ Biddat e Hasna) this is; but the prayer which they do not perform, but sleep at its time is better than the one they are offering.' He meant the prayer in the last part of the night. (In those days) people used to pray in the early part of the night." (Book #32, Hadith #227)

 

ab aap ki samajah me aa gaya hoga ki kyu aapsy syberite bhai ne poocha tha ki taraweeh aapki nazar me kya hai biddat e hasna ya biddat e zalala etc.....ab phir apna qol parhiye

 

(asim10 @ Apr 21 2008, 05:02 PM) post_snapback.gifabid bahi app ke is tehreer main buhat see batain khilfay haqeeqat hain. sub say pehlee bat to yehe hay kay nabi akram saw nay farmaya "QULLOO BIDAAH ZALALAH" yani her biddat zalalat hay.bahi jab itni app saw ka qaool hay kay her qisam ke biddat zalalat hay to woh biddat chahay saeeya hoo ya hasana woh qullo main dakhil hoon ghee.

ab lagaiye fatwa Hazrat Umar (ra) par or haan wo tablighi jamaat ka biddat e hasna hona khud aapky molvi sahab ki zubani parhwaya to phir sary tablighi biddati banky naari ho gaye apky upar diye gaye qowl ke mutabiq ....sahi hai na ?? or nahin huey to phir sahi tareeqy se kaan pakad lijye...ghuma phira kar pakarny se kya matlab....

 

(saw)

Link to comment
Share on other sites

bahi sahib is hadith ka jo matlab app lay rahay hain to us ke wajha say to kowee bhee biddat na howee ,

phir to shia bhee sahih hain , qadyani bhee sahih hain.aour dosree jitni bhee jamatain hay woh sub sahih hain kiuon kay is sub kay mutabiq to in ka her kaam acha hee hay aour woh isay deen ka hisa bana kar hee paish kartay hain.

 

yahan aapny jo likha hai in sab ke mutabiq to inky Aafaal/Mamlaat ka biddat e hasna ya biddat e zalala hona insy nahin poocha jayega balki Quran or Sunnat ki roshni me dekha jayega itni choti se baat apki aql me nahin aayi??

bahi is hadith ka matalb bara seedha hay kay agar kowee naik kaam jis ka main sirf aik lafz say ezhar karoon gha,sadqa jariya.kiya jaaiy to us ko us ka ajar qiyamat tak milay gha.is main buhat say kaam ho saktay hain.app kahain pani ka entezam kar saktay hain.app kahee kowee darakht laga saktay hain,app kis ko taleem dilwa saktay hain. aour is qisam kay naik kaam jo app kay baad bhee jaree rahain to,is ajar app ko qiyamat tak milta rahay gha.

 

 

wah kya bat hai aapki samajh ki sadqa jariya or biddat e hasna ko ghard marh kar rahy hain....zara iski bhi wazahat Quran or sunnat ki roshni me ka dein to hmy samjhny me asani ho....or abhi kuch post pehly to aap keh rahy thy "QULLOO BIDAAH ZALALAH"(chahy hasna ho chahy saiyyah)...to agar me pani ka kuwa khudwany ki bajaye pani ko pauch me sadqa karny lagu to aapki tehqeeq ke mutabiq to ye biddat hogi ki kabhi kisi sahaba (ra) ne ya huzur (saw) ne pani ke pauch sadqa kiye?

 

Link to comment
Share on other sites

abb is hadith say app nay deen main nayai kaam ke ejad say kaisay mila diya.halankay is hadith main bara he wazeh taour per kaha gaiya hay kay agar deen main kowee acha kaam jaree karay gha.nayai kaam ka too nahin kaha gaiya mairay bahi.

 

wo aisy mila diya ki shayad aap gumrahon ki andhi taqleed ke bais sahih hadees tak ko bhula behty hain zara aql sahreef ka istemaal karty huey neechy di hui hadees ke lafzon ko prahy...red marked kiye huey lafz saaf tour par dikh rahy hongy "INNOVATES" matlab IJAAD karna....hadees ka mafhoom saaaf hai ki sirf wo kaam jo quran or sunnat ke khilaaf hon or unki asal sabit nahin wo hi biddat e zalala hain gumrahi hain or naar me le jany waly hain....baki sab kaam jo quan or sunnat ke khilaaf nahin, biddat e hasna hain .....Allah (azw) Hidayat de

 

aour aik baat aour bata doon main kisi alim sahib ke taqleed nahin karta chahay woh deobandi hoo, ahalay hadith hoo ya kowee bhee aour ,jab tak kay woh quran o hadith say apni baat sabit na karay .

 

aap ko shayad ye bhi nahin maloom ke taqleed kehty kis ko hain, taqleed kisi aalim ki nahin balki mujtahid ki ki jati hai, sirf quran or sunnat se baat karna or baat hai, or ijtehaad or baat, aalim sahab ki sirf itteba ki ja sakti hai. kher abhi behas ka mozu ye nahin is liye apky liye itna seekhna kaafi hai...

 

(ma)

bidaa.JPG

Link to comment
Share on other sites

asa

tarwee biddat nahin hay il leyai kay ,taraweeh aik nafal nimaz hay aour yeh akailay akailay bhee parhee ja saktee hay aour bajamat bhe.

app saw nay 3 din tak bajamat yeh nafal nimaz ada ke.sahaba rz ap saw kay samnay bajamat nafal nimaz ada kartay thay.is leyia app is ko sunnat he kahain ghay.biddat nahi.

 

Hazrat ab dil per haath rakh kar bataiye ga ke aap ki baat ko sahi maano ya Hazrat Umer-e-Farooq (Radi Allahu Anhu) jaisay Jaleel-ul-Qadr Sahabi ki qoul maano?

 

Hadith aap ko Ya Mohammadah bhai de chukay, mein Bukhari ka scan bhi diye deta hon takay agar English samajh na aie ho to Urdu samajh ajaye.

 

bukhari.GIF

 

Rahi baat 3 din Huzoor-e-Akram (saw) ka ba'jamat nafl parhana tu woh namaz-e-Tahajudd thi. Namaz-e-Taraweeh ka uss waqt koi wujood na tha. Inn 3 ayaam ke baad Huzoor-e-Pur Noor (saw) ki zahiri-hayat ke dooran ye namaz nahi parhi gai. Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) ke pooray door-e-khilafat mein 1 din ke liye bhi namaz-e-taraweeh ba'jamaat nahi parhi gai. Hazrat Farooq-e-Azam (Radi Allahu Anhu) ke nisf door-e-khilafat guzarne ke baad Aap ne sahab-e-kiram ke mashwaray se ba'jamat Namaz-e-Taraweeh shuru ki.

 

Agar aap isay Huzoor-e-Akram (saw) ki sunnat maantay hain tu Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) jaisay sahabi ke pooray door-e-khilafat mein iss Sunnat per amal kyu na howa? Kya aap ke nazdeek aaj kal ke musalmaan, hum aur aap Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) se zyada sunnat per amal karne walay hain?

Link to comment
Share on other sites

Hazrat ab dil per haath rakh kar bataiye ga ke aap ki baat ko sahi maano ya Hazrat Umer-e-Farooq (Radi Allahu Anhu) jaisay Jaleel-ul-Qadr Sahabi ki qoul maano?

bahi app sydna umar he kee baat manain.per sawal to yehe hay kay kiya sydna umar rz kowee biddat ejad kar saktay thay.nahin kabhi nahin.to is ka seedha sa matlab yeh hay kay yeh alfaz sydna umar nay istlahan nahin kahay .aour app jo hadith scan kee hay plz is say aghay ke kuch ahdith bhee parh laitay , jis main nabi akram saw raat ko masjid main nimaz parhanay nikaltay hain to app kay sath sahaba bhee jama hona shoro ho jatay hain , dosree rat aour bhee ziyda sahaba jama ho jatay hain. tesree raat bhee isi tarha hota hay .to yeh is baat ka saboot hay kay nwafil bajamat aik imam kay pechay parhna sunnat aiy rasool saw hay na kay biddat.

 

post-1146-1208889614.gif

 

Rahi baat 3 din Huzoor-e-Akram (saw) ka ba'jamat nafl parhana tu woh namaz-e-Tahajudd thi. Namaz-e-Taraweeh ka uss waqt koi wujood na tha

app nay shayad mairee post ghaor say nahin parhee.main nay nafal nimaz ke baat ke thee,tarawee ke nahin.aour main nay yehee kaha tha kay nafal nimaz bajamat bhee parhee ja saktee hay our akailay bhee.

Hazrat Farooq-e-Azam (Radi Allahu Anhu) ke nisf door-e-khilafat guzarne ke baad Aap ne sahab-e-kiram ke mashwaray se ba'jamat Namaz-e-Taraweeh shuru ki.

 

Agar aap isay Huzoor-e-Akram (saw) ki sunnat maantay hain tu Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) jaisay sahabi ke pooray door-e-khilafat mein iss Sunnat per amal kyu na howa? Kya aap ke nazdeek aaj kal ke musalmaan, hum aur aap Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) se zyada sunnat per amal karne walay hain?

yad rakhain kay sahaba ka kiya howa kowee bhee humaray leyai qabilay amal hay aour woh is leyai kay app saw nay farmaya kay "alikum bee sunnatee wa sunatil khulfa ar rashideen al mahdeeyeen."is leyai sahaba karam kay kisi bhee amal ko biddat kehna ghunah ka kaam hay.

Link to comment
Share on other sites

bahi app sydna umar he kee baat manain.per sawal to yehe hay kay kiya sydna umar rz kowee biddat ejad kar saktay thay.nahin kabhi nahin.to is ka seedha sa matlab yeh hay kay yeh alfaz sydna umar nay istlahan nahin kahay .aour app jo hadith scan kee hay plz is say aghay ke kuch ahdith bhee parh laitay , jis main nabi akram saw raat ko masjid main nimaz parhanay nikaltay hain to app kay sath sahaba bhee jama hona shoro ho jatay hain , dosree rat aour bhee ziyda sahaba jama ho jatay hain. tesree raat bhee isi tarha hota hay .to yeh is baat ka saboot hay kay nwafil bajamat aik imam kay pechay parhna sunnat aiy rasool saw hay na kay biddat.

 

Aap ki post ki pehli line aap ke tamaam aiterazaat ka mudallal jawab hai.

 

"bahi app sydna umar he kee baat manain"

 

Aur yehi hum kar rahay hein. Hazrat Umar-e-Farooq (Radi Allahu Anhu) ne "achi biddat" kaha tu zahir hi se baat hai ke "achi" aur "buri" ke beech farq kartay howa kaha, warna sirf "bidat" kehtay na ke "achi bidat".

 

Aur rahi baat ba'jamat nawafil ki, tu yaha hum bil'khusoos Ba'jamaat Taraweeh ki baat kar rahay hain. Umeed hai ke farq samajh aa gaya hoga.

 

app nay shayad mairee post ghaor say nahin parhee.main nay nafal nimaz ke baat ke thee,tarawee ke nahin.aour main nay yehee kaha tha kay nafal nimaz bajamat bhee parhee ja saktee hay our akailay bhee.

 

Mera sawal aap shayad bhool gaye. Mein ne sawal kiya tha Ba'Jamaat Taraweeh ke mutalliq. Ye tu aap baat ko ghuma phira kar nawafil per laa rahay hain. Aur aiye aap ko aap hi ki post yaad dila don ke kis tarah aap ne nawafil aur taraweeh mein farq khud bayan kya tha;

 

"app saw nay 3 din tak bajamat yeh nafal nimaz ada ke"

 

Aap ke iss statement mein lafz "YEH NAFAL" Urdu qaiday ke mutabiq iss baat per dalaalat karta hai ke aap ne nawafil ka zikr bil'takhsees kiya hai aur choo'ke mera sawal taraweeh ke mutalliq hi tha so sabit howa ke aap ne bil'takhsees namaz-e-taraweeh ke baray mein hi kaha tha aur ab taweelat paish kar rahay hain.

 

yad rakhain kay sahaba ka kiya howa kowee bhee humaray leyai qabilay amal hay aour woh is leyai kay app saw nay farmaya kay "alikum bee sunnatee wa sunatil khulfa ar rashideen al mahdeeyeen."is leyai sahaba karam kay kisi bhee amal ko biddat kehna ghunah ka kaam hay.

 

Iss baat per tu yaha behes ho nahi rahi ke Ashaab-e-Kiram (Ridwan Allahe Ta'ala Allaihe Ajmain) hujjat hain ya nahi. Yaha baat ho rahi hai ke aya "bidat" ko "achi" aur "buri" iqsaam mein baanta jaa sakta hai ya nahi. So baraye mehrbaani topic se door na jaiye.

 

Aap ne choo'ke apni pichli post mein Bidat-e-Sai'ya aur Bidat-e-Hasanah ki takhsees khatam kartay howay keh dya ke tamaam bid'aat chahay Sai'ya hon ya Hasanah "dalalah" ke hukm mein aati hai iss liye ab mandar'zayl sawalaat ke jawab dene ke zimaydaar hain.

 

1. Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) nay ba'jamat taraweeh ko "achi bidat" kyu kaha? Kya aap ke nazdeek Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) sunnat aur bidat ki takhsees nahi kar saktay thay?

 

2. Huzoor-e-Akram (saw) ke zahiri door-e-hayaat mein taraweeh ba'jamat kyu nahi parhi gai?

 

3. Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) ke pooray door-e-khilafat mein ba'jamat taraweeh kyu nahi parhi gai?

 

4. Akabir Ulema jo Bidat ke Sai'ya aur Hasanah honay per qayal hain unn ke baray mein aap ka kya khayal hai? Aya ke woh sahih-ul-aqeeda hain ya bidat ke mamlay mein unn ke aqaid bhi ghalat hain?

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Asim Sahib.. Aap Sey Aik Choti Si Arz Hai Key Biddat Ki Tareef Likh Dein.. Aur Us Tareef Per Quran-o-Hadees Sey Daleel Bhi Dey Dein Wegerna Aapki Pesh Kerdah Daleel Khud Biddat Ho Jaye Gi...

 

Jab Aap Ba Hawala Tareef Pesh Ker Dein Gey Tu Discussion Mein Aasani Rahey Gi...

 

Aur Is Fatwa Key Barey Mein Aap Kiya Kehtey Hain?

 

bidat_ki_aqsam_dar-ul-ifta-deoband.gif

Link to comment
Share on other sites

app tamam logon kay dalail apnee jagha magar mujhay yeh samjh nahin atee kay jab NABI AKARM SAW nay bidaat ko zalalat kaha hay to app kiuon is tashreeh o taweel kar rahay hain.kiya ap kowee bidat kartay hain ya app biddat karna chahtay hain.

 

Asim Sahib.. Hum Tashreeh-o-Taveel Nhin Ker Rahey.. Balkey Tashreeh Tu Muhadiseen Ney Ki Hai... Sirf Pehla Hawala Mulahiza Hoo.. Phir Mazeed InshaAllah...

 

her_bidat_gumrahi_ka_jawab.gif

Hazrat Sheikh Abdul Haq Muhadis Dehlavi (Aleh Rahma) Per Kiya Hukm Hai? Kiya Woh Biddat Kerna Chahtey They (Muaz Allah) Jo Hadees Ki Tashreeh wa Taveel Ker Di?

Link to comment
Share on other sites

app tamam logon kay dalail apnee jagha magar mujhay yeh samjh nahin atee kay jab NABI AKARM SAW nay bidaat ko zalalat kaha hay to app kiuon is tashreeh o taweel kar rahay hain.kiya ap kowee bidat kartay hain ya app biddat karna chahtay hain.

 

Aap ye sawal hum per nahi balkay Sahib-e-Mishqat per aa'id kar arhay hain. Aur usooli tour per yehi sawal aap ko Darul Uloom Deoband ki website se karna chahiye ke jis ka image Sag-e-Attar bhai de chukay hain.

 

Naiz mein ne aap se kuch seedhay se sawal kiye thay, unhi ka jawab de detay tu aap ko apnay iss sawal ka jawab khud'ba'khud mil jata.

Link to comment
Share on other sites

'Sybarite' date='Apr 24 2008, 12:43 PM' post='21085']

Aap ye sawal hum per nahi balkay Sahib-e-Mishqat per aa'id kar arhay hain. Aur usooli tour per yehi sawal aap ko Darul Uloom Deoband ki website se karna chahiye ke jis ka image Sag-e-Attar bhai de chukay hain.

bahi sahib mishkar ho ya sahib bukhari jo kowee bhee ghalt baat karay gha woh ghalt he ho ghee.aour mujhay plz kisi web site ka na batain. main khud itni aqal rakhta hoon kay apnay deen ko samjh sakoon , allah nay quran main kaha kay hum nay is deen ko asan banaya.to phir mushkil kiya hay.

Naiz mein ne aap se kuch seedhay se sawal kiye thay, unhi ka jawab de detay tu aap ko apnay iss sawal ka jawab khud'ba'khud mil jata.

mera khiyal hay kay app kay her swal ka jawab dainay ke koshish to ke hay agar phir kisi sawal ka jawab na diya hoo to ap plz duhra dain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...