Jump to content

taqviyatuliman ki ibarat


Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

  • 2 weeks later...

(bis)

 

(salam)

 

salam.aap ne taqvituliman ki ebarat pe aitraz kya hay lakin mery bahi aap

aap k ala hazrat ahmad raza brelvi

janab shah ismail shaheed ko kafir nien keh rahy

aap ko mien kuch images send ker raha han aap en ko check kar lain shayed aap ki ghalat fehmi door ho jaye.

agar aap phir bhi shah ismail k kufar k qayel hain to aap ke ala hazrat ahmad raza sahib ne en ki takfeer ka fatwa kyun nien dya.

aap chek kar lain.

 

jjjjjjjjjjjjjjjjjjjjjjlf8.png

 

jjjyl1.gif

 

 

hgew3.gif

 

gggggfy5.gif

 

hhhhhhsr9.gif

 

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

mery bahi aap ne shayed apny ala hazrat ki ebarat ko ghour se nien perha.

 

mien ne os ko headline kya ahy aap ghour se perhain.

wahan saaf likha hay k mien on ki takfeer nien krta aor keh rahy hain ke ullama un ko kafir na kahin

 

aor dosry page mien bhi saaf likha hay k mien shah ismail shaheed ko kafir nien kehta.

mera khayal hay k aap k pass koi jawab nein kyun k aap ala hazrat k har saaf baat ko to maan lety hain lakin kyun k shah ismail shaheed se aap ko wesay hi nafrat hay es lye jab aap k ala hazrat ne en ko kafir nien kaha to,ab aap ulta jawaz dhouhnd rahy hain.agar aap k ala hazrat ne shah ismail shaheed ko kafir kehna hota to saaf likh dety k mien shah ismail ko kafir samjta han lakin unhoun ne nain kaha aor tamheed e emaan k sath sath aap k ala hazrat ki aik aor book MALFOOZAAT k pages bhi hain wo bhi zara ghour se dakhin. malfoozat mien to sath ye bhi likh dya gya hay k wahabi kehty hain k takfeer ker di hallan k ala hazrat ne takfeer nien ki aor khud kaha k mien shah ismail shaheed ko kafir nien kehta

ab doubara zara ghour se apny ala hazrat ki ebarat ko perhain aor khud faisala karin.

kam az kam apny ala hazrat ki baat hi maan lain

 

jjjjjjjjjjjjjjjjjjjjjjlf8.png

 

80090863sh0.gif

 

26237864nh2.gif

Link to comment
Share on other sites

junab ap nay bhi shyad us kitab ko ghor say nahin parha...us main saf wazahat majood hay k

 

alahazrat nay ismail dehlvi ko kafir kyun nahin kaha aur ullama e mohtateen ko usay kafir

 

kahnay say kyun mana farmaya hay..jawab to lagta hay kay ap kay pas nahin hay jo usi baa

 

ko repeat kar diya hay....

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

 

qadri sahib sab se pehly to mien late jawab deny ki mazraat kerta hon aor os k baad aap ne mujy ye kaha k mien neghour se nien perha aor wo hi pages repeat kr dye to mery bahi wo mien ne es lye repeat kye thy k aap meri baat samaj jayen lakin aap ne shayed ghour nien kya.

ab zara en pagees ko ghourse dekhin. ye aap k ala hazrat ki book TAMHEED E EMAAN k hi hain.

aik page mien aap k ala hazrat ye keh rahy hain k jo NABI HAZRAT MOHAMMAD

ki guztakhi kry wo kafir aor os ko na manany wala bhi kafir.

ab ye bilkul waziah baat hay aor es mein koi LAZOOME KUFR AOR ILTIZAM E KUFR ki qaid nien lag sakti jysa k aap k aqeeda shah ismail shahee dk bary ,mien hay k unhou ne guztakhi ki.

aap es baat ko yaqqeen k had tak manty hain aor aap k ala hazrat bhi manty hain.

ab agar aap ko es mein shak hay k unhun ne kufr k alfaz use kye hain to aap LAZOOME KUFR AOR IN]TAZAM E KUFR ki qaid laga sakty hain.

lakin aap ko shak hi nien to phir es ki qaid nien lag sakti jysa k aap ki send ki hoi book mei hay.

 

ab en pages ko ghour se dekhin. aap k alah hazrat SHAH ISMAIL SHAHEED k kufr k qayel nien

 

ab sawal ye hay k agar SHAH ISMAIL ne NABI (saw) ki gustakhi ki to aap k ala hazrat ne un k kafir kyun nein kaha.

ya phir un pe lazoome kufr aor iltazam e kufr ki qaid kyun lagai.

umeed hay ghourse perhai ge aor jawab dain ge.

shukria

jjjjjjwo7.gif

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Shia Kafir Sahib... Aap Kisi Sunni Maktabey Sey Mash'hoor Munazirah Jhang Ley Lein.. Aap Key Jhangavi Sahib Key Isi Aitaraz Per Mufti Ashraf Sialwi Sahib Ney Uski Woh Zilat Ka Saman Kiya Hai Key Aaney Wali Naslein Bhi Sharmindah Rahain Gi...

 

Isliye Key Aap Tu Is Feild Mein Naye Naye Panchi Hain.. Woh Muftiyan-e-Karam Sey Munazirah Ki Stage Per Pohnch Ker Lazoom wa Iltizam Ka Matlab Nhin Janta Tha... Aur Kehney Laga Key Lazoom Kiya Hota Hai Aur Ilteezam...? Jab Key Munsifeen (Jo Key Aalim Bhi Nhin They Woh) Mufti Ashraf Sialwi Sahib Ki Speech wa Dalail Sey Jan Gaye Key Lazoom Wa Iltizam Kiya Hota Hai...

 

Aap Yeh Batain Ismail Dehlavi Per Jin Ulema Ney Kufr Ka Fatwa Diya Maslan Hazrat Allamah Fazal-e-Haq Khair Abadi Sahib (Aleh Rahma) Wa Deger Ulema Ney Tu Unho Ney Kis Bunyad Per Fatwa Diya? Aur Unkey Barey Mein Aalahazrat (ra) Ney Kiya Kaha?

 

Ager Aap Mazkoorah Kitab Perh Letey Tu Yeh Na Kehtey Key Aalahazrat (ra) Ney Kufr Ka Fatwa Deney Sey Mana Kiya Hai... Alahazrat (ra) Ney Qaida Bayan Kiya Hai.. Aur Uski Wajah Ka Saboot Bhi Mazkoorah Kitab Mein Mojod Hai Key Aakhri Zamana Mein Molvi Ismail Dehlavi Ki Tauba Mash'hoor Ho Gayi Thi... Iski Tardeed Deobandi Ulema Ney Ki... Pas Ager Yeh Qaul Ghalat Bhi Hoo Mager Aik Aehtamal Reh Gaya... Is Aehtayat Ki Pesh-e-Nazer Aalahazrat (ra) Ney Fatwa Na Diya.. Wegerna Qaul Tu Yaqeenan Kufriyat Hain... Aur Jin Ulema Ney Kufr Ka Fatwa Diya Aalahazrat (ra) Ney Unko Ghalat Nhin Kaha... Balkey Sirf Apni Aehtayat Ki Wajah Sey Kufr Ka Fatwa Na Diya...

 

Aur Aub Jo Aap Aur Aap Key Ulema Ker Rahay Hain Yeh Yaqeenan Iltezam-e-Kufr Hai...

 

انا للہ و انا علیہ راجعون

Link to comment
Share on other sites

(bis)

bahi sag-e-attar aap ne mashaallah acha jawab dya hay.

mien aap se sirf ye pouchna chahta hn k aap k ala hazrat ne lazom e kufr sabit kerny k baad kaha k mien shah ismail ko kafri nien kehta.

ab lazzom e kufr k mutlab to aap ki send ki hoi book mein mojood hay k ksi baat per kufr lazim ana.

agar ksi aik baat pe ksi shaksh pe lazoom e kufr ka fatwa lagy to manany ki baat hay k es shaksh ne aik aysi baat ki jsi pe lazoom e kufr ka fatwa laga k es shaksh k qoul kufryat pe mushtimal hain. aor es k qoul pe kufr lazim aata hay.?

 

lakin jis shaksh ne 70 aysi batain ki hon jo kufriat pe mushtimal hon to kya os pe bhi lazoom e kufr ka fatwa lagy ga ya os pe iltizam e kufr ka fatwa lagy ga?

ab zahir si baat hay k ayse shaksh pe iltazam e kufr k hi fatwa lagy ga kyun k es ne 70 aysi batin ki hain ya es shaksh k 70 ayse qoul hain jo kufriyat pe mushtimal hain.aor hum ne os shaksh k kufr apny oper lazim qarar de dya ahy

 

ab aap k ala hazrat ne to kaha hay k mien ne shah ismail pe 70 martaba lazom e kufr sabit kya aor baad mein kehty hain k mien un ko kafir nien kehta.

ab kya wajah thi k aap k ala hazrat ne 70 batoun pe bhi lazoom e kufr ka fatwa lagaya.

iltizam e kufr ka nien?

hallan k agar ksi shaksh mien 70 aysi batin hain to lazmi hay k os pe iltazam e kufr ka fatwa lagy.

yaani k os shaksh k kufr ko apny oper lazim qarar dya jaye.

 

shah ismail ko 70 batun k baad to aap k ala hazat p zarouri tha k un pe iltazam e kufr ka fatwa lagya jata.

 

iltazam e kufr ka mutlab to zahir hay aap ko pata ho ga.

ab aap k ala hazart ne shah ismail ki 70 batun k baad bhi un k kufr khud pe lazim kyun nien kya?

aor malfoozat mein to ala hazrat ne lazoom e kufr ka fatwa bhi nien lagaya bulke saaf keh dya k mein ne kafir nien kahha

 

umeed hay aap es sawal ka jawab jald dain ge.

es k sath sath mein aap ko darul aloom deoband ka fatwa shah ismail k bary mien send kerta hn .ho sakta hay k aap ki shah ismail k bary mien ghalat fehmi door ho jaye.

 

 

deobandfatawashahismailzv1.jpg

Link to comment
Share on other sites

Main Aapko Likha Tha Key Aap Ka Qasoor Nhin Hai.. Aap Key Munazireen Ko Lazoom wa Iltezam Ki Samajh Nhin Aati...

 

ab lazzom e kufr k mutlab to aap ki send ki hoi book mein mojood hay k ksi baat per kufr lazim ana.

agar ksi aik baat pe ksi shaksh pe lazoom e kufr ka fatwa lagy to manany ki baat hay k es shaksh ne aik aysi baat ki jsi pe lazoom e kufr ka fatwa laga k es shaksh k qoul kufryat pe mushtimal hain. aor es k qoul pe kufr lazim aata hay.?

 

Lazoom Ka Maani Hai Kisi Bat Per Kufr Ka Lazim Aana.. Yahan Baat Murad Hai.. Baat Kerney Wala Nhin.. Aub Baat Kerney Waley Ko Dekhna Hoga.. Key Kiya Us Ney Yahi Qaul Apney Oper Lazim Ker Liya.. Yeh Nhin Key Qaul Kufr Hai Tu Qail Ko Foran Kafir Keh Diya Jaye... Nechay Operi Book Sey Ebarat Ley Ker Nechay Attach Ker Raha Hoon.. Abhi Tassali Sey Perh Ker Reply Kejiye Ga...

 

lazoom_wa_iltezam01.GIF

Abhi Aahadees Sey Jawab Aagaya Hai.. Abhi Lazoom Wa Iltezam Key Liye Apney Aalim Ki Gawahi Perh Lein...

 

lazoom_wa_iltezam02.GIF

lakin jis shaksh ne 70 aysi batain ki hon jo kufriat pe mushtimal hon to kya os pe bhi lazoom e kufr ka fatwa lagy ga ya os pe iltizam e kufr ka fatwa lagy ga?

 

Aub Molvi Ismail Dehlavi Per Kufr Ka Fatwa Na Deney Ki Wajah Kiya Thi? Uska Jawab Perhein... Tassali Sey Aur Bar Bar Perhein.. Kaheen Phir Aapko Yeh Na Pochna Per Jaye Key Molvi Ismail per Kiyon Iltezam-e-Kufr Ka Fatwa Na Diya...

 

lazoom_wa_iltezam03.GIF

lazoom_wa_iltezam04.GIF

Aub Ager In Images Mein Kisi Bat Per Aitaraz Hai Tu Zaror Pochein...

 

Aur Ager Aapko Abhi Bhi Luzoom Wa Iltezam Ya Kufr Ka Fatwa Na Deney Ki Samajh Nhin Aayi.. Tu Aap Mein Samajhney Ki Salahiyat Hi Nhin Tu Hum Kiya Ker Saktey Hain.. Samajhney Wala Bandah Ya Tu Baat Accept Kerta Hai Ya Uska Rad Kerta Hai.. Dobarah Wohi Suwal Nhin Kerta...

 

 

es k sath sath mein aap ko darul aloom deoband ka fatwa shah ismail k bary mien send kerta hn .ho sakta hay k aap ki shah ismail k bary mien ghalat fehmi door ho jaye.

 

Aap Shurow Sey Yahi Kam Ker Rahay Hain.. Aik Mozo Mein Dosra Mozo Shurow Ker Detey Hain... Dar-ul-Uloom Deoband Key Fatway Ko Aap New Topic Mein Post Kerein Iska Rad Hum Kerein Gey...

 

Yahan Baat Ho Rahi Hai Key Ismail Dehlavi Key Qaul Aalahazrat (ra) Ney Kufr Maney Mager Kufr Ka Fatwa Na Diya... Aub Aap Yeh Sabit Kerna Chahtey Hain Key Qaul Hi Kufr Nhin Tu Uska Rad InshaAllah Hum Likhein Gey.. Mager Aalahazrat (ra) Ka Iltezam-e-Kufr Ka Fatwa Na Deney Wali Bat Sey Iska Koi Taa'aluq Nhin Hai...

 

Is Topic Mein Bhi Jawab Aap Per Udhaar Hai...

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...