Jump to content

Kia Orat naqis Ul Aql Hoti Hay??


khak e naleein

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

KIA AURAT(FEMALES) MARD (MALE) KEY MUQABLEY MEIN KAM AQAL MAND HOTI HAY???

 

 

aaam ttor per yeh dekha gya hay key aurat merd key muqabley mein kam aqal mand hoti hay

 

aur kia yeh baat sahhee hay key aurat ki aqal mein khoott hota hay?

 

kia insan ko self analysis kerna chiya ya dosroon ka analysis krna chiya ??

 

COMMENT ON DIS TOPIC..........

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

aam ttor per yeh dekha gya hay key aurat merd key muqabley mein kam aqal mand hoti hay

SURAH ZUKHRUF KI AAYAT 18 MAIN YA ..KANZUL IMAAN

"....OR JO BEHAS MAIN SAAF BAAT NA KAREY"

IS KI TAFSEER MAIN KHAZAIN UL IRFAN MAIN HA "YAANI APNE ZOAF E HAAL OR QILLAT E AQAL KI WAJA SE.HAZRAT QATADA (ra) NE FERMAYA"ORAT JAB GUFTAGU KERTI HA TO AKSAR WO APNI TAEED MAIN JAB KOI DALEEL PESH KERNA CHAHTI HA TO APNI MUKHALFAT MAIN DALEEL DE DETI HA"

1 MARD KI GAWAHI B 2 ORATON K BARABER SAMJHI JAATI HA TO KOI WAJAH TO HOGI NA IS SHARIYAT K RULE MIAN.

QURAN E PAK MAIN HA "MARD ORATON PER QAWWAM (NIGRAN) HAIN"

aur kia yeh baat sahhee hay key aurat ki aqal mein khoott hota hay?

JAHAN ORAT KO APNA MUFAD NAZAR AAYE GHA WAHAN TO HO SAKTA HA LAKIN JO ALLAH AZZAWAJAL SE DARNE WALI HO GI US K BAREE MAIN YAH BAAT GHALAT HA.SURAH YUUSAF MAIN ORATON K MAKAR KI TARAF WAZIHA ISHARA HA..

 

 

kia insan ko self analysis kerna chiya ya dosroon ka analysis krna chiya ??

INSAAN KO HAR WAQT APNA MUHASBA KERNA CHAHYE NA K DOOSRON KA.AMEERE AHLESUNNAT DAMAT BARKATUHUM AALIA NE MADANI INAMAT HUMEIN ISY LIYE ATA KEIYE HAIN K HUM APNA HI ANALYSIS KAREIN.

HADEES E PAK KA MAFHOOM HA"MUBARIK HAIN WOH LOGH JAB DOOSRON KA EIB(KHAMIYAN)BAYAN KERNE LAGAIN TO UNHAIN APNA EIB YAAD AA JAYEIN OR WO KHAMOSH HO JAIN"

ALLAH AZZAWAJAL HUMEIN AQAL E SALEEM ATA FERMAYE OR ILM K SATH AMAL KI BHI TOFEEQ DE.AAMEEN BI JAHIN NABI UL AMEEN (saw)

talab gare MADINAH

Edited by Umm-e-Anwaar Raza
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

aaaaahhhhh........!!

 

ALLAH (azw) ny meethy AAQA (saw) ki zban mubarak sy kehlwa diya.......

aik jaga ye b farmaya:

"Orat Terhi pasli ki paida war hy"

 

kabi kabi dukh hota hy ac baaten sun k aur parh k.........

(ye b meri kam aqali hi hy)

mgr ac feelings ko overcome krny k liye kia kren...???

Link to comment
Share on other sites

tu aurat kia ye kami kisi terha pori ker sekti hay??

 

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

 

Ss ye wo kamiyan hain jin ko kabhi b koi aurat pura kar he nahi skti........

 

 

Aqal ki kami 1 aurat ki gawahi mard k nisf k barabar hai.......

 

To Shariyat k is hukm main b Kai hikmatain hun gee jo hmari naqis aqal samjnay say qasir hai isliye k Deeni amur main aqal ko dakhal nahi aur buhat say amur aisay hain jin ko aqloon k zariye malum nahi kia ja skta.....

 

Isliye hamain chahaye k jo Ahkamat Shariyat ny waza kiye hain us ko he follow karian na k us k baray main qayas aaraiyan karain kyunki qayas aariyan Ilm o Haqeeqat say buhat dur ly ja kar insan ko gumrahi main mubtila kar daiti hain...

 

Allah (azw) hmain Meethay Aaqa (saw) k sadqay Shariyat k ahkamat per amal karnay ki toufeeq atta farmaye ameeeeeeeen Bijhahin nabi yel ameen (saw)

 

was'salam ma'alikram

Link to comment
Share on other sites

YE AQAL KI KAMI aurat mein ALLHA KI HIKMAT hy ???????

 

aur waesy bhi aurat ko kam he bolna chiye i think soo zada bolna bhi kam aqali hota hay

 

aur doseri behnoo key kamoo mein intreption nahi kerna chiye

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

(azw)(sa) qufl e madinah ss bohat tasalli bakhsh jawab diya ap ne barakAllah

tu aurat kia ye kami kisi terha pori ker sekti hay??

sister qura'an e paak men irshad e khudawandi hay"

اَلرِجالُ قوّامونَ علی النساء

ترجمہ کنز الایمان:

مرد عورتوں پر افسر ہیں

sister! jaisa k qufl e madinah sis ne kaha k ye kami orat kabhi poori ker hi nahi sakti jab k usay pyaray aaqa (saw) ki zaban e haq tarjuman se naqis ul aql farmadiya gaya hay han mager is ayat e mubaraka se itna wazeh hay k mard hakim hay or orat mahkoom to orat muamlat men apni naqis ul aqli se nuqsan se bachnay k liye kaamon men mard se mashwera karay jab bhi kisi kaam k kernay ka irada karay to apnay hakim( ager beewi hay to shoher se or ager beti hay to baap se) mashwera kerlay.is se behad faida hoga wesay bhi mashwera kerna ka hukum khud Allah (azw) qura'an e majeed men irshad farmata hay or jab orat muamlat men mard k mashweray se faislay karaygi to yaqeenan kamyab rahaygi kion k mard to wesay bhi kamil ul aqal hay.

is ayat e mubaraka ki tafseer men noor ul irfan men mufti ahmed yaar khan naeemi

(ra) bari hi piyari baat irshad farmatay hain:

"mard orat se afzal hay.khayal rahay k jins e mard jins e orat se afzal hayna k mard ki her fard orat ki her fard se afzal,ham jaisay lakhon mard hazrat aisha siddiqa or fatimatuz zahra radi Allahu ta'ala anhuma k na'lain k barabar bhi nahi,jins or cheez hay fard kuch or."( Tafseer Noor Ul Irfan para 5 almuhsanat ayat34)

to sister wazeh hoa k jins e orat se jins e mard afzal hay laikin tamam ummuhatul momineen,ahl e bait e athar ki khawateen or Allah ki oliyat rahimahumullah aam mardon se afzal hi hongi.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ham sab ko shariat e mutahhara ki mukammal pairwi kertay hoay ikhlas k sath deen o dunya k muamlay khush asloobi se nimtanay ki sa'adat ata farmaye.

aaaaaaaaaaaameeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(salam)

JAZAK ALLAH SISTERS BOHAT ACHI SHARING HA

MUJHAY KUCH ARSA PEHLY TAK APNA APP BOHAT BURA LAGTA THA(ORAT HONA)

MARA DIL KRTA THA K MAIN B MAIL HOT .JAB MAIN YE SUNTI THI K DOOZAKH MAIN ZADA FEMALE HONGI US WAQAT OR B APNY PR GUSA ATA THA.

BCOZ MAIN NY ZADA FEMALES KO CHUGLIYAN KRTY DAKHA HA.JAB K MUJHAY LAGTA THA K AIK MALE KITNA B BURA HO US MAIN KAHIN NA KAHIN SOFT CORNER ZAROOR HOTA HA.

 

LAKIN AB JAB MUJHAY THORI AQAL I HA TO AB APNA APP ACHA LAGTA HA

JAB MAIN BOHAT SARI NAIK ORTIOON KO DAKHTI HON BOHAT ACHA LAGTA HA.

JAB MAIN APNY AQA (S.A.W) KI SAHABZADI K BARY MAIN SOOCHTI HON.

OR YAHAN PER ITNI SARI NAIK ISLAMI BEHNY DAIKH KR BOHAT BOHAT BOHAT ACHA LAGTA HA. :)

 

 

START K AIK 2 POST PER KR(IS TOPIC K)MAIN AIK DAM SY BOHAT UDAAS HO GI THI :(

 

LAKIN LAST MAIN AA KR BOHAT KUCH APP YAQEEN MANY MUJHY AB BILKUL APNA APP BURA NHI LAG RHA.

 

BAS ALLAH (azw) HAMAIN NAIK AMAAL KRNY KI TOOFEEQ ATA FERMAI :rolleyes:

AMEEN

fi-aman:

(ah):)

TALBY DUA

Link to comment
Share on other sites

G ESI SOCH AKSE ATI HAY lakin phir ye soch ati hay key ager male hoti tu shead kuch dosery lerkun ki terha buri company mein bhi penccss sekty they

 

ALLHA KY HER KAM MEIN BEHTRI HOTI HAY

 

AYEEEE ALLHA humein AQA ALHSESAALTOWASLM KI sahbzadi SYEDA TU NISA BIBI FATIMA raziallhaoanhu KI CHADER SADQEY miain un key naqshey qadam per chala amean

Link to comment
Share on other sites

  • 13 years later...
On 2/6/2008 at 6:59 AM, KARAM YA RASOOL ALLAH said:

(bis)

 

SURAH ZUKHRUF KI AAYAT 18 MAIN YA ..KANZUL IMAAN

"....OR JO BEHAS MAIN SAAF BAAT NA KAREY"

IS KI TAFSEER MAIN KHAZAIN UL IRFAN MAIN HA "YAANI APNE ZOAF E HAAL OR QILLAT E AQAL KI WAJA SE.HAZRAT QATADA (ra) NE FERMAYA"ORAT JAB GUFTAGU KERTI HA TO AKSAR WO APNI TAEED MAIN JAB KOI DALEEL PESH KERNA CHAHTI HA TO APNI MUKHALFAT MAIN DALEEL DE DETI HA"

1 MARD KI GAWAHI B 2 ORATON K BARABER SAMJHI JAATI HA TO KOI WAJAH TO HOGI NA IS SHARIYAT K RULE MIAN.

QURAN E PAK MAIN HA "MARD ORATON PER QAWWAM (NIGRAN) HAIN"

JAHAN ORAT KO APNA MUFAD NAZAR AAYE GHA WAHAN TO HO SAKTA HA LAKIN JO ALLAH AZZAWAJAL SE DARNE WALI HO GI US K BAREE MAIN YAH BAAT GHALAT HA.SURAH YUUSAF MAIN ORATON K MAKAR KI TARAF WAZIHA ISHARA HA..

 

 

INSAAN KO HAR WAQT APNA MUHASBA KERNA CHAHYE NA K DOOSRON KA.AMEERE AHLESUNNAT DAMAT BARKATUHUM AALIA NE MADANI INAMAT HUMEIN ISY LIYE ATA KEIYE HAIN K HUM APNA HI ANALYSIS KAREIN.

HADEES E PAK KA MAFHOOM HA"MUBARIK HAIN WOH LOGH JAB DOOSRON KA EIB(KHAMIYAN)BAYAN KERNE LAGAIN TO UNHAIN APNA EIB YAAD AA JAYEIN OR WO KHAMOSH HO JAIN"

ALLAH AZZAWAJAL HUMEIN AQAL E SALEEM ATA FERMAYE OR ILM K SATH AMAL KI BHI TOFEEQ DE.AAMEEN BI JAHIN NABI UL AMEEN (saw)

talab gare MADINAH

In view of all this, can any man justify beating his wife for ordinary misbehavior? That would betray total ignorance of the significance of the text. As for the Hadith speaking of women’s deficiency, it is also quoted out of context. The Prophet was speaking to women on the occasion of Eid, just after the prayer. It was a joyous occasion when the Prophet jested with his audience and made them merry. He then admonished them and urged them to give to charity. He then said: “I have never seen people like you who are deficient in mind and religion yet can turn the mind of a wise man.” When they questioned him on this, he explained that the deficiency in religion is that a woman is not required to pray during her period, and the deficiency in mind is the fact that a woman witness should have another woman with her to remind her in case she forgets. This is not allowed to a man who is a witness. Yet people quote only the words, ‘deficient in mind and religion’, taking them out of context. They do not look at the Prophet’s explanation, nor at the relaxed way he said it, nor at the fact that he was jesting with women. They take these words as final and that they define the basis of how to treat women. How ill advised they are! This is how the explanation goes. For all the women that are asking about it. 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...