Jump to content

Niyyatain 4 Dars E Nizami Students


Qufl e Madinah

تجویز کردہ جواب

wa Alaikumus Salaam

Great Sharing... and keep on... (ja)

as umme anwar wishes you:

بارَکَ اللہُ فِی عِلمِکِ وَ عملِِکِ

regards, was Salaam

 

 

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

islami bro & sis meri bhe boht khawish thi ky main Dars-e-Nizami karta, but Majboori, ky life main itnay busy ho gay ky Deen ki BaQayieda Edu Hansel nei kar saka, par main boht respect karta hoin jo Apni niyaat par hamisaha Qayem rahty hain, during the course Bagh nei jaaty, tu ager niyaat ki hay tu pheer dowa bhe karin ALLAH AZZWAJAL AP SB KO course complete karny ki Tofeeq ata kary, AMEEN.

(ah)

fi-aman:

 

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

(bis)

(saw)

(salam)

(azw)(ma) buhhhhhhhhtttttt zbr10 kam kiya ss ap ny...........

 

(azw)(ja) ALLAHUMMA ZID FA ZID SUMMA ZID.....!!

 

aameeeeeeeeen bijahin Nabiyil ameeeeeeeen (saw)

Link to comment
Share on other sites

  • 9 months later...

(bis)

(saw)

(salam)

Dars e Nizami k Tulaba o Talibat k liye Double 26 Niyyatain

 

1.Riza e ilahi (azw) ko paish e nazar rakhte huwe is niyyat say parhun ga/gee k "Mujhe apni aur sari dunia k logon ki islah ki koshish karni hai"

2.T'azeem e ilm k liye saaf suthray kapre pehnun ga/gee.

3.Darjah(class) main jane say pehle wuzu kar liye karun ga/gee.

4.Darjah k kamray(room) ki taraf jate huwe har qadam per Talib ul ilm ki fazeelat paun ga/gee.

5.Nigahain jhuka kar rakhun ga/gee.

6.Raste main milne wale islami bhaiyun/bahno ko salam karun ga/gee.

7,8.Moqa mila to naiki ki dawat paish karun ga/gee.(Yani amar bil m'arouf o nahiyun anil munkar karun ga/gee).

9.Darjah main dakhil hote waqt salam karun ga/gee.

10.T'aleemi saal k aagaz per makhsoos jagah per baithne k liye kisi say jhagra nahi krun ga/gee.

11.Doran e parhai,agar koi meri jagah per baith chuka huwa to narmi k saath wahan say uthne ki request karun ga/gee basurat e deegar sabr karun ga/gee.

12.Darjah main baithne ki wajah say naik suhbat k fazail hasil karun ga/gee.

13.Deeni kutub ka adab karun ga/gee.

14.Dars ki jagah ka adab karun ga/gee.

15.sabaq Shuru karne say pehle T'awuz aur tasmiyah parhun ga/gee.

16.Nabi e pak (saw) per durud e pak parhun ga/gee.

17.Ustaz/ustani ki ziarat kar k aalim/aalima ki ziarat k fazail hasil karun ga/gee.

18.Ustaz/ustani ki baat tawaju say sunun ga/gee.

19.agar koi baat samjh main na aai to puch lun ga/gee.

20.fuzul aur bymahal suwalat kar k apnay saathi Tulaba/talibat aur ustaz ko kofat main mubtala nahi karun ga/gee.

21.Qilat e faham(kam samjhi ya kundzahni) per sabr karun ga/gee.

22.kasrat e faham(zahanat) per shukar karun ga/gee aur takabbur say bachun ga/gee.

23.Agar Ustaz Sahab/Ustani Sahiba ya nazim/nazima ny kabhi dant dia to khamosh rah kar sabr karun ga/gee.

24.Aik Ustaz Sahab/Ustani Sahiba ki kamzorain dusray/dusri ko bata kar unhain aapas ki ranjish main mubtala karne main hisadar nahi banun ga/gee.

25.jaiz sifarish karne ka moqa mila to zarur karun ga/gee.

26.jamia k jadwal per amal karun ga/gee.

27.Agar mujhe shikayat ki wajah say koi saza milli to main usay saza dilwane k liye moqa ki talash main nahi rahun ga/gee.

28.Saathi Tulaba/Talibat per gussah aane ki surat main Gussay ko p kar is ki fazeelat hasil karun ga/gee.

29.Poore Badan ka Qufl e Madinah lagun ga/gee.

30.Bila ijazat kisi ki kitab ya qalam ya copy etc istemal nahi karun ga/gee.

31.Agar Sabaq yaad karne k doran koi baat bhul gai to apne say (bazahir) kamzor ya umar main chote islami bhai/bhan say puchne main sharm mahsus nahi karun ga/gee.

32.Agar kisi nay mujh say sabaq k bare main dariyaft kia to Hatal maqdoor ahsan andaz main samjhane ki koshish kar k musalmano ki khair khawahi karne k fazail paun ga/gee.

33.Mujh say danista tor per kisi ki haq talafi ho gai to muafi mangne main dair nahi lagaun ga/gee.

34.Ghamzada islami bhan/bahan ki ghamkhawari karun ga/gee.

35.Beemar islami bhai/bahan ki aayadat karun ga/gee.

36.Aapas main naraz ho jane wale/wali islami bhaiyun/bahno main sulah karwane ki koshish karun ga/gee.

37.Agar kisi Islami bhai/bahan ko mali madad ki zarurat hui to Ustaz sahab/Ustani Sahiba k mashware ya in k zariye say is ki mali madad kar k Rah e khuda main karch karne ka sawab paun ga/gee.

38.Islami bhaiyun/bahno per infiradi koshish karun ga/gee.

39.agar mumkin huwa to khane etc k ikhrajat jaib say ada karun ga/gee.

40.Agar kabhi tang dasti ny aa ghaira to b bil zarurat e sharee kisi say suwal nahi karun ga/gee bal k aisi surat main qarz ly kar apni mushkil hal karun ga/gee aur Qarz Hasb e w'ada wapas b lota dun ga/gee.

41.Apna waqt fuzul kaamon main zaya nahi karun ga/gee.

42.Parhai aur madani kaamon main mashgool rahun ga/gee.

43.Apne ilm per amal karne k liye madani in'amat per amal karun ga/gee.

44.Har madani mah ki ibtidai tareekhoon main apna risala madani inamat k zimmadar/zimmadara ko jam'a karwa dia karun ga/gee.

45.Madani markaz ki taraf say diye gaye jadwal k mutabiq aashiqan e Rasool (saw) k Madani Qafiloon main safr karta rahun ga.

46.jaan buj kar amrad k qareeb nahi baithun ga.

47.Agar wo mere qareeb aa kar baith gaya to hatal imkan apni jagah tabdeel kar lun ga,basurat e deegar uska chehra ya libas daikh kar baaat karne say bachun ga.

48.Suhbat k haqooq pure karne ki koshish karun ga/gee.

49.Sadagi ko barqarar rakhte huwe sunnat ki tazeem k liye ahtimam say Imama Shareef bandhun ga.

50.Madani Burqah dastane aur jurabain pehnun gee.

51.T'azeem e ilm aur sunnat per amal k liye khushbu istemal karun ga.

52.Kitab parhne say pehle Kitab parhne ki dua parh lia karun ga/gee.

Hum ko Ay Attar (m-a) sunni Aalimoon say pyar hai

Insha Allah Azzawajal 2 jahan main apna baira paar hai.

 

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...
  • 2 months later...
  • 1 year later...
  • 6 months later...

Assalamoalaikum,

 

Qufl e Madinah ne apni sab se pehli post mein purple color se jo aayaat likhi hein us mein second line mein aik ghalti kar di hai. Minash Shaitanir Rajeem hoga.. wahan sirf shaitan irrajeem likha hai. Agar mein ghalat samajh raha hoon to islah farmaein aur agar aap se ghalti ho gai hai to ho sake to is ko durust kar lein. Shukriya

 

Assalamoalaikum

Edited by Syed Muhammad
Link to comment
Share on other sites

  • 3 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...