Jump to content

Wazeefe aurad


annas

تجویز کردہ جواب

Ager bacha rota ho aur khana na khata ho

Bacha buhat rota ho ya khana na khaata ho yaa doodh na pita ho to thora sa pani ya doodh glass mei le ker isha ki namaz k baad

 

"Yaa Allahuu Yaa Muhaiminuu Yaa Qahharuu"

 

Dozakh se hifazat

Jo shakhs fajr aur asar ki namaz k baad 7 martaba is dua ko parh le to dozakh dua kare ise mujh se bacha

 

"Allahumma Ajirni' minan naar"

 

ager moun mei chhaale par gaye hon

Ager kisi k moun mei chale pargaye hon ya badan mei phansiyan hojayen to Sura Duhaa 41 times parh ker sugar per dam kar k chabaale inshallah raahat hojayegi

 

Dunia mei faqa se bachao k liye

"La ilaha illallaahul malikul haqul mubeen"

 

jo koi shakhs subah shaam 100 100 bar is dua ko parh le dunia mei faqa na ho qaber mei wehshat na ho aur hashar mei ghabrahat se mehfooz rahe ga

 

 

"Yaa Maaliku"

 

Jo shakhs 90 bar rozana in kalmaat ko parhe ga ghurbat se nijaat paa ker maaldar hojaye ga

 

 

"Yaa Wahabuu"

 

Jo shakhs chasht ki namaz k akhri sajde mei 40 bar is ko parhe ga woh faqr o faqa se nijaat paye ga

 

Ager qaidi rihayi chahta ho

Ager koi Qaidi rihayi chahta hoo to rozaana Surah Jin parh liya kare inshallah baa'izzat bari hojaye ga

 

Nazar Kabhi kamzor na hogi

Jo shakhs wuzu karne k baad Aasman ki taraf dekh k Surah Qadr parh le inshallah us ki nazar kamzor na hogi

 

Shaitaan k shar se mehfooz rahe ga

"Huu Wallaahurraheem"

 

jo har namaz k baad in kalmat ko 7 bar parh le ga shaitan k shar se mehfooz rahe ga

 

Safer ki thakan door karne k liye

"Yaa Quddoosu"

 

Jo shakhs dauran-e-safer wird karta rahe gasafer ki thakan se mehfoo rahe ga

 

Sehat k liye

1- "Yaa Salaamuu"

 

Yeh kalmaat 111 bar parh ker mareez per dam karne se shifa naseeb hogi

 

2- "Yaa Maajiduu"

 

Jo shakhs in kalmaat ko 10 bar parh ker sharbat per dam kar pii le wo bimaar na hoga

 

3- "Yaa Allahu"

 

Jo Laa ilaaj mareez in kalmaat ko rozana 313 bar parhe ga iska marz khatam hojaye ga

 

4- Har kisam ki bimari takleef k liye jo shakhs 7 bar sura Fatiha parh k 111 bar "Yaa Salaamuu" parhe awal aakhir duroood-e-pak parh k mareez per dam karde aur paani per dam kar k wahi pani mareez ko pilaaye inshallah shifa hogi yeh amal din mei aik baar aur zada ki koi had nahi

 

Har wazeefe k liye awal akhir 11 11 bar durood shareef zaroor parh len jitne bhi wazeefe yahan diye jayen

 

Ranj-o-ghum door karne k liye

"Yaa Muhaiminuu"

 

Jo shakhs 29 bar rozana in kalmaat ko parh le uska ghum door hojaye ga

 

"Al Ghafooru"

 

Jo shakhs is ism ko 313 bar parhe ga us ki tamam takaaleef aur ranj-0-ghum door honge inshallah

 

Martaba mei bulandi k liye

"Al Aliyu"

 

Jo shakhs is ism ko 313 bar rozana parhe ga buland martaba aur khushhali naseeb hogiii

 

Rozee mei aisi barket k aap tasawwur na karpayen

1- "Ya Zal fadlil Azeem Salli ala fadlikal azeem wa'aalihi wasahbihi wabaarik wasalim tafaddal alaina be fadleekal azeem" (is ki scan mili to post kardoon ga ya kissi k paas ho to batade)

 

her namaz k baad 20 bar in kalmaat ko parhen rozee mei barkat hogii

 

2- "SubhanAllahiwabihamdihi subhanAllahil Azeem"

 

Jo shakhs 100 martaba rozana fajr ki namaz k baad in kalmaat ko parh le ga Allah taa'la us ko itna rizk ata farmaye ga k jaga na hogi

 

3- "Al Azizu"

 

Jo shakhs 40 din tak 40 bar is ism ko parhe ga Allah us ko muazziz aur ghani karde ga

 

Gunaahon ki aadat chhurwane k liye

1- "Yaa Mo'minuu"

 

Rozana pabandi k saath 111 bar in kalmaat ko parhe aur sote waqt "Yaa Muhaiminuu" parhte hue sojayen

 

2- "Yaa Hameedu"

 

jis shakhs ki gandi baato ki aadat naa jati ho wo in kalmaat ko 90 bar parh k paani per dam kar k paani piye is ki faahashgoi ki aadat nikal jaye gi

 

3- "Yaa Fattaahuu"

 

jo shakhs rozana fajr ki namaz k baad doono haath seene per rakh ker in kalmaat ko 70 bar parhe ga us k dil ka zang door hoga

 

Sharaab noshi zinakari badkaari mei giriftar ho

"Al barro"

 

Sharaab noshi zinakari badkaari mei giriftar ho rozana 7 bar is ism pak ko parh le inshallah gunaahon ki aadat chhoot jaye gi

 

Bawaseer ki takleef khatam karne k liye

Ager kissi ko bawaseer ki takleef ho to fajr ki 2 sunnaton mei pehli raka't mei 'Alam nashrah' aur doosri raka't mei Sura feel parhe takleef door hogi inshallah

 

Jinnat ko dafa karna ho to

Jis makaan mei jinnat ka shuba ho ya kissi insan per jinnat ka asar ho to Surah Fatiha, Ayatul Kursi aur Sura Jin ki shuru ki 5 ayaat parh ker dam kar k chhirak den jinnat chale jayen ge

 

apne auhde per bahaal hone k liye

"Yaa Kabiro"

 

Jo shakhs apne auhde se maazoool hogaya ho woh 7 roze rakhe aur rozana 1000 bar is ism ko parhe woh apne auhde per bahaal hojayega

 

Dunia ki mohabbat se nijaat k liye

"AlQahharo"

 

Jo shakhs dunia ki mohabbat mei giriftar ho to is ism ko 313 bar parhe dunia ki mohabbat dil se door hojaye gi

 

Aulad ki nek naami k liye

"Yaa Mateeno"

 

Jo shakhs her namaz k baad 100 ar is ism ko parhe us ki aulad nek hojayegi

 

Biwi ya Shohar naraz hojaye to yeh parhen

1- "Yaa Maneo"

 

Ager biwi naraz ho to shohar aur agar shohar naraz ho to biwi sone se pehle bister per beth ker 20 bar in kalmaat ko parhe sulah hojayegi

 

2- "Yaa Awwalo"

 

Jo shakhs 100 bar in kalmaat ko parh le us ki zoja s se mohabbat karegi

 

3- "Ya Wadoodo"

 

Jo shakhs 1000 bar is ism ko parh ker khaane per dam karega aur biwi k saath beth ker khaaye ga to miyan biwi ka jhagra khatam hojaye ga aur bahmi mohabbat peda hojayegi

 

4- "al Waliyuu"

 

Jo shakhs apni biwi ki buri adaton aur khaslaton se khush na ho biwi jab is k saamne aye woh is ism ko parhe woh nek khaslat hojayegi

 

Her kism k dard ko door karne k liye

"Ya Ghaniyu"

 

Chalte phirte uthte bethte in kalmaat ko parhne se reerhh ki haddi ghutnon aur joron aur jism ka dard jata rahe ga

 

"Ya Mughniyuu"

 

1 bar in kalmaat ko parh ker haathon per dam kar k dard ki jaga malne se sukoon hoga

 

"ya Muhyiii"

 

jo shakhs 7 bar in kalmat ko parh ker seene per dam kare us ko gas ki bimari se afaqa hoga

 

Zaalim se peechha churane k liye

"Yaa Raufu"

 

Jo shakhs 10 bar in kalmaat ko parh ker zaalim se baat kare woh zaalim us ki sifaarish qubool kare ga

 

"Yaa Qadiru"

 

Jo shakhs in kalmaat ko dauran-e-wuzu her uzv ko dhote hue parhne ka ma'mool bana le dushman us ko aghwa nahi kar sake ga

 

"Al Jabbaru"

 

Jo shakhs rozana subah shaam 226 bar is ism ko parhe ga woh zaalimon k zulm o qehar se mehfooz rahe ga

 

Mushkil Asaan karne k liye

"Yaa Qadiru"

 

Jo shakhs mushkil k waqt 41 bar in kalmaat ko parh le mushkil asaan hojayegi

 

"Yaa Muhaiminu"

 

Jo shakhs rozana 29 bar in kalmaat ko parhe ga woh her aafat o bala se mehfooz rahe ga

 

Tanhai mei dar lagta ho to

"Yaa Wahiduu"

 

Jo shakhs in kalmaat ko 1001 (aik hazar aik) bar tanhai mei parh le to us k dil se khauf jata rahega

 

"AlMo'minu"

 

Jo shakhs kissi khauf k waqt is ism ko 630 bar parhe to her khauf aur nuqsan se mehfooz rahe ga

 

Ghussa door karne k liye

"Yaa Raufu"

 

Jo 10 bar durood shreef aur 10 bar is ism ko parhe to uska ghussa rafa hojaye ga aur ager doosre ghazabnaak shakhs per dam kare to us ka ghussa bhi rafa' hojaye ga

 

 

 

Jis aurat k khawind ko ghussa ata ho to jab bhi shohar ko paani de 20 bar Bismillah parh ker paani per dam kar k pilaaye ghussa khatam hojaye ga

 

Jaduu se hifazat k liye

"Yaa Mumeeto"

 

Jo shakhs 7 bar rozana in kalmaat ko parh ker apne uper dam karlega us per jaduu asar nahi karega

 

bacha baaligh hone tak hifazat mei

"Al barro"

 

Jo shakhs apne bache per peda hone k baad hi 7 bar is ism ko parh ker bache per dam kare aur Allah k supurd kar de to Allah taa'la us bache ko baaligh hone tak tamam aafaton se mehfooz rakhe ga

 

Makhlooq ki mohtaji se bachne k liye

"Yaa Hakeemo"

 

Jo shakhs in kalmaat ko rozana 80 bar parh le woh Allah taa'la k siwa kisi ka mohtaj na hoga

 

Shaitaani waswason se nijat k liye

"Al Muqsitu"

 

Jo shakhs rozana is ism ko 313 bar parhe ga woh shaitaani waswason se mehfooz rahe ga

 

Maal ko chori se mehfooz rakhne k liye

"Yaa Jaleelo"

 

Jo shakhs in kalmat ko 10 bar parh ker maal ya raqam per dam karde woh maal chori se mehfooz rahe ga

 

hisaar bandhne ka tareeqa

awwal akhir 11 bar durood shareef parhen darmiyan mei 11 bar ayatu kursi parhen yeh amal 24 ghante mei aik bar karen

 

jo koi rozana hisaar bandh le ga her haadse, daketi aur dushman ki nigaah se ojhal rahega

 

Ibadat mei dil na lagta ho to

"Yaa Allahu Yaa Ghaffaru Yaa Qadiru"

 

Jo shakhs 121 bar in kalmat ko pare awal o akhir 11 bar durood shareef k saath to us ka ibadat mei dil lag jaye ga

 

bete k liye

"Yaa mutakabbiru"

 

jo shakhs apni zoja se milaap se pehle 10 bar in kalmaat ko parh le ga us k han nek beta peda hoga

 

"Yaa Bariyu"

 

Jo shakhs her jumme ko 10 bar in kalmat ko parhe ga us ko beta ata hoga

 

Aulad k husool k liye

"Yaa Khaaliqu Yaa Bariyu Yaa Musawwiru"

 

Be aulad aurat is tarah amal kare k 7 roze rakhe aur her roz iftar k waqt in teen naamon ko 21 bar parh ker aik glass paani per dam kare aur us paani se iftar kare to use aulad haasil hogii

 

Dua ki qubooliat k liye

"Yaa Wahabu"

 

Jo shakhs rozana 7 bar in kalmaat ko parhe ga us ki her dua qubool hogi

 

"Yaa Rafe'o"

 

Jo shakhs rozana 20 bar in kalmaat ko parhe ga us ki her dua qubool hogi

 

"Yaa Samee'o"

 

Jo shakhs rozana in kalmaat ko 100 bar parhe ga aur parhne k dauran guftugoo na kare ga phir jo dua maange ga qubool hogii

 

"Yaa Khafidu"

 

Jo shakhs rozana 500 bar is ism ko parhe ga us ki duayen qubool hongi

 

Larkion ki shadi k liye wazeefa

"YAa Lateefu"

 

Larki k waleden ya sarparast isha ki namaz k baad 150 bar in kalmaat ko parhen awwal aakhir durood shareef parhen jab tak shaadi na ho is ka wird rakhen

 

agar sar k baal girte hon

"Yaa Allahu Yaa Baariyu Yaa Kabeeru"

 

ager sar k baal girte hon to her namaz k baad 313 bar in kalmaat ko parh ker baalon per dam karlen

 

agar chehra be ronak hojaye

"Yaa Allahu Yaa Musawwiru Yaa Maaliku"

 

agar chehra be ronak aur siyah hojaye ya chehre ka rang siyahi maa'il hojaye to her namaz k baad in kalmaat ko 111 bar parh kar hathon per dam kar k chehre per pher den inshallah buhat fayeda hoga

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...