Jump to content

Jab sab shaheed ho gey


Gham-e-Madinah

تجویز کردہ جواب

Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu

Bismillahir Rahmanir Raheem

ASALATU WASALAMU ALAYKA YA RASULLALLAH Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam

 

 

 

Jab sab shaheed ho gey koii nahiin raha

Shabbiir nay yeh zainab e dilgeer say kaha

"Sun lo tum apnay bhai ki ik baat akhrii

Pyaari behen he ab yeh mulaqaat aakhrii

 

 

 

Ham ja rahay hai jaan luttaanay kay waastay

Bachpan ka aik waada nibhaanay kay waastay

Rakhna khayaal tum mayray beemar laal ka

He imtihaan aaj Muhammad ki aal ka"

Sun kar yay baat aansoo behen kay nikal parray

Shabbiir jaan daynay ko maktal mai chal parray

 

 

 

 

Yay hoassala Rasool kay nur e nazar ka thha

Wallah kya kaleja ali kay pisar ka thha

Pohanchay husain foaj e sitam ghar kay saamnay

Farmaya ja kay aap nay lashkar kay saamnay

 

 

 

 

Sab jaantay ho mujh ko meyn sibbat e rasool huun

Sher e khuda ka laal hoon ibn e batool huun

Tum paani band kar kay jo khush ho yeh bhool heyn

Sabr o razaa to aal e Nabi ka usool he

Raazi huun ussi pay jo marzi khuda ki he

Marzi he jo khuda ki wo hi Mustafa ki he

 

 

 

Eh zaalimon khudara sadaaqat say kaam lo

Moqa he ab bhi daaman e sarakar thhaam lo

Warna baha kay khoon mayra kuchh na pa-o gay

Marnay kay baad seedhay jahannum mayn ja-o gay"

 

 

 

 

Samjhaya har taraah unhayn pyaasay imam nay

Maani na un ki baat magar foaj e shaam nay

Aaya taras na unko Muhammad kay chein par

Chaaron taraf wo ttuutt parray wo Husain par

 

 

 

Ghayra shaah e madina kay pyaasay ko iss taraah

Zakhmii kiya nabi kay nawaasay ko iss taraah

kay, tapti huii zameen par gira sayyada ka laal

Farmaya "ho qabool eh rabb e zuljalaal"

Qurbaani yeh Husain ki he ibn e batool ki

Mahshar mayn bakhsh dayna tu ummat rasool ki

 

(Aameen) Remeber me in duas .

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

aaaaaaahhhhhhh..........aaaaaahhh......aahhhhhh..........!!!

 

Qatl e Husain Asl me Marg e Yazeed hy

Islam zinda hota hy har Karbala k Baad

 

Ibn e Ali ny Karb o bala mai hum ko ye paigham diya

yad rakho piyary AAQA (saw) ny hum ko khas nizam diya

Torh do Taghooti Quuwwat ko zulm k aiwan dhaaooo

Nabi (saw) ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar mai lehraaoo..!!

 

(hadees e pak:

حسین منی وانا من الحسین )

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...