Jump to content

IS KA KOI SOLUTION HAY??


khak e naleein

تجویز کردہ جواب

(salam) to all

 

i wnt to discuss a prob wid u.

meri aik friend hay os key sath yeh prob hay key wo apney kisi teacher se bhut zayada derti hay yane wo un teacher se khoaf zada hay teaher male hain.. teacher jo hain wo os laerki ko samjhatey hain key apni studies per fully concentrate karo wo os laerki ki islah key lea he os ko dant'tey aur threat kerty hain kiuon k wo teacher os se acha result ki expectation rekhty hain aur wo lerki bhi janti hay key sir os ki islah key lea os ko dant rhey hain. wo lerki perhty bhi hay but test dety wqat osy pat nahi kia ho jata hay aur namaz ki itni pabndi nahi kerti but jab wo kuoaf feel kerti hay tu os ko esa lagta hay key namaz os ko apni taraf khench rhei hay.aur os ko esa feel hota hay jesy os ne koi bhut bara ghuna kia hay.aur os ko esa feel hota hy key os ne khalifay sharie kam kia hay. jab mein os ko toba ka bola tu os ne kha key mujy kesy pta chley ga key ALLAH ne mujy mauaf ker dia hay ya wo muj se razi hay??????

 

ap mujy batien key mein os ko kesy samjhoan ?????? jhan tak male teacher ki baat hay tu koi aur institute nahi hay jhan wo perhy aur wo baperdha yani pore nikab o hijab key stha perhte hay ap is bare mein kia khein gey

aur kisi key pass wazief hay tu wo bhi bta dein JAZAKILLAH AMEEN

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

dear sis

ap ne bohat acha swal kiya...

first of all ap un sis ko namaz ki ahmiat us k fazail or na parhnay per azabat ki wa'eedon se samjhain ,

is k liye sab se behter tareeqa hay k ap unhain ye book parhnay ka mashwera den

Namaz K Ahkam

doosri baat jo wo sis kehti hain k toba kernay per ye kaisay pata chalay k toba qubool hoi ya nahi to is silsilay men ap unhain almadeena tul ilmiya ki ye kitab parhnay ko dain:

Toba Ki Riwayat O Hikayat

 

isi men imam ghazzali rahmatullah alaih k hawalay se ye ibarat manqool hay:

p23.gif

or doosri baat jo wo test denay jati hain or phir shayad sab bhool jati hain ya apnay teacher se derti hain is se zahir hota hay k wo sister apnay sir ki bohat ziada expectations se derti hain or ahsas e kamtari ka shikar hain,ahsas e kamtari ko door kernay k liye ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul aliya farmatay hain k her waqt bawuzoo raha jaye,mazeed tafseel k liye madani muzakray ka ye swal sama'at farmain:

Ahsas e kamtari Ka Ilaj

or aik or tareeqa jo student jis shubay men bhi kamzor hay us ka bohat asan hal jaisay ager kisi student ko yaad sab kuch hojata hay laikin jab likhnay baithay to likha na jaye ya yaad sab hota hay sabaq sunaya na jaye boltay hoay confusion ho,yad kertay hoay confusion ho koi bhi soorat ho us ka aik mujarrab hal hay ager kisi ko yaad hota hay laikin likha nahi jata to usay yad ker ker k likhnay ki practice kerni chahiye,ager yaad hogaya laikin sabaq sunatay hoay bhool jatay hain to yaad ker ker k usay aik tape men rec kerna chahiye baad men us recording ko sun ker apni aghlat ki nishandahi phir un ki islah kerni chahiye,isi tarah confidence ata hay ,ye mera apna azmaya hoa nuskha hay.

is k ilawa ap un sis per infiradi koshish ker k unhain dawat e Islami k sunnaton bharay ijtima men shirkaet per razi karen or madani ina'amat k mutabiq zindagi guzarnay ka mashwera den,mujhay 126% yaqeen hay k is amal se un ki zindagi men aik madani inqilab berpa hojayega or un ko jo shaitani weswasay toba k baray men atay hain or jo namaz ki pabandi nahi hopati ye saray masail bashamool un k ahsas e kamtari k inshaAllah (azw) hal hojaingay(Azmaish Shart Hay)

mujhay ummeed hay sister ap apni friend per infiradi koshish ker k unhain madani mahole se wabasta kernay men apna kirdar ada karengi inshaAllah (azw)

mazeed koi wazeefa is baray men mujhay maloom nahi yaqeenan koi or member is baray men rehnumai farmaingay.

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men,sayyidi ghous ul wara (ra) k waseela e jaleela se ham sab ko madani mahole men ta dam e marg wabastagi naseeb farmaye. aameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

وعلیکم السلام۔۔۔

 

بہن نے کافی اہم معاشرتی سوال اٹھایا ہے۔۔۔

اور اسکا موڈریٹر نے کافی متاثر کن جواب دیکر بہت بڑا اصلاحی کام فرمایا۔۔۔

جزاکما اللہ فی الدارَین۔۔۔۔

 

والسلام مع الکرام

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

(wasalam)

dear sis

ap ne bohat acha swal kiya...

first of all................. Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men,sayyidi ghous ul wara (ra) k waseela e jaleela se ham sab ko madani mahole men ta dam e marg wabastagi naseeb farmaye. aameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

 

(salam)

 

Subhaan Allah Azzawajal....

Allahummaa Zid fazid Summa zid.....

Aaameeen

Dua'oon Ki talabghaar..

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...