Jump to content

Farz Chor Kar Nafil Mein Masroof Hona


QasimAttari125

تجویز کردہ جواب

Agar koi shakhs farz chore kar nawafil mein mashgool ho, to hadeeson mein us ki sakht muzammat aayi hai aur us ka woh naik kaam mardood yani maqbool nahi hoga.

Hazrat Ali ka farman hai:

فان اشتغل بالسنن والنوافل قبل الفرائض لم یقبل منہ واھین

Jo farz chor kar sunnat o nawafil mein mashgool hoga, yeh qubool nahi hon ge aur khawar kiya jaye ga.

Lehaza in tamam tar tafseelat se yeh baat wazeh hoi keh farz uloom ka hasil karna baqi tamam uloom se afzal treen hai is ilm ko chor kar koi bhi ilm hasil karna fazool hai.

Tamam tar amaal ki asal ilm ka husool hi hai baghair ilm ke amal qabooliyat ke darje par faiz nahi ho sakta.

Lehaza hamein apni aakhirat ki fikar karte hue ilm e deen ko seekhna chahiye khas tor par farz uloom ke bare mein janna, un ke bare mein maloomat hasil karna bhi farz hai aur aaj kal is dour mein hamare pass ilm e deen ke husool ke bahut mawaqe hain.

Maslan farz uloom par mushtamil book pdf ki soorat mein maujud hain bilkul issi tarah hum ba-asani farz uloom course bhi kar sakte hain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...