Jump to content

Online Survey


deeppurewater

تجویز کردہ جواب

Asalam O Alaikum

Hazrat internet par different platform hain jahan par survey hotay hain aur yeh survey mobile apps, cars, education, market main koi product launch karni ho toh iss k baray main hotay hain. Main jin companies k saath kaam karta hoon oon k rules kuch iss tarhan say hain.....

1. Muhjay kisi type ki koi monthly package activate nahi karwana hota k monthly main zaroor itnay survey karoon gah phir itnay peesay milain ghay main khud mukhtaar hoon jab marzi chahoon sruvey join karoon jab chahoon na karoon

2. Survey start honay say pehlay yeh teh hota hai k main jab survey full complete karoon gah toh itni amount muhjay deeh jaeey geh aur iss amount say kuch bhi deduct nahi hota yeh amount main aik payment method hai payoneer issay jazzcash main receive kar leta hoon

3. sawal joh survey main ask hotay hain woh education system k baray main bhi hotay hai k aap virtual learning ko zayda prefer kartay hai ya live onsite school or colleges main jana pasand kartay hain aur baqi cars aur market ki product k baray main hotay hain general type k

4. meray opinion denay say unhain yeh faida hota hai jesay bahir ki ai industries (ai stands for artificial intelligence) hoti hai jin main kuch research say related survey hotay hai let say agar koi company apnay business ki app launch karna chahti hai toh iss app launch say pehlay woh question ask kartay hai user say k app main kis type k features honay chaheyee jis say oon k user friendly toor par oon ki company ki service avail kar skain like customer support kesi honi chaeheyee live chat support ya email aur customer ko entertain karnay k liye token system hona chaheyee app main ya nahi kuch aisay sawal hotay hain aur inn types k sawal k jawab jaan kar woh apni app ko aisa hee design kartay hain aur aisay oon k business main bhi unhain madad milti hai aur oon k customer bhi kush rehtay hai. Main khud bhi kuch aisi hee online ai industries main kaam karta hoon

5. yeh pesay muhjay iss liye diye jatay hain k inn survey main main serious response dohn aur joh apna time serve kar raha hoon iss time k badlay muhjay yeh amount milti hai

6. pesay muhjay skrill, payoneer ya direct bank deposit ki soorat main miltay hain aur main inn ko aik peesa bhi nahi deta meri saari income without investment hoti hai

7. survey say pehlay decide hota hai k main jab full complete survey k jawab dohn gah phir muhjay pesay milain ghay

8. main opinion denay main khud mukhtar hoon

9. meray kisi sawal k jawab na denay par koi pesay nahi katay jatay

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...