annas مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Report Share مراسلہ: 12 دسمبر 2007 <h3 class="smller">Fazaaail Quran</h3> Nabi Kareem SAWS k farmaan ka mafhoom "Jis tarhaan loohe per paani lag jaye to zang lag jata waise dilon per bhi zang lag jata hai" Arz ki gayiii Yaa RAsool Allah SAWS jab zang lag jaye to isko door kaise kiya jaye Aaqaaye do jahan SAWS ne farmaya Maut ko kasrat se yaad kiya jaaye aur Quran ki tilawat ki jaye is ki barkat se dilon k zang door hojaate hain Sura Faatiha Makki Soorat hai Darmi shareef aur sho'bul Imaan Hazrat Abdul Malik bin umair RA se Murwi hai Huzoor SAWS ne farmaya "Suraah FAtiha mei her bimaari ki shifa mojood hy" Buzurgaane Deen ne likha 7 Bar Surah Fatiha 111 bar Yaa Salaaamuu parha jaye Awal aakhir Durood-e-Paak parha jaye aur paani per dam kar k piii jaye Allah ki rehmat per umeed rakhen inshallah Shifa hogiii Sura fatiha MAkki surat hai is mei 7 ayaaat hain 2 nuzool k aitebar se 5 number hai aur Quran ki tarteeb k lihaaz se iska number 1 hai Sura Baqrah Madni soorat Nisaai mei hadees hai "jis ghar mei Surah baqarah parhi jaaye us ghar se jinnat aur shayaateen bhag jaate hain" Jis ko apne ghar mei jinnat ka saya mehsoos ho usko chahiye k har 3 din mei aik baar Surah Baqaraah Shareef parh len inshallah ghar mei sukoon ajaaye ga Muslim shreef pehli jild page 271 mei hadees hai Surah Baqarah aur Surah Al-imraan parhne waale wo khushnaseeb hain k jab woh kal baroz-e-Qayamat aayen ge to un k saron per do baadal honge aur charooon taraf un k noor hi noor hoga aur farmaya yeh do badal Surah Baqarah aur Surah Al-imran k honge aur woh rab ki bargaah mei usko le jayen ge aur yeh soorten kahen gii Aye parwardigaar tuu isse bilaa hisaab 0 kitab jannat ata farma Muslim shareef ki hadees hai Hazrat Abu masood se riwayat hai Nabi kareem SAWS ne farmaya jo shakhs raat ko Surah Baqarah ki aakhri do ayaat parhe woh do ayaten usko kaafi hongi yaani naagihaani afat, museebaton aur shaitaan se uski hifaazat karen gi Sura Baqrah Madni soorat is mei 286 ayat aur 40 ruku hain Quran k aitebar se iska number 2 hai aur nuzool k aitebar se iska number 87 hai Sura Ale Imran Madani Sorat Muslim shreef pehli jild page 271 mei hadees hai Surah Baqarah aur Surah Al-imraan parhne waale wo khushnaseeb hain k jab woh kal baroz-e-Qayamat aayen ge to un k saron per do baadal honge aur charooon taraf un k noor hi noor hoga aur farmaya yeh do badal Surah Baqarah aur Surah Al-imran k honge aur woh rab ki bargaah mei usko le jayen ge aur yeh soorten kahen gii Aye parwardigaar tuu isse bilaa hisaab 0 kitab jannat ata farma Sura AleImran Quran ki tarteeb k aitebar se iska number 3 nuzool k aitebar se iska numbre 89 hai 200 ayat aur 20 ruku hain Sura Nisaa Madani Soorat Surah Nisaa hijrat k baad nuzool hua Quran ki tarteeb k lihaz se is ka number 4 hai aur nuzool k hisaab se 92 hai is mei 176 ayat hain aur 24 ruku hain baaz aaimma k nazdeek iski 177 ayaat hain 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
annas مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Sura Maaida nuzool k hisaab se 112 aur Quran ki tarteeb k lihaz se 5 hai is mei 120 ayat aur 16 ruku hain Maaida Dastarkhuwan ko kehte hain is surat mei Us Dastarkhuwan ka ziker hai jo Isaa Alaih salam per naazil hua is munasbat se is ko Surah MAaida kehte hain Surah Anaaam Makki soorat 55 nuzool k aitebar se 6 Quran ki tarteeb k lihaaz se 20 ruku 165 ayaat aik Qaul k mutabik is mei 166 ayaat hain Surah Aaraaf Makki soorat 7 tarteeb k lihaaz se 39 nuzool k aitebar se 206 ayat 24 ruku hain Surah Anfaal madani soorat 8 Quran ki tarteeb k lihaaz se 88 nuzool k aitebar se Surah Tauba Madani soorat 9 tarteeb k lihaaz se 113 nuzool k aitebar se Surah Yunus Makki soorat Quran ki tarteeb k lihaaz se 10 Nuzool k aitebar se 51 109 ayat 11 ruku Surah Huud Makki soorat 11 tarteeb k lihaaz se 52 Nuzool k aitebar se 123 ayat 10 ruku hain Surah Yusuf Makki soorat tarteeb k lihaaz se 12 53 nuzool k aitebar se 111 ayaat 12 ruku Surah Raad MAdani soorat tarteeb k lihaaz se 13 96 nuzool k aitebar se 43 ayat 6 ruku Sura Ibrahim Makki soorat 14 tarteeb 72 nuzool k aitebar se 52 ayat 7 ruku hain Sura hijr Makki soorat 15 tarteeb 54 nuzool k aitebar se 99 ayaat 6 ruku hain sura Nahal Makkki soorat 16 TARTEEB K lihaaz se 70 nuzool k hisaab se 128 AYAT 16 RUKU [manage] Sura bani israil Makki soorat 17 tarteeb 50 nuzool k aitebar se 111ayaat 12 ruku isko suraa israa bhi kehte hain Sura Kahaf Makki soorat hai 18 tarteeb k lihaaz se 69 nuzool k aitebar se 110 ayat 12 ruku hain Sura Maryam MAkki soorat 19 tarteeb k lihaaz se 44 nuzool k aitebar se 98 ayat 6 ruku Sura Taha Makki soorat Tarteeb k lihaaz se 20 45 nuzool k aitebar se 135 ayat 8 ruku hain Sura Anmbia Makki soorat Tarteeb k lihaaz se 21 73 nuzool k lihaaz se 112 ayat 7 ruku Sura hajj Madni soorat 22 tarteeb k aitebar se 103 nuzool k aitebar se 78 ayat 10 ruku Suraa Mu'minoon makki soorat 23 tarteeb k lihaaz se 74 nuzool k lihaaz se 118 ayat 6 ruku hain Soraah Noor Madani soorat 24 tarteeb k lihaaz se 102 nuzool k aitebar se 64 ayat 9 ruku Sura furqan Makki soorat 25 tarteeb k lihaaz se 42 nuzool k aitebar se 77 ayat 6 ruku hain Sura Shu'ara Makki soorat 26 tarteeb k lihaz se 47 nuzool k aitebar se 227 ayat 11 ruku Sura Namal Makki soorat 27 tarteeb k lihaaz se 48 nuzool k aitebar se 93 ayat 7 ruku Sura Qasas Makki soorat 28 tarteeb k lihaaz se 49 nuzool k aitebar se 88 ayat 9 ruku Sura Ankaboot Makki soorat 29 tarteeb k lihaaz se 85 nuzool k lihaaz se 69 ayat 7 ruku اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
annas مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Suraa Room Makki soorat 30 tarteeb k lihaaz se 84 nuzool k aitebar se 60 ayat 6 ruku Sura Luqman Makki soorat 31 tarteeb k lihaaz se 57 Nuzool k lihaaz se 34 ayat 4 ruku Sura Sajda Makki soorat 32 tarteeb k lihaaz se 75 nuzool k lihaaz se 30 ayat 3 ruku Sura ahzaab Madani soorat 33 tarteeb k lihaaz se 90 nuzool k lihaaz se 73 ayat 9 ruku hain Sura saba Makki soorat 34 tarteeb 58 nuzool k aitebaar se 54 ayat 6 ruku hain Suraa FAtir Makki soorat 35 tarteeb k lihaaz se 43 nuzool k aitebar se 45 ayat 5 ruku hain Sura Yaseen shareef Madni soorat 36 tarteeb k lihaaz se 41 nuzool k aitebar se 83 ayat 5 ruku Sura Yaseen Quran ka dil hai Quran ka markaz hai Aik dafa parhe ka sawaab Dus bar Quran parhne ka sawaab hai HAdees Imam ahmed 5 jild page 26-27, Abu dawud kitabul janaaiz bab number 20, Nasaai abne maaja kitaabul janaaiz Baab number 4 Rasool SAWS ne farmaya "Jo koi Yaseen shareef ko Allah ki raza k liye aur aakhirat k liye parhe ga Allah uski maghfirat farmaa de ga apne murdon per Surah Yaseen parho" iske do maana hain aik ko jaza k aalam mei ho aur doosre QAbristan jao to PArho yaa Yaseen shareef parh k apne Marhoomeeen ko isaal karo Tirmizi shareef kitabul sawabil Quran baab 7 "Beshaq har cheez k liye aik dil hai aur Quran ka dil Yaseen hai, jo yaseen ko aik bar parhe ga Allah usko dus Quran parhne ka sawab ata farmaaye ga" (Mafhoom) Durre Mansoor Page number 481 jild 5 Darul Qutubul ilmia Jo Yaseen sharef parhta hai apne parhne waale k liye Dunia aur akhirat ki bhalai ko jama karti hai, museebat ko door karti hai uski, Dunia aakhirat k khauf ko door karti hai zaroorat ko poora karti hai, das Nafli hajj ka sawaab milta hai, 10000 dinaar Allah ki rah mei dene ka sawaab dia jata hai, jo koi Zafran se Yaseen shareef ko likhe aur phir paani daale to zafran paani mei mix hojaate hain is ko pee lein to her bimaari uski door hojati hai 1000 noor, yaqeen, barkaten, aur rehmaten us k seene mei daakhil hongi aur her keena us ki dil se door hojata hai(mafhooom) Is k ilawa kayiii fazaaail hain Surah Yaseen k isliye hum ko chahiye k kasrat se Surah Yaseen ki tilawat karen Suraa Saaffat MaKKI soorat 37 tarteeb k lihaaz se 56 nuzool k aitebar se 182 ayat 5 ruku hain Sura Suaad Makki soorat 38 tarteeb k lihaaz se 38 hi nuzool k aitebar se 88 ayat 5 ruku Sura Zumar Makki soorat 39 tarteeb 59 nuzool k aitebar se 75 ayat 8 ruku Sura Mu'min Makki soorat 40 tarteeb k lihaaz se 60 nuzool k aitebar se 85 ayat 9 ruku Suraa Haa Meem Sajda Makki soorat 41 tarteeb k lihaaz se 61 nuzool k aitebar se 54 ayat 6 ruku hain Sura shura MAkki soorat 42 tarteeb k lihaaz se 62 nuzool k aitebar se 53 ayat 5 ruku hain Sura Zukhruf Makki sorat 43 tarteeb k lihaaz se 63 nuzool k aitebar se 89 ayat 7 ruku Sura Dukhan Makki Soorat 44 tarteeb k aitebar se 64 nuzool k aitebar se 59 ayat 3 ruku isko raat ko parhne ka ahaadees mei hukum dia gaya Surah Jasiah Makki soorat 45 tarteeb k lihaaz se 65 nuzool k lihaaz se 37 ayat 4 ruku hain Suraah Ahqaf Makki soorat 46 tarteeb k lihaaz se 66 nuzool k aitebar se 35 ayat 4 ruku Sura Mohammad SAWS Madani soorat 47 tarteeb k lihaaz se 95 nuzool k aitebar se 38 ayat 4 ruku Surah fatah Madni soorat 48 tarteeb k lihaaz se 111 nuzool k aitebar se 29 ayat 4 ruku SURA HUJURAT Madni Surat 49 tarteeb k lihaaz se 106 nuzool k ayat se 18 ayat 2 ruku اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
annas مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Sura Qasas Makki soorat 50 tarteeb k lihaaz se 34 nuzool k aitebar se 45 ayat 3 ruku Sura Zariat Makki soorat 51 tarteeb k lihaaz se 67 nuzool k aitebar se 60 ayat 3 ruku hain Surah Toor Makki soorat Tarteeb k lihaz se 52 76 nuzool k lihaaz se 49 ayat 2 ruku Surah Najm Makki soorat tarteeb k lihaaz se 53 23 nuzool k lihaz se 62 ayat 3 ruku Surah qamar Makki soorat 54 tarteeb k lihaaz se 37 nuzool k lihaaz se 55 ayat 3 ruku Surah Rahman Madni soorat 55 tarteeb k lihaaz se 97 nuzool k lihaaz se 78 ayat 3 ruku Surah Rahman ko Quran ki zeenat qarar dia gaya Surah Waqia Makki soorat 56 tarteeb k lihaz se 46 nuzool k aitebar se 96 ayat 3 ruku hain hadees Pak Imam Jalal ud din Saiyuti Durre mansoor mei likhte hain Surah Rahman, Surah Waqia aur is k baad wali soorat Surah hadeed k baare mei farmaya Iska jo parhne wala hai isko aasmano aur zameen mei saakinul Firdous aye firdous k rehne waale keh k pukara jata hai Shoub ul Imaan jild 2 Page 491 Nabi kareem SAWS ne farmaya jis ne har raat Soorah waqia parhi isse kabhi faqa nahi aayega Durre Mansoor Surah Waqia Ghina(daulatmandi) ki soorat hai so tum ise parha karo aur apni aulad ko bhi sikhao aur apni aurton ko bhi taleem do Hazrat Ayesha RA ne aik din Aurton se farmaya tum mei se koi bhi Surah waqia parhne se aajiz na rahe(yaani her aurat ko is per mahaarat haasil karna chahiye) Surah Hadeed Madni soorat 57 tarteeb k lihaz se 94 nuzool k aitebar se 29 ayat 4 ruku hain Surah Mujadala Madni soorat 58 tarteeb k aitebar se 105 nuzool k lihaaz se 22 ayat 3 ruku Surah Hashr Madni soorat 59 tarteeb k lihaaz se 101 nuzool k aitebar se 24 ayat 3 ruku Is soorat ki aakhri teen ayat ki fazeelat mei ata hai jo koi subah ko parh le to sham tak aur shaam ko parh le to subah tak 70,000 farishte us k liye Dua-e-Rehmat karte hain aur is dauran hi is ka intiqal hogaya to usko shahadat ka rutba ata farmaaye ga Surah Mumtahina Madni soorat 60 tarteeb k lihaaz se 91 nuzool k aitebar se 13 ayat 2 ruku Surah Saff Madni soorat 61 tarteeb k lihaaz se 109 nuzool k aitebar se 14 ayat 2 ruku Surah Jumua Madni soorat 62 tarteeb k lihaaz se 110 nuzool k aitebar se 11 ayat 2 ruku Surah Munafiqoon Madni soorat 63 tarteeb k lihaaz se 104 nuzool k aitebar se 11 ayat 2 ruku Surah Taghabun Madni soorat 64 tarteeb k lihaaz se 108 nuzool k aitebar se 18 ayat 2 ruku Surah Talaq Madni soorat 65 tarteeb k lihaaz se 99 nuzool k aitebar se 12 ayat 2 ruku Surah Tehreem Madni soorat 66 tarteeb k lihaaz se 107 nuzool k aitebar se 12 ayat 2 ruku Surah Mulk Makki soorat 67 tarteeb k lihaaz se 77 nuzool k aitebar se 30 ayat 2 ruku Hadees tirmizi shareef,imam abu Dawuud AR RAsool Allah SAWS ne farmaya "Surah Mulk shafaa'at karne wali soorat hai khususan jo raat ko is soorat ki tilawat kare insahallah woh Azaab-e-Qabr se mehfooz rahe ga" (Mafhoom) Surah Qalam Makki soorat 68 tarteeb k lihaaz se 2 nuzool k aitebar se 52 ayat 2 ruku Surah HAAQAAH Makki soorat 69 tarteeb k lihaaz se 78 nuzool k aitebar se 52 ayat 2 ruku Surah Ma'aarij Makki soorat 70 tarteeb k lihaaz se 79 nuzool k aitebar se 44 ayat 2 ruku Surah Nooh Makki soorat 71 tarteeb k lihaaz se 71 nuzool k aitebar se 28 ayat 2 ruku Surah Jin Makki soorat 72 tarteeb k lihaaz se 40 nuzool k aitebar se 28 ayat 2 ruku Surah Muzammil Makki soorat 73 tarteeb k lihaaz se 3 nuzool k aitebar se 20 ayat 2 ruku Surah Muddassir Makki soorat 74 tarteeb k lihaaz se 4 nuzool k aitebar se 56 ayat 2 ruku Surah Qiyamah Makki soorat 75 tarteeb k lihaaz se 31 nuzool k aitebar se 40 ayat 2 ruku Surah DAHR MAdni Soorat 76 tarteeb k lihaaz se 98 nuzool k aitebar se 31 ayat 2 ruku Surah Mursalat Makki soorat 77 tarteeb k lihaaz se 33 nuzool k aitebar se 50 ayat 2 ruku Surah naba Makki soorat 78 tarteeb k lihaaz se 80 nuzool k aitebar se 40 ayat 2 ruku Surah Naziat Makki soorat 79 tarteeb k lihaaz se 81 nuzool k aitebar se 46 ayat 2 ruku Surah ABAS Makki soorat 80 tarteeb k lihaaz se 24 nuzool k aitebar se 42 ayat 1 ruku Surah Takweer Makki soorat 81 tarteeb k lihaaz se 7 nuzool k aitebar se 29 ayat 1 ruku Surah Infitar Makki soorat 82 tarteeb k lihaaz se 82 nuzool k aitebar se 19 ayat 1 ruku Surah Mutafifeen Makki soorat 83 tarteeb k lihaaz se 86 nuzool k aitebar se 36 ayat 1 ruku Surah Inshiqaq Makki soorat 84 tarteeb k lihaaz se 83 nuzool k aitebar se 25 ayat 1 ruku Surah burooj Makki soorat 85 tarteeb k lihaaz se 27 nuzool k aitebar se 22 ayat 1 ruku Surah Tariq Makki soorat 86 tarteeb k lihaaz se 36 nuzool k aitebar se 17 ayat 1 ruku Surah Aala Makki soorat 87 tarteeb k lihaaz se 8 nuzool k aitebar se 19 ayat 1 ruku Surah ghashia Makki soorat 88 tarteeb k lihaaz se 68 nuzool k aitebar se 26 ayat 1 ruku Surah fajr Makki soorat 89 tarteeb k lihaaz se 10 nuzool k aitebar se 30 ayat 1 ruku اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
annas مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 12 دسمبر 2007 Surah Balad Makki soorat 90 tarteeb k lihaaz se 35 nuzool k aitebar se 20 ayat 1 ruku Surah Shams Makki Soorat 91 tarteeb k lihaaz se 26 nuzool k aitebar se 15 ayat 1 ruku Surah Lail MAkki soorat 92 tarteeb k lihaaz se 9 nuzool k aitebar se 21 ayat 1 ruku Surah Duha Makki soorat 93 tarteeb k lihaaz se 11 nuzool k aitebar se 11 ayat 1 ruku Surah Alamnashrah Surah inshirah Makki soorat 94 tarteeb k lihaaz se 12 nuzool k aitebar se 8 ayat 1 ruku Surah Teen Makki soorat 95 TArteeb k lihaz se 28 Nuzool k lihaaz se 8 ayat 1 ruku Surah Alaq Makki soorat 96 TArteeb k lihaz se 1 Nuzool k lihaaz se 19 ayat 1 ruku Surah Qadr MAkki Soorat 97 tarteeb k aitebar se 25 nuzool k aitebar se 5 ayat 1 ruku Surah Baiyyinaa MAdni soorat 98 tarteeb k aitebar se 100 nuzool k aitebar se 8 ayat 1 ruku Surah Zilzaal Madni soorat 99 Tarteeb k lihaaz se 93 nuzool k aitebar se 8 ayat 1 Ruku Surah Adiyat Makki soorat 100 Tarteeb k lihaaz se 14 nuzool k aitebar se 11 ayat 1 Ruku Surah Qaria Makki soorat 101 Tarteeb k lihaaz se 30 nuzool k aitebar se 11 ayat 1 Ruku Surah Takasur Makki soorat 102 Tarteeb k lihaaz se 16 nuzool k aitebar se 8 ayat 1 Ruku Surah asr Makki soorat 103 Tarteeb k lihaaz se 13 nuzool k aitebar se 3 ayat 1 Ruku Surah humaza Makki soorat 104 Tarteeb k lihaaz se 32 nuzool k aitebar se 9 ayat 1 Ruku Surah Feel Makki soorat 105 Tarteeb k lihaaz se 19 nuzool k aitebar se 5 ayat 1 Ruku Surah Quresh Makki soorat 106 Tarteeb k lihaaz se 29 nuzool k aitebar se 4 ayat 1 Ruku Surah Maoun Makki soorat 107 Tarteeb k lihaaz se 17 nuzool k aitebar se 7 ayat 1 Ruku Surah Kausar Makki soorat 108 Tarteeb k lihaaz se 15 nuzool k aitebar se 3 ayat 1 Ruku Surah Kaafiroon Makki soorat 109 Tarteeb k lihaaz se 18 nuzool k aitebar se 6 ayat 1 Ruku Surah Nasr Madni soorat 110 Tarteeb k lihaaz se 114 nuzool k aitebar se 3 ayat 1 Ruku Surah Lahab Makki soorat 111 Tarteeb k lihaaz se 6 nuzool k aitebar se 5 ayat 1 Ruku Surah Ikhlas Makki soorat 112 Tarteeb k lihaaz se 22 nuzool k aitebar se 4 ayat 1 Ruku Surah Falaq Madni soorat 113 Tarteeb k lihaaz se Surah falaq aur Surah naas ka nuzool aik saath hai 5 ayat 1 Ruku Surah Naas Makki / Madni soorat 114 Tarteeb k lihaaz se Surah falaq aur Surah naas ka nuzool aik saath hai 6 ayat 1 Ruku اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 28 دسمبر 2007 Report Share مراسلہ: 28 دسمبر 2007 Nice sharing... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Nadeem Ahmed مراسلہ: 16 اگست 2011 Report Share مراسلہ: 16 اگست 2011 any one could tel me from where i could download the book Shoub ul Imaan ? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Juned Alii مراسلہ: 23 اکتوبر 2011 Report Share مراسلہ: 23 اکتوبر 2011 subhan allah 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔