Jump to content

Taqleed e Mujtahid....Aik Mehfooz Rasta


Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Main ne taqleed per post ki thi aap ne kai masael per sawalaat ka anbaar laga dia...Kia Taqleed ka wajoob sawalaat se saabit hota hi...?

 

Aap ne likha hai k main ne Ulma ka jo aqwaal pesh kiye hain to yeh unn ki taqleed ker raha hoon. Jab aap log deobandi ulma ke aqwaal bator huijjat unn ki gusaakhi per pesh kerte hain to kia woh gustaakhi aap ke zimme bhi aati hai...?

 

Taqleed ka hukam Quran o Sunnat main hai hi nahin aur iss ka dawa bhi aap ko hai lahaza Taqleed ki daleel pesh kerna bhi aap ke zimme hai.

 

Jin masael ko aap ne likha hai unn per beshumaar mazeed sawalaat aur jawabaat ki bahes hai iss liye bahter ho ga k aik hi topic ko rkhte huebaat aage barhai jae.

 

Taqleed se baat start hui hai main iss per apni baat likh chuka hoon. See

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2718

Aap se bhi guzarish hai k aap Taqleed ka wajoob jis Aayet ya Hadees se saabit hota sirf usse tehreer ker dain aur gaer-mutaliqa baaton se bahes ko na uljhaen.

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

(salam) khalil bhai. kia bat hai apki or doctor altaf husain sahb ki..

talinenoor in baton ka jawab kabhi nahi de sakta. ap ne halanke is article main uske dalail ka bhi rad kar dya hai. quran o hades se taqled ko bhi sabit kar dya hai. or taqled par aitarazat ka jawab bhi dya hai. imamon ke taqled na karne ke aqwal ka bhi jawab dya hai. sub kuch likha hai. magar ye uska jawab hai jiska article talinenoor type ker ker ke yahan post karta hai. inke bare bare mufti in baton ka jawab or in dalail ka rad na kar saken. is ne tu phir wohi article ka link de dya. yeh chahte hain ke koi aisi ayat dikhao jis main likha hoo..

musalmano taqled karo. or khud be saaya (saw) key saaya ko un ayat se sabit kar raha hai jin main sarkar (saw) ke saye ka tazkara hi nahi. inki apni atak jaye tu yeh aisi hi dalel mangte hain. or khud jis qisam ki chahen dalel de den. same yahi kam inho ne milad wale aik topic main kya tha ke direct dikhao kahan milad ka hukm hai. muhadisen tabeen baqi kisi ki nahi mante.

 

talinenoor sahb ap taqled ka rad quran o hades se karain jis main waziha likha ho ke musalmano ijtihadi masail (jin par mukhtalif aqwal hon un) main taqled na karo.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Rana Sahib Buhut Hi Khoob.. Allah (azw) Aapko Aur Dr. Sahib Ko Jazaye Khair Ata Farmaye..

 

Talinenoor Sahib... Taa'sub Key Glasses Utaar Ker Zara Tawajo Sey Inhein Dobarah Perhein.. Yeh Aapkey Article Taqleed ya Gumrahi Aur Mujtahid aur Muqalid Waley Topics Ka Jawab Hai.. Ager Kuch Samajh Nhin Aayi Tu Dono Ka Mawazana Ker Lein.. Insha Allah Khoob Samajh Aajaye Gi.. Is Main Her Cheez Ka Jawab Diya Gaya Hai.. Mager Dekhney Key Liye Aankhein Chahyen..

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Khalil Rana Sahib main ne aap ka post kia hua saara mazmoon parha hai. Taqleed ki istilaahi tareef chor ker lugvi tareef saabit kerna koi maani nahin rakhta.

 

Doosra yeh k aap ne taqleed per Quran ki aik aayet OOL_UL_AMMER wali pesh ki hai. Mager sawal yeh hai k OOL-UL-AMMER aap ne sirf Imam Abu Hanifa ko kaise bana lia? Imam Abu Hanifa k muqable main aap baqi OOL-UL-AMMER ki baat kion chorr dete hain...?

 

Aik Hadess Maaz-bin-Jabal R.A. wali pesh ki to iss main se taqleed kahan se saabit ho gai? Khud yehi Sahabi taqleed se mana kerte hain to aap unn ki yeh baat kion nahin maante?

 

Ager qaol-e-Sahabi hamare nazdeek hujjat nahin to aap k nazdeek to hai naa, to tasleem karen.

 

Main ne jo hawale pesh kie the unn se yeh baat wazeh hai k muqalid k nazdeek Quran ya Hadees daleel nahin bal k sirf Qaol-e-Imam Hujjat hai Lahaza iss baat ko saabit karen.

 

Aap ne kaha jab tak Qaol-e-Sahabi ko tasleem na kero tab tak Hadees bhi saabit nahin ho sakti. MashaAllah Aap jaison ka yeh haal hai. Aap k nazdeek rawaet aur raa'e main faraq hi koi nahin. Main hazar ha aise aqwal-e-sahabi pesh ker sakta hoon jin ko ahnaaf tasleem nahin kerte. Lahaza aisi asool manane per hamen majboor na karen jo khud sab se ziada aap log tasleem kerne se inkaari hain.

 

Taqleed ka topic jahan start kia gaya tha to iss ka jawab bhi udher dena chahiye tha ta k dekhne wale per donon nuqta-e-nazer saamne aa saken aur woh khud faisla ker saken k kis ne baat daleel se ki hai.

Wasalam

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

Asslam-o-Alikum 2 all muslims,

khalil bhai main un aakhri chand swaloon ki baat ker raha

 

hoon jo commander_faisal nay aap say poochay thay aap nay un ka jawab

 

nahi diya.main aap ko PM nahi ker sakta restrictions ki waja say.

Salam

jnab commander ka asoli jwab to de diya tha , ab in sha allah us mozo per aik tafseeli mazmoon is forum main doon ga , jis main un sawaloon ka jawab bhi hooga, nooremadinah site per ab yeh mozo band ho chuka hai , ab us ke mutaliq yahan likha jae ga, is sha allah

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...