محمد حسن عطاری مراسلہ: 16 فروری 2021 Report Share مراسلہ: 16 فروری 2021 (ترمیم شدہ) Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho Rukn e Shaami se miti wah’shate shaame ghurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aao joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekhoDhoom dekhi hai dare kaaba pe betaabo kiunke mushtako me hasrat ka tadapna dekhomisle parwana phiri karte the jis sham'a ke girdapni uss sham'a ko parwana yaha ka dekhoKhoob aankho se lagaaya he Gilaafe KaabaQasre Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekhoWa(n) mutiyo ka jigar khauf se pani paayaya(n) siyahkaaro ka daaman pe machalna dekhoAwwali khana e haq ki to ziyaye dekhiaakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekhoJinte kaaba me tha laakh aruso ka banavjalwa-farma yaha kaunain ka dulha dekhoaymane tur ka tha rukne yamani me farogshola e tur yaha anjuman-aara dekhomehre madar ka maza deti hai aagosh e hateemjin pe maa baap fida ya(n) karam unka dekhoKar chuki rif'ate kaaba pe nazar par-vazetopi ab thaam ke khaaq e dar e wala dekhobe-niyazi se waha kaapti payi ta'atjoshe rehmat pe yaha naaz gunah ka dekhoMultazim se to gale lag ke nikale armaan adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekhoKhoob mas'a me b-ummide safa daud liyerahe jana(n) ki safaka bhi tamasha dekho Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho Edited 16 فروری 2021 by محمد حسن عطاری اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔