Jump to content

Info Needed About Rashad Khalifa


Madani Munna

تجویز کردہ جواب

:D rashad khalifa...ye eik bara dimagh wala aadmi guzra hai...isny ek kaafi eham karnama anjam diya hai ki isny quran pak se hi kaafi mathematical miracles derive (akahz) kiye...kuch miracles sahi thy or baki ghalat jaisy ki is ny apna naam quran se sabit karky ye prove karny ki koshish ki thi ki ye nabi hai..(mazAllah)...tha ye genius par Allah ko is se jo kaam lena tha liya or phir ye apny anjam ko pohcha...isny quran se bohot detailed me analysis kar ye proove kiya hai ki quran paak me lajawab mathematical miracles hain jo kisi insaan ke bus ki bat nahin ki khud quran hath se bana saky..par afsos...shiaitaan isy saath le gaya...naar mein...AS FAR AS I HAVE READ ABOUT HIM ON HIS WEBSITE.
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

Aisay Kazab Qayamat Tak Aatey Rahain Gey..

Yazeed-e-Paleed Key Lashkar Ko Jis Ney Anjaam Tak Pohnchaya Tha Uska Naam Tha MUKHTAR SAQFI.. Is Ney Yazeediyon Ki Lashon Per Ghorey Durwaye Aur Unko Chun Chun Ker Maara.. Mager Iski Azali Badbakhti Ghalib Hoyi Aur Is Ney Baad Mein Nabowat Ka Daawa Ker Diya.. Key Merey Pas Wahi Aati Hai..

 

Waqayi Khuda Jis Sey Chahey Acha Kam Ley Ley.. Allah (azw) Bey Niyaz Hai.. Us Ki Khufya Tadbeer Ka Kisi Ko Ilm Nhin..

 

Chunachey Riwayat Mein Hai.. Allah (azw) Ney Apney Pyarey Mahboob (saw) Ki Taraf Wahi Fermayi.. Key Hazrat Yahya Bin Zakriya (as) Key Qatal Key Aewaz Mein Ney 70 Hazar Marey They Aur Tumharey Nawasey Key Aewaz In Sey Dugney (Yani Double) Maron Ga.. (Al-Mustadrak-lil-Hakim, Jild 3, Page 485, Hadees 4208)

 

Tu Tareekh Shahid Hai Key Hazrat Yahya Bin Zakriya (as) Key Khoon-e-Na Haq Ka Badla Leney Key Liye Allah (azw) Ney Bakht-e-Nasar Jesey Zalim Ko Chuna Jo Khudayi Ka Dawa Kerta Tha.. Is Terha Imam-e-Aali Maqam (ra) Key Khoon-e-Na Haq Ka Badla Leney Key Liye Allah (azw) Ney Mukhtar Saqfi Jesey Kazab Ko Muqarar Fermaya.. (Sham-e-Karbala, Page 285)

 

Allah (azw) Ki Maslahatein Khud Wohi Janta Hai.. Woh Apni Mashiyat Sey Zalimon Key Zareye Zalimon Ko Halak Kerta Hai.. Chunachey Parah 8 Surah Al-Anaam Ki Ayat No 129 Mein Irshad Hota Hai..

 

وَكَذَلِكَ نُوَلِّي بَعْضَ الظَّالِمِينَ بَعْضًا بِمَا كَانُواْ يَكْسِبُونَ

اور یونہی ہم ظالموں میں ایک کو دوسرے پر مسلط کرتے ہیں بدلہ ان کے کیے کا

 

Huzoor-e-Purnoor (saw) Fermatey Hain.. Bey Shak Allah (azw) Is Deen-e-Islam Ki Madad Fajir Yani Badkar Aadmi Key Zareya Sey Bhi Kera Leta Hai..

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...