Jump to content

Madani In a'amat (islami behnon k liye)


Faizan e Attar@Madani Inaamat

تجویز کردہ جواب

Assalamo Alikukm all.........sweet and dear madani sisters.....................

 

http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=235

 

 

madani tuhfa Risaley ki zaror study fermain...........Allah Azzawajal ap key sadqey mujey bi Madani i=namat pr amal ki tofeeq ata fermay ameen....................

P13.gif

Link to comment
Share on other sites

Ammeer e Ahle sunnat (damat barakatuhum aliya) fermatey hein..............jiss tarah joot bolna Gunah(kabeera) hey issi tarah joot likhna bi gunah hey.............ley haza hamin ...fikre madina krtey waqet bht careful rehna hu ga .......k ..........kahein koee ghalat nishan na lag jaiy..................

 

AIK MADANI MASHWARA................

 

 

Inn sab asanioon key bav-jood.......hamin apna Ehtesaab sakhet hi kerna chahhyee..................yani...........jesey kissi ney kaha hey..........

 

ASANIOON SEY POOCH NA MANZIL KA RASTA

 

APNEY SAFAR MAIN RAAH KEY PATHER TALASH KER

 

ALlah Azzawajal hamein madani inamat ki doomain machanei ki toufeeq ata fermay ameen.

 

wasalam with request of dua e maghfirat.

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

jazakillah faizan e attar sister!

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men tamam islami behnon ko madani inaamat ki sachi pakki mukhlis aamila banaye or in madani inaamat ko hamaray liye tosh e akhirat banade

aaaaaaaaaaaaaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam) Warahmatullahi Wabarkatuhu Wamagfiratuhu

 

Ameer e Ahlesunnat Damat Barakatuhumul Aalia Irshad Farmatay hain:

 

Zindagi Barf ki tarhan pighalti ja rahi hai.Mot apni tamam tar sakhtiyun samait peecha kiye chali aa rahi hai.Anqareeb Marna,Andhairi Qabar main Utarna aur Apni Karni ka phal Bhugatna paray ga.

 

"Yaqeenan Wo Log khushnaseeb Hotay Hain jo marnay say Qabl Mout ki tayyari kar laitay hain"

 

Meethi Meethi islami Behno!

 

Hamara Har kam Chahay Acha ho ya Bura ! uska asar hamaray batin per zarur parta hai.Buray Amal ka asar to ye hai k gunah kartay he hamaray dil per aik siah nuqta laga dia jata hai.jab k naiki k sabab hamaray gunah mit jatay hain.Jaisa k Quran e Kareem main Irshad Huwa:

 

Tarjuma e Kanz ul Iman:"Byshak Naikiyan Buraiyun ko Mita daiti hain"

 

Chunachay Naikiyun ki barkat say Dil saaf o shifaf ho jatay hain aur Dil he Insani jism ka Badshah hai.Hadees Pak main hai:"Agar Dil Durust ho jaye to sara Jism he durust rehta hai" aur insan Sahib e Rohaniyat ban jata hai Phir wo Bari Bari Ibadaat Pabandi o istiqamat k saath baja lata hai.

 

Manqool hai k Sarkar e Ghous e Pak (ra) Aur Hazrat Imam Abu Hanifa (ra) nay 40 Saal tak Isha k wazu say Fajar ki namaz ada farmai. Yani Sari Sari Raat Ibadat kartay rehtay aur Hazoor e Ghous e Pak (ra) 25 saal tak Mulk e Iraq k janglaat main ibadat kartay rahay.Kai Kai Din Faqoon main Guzar jatay.Dusray kai Bazurgoon k Baray main b isi qisam k waqiyat o haalat miltay hain.Ooliya e Kiram nay kai bars musalsal rozay rakhay.Rozana kai kai 100 Nawafil ada farmatay.Din bhar main Pura Pura Quran Parh laitay.kai kai 1000 Darood e Pak Rozana partay.

YE SAB KUCH KAISAY HO JATA.........??

 

WO PABANDI K SAATH AISAY AZEEM USH SHAN AAMAL KAISAY SARANJAM DAY LAITAY THAY.....???

 

AAKHIR WO KONSI TAAQAT THI.........???

 

Us Taqat ka Naam ROHANIYAT hai.Allah Azzawajal jisay Rohaniyat atta farma daita hai us k liye mushkil tareen muamlaat b aasan ho jatay hain aur rafta rafta ISTIQAMAT b naseeb ho jati hai.

 

Magar ibtida main apnay NAFS per jabar karna parta hai.Ibadaat main dil na lagnay k bawajud aamal e saaleha ko baja lana ho ga.kuch arsa baad Insha Allah Azzawajal jab Dil main Rohaniyat ki kirnain roshan hun gee to ISTIQAMAT b mil he jaye gee.

 

Bazurgoon ka Qool hai:"Istiqamat Barh kar hai Karamat say"

 

Magar is k liye Har Amal main IKHLASS hona zaruri hai.

 

ATTA KAR DAY IKHLAS KI MUJH KO DOLAT

NA NAZDEEK AAYE RIYA YA ILAHI

 

MERA HAR AMAL BUS TERE WASITAY HO

KAR IKHLAS AISA ATTA YA ILAHI

Aur Hamara DAWAT E ISLAMI k Pakiza Mahool say Wabasta hona b Rohaniyat he ki talash hai.Agar hm jazbay aur ikhlas k saath deeni kamoon main masroof rahain gee to Insha Allah Azzawajal Rohaniyat ki manzilain tay karti jain gee.kyunki har kam chahay DEENI ho ya DUNYAVI ! us ka koi na koi maqsad zarur hota hai aur us maqsad ko samnay rakhtay huwe manzil tak puhnchnay ki koshish ki jati hai.

 

TABLEEG E QURAN O SUNNAT KI ALAMGEER GAIR SYASI TAHREEK DAWAT E ISLAMI NY HMAIN BUHAT HE PYARA MADANI MAQSAD ATTA KIA HAI AUR WO YE HAI K:

 

"MUJHE APNI AUR SARI DUNIA K LOGON KI ISLAH KI KOSHISH KARNI HAI INSHA ALLAH AZZAWAJAL"

 

Apni islah k liye MADANI INAMAT per amal aur sari duniya k logon ki islah k liye GHAR K MARDOON KO MADANI QAFILOON MAIN SAFAR karwana hai.

 

Apni Aakhirat sanwarnay,Gunhoon say Bachnay aur Naikiyan karnay ka jazba ly kar is Madani Maqsad ko panay main Masroof ho jaiye aur Rozana Fikr e Madinah kartay huwe Din Bhar ki naikiyun ka jaiza laina apna mamul bana lijiye.Jistarhan aik dukandar Rozana Sham k Waqt Dukan Band kartay waqt apni din bhar ki kamai ki ginti karta aur Nafa ya Nuqsan ka jaiza laita hai.Usi tarhan Hamain b Rozana Raat Sonay Say Qabl Apna Ahtasab kar laina chaheye. K aaj din bhar main kitni Naikiyan keen aur kitnay Gunahoon ki irtikab kiya.Naikiyun ki Toufeeq mil janay per Shukr e khudawandi Baja lana aur Gunah Sarzard ho janay per Toba o Istagfar karna he apna Ahtasab hai.Isi Ahtasab ko MADANI MAHOOL main FIKR E MADINAH kaha jata hai.

 

ALHMDULILLLAH AZZAWAJAL QIBLA AMEER E AHLESUNNAT DAMAT BARAKATUHUMUL AALIA NY HAMARAY LIYE AHTASAB K AMAL KO AASAN BANATAY HUWE 63 MADANI INA'AMAT KA RISALA MURATAB FARMAYA HAI.JO SAWALAT KI SURAT MAIN HAI AUR AIK KHOBSURAT RISALAY KI SHAKAL MAIN HAMARAY PASS MOJUD HAI JIS KA MAQSAD APNAY MUREEDEEN.TALEBEEN,MUHEBEEN SAMAIT TAMAM MUSLEEMEEN MAIN KHASUSI NIKHAR PAIDA KARNA HAI.

Edited by Qufl e Madinah
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

Ye thay 63 Madani Ina'amat.Insha Allah Azzawajal Radaye Rab ul Aanam k Kaam,Qufl e Madinah karkardagi aur Attar Damat Barakatuhumul aalia ki Ajmairi,Baghdadi,Makki aur Madani Baitiyaan aur Bapa jaan ki Special Dua ye insha Allah Azzawajal Jald he post karnay ki sa'ae karun gee aur in 63 Madani Ina'amat ki Details Insha Allah Azzawajal post hoti rahin gee ta k Islami Behno ko in Madani Ina'amat ko samajhnay aur in per Amal karnay main aasani ho.......

 

Allah Azzawajal say Dua hai k Murshid Pak k sadqay hamain Ikhlas k Saath in Madani ina'amat per Amal karnay ki toufeeq atta farmaye aur Istiqamat b atta farmaye....

Aameeeeeeen Bijahinnabiyel ameen (saw)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

MADINA JAZAKILLAH

ACHA KAAM START KIYA AP SISTERS NE

AIK DO SAWAL MERAY ZEHEN ME HEN AGER KOI SIS JAWAB DESAKE TO BARA E MURSHID REHNUMAYI KAREN

MADANI INAAM NO.17 JO HAY:

KIA AJ AP NE KAM AZ KAM 2 ISL BEHNO KO INFIRADI KOSHISH KER KAY MADANI INAMAT SUNNATO BHARE IJTIMA KI TARGEEB DILAI

MADINA IS INAM PE ROZ KAISE AML HOGA?

ROZ TO 2 NEW ISL SIS SE MULAQAT NHIN HOTI OR BARA E MURSHID MEN ABHI MAHOLE MEN NEW HUN KAFI OR QUES BHI HAIN ZEHEN MEN KOI SIS IS KA JAWAB DEN

AIK OR QUES

MADNI INAM NO#24:

KISI ZIMMEDAR YA AM ISL BEHN SE BURAI SADIR HOJAYE OR ISLAH KI ZAROORAT MEHSOOS........MUZAIQA NAHI.

IS QUES KA BHI BATAIN ROZ KA AML????????

AIK OR....

KIA AJ AP NE ZABAN KA .....GUFTUGO FARMAI.

YE WALA?

AGER GHAR MEN KOI AISA ZEHN WALA NHIN K HAM US SE LIK KAY BAT KAREN TO KIA IS PER K SE AMAL KAREN ???//////

BARA E MURSHID MERI ISLAH KAREN MUJH KAM ILM NA AHEL SE NARAZ NA HO PLEASE!!!

NEEDY OF GHAM E MADINA

KANEEZ E ATTAR

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
AIK DO SAWAL MERAY ZEHEN ME HEN AGER KOI SIS JAWAB DESAKE TO BARA E MURSHID REHNUMAYI KAREN

MADANI INAAM NO.17 JO HAY:

KIA AJ AP NE KAM AZ KAM 2 ISL BEHNO KO INFIRADI KOSHISH KER KAY MADANI INAMAT SUNNATO BHARE IJTIMA KI TARGEEB DILAI

MADINA IS INAM PE ROZ KAISE AML HOGA?

ROZ TO 2 NEW ISL SIS SE MULAQAT NHIN HOTI OR BARA E MURSHID MEN ABHI MAHOLE MEN NEW HUN KAFI OR QUES BHI HAIN ZEHEN MEN KOI SIS IS KA JAWAB DEN

 

میٹھی بہن یہ مدنی انعام ان اسلامی بہنوں کے لیے ہے جو روزانہ دو

 

گھنٹے مدنی کاموں میں صرف کرتی ہیں۔

 

جو اسلامی بہنیں صرف ھفتہ وار اجتماع میں شرکت کرتی ہیں ان کے لیے

 

اجتماع کے بعد انفرادی کوشش کا بہترین موقع ہوتا ہے۔جیسا کہ ہفتہ وار

 

مدنی انعامات میں یہ سوال شامل ہے کہ ۔ ۔ ۔ ۔کیا آپ نے اس ہفتے اجتماع

 

کے فورا بعد انفرادی کوشش کرتے ہویے کم ازکم ایک نئی اسلامی بہن سے

 

ملاقات کا شرف حاصل کرکے ان کا نام پتا اور فون نمبر حاصل کیا؟

 

یاد رہے کہ انفرادی کوشش میں یہ بات بےحد ضروری ہے کہ بات میں رابطہ بھی رکھا جائے۔

 

KIA AJ AP NE ZABAN KA .....GUFTUGO FARMAI.

YE WALA?

AGER GHAR MEN KOI AISA ZEHN WALA NHIN K HAM US SE LIK KAY BAT KAREN TO KIA IS PER K SE AMAL KAREN ???//////

 

امیر اھلسنت (دامت برکاتہم العالیہ ) فرماتے ہیں۔ ۔ ۔ یعنی۔ ۔ ۔ ضرورتا

 

اسطرح کی تقسیم کر لیں کہ فون پر نیز والدین سے زبان سے بات کروں گی،

 

چھوٹی بہن جو مدنی ماحول میں ہے اس سے نیز فلاں فلاں اسلامی بہن سے

 

حتی الامکان اشارے سے اور لکھ کر کام چلاؤں گی۔ ۔ ۔ضرور دیکھیے ذمہ

 

داران کے مدنی پھول ۔ ۔ ۔ دعوت اسلامی ویب پر مل جائیں گے۔انشا اللہ

 

عزوجل۔

یہ بات ضروری ہے کہ جہاں ھمارا قصور ہوگا وہاں عمل میں کوتاہی ہوگی۔

 

لیکن اگر اپنے اختیار سے ہی باہر کوئی عمل ہوگا ، تو یہ قاعدہ نمبر چار

 

کے مطابق صحیح عذر مانا جائے گا۔ ۔ ۔یوں آپ کااس مدنی انعام پر عمل ماناجائے گا ۔ ۔ ۔واللہ تعالٰی اعلم ورسولہ اعلم عزوجل

 

وصلی اللہ علیہ وسلم۔

 

 

(wasalam) waRahmatullah...............sallo alal Habib (saw)

Edited by Faizan e Attar
Link to comment
Share on other sites

AIK OR QUES

MADNI INAM NO#24:

KISI ZIMMEDAR YA AM ISL BEHN SE BURAI SADIR HOJAYE OR ISLAH KI ZAROORAT MEHSOOS........MUZAIQA NAHI.

IS QUES KA BHI BATAIN ROZ KA AML????????

 

چند مدنی انعامات ایسے ہیں کہ اگر ان پر عمل کی عادت ہے توکسی دن

 

ان کی ضرورت ہی نہیں پیش آئی تو اس مدنی انعام پر عمل مانا جائے گا

 

مسائل کا تنطیمی ترکیب سے حل ۔ ۔ ۔ مدنی برقعہ والا مدنی انعام ۔ ۔ jesy

 

قرض کی جلد از جلد ادئیگی والا ۔ ۔ ۔ ۔جس کی ماتحت ہیں اسکی اطاعت والا ۔ ۔ ۔ وغیرہ

Link to comment
Share on other sites

Assalamoalikum!!

sister bohat hi acha topic discussion k liyain chose kia hay...

Allah azzawajal piyare Aqa madinay walay mustafa Salalahoalehewasalam k sadqay mai madni inamat per ikhlas k sath amal karnay waloon main hamara bhi sumar farma dy.Aameen

 

piyari islami behnoo...ameer-e-ahlesunnat farmatay hain k"MUJHAY MADNI INAMAT SY PIYAR HY",,,,to piyari islami behno jab peer ko kisi cheez sy mohabbat ho to phir to yeh mureed ka farz banta hy k wo bhi uss cheez sy mohabbat karay....hum yeh mohabbat kis tarhan kar saktay hain??hum yeh mohabbat madni inama'at per ikhlas k saath amal kar k kar saktay hain...

 

jis jis ko ameer-e-ahlesunnat sy mohabbat hy har wo islami behan niyat kar lijiye k jo madni inama't ki aamila nahi hain wo inshaAllah madni inamat per amal kar k Attar ki ajmaira baiti...jo ajmairi baiti hain wo baghdadi baiti...jo baghdadi hain wo makki baiti....or jo makki hain wo madni baiti bannay ki koshih karain gi...............

InshaAllah azzawajal

piyari islami behnoo yeh madni inamat hum per boojh nahi hain...balkay yeh to wo tohfay hain jo madinay sy ayain hain...or Ameer-e-ahlesunnat ny hamain ata kiye hain....

ap khudh ghour karain k madinay sy ayee howe tohfay...hamaray pass moujood hotay howe bhi hum un per amal na karain to kitni budnaseebi ki baat hay...

 

yahan per aik baat arz karti chaloon k Alhumdollilah madni inamat per amal karnay sy deen k to faidy hasil hotay hi hain...magar duniya main bhi iss ki barkatain hasil hoti hain.....

Alhumdollilah aik dafa bint-e-attar k saath madni mashwaray ki sa'adat hasil howe to unho nay bataya k agar hum iss madni inamat k card ko bator-e-taweez bhi istamal karain gy to tub bhi in ki barkatain hasil hoon gi....

ab ghour kijiye pass rakhnay walay k liyain itni barkatain hain to jo madni inamat k aamil hoon....un k to phr kia hi kahnay.....

 

piyari islami behnoo har guzarta lumha hamain mout sy qareeb karta chala ja raha hay,,,unqareeb hamaray naaz uthnay walay hamain manoo matti talay daba aayin gy...uss waqt na maa ki mumta kaam ayee gi na baap ki shufqat kaam ayee ki...uss waqt faqat Allah azzawajal ki rahmat kaam ayee gi....

 

to piyari islami behnoo jaldi jaldi madni inamat per amal kar k...Allah azzawajal ko razi kar lijiye......

 

na sirf khudh amal karain balkay dosroon ko bhi amal ki targheeb dilain...

Allah azzawajal aap k haq mai aasaniya paida farmaye or aap ka seena Madina banaye

or aap k sadqay mai yeh tamam duain mujh gunahgar k haq main bhi qabool-o-manzoor farmaye

 

Tlib-e-gham-e-madina-o-baqee-o-maghfirat

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

 

(azw)(sa) faizan e attar sister ap ne bohat acha guide kiya or baray tasalli bakhsh jawabat ata kiye jazakillahu khaira

(azw)(ma) attarya sister bohat achi targheeb dilai madani inaamat per amal kernay ki jazakillahu khaira

Allah (azw) aap dono sisz k ilm amal or hilm men barakaten ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeen

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men ,sayyidi ghous e azam (ra) k waseela e jaleela se,meethay meethay ameer e ahl e sunnat damat barkatuhum ul alia ki nigah e faiz aser se tamam islami behnon ko in madani inaamat per ikhlas k sath amal kernay ki madani sa'adat ata farmaye or hamain attar madda zillu hul aali ki ajmeri,baghdadi,makki or madani betian bannay ki madani sa'adat ata farmaye aaaaaaaaameeeeeeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

talabgar e dua

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(saw)

 

(salam)

fikr e madina ki targheeb per acha article share kiya

(ja) brother

---------------

meethi islami behnon!!!

madani inaamat per amal ki targheeb k liye rukn e shoora haji zam zam attari maddazilluhul aali ka ye bayan sunna be intiha mufeed rahay ga:

Faiazn E Madani Inaamat

Allah (azw) pyaray aaqa (saw) k sadqay men sun ker amal kernay or 2sron tak ponhchanay ki madani sa'adat ata farmaye

aaaaaaaameeeeeeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...