MuhammedAli مراسلہ: 18 اگست 2020 Report Share مراسلہ: 18 اگست 2020 Aik khabees Deobandi youtube ki is video mein Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi rahimullah ki ibarat kay mutaliq ihitraaz keeya heh:https://archive.org/details/JaAlHaq_201809/page/n271/mode/1up Woh kehta heh kay Allamah Sahib nay Ilm e Ghayb ko sirf Zaati likha heh atahi ko ilm e ghayb nahin. Yeh us ka jawab heh. Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi nay yeh khud nahin likha balkay aik aur aalim Allamah Nasfi Hanafi ka qawl naqal keeya heh aur un kay qawl kay sayaq mein farmaya heh kay in kay mutabiq atahi ilm ul-ghayb ghayb hi nahin hota. Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi (rahimullah) ka apna mowaqif aur jamhoor o Sawad al-Azam ka mowaqif toh woh bayan kartay hen kay atahi ilm bi ilm e ghayb hota heh ... Allah ki aik laakh lanat jhootay par. Jis banday ko shuba ho woh Allamah Sahib ki Jaa ul-Haq kay ilm ul-ghayb walay abwaab parh leh: https://archive.org/details/SaeedUlHaqFeTakhreejJaAlHaqVol12/page/n70/mode/1up Yeh banda Allamah Sahib say jhoot mansoob kar raha heh. Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi nay ghalti ki aur yeh likh deeya Allamah Nasfi kay mutabiq: "atahi ilm e ghayb ilm e ghayb nahin balkay ilm ul-ghayb zaati heh." Mein nay Allamah Nasfi Hanafi (rahimullah) ki Tafseer dekhi heh is mamleh mein. Misaal tor par Allamah sahib nay Surah Jinn 72 ki ayaat 26 mein yoon farmaya heh: إلا رسولاً قد ارتضاه لعلم بعض الغيب ليكون إخباره عن الغيب معجزة له فإن يطلعه على غيبة ما شاء. Yehni Allamah Nafsi Hanafi rahimullah ka aqeedah heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) apnay rasooloon ko baaz ilm ul-Ghayb ata farmata heh. Allamah Nasfi ka har giz aqeedah nahin kay Atahi ilm ul-ghayb ilm ghayb nahin. Yeh Allamah Sahib ko ghalti lagi. Aur Allamah Nasfi nay yeh likha bi nahin heh. Allamah Nafsi rahimullah nay likha: { قُل لاَّ يَعْلَمُ مَن فِى ٱلسَّمَـٰوٰتِ وٱلأَرْضِ ٱلْغَيْبَ إِلاَّ ٱللَّهُ } { من } فاعل { يعلم } و { الغيب } هو ما لم يقم عليه دليل ولا أطلع عليه مخلوق مفعول و { الله } بدل مِن { مَن } والمعنى لا يعلم أحد الغيب إلا الله. ن Allamah Nafsi rahimullah Allah kay Ilm ul-Ghayb kay mutaliq farmatay hen is ayaat 27:65 mein ghayb ki us kism ki baat ho rahi heh joh bila daleel ghayb heh aur joh kissi makhlooq ko nahin ata keeya gaya yehni ZAATI ilm ul-Ghayb ki baat ho rahi heh.Aur yahi ahle Sunnat ka aqeedah heh kay Allah ka ilm ghayb istilah mein woh heh jis par kohi daleel nahin aur joh kissi aur ko ata nahin huwa ... yehni Zaati ilm ul-ghayb Allah ka heh. Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi (rahimullah) nay ya kissi type karnay walay nay khata say yeh izafa kar deeya:"... joh ilm atahi ho woh ghayb hi nahin kaha jata ghayb sirt zaati ko kehtay hen ..." Han agar in mein yeh izafa keeya jahay:"... joh ilm atahi ho woh ghayb [e illahi] hi nahin kaha jata [balkay Allah ka] ghayb sirf zaati ko kehtay hen ..." Abh agar is Tasheeh kay saath poora sayaq para jahay toh baat wazia ho jaati heh kay Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi say baat ko bayan karnay mein ya naqal ko naqal karnay mein ghalti lag gahi. Asal ibaraat yoon honi chayheh:"Madarik ki is towjeeh say maloom huwa kay in ki istilah mein ... joh ilm atahi ho woh ghayb [e illahi] hi nahin kaha jata [balkay Allah kay] ghayb sirf zaati ko kehtay hen. Abh kohi ashkaal hi nahin raha. Jin ayaat mein ghayb ki nafi heh woh ilm zaati ki heh, aur is ayaat kay kuch agay heh ..." Dekha ja sakta heh kay meri tasheeh sayaq o sabaq mein kamil tareekeh say beth-ti heh is leyeh Allamah Ahmad Yar Khan Naeemi (rahimullah) ka yahi kehna thah. 1 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔