Jump to content

Taqleed ya Gumraahi...?


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

Janab talinenoor sahib,

Chonkey Aap Hamarey Suwalat Ko Sirey Sey Touch Hi Nhin Kertey Hain.. Is Liye Aap Key Liye Bhi Aap Key Article Ki Terha Jawab Hai.. Is Ka Rad Ker Dein.. Balkey Aapko Nhin Aata Tu Kisi Ghair Muqalid Mufti Ko Ley Aayen.. Key Is Ka Rad Ker Dein.. Mager Badqismati Sey Aapko Yeh Sun Ker Hairangi Hogi.. Key Ja'al Haq key Is Baab Sey Ghair Muqaliden Chand Batein Awam Ko Gumrah Kerney Key Liye Apney Matlab Ki Maani Badal Ker Zaror Nikal Letey Hain.. Mager Aaj Tak Woh Iska Mo'asir Rad Nhin Ker Sakey..

 

p1.gif

p2.gif

p3.gif

p4.gif

p5.gif

p6.gif

p7.gif

p8.gif

 

Aap Ney Article Ka Topic Bilkul Sahi Choose Kiya Hai.. Taqleed ya Gumraahi? yani Ya Taqleed Ya Gumraahi.. Aagey Suwaliya Nishan.... Koi Aik Pasand Ker Lu.. Alhamdu Lilah (azw) Hum Ney Taqleed Pasand Ki.. Aapko Apney Topic Ka Dosra Hisa Mubarak Hoo..

Link to comment
Share on other sites

Janab Sag-e-Attar,

Main ne taqleed ke topic per jo post ki hai, uss main kab kaha hai k iss ka jawab bhi do. Log dekh ker khud faisla ker lain ge.

Jahan tak taaliq hai Jaa-ul-Haq ki aik aik ibaarat ka jawab dena to fazool baaton ka jawab kion dia jae...?

Mufti sahib jo merzi kahen uss se pehle jo buniadi tareen aitrazaat taqleed per aate hain unn ka jawab kahan hain...?

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Janab .jesa aap keh Ilm Main Hai Disscusion Forum Main Kisi Topic Ya koi naya topic Post kia Jayee tu Dosri Janib agr mukhalif keh pas agar apne maslak keh Ulmae karam keh dalail mojod hain tu woh jawab dene ka haq rakhta hai khair yeh tu baat aap ko b maloom hai keh jab humare forum main aap ko disscuss ka haq hai tu humain b ...

(.............) aur ap ka yeh kahna keh mufti sb ne buniyadi batoon ka jawab nahi dya tu aap is ko clear karain woh kaunse aitraz hain jis ka jawab aj tak nahi dya gya ,jahan tak hum ne aap keh akabireen ki kutub ka mutala kya hai , tu mere mutabiq koi aitraz aisa nahi jis ko humare ulmae kram ne tark kardya hoo balke taqleed par har tarah keh aitrazat ka jawab dya gya hai naizsenkroo mazamen kutub mojod hai , aur baqida munazre b howee hain ALHUMDULLAH Azawajal Fatah e Azeem B Naseeb Howi Hai . yeh baat shayed aap keh ilm main na hoo lakin aap keh akabreen keh ilm main zaroor hai ...(.)aap neh kaha keh yeh fazool kisam ki batain hain tu main ap ko yeh batadeta hoon keh "janab" yeh aitrazat aap keh ulma ki taraf se munazroo main kaafi bar ayee hain "dosra nukta" yeh hai in main kaafi aitraz quran pak ki ayat e mubarka se kye gye hain jo ap keh nazdek haq thhe (lakin un ki tawelain ghalat ki gayi hain) Tu Mera sawal ap se yeh hai keh kya quran se kye gaye aitrazat ko fazool kehna durust hai? bare karam quran wa hadith ki roshni main jawab dain.!...

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Janab Shareef Raza sahib ager aap k ulma ne kitaben likhi hain to iss se kia saabit hota hai...? Her tabqa apni taraf se doosre ki baaton ka jawab dene ki koshish kerta hai aur be-shumar books likhi jaati hain.

 

Aap mera mazmoon 2 3 baar tafseel se parhen. Phir zahen main jo sawal peda hon unn ke jawab doondhne ki koshish karen. Taqleed jaisi cheez Quran ya Hadees se saabit nahin ho sakti. Jo aayet ya hadees wagera pesh ki jaati hai uss main ziada se ziada ulma se poochne ki baat hai aur main yeh baat saabit ker chuka hoon k ulma se poochna Taqleed nahin hai.

 

Iss ke muqable main mere mazmoon main taqleed ka naam le ker Sahabi-e-Rasool S.A.W. Maaz bin Jabal R.A kehte hain k Taqleed na kero. Kia iss ke muqable main kissi sahabi se saabit hai k uss ne kaha ho k Taqleed kero.

Hata k jin ki taqleed ki jaati hai woh khud mana kerte rahe taqleed se mager iss k bawajood taqleed kerna........?

Aap logon k zahen main yeh baat hoti hai k Taqleed na kerna shaed her aik ko Mujtahid ka derja de dena hai halan k yeh baat galat hai. Ulma se seekhne aur unn ki daleel k saath perwi ko koi bhi galat nahin kehta. Mager yeh baat kahan hai k aik aalim ko hi Aalim maan ker sirf ussi ki taqleed ki jae aur uss ke muqable main chahe kitne hi aalim kion na hon unn ko radd ker dia jae.

Tafseel ka moqa nahin werna Fiqa Hanafi kai masael main jamhoor Ulma ke hilaaf hai jis main daleel bhi jamhoor ke saath hai lakin unn ko radd ker dia jaata hai.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

:wub: jazak Allah sag e attar bhai....book sharing ke liye..

 

 

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Yeh saari bahes fazool hai jab tak khud taqleed ko saabit nahin ker dia jaata.

Doosra yeh k Imam Bukhari ko ager kissi ne Shaafi likh dia to kia woh muqalid saabit ho gae? Saawen ke andhe ko her taraf harra harra hi soojhta hai. Imam Bukhari se saabit kero ko unhon ne kahin khud ko muqalid kaha ho. Imam Bukhari ne apni Sahih main bohat si jagah per Imam Shafi ke mazhab ke khilaaf abwab bandhe hain.

Teesra yeh k main bian ker chuka hoon k kissi bhi muhaddiss ya aalim ke naam ke saath hanfi, shafi, malki wagera laga hone ka matlab hergiz yeh nahin k woh muqalid bhi the kion k inhin ulma ne to taqleed per radd ker rakha hai. jaisa k Allama Aeni Hanafi, Allama Zaeli Hanfi wagera ka hawala dia ja chuka hai.

Chotha yeh k Imam Bukhari Imam Shafi ki taqleed kion karen ge jab Imam Shafi ne khud apni taqleed se mana ker rakha hai. hawala ooper bian ho chuka hai mere mazmoon main.

 

Aakhri baat yeh k mujtahid ke ilawa sab bandon per taqleed wajib hai, iss ki daleel kia hai?

Kia sab Sahaba aur tabaeen mujtahid the ager nahin to woh kis ki taqleed kerte the? Daleel se saabit karen.

Link to comment
Share on other sites

Doosra yeh k Imam Bukhari ko ager kissi ne Shaafi likh dia to kia woh muqalid saabit ho gae?

 

Aap Jo Yeh Aahadees Ki 3600 Asnaad Liye Phirtey Hain.. Aur Kisi Rawi Ko Sahi Aur Kisi Ko Za'eef Kehtey Hain Iska Kiya Matlab Hai?

 

Yeh Tu Chikralwiyon Wala Jawab Hai Key Hum Hadees Ko Nhin Mantey Key Bukhari

Link to comment
Share on other sites

Janab . yeh mere sawaloo ka jawab nahi hai, aap bajaye wazahat karne keh mazed sawal karrhe hain maine hawala dya hai aur aap kahrhay hain isse kya sabit horaha hai . yeh tu sab jante hain kisi mozo par dalel se kya sabit hota hai...

...ap kah rahai hain keh "har tabqa apni taraf se jawab deta hai" tu janab har tabqe main aap b shamil hogai , lakin humare haan aisa nahi hai maine apni replay main pahle hi wazhat kardi yeh woh sawalat hain jo ap ki taraf se munazroo main beshtar hotay rahe hain ...

... aap ki yeh baat samjh nahi ayi ..keh aap pahle mere mazmon ko gaur se 3 say 4 bar parhain phir jo samjh na ayee use isi main dhondain... mujhe apna mazmoon parhwanay se pahle aap apne jumle par gaur karain hosakta hai tarmeem ki hjat hoo keh peche apne hi kaha hai har tabqa khud hi jawab deta hai..

.. aur aap kah rahain taqleed jesi cheez quran wa hadith se sabit nahi hosakti awwalan is jumle par nazare sani karlain taqleed cheez hai ? thoos ya maai"e ?... ja al haq se jo mazmon paish kya gya hai us main mojood hai pahle is ka radd farmain ...

... janab keh rahain main sabit karchuka hoon keh ulma se pochna taqleed nahi' janab yeh sabit karne ki taref koi muatbar kitab se wazahat karain.. jahan koi aitraz na hoo us ko sabit karna kahtee hain ...

.. sahabi e rasool hazrat muaaz keh qauol ka matlab aur degar sahaba keh qauol seh apna matlab nikal kar thopna durst nahi hai taqleed par hazrat muaz ki hadith sabit hai aur hazrat umar ki aur b beshtar sahaba ki ahadeth hain is keh ilawa ja al haq keh mazmoon main mojood hain .. jin ki taqled kijati hai ..unhonay kis taqled se mana kya hai is ki wazahat kya aap nahi karsakte ...

... .............................

...aap ki baat main tazzad paya jaraha hai aik jagah aap kahrahay hain yeh sari behas fazool hai dosri jagah aap kahrahay hain kisi muhaddith keh naam keh hanfi shafai malki se yeh nahi kah sakte woh muqalid hai ..

ALLAMA Aini khud hanfi aur radd karainge in keh is qaoul ka matlab ki b sarahat karain...

... abi aap kahrahay hain keh us imam se khud sabitkarain aur yahan aap kahrahain imam shafai nay mana kya hai tu imam shafai ne apni kitab main mana kya hai aur in ki khud ki kitab hai is ka saboot dain yeh b tu kisi say maloomhowa hai aksar muhaditen ki taraf kaafi kutub mansoob kardi jati hain...

...bandoo par taqleed wajib hai is par quran wa hadith se dalel di jachuki hai ja al haq se aap is ka radd karain..agar aap keh paas aisi koi quran wa hadith se dalel hai ..

..aksar sahab taben mujtahid thhe . hazrat ibne abbas hazrat abu mosa ashari hazrat muaz hazrat aisha sideqa aur bohat saray sahaba taben mujtahid thhe...

Link to comment
Share on other sites

Oper Talinenoor sahib Key Article Mein Yeh Sabit Kerney Ki Koshish Ki Gayi Hai Key Jitney Bhi Muhadisen Guzrey Sub Ghair Muqalid They.. Uska Rad Imam Bukhari Al-Shafayi (ra) Wala Post Ker Diya Gaya Hai... Jiska Rad Koi Ghair Muqalid Nhin Ker Sakta Insha Allah (azw)..

 

Mager Mujhey Pata Hai Talinenoor sahib Ney Is Book Ko Nhin Perhna.. Tu Kuch Mazeed Post Ker Raha Hoon.. Is Sey Aapko AhleHadees Ghair Muqalid Hazraat Key Qool Wa Fail Ka Andaza Hoga..

 

Shah_Abul_Aziz_GMs_Ki_Nazer_Mein.gif

 

Shah Abdul Aziz Muhadis Dehlavi (ra) Key Barey Mein Pata Chal Gaya Key Woh Ghair Muqalideen Ki Nazron Mein Kiya Hain.. Aayen Dekhtey Hain Unka Muhadiseen Ki Taqleed Key Barey Mein Kiya Khayal Hai..

 

bostan_ul_muhadiseen01.gif

bostan_ul_muhadiseen02.gif

bostan_ul_muhadiseen03.gif

 

(Yeh Hawalajat Oper Book Mein Bhi Mojod Hain)

 

Aub Ya Tu Inko Shah Abdul Aziz Sahib (aleh rahma) Ki Man'ni Chahye.. Aur Ager Nhin Mantey Tu Shah Sahib Ney Phir Inkey Nazdeek Jhoot Likha Hai.. Tu Yeh Jhootey Ko Apna Imam Banatey Hain.. Hairat Hai Aisey Ultey Amal Per..

 

Neez GMs Key Fatwa Sey Yeh Bhi Sabit Howa Key Sulaha Ka Tareqa Jaiz Hai.. Tu Aub Taqleed Tu In Ko Her Sorat Mein Kerni Chahye.. Kiyon Key Jin Muhadiseen Ko Yeh Apna Imam Bana Rahay Hain.. Woh Khud Muqalid Hain.. Aur Dosron Ki Taqleed Key Dalail Dey Rahay Hain.. Jesa Key Talinenoor Sahib Ney Oper Jin Muhadiseen Key Hawalon Ko Fazool Behs Kaha Hai.. Un Mein Sey Kayi Ko Yeh Apna Imam Mantey Hain.. Aur Unki Likhi Hoyi Kutub Sey Dalail Bhi Letey Hain.. Jesa Key Imam Nawavi (Aleh Rahma) Bhi Shafae They.. Aur Unki Sharah Ko Yeh Uthaye Phirtey Hain.. Mager Unki Taqleed Ko Nhin Mantey.. Na Muhadiseen Key Unkey Un Hawalajat Ko Mantey Hain Jo Unho Ney Kisi Ki Taqleed Per Likhey..

 

Allah (azw) Aisay Qool wa Fail wa Ulti Soch Sey Mahfoz Fermaye.. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen (saw)

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Main ne aik topic Ahlehadees ka manhaj bhi post kia hai usse parh lain.

http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2704

Jab ham muqalid nahin to ham per Ahlehadees ya Gaer-Ahlehadees ki bila daleel aur hilaf-e-daleel baat pesh kerna sahih nahin.

Aap ne likha hai k muhadasseen ki baat phir kion qabool kerte ho to guzarish hai k woh bhi jo baat daleel k saath karen wohi qabool ki jaati hai hilaf-e-daleel baat to unn ki bhi qabool nahin kerte. lahaza yeh aitraaz fazool hai. Jahan tak unn ki kissi bande k baare main gawahi ka taluq hai to uss main bhi jaanch parakh hoti hai k baat kitni sahih hai aur kia sahih hai? Werna kia aap log Imam Abu-Hanifa k baaren main sab Muhaddasseen ki baat qabool ker sakte ho...?

Abb misaal ke tor per ooper wale mazmoon main jo sag-e-Attar ne post kia hai, Shah Abd-ul-Aziz ke hawale se Imam Abdullah ibn-e-Mubarik ko siraf Imam Abu Hanifa ka shagird hone ki wajah se hanafi shumar kia gaya hai. Khud bataie kia kissi ka shagird hone se banda uss ka muqalid ban jaata hai. khud uss main tasleem bhi kia gaya hai k malki hazraat unhen malki aur hanafi unhen hanafi kehte hai, abb inn main se kon sahih hai? aur iss ki wajah yehi hai ke khud unn se na malki hona sabit hai aur na hanafi. Mazeed yeh k Imam Abdullah ibn-e-Mubarik ne Imam Abu Hanifa ke bare main jo kuch kaha hai uss se kam az kam hanafi hazraat ko to unn ka naam lene se perhez kerni chahiye.

Aap ne likha hai k tum log bhi falan ko Imam kehte ya maante ho aur unn ki baat qabool kerte ho to mere dosto

Daleel k saath baat manane k ham bhi qael hain chahe Imam Abu-Hanifa hi kion na hon. yeh taqleed nahin hai.

Jahan tak kissi ko Imam kehne ka taluq hai to iss se kia taqleed saabit hoti hai...? Bachkana baaten na karen. aap log Imam Shafi ya Imam Malik ya doosre Aema ko bhi Imam aur Muhaddiss maante ho to kia aap iss se unn ke muqalid ban jaate ho...? Jab nahin to phir ham kissi ko Imam keh ker kaise uss ke miqalid ban gaye...?

 

Lahaza fazool qisem k aitrazaat ka koi faeda nahin.

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

hazrat ap ki baton or amal main waqayi bohot tazad hai. apko pora mazmon taqled par quran o hades ke hawale se post kya gaya tu ap ne usay fazol baten kaha. jahan apko imam bukhari (ra) ki taqled par dalial dye gaye tu ap ne use fazol behs kya.. kya ikhtilafi behs ka yahi mayar hai ke jawab na ata ho tu bat ko fazol keh kar khatam kr di jaye.

 

kabhi ap wasela par bat karte hain tu dalel imam e azam ki late hain. or minhaj quran o hades batate hain. ap ne wasela wale topic main konsi dalel quran o hades se post ki or kis daleel ka rad kya? kya yahi apka minhaj hai?

 

ap ne likha ke abullah ibne mubarak (ra) ko mukhtalif tabqon main likha gaya. tu kya ye nayi bat hai? 1 hades ke 20 rawi hote hain. kisi ko tum zaeef kehte ho kisi ko saheh kehte ho. akhir in rawyon ke sahi or ghalat hone ki kya daleel hai tumhare pas?

 

chalo ye ghair muqaliden ka challenge hai ke kisi rawi ke sacha or jhota hone ki dalel quran o hades se dikhao.

 

yahan bhi tumhe inhi muqliden ka hath pakerna parta hai. phir kehte ho hum in muhadisen ki wohi bat mante hain jo quran o hades se sabit ho tu lao aik daleel quran o hades se ke fulaan rawi sahih hai fulan ghalat.

 

jab tumhe raawi ke sacha jhota hone main quran o hades ki daleel ki zarorat nahi tu phir tumhara minhaj kahan gaya?

 

quran e pak main tu farmaya gaya.. badgumani mat karo bey shak baz guman gunah hain.

 

yahan tu guman dor. direct kaha jata hai fulaan raawi kazab hai... iski daleel? bhai isay fulaan muhadis ne kazab likha hai. . wah ghair muqliden ka minhaj.. quran o hades side per.. or muhadis ki bat baghair quran o hades ki dalel ke man rahe hain.

 

chand suwalat hain umed hai ap inka jawab hazam nahi karain ge.

 

jo taqled karte hain un per kya hukm hai?

 

kya taqled karne wala gumrah hai?

 

ye jawab dejye jin muhdisen ne taqled ki kya woh jhotey bad deen gumrah hai? (muazAllah)

 

mutawatir ahades se sabit hai ke meri umat main 73 firqey honge jin main 1 janati or 72 naari honge. or janati firqe ki jo nishanyan bayan ki gayi hain un main se hai ke woh sawad e aazam hoga. yani tadad main sab bari jamat (dalel chahye ho tu woh bhi post kar di jaye gi) ... ab pori dunya par soraj ki terha roshan hai ke muslamano ki aksriyat muqalid hai.. balke yon kaho ke ager sub musalmano ko jama kar dya jaye tu ghair muqaliden tu nazar bhi nahi ayen ge.

 

tu suwal ye hai ke kya ye sub gumrah hain? or kul tadad ke muqable main chand aik ghair muqalid haq par hain? tu bari jamat ka kya howa?

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap ne kaha k aap ne Imam Bukhari ki taqleed per dalael die aur aap ne unhen fazool kaha to mere dost jab main unn ka radd ooper ker chuka hoon k yeh kion fazool hain to phir iss baat ka kia matlab...?

Aap ne likha hai k aap ne poora mazmoon Quran-o-Hadees ke hawale se taqleed per likha to main ne usse bhi fazool kaha. Poora mazmoon likhne ki kia zaroorat hai mera mutaliba hai siref aik Aayet ya hadees bata do jis mai taqleed ka hukam bian kia gaya ho. Jab Aayaat ko galat matlab pehnae jaen ge to usse fazool hi kaha jae ga werna ager taqleed Quran ka hukam hoti to sab musalmanon per hoti shuroo se. Yeh Chothi Sadi Hijri main Quran ki samajh ziada logon ko aa gayi k Quran se Taqleed ka hukam nikaal ker uss per amal start kia....?

Aap ne jo yeh likha hai k main ne waseele k inkaar per koi daleel nahin di to iss baat ko uss ki post main ja ker bian karen yahan kion topic se hat ker baat ker rahe hain? Wahan main wazahet ker chuka hoon k main ne waseele se inkaar per koi daleel kion nahin di abhi tak...

Aap ne likha kabhi k aap wasela par bat karte hain tu dalel imam e azam ki late hain

Imam Abu Hanifa ka fatwa aap logon k liye bator hujjat pesh kia hai werna main ikhtilaafi waseele se iss liye inkaari nahin k iss ka inkaar Imam Abu Hanifa ne kia hai. Jo mujh per yeh ilzaam lagaia ja sake.

Aap ne likha 1 hades ke 20 rawi hote hain. kisi ko tum zaeef kehte ho kisi ko saheh kehte ho. akhir in rawyon ke sahi or ghalat hone ki kya daleel hai tumhare pas?

Behter hai k jaaker rawaet aur rae ke faraq ko jaa ker samjhen. Abhi siref itna arez hai k Quran ka hukam hai k tumhaare paas jo khaber laaye uss ki tehqeeq ker lia kero lahaza ager kissi ko sahih ya zaeef kehte hain to yeh unn gawahion ki buniad per hai jinn ko maanane ka Allah aur Nabi ne hukam dia hai. Doosra yeh k Iss per Ijmaa hai k Hadees rawaet kerne walon ki tehqeeq ki jae gi. Mazeed yeh k ooper meri post mai aap ki asooli kitaabon ke hawale se yeh guzer chuka hai k gawahion per faisla taqleed nahin. Werna kia hayal hai jab Hafiz Ibn-e-Hajer kehte hain k Imam abu-Hanifa ne falan raawi ko zaeef kaha hai to iss se woh Hanafi muqalid ban jaate hain...?

umeed hai k Rae aur Gawahi ke faraq ko samajh jaen ge.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

ager kissi ko sahih ya zaeef kehte hain to yeh unn gawahion ki buniad per hai jinn ko maanane ka Allah aur Nabi ne hukam dia hai.

 

Kin gawahon ki bunyad? aur unki gawahi ke aitabar ka kya mayar hai? kya muhadis ne likh dya tu yeh mayar hai us ki gawahi ke qabol hone ka? Allah or Rasool (saw) ne hukm dya tu us main kuch qawaid bhi tu honge? ke konsa gawah sahi hai?

 

Doosra yeh k Iss per Ijmaa hai k Hadees rawaet kerne walon ki tehqeeq ki jae gi.

 

main ne ye nahi likha ke tahqeq na ki jaye. balke main ye poch raha hon ke tahqeq ka mayar kya hai? kis bunyad par tahqeq mani jaye gi? abhi main nechay apni asal bat ki taraf ata hon..

 

Mazeed yeh k ooper meri post mai aap ki asooli kitaabon ke hawale se yeh guzer chuka hai k gawahion per faisla taqleed nahin. Werna kia hayal hai jab Hafiz Ibn-e-Hajer kehte hain k Imam abu-Hanifa ne falan raawi ko zaeef kaha hai to iss se woh Hanafi muqalid ban jaate hain...?

umeed hai k Rae aur Gawahi ke faraq ko samajh jaen ge.

 

main ne kab kaha ke gawahi ko man,na taqleed hai?

 

ab in suwalat ki taraf kuch bat karta hon.. ap jin rawyon ko sahih or ghalat kehte hain tu unke sahih or ghalat hone ka mayar inhi muhadisen ki gawahi hai.. jinko main bhi manta hon or ap bhi mante hain. koi qurani ayat ya hades nahi balke inhi muhadisen ki gawahi hai.

 

jese imam bukhari (ra) ne kayi kazab rawyon ki riwayat ko apni kitab main naqal kya magar bad wale muhadisen ne kazabon ki chaant ki or un main se sahih ahades ko alag kya.

 

tu malom howa ke ap ke nazdek bhi hades ko sahih man,ne ya na man,ne ka mayar inhi muhadisen ki gawahi hai.

 

jab ap log inki ahades per gawahi ko mante hain tu imam bukhari ke muqalid hone per gawahi kyon nahi mante? yahan quran hades ka hawala kyon yad ajata hai?

 

hum ne kitne hawale likhe muhadisen ke keh unho ne imam bukhari (ra) ko muqalid kaha hai. tu jab hades ki gawahi ko mante ho tu isko bhi mano. ya phir dono na mano.

 

yani jis gawahi per ghair muqaliden ka dil chahe usko man lete hain. or jahan bat atakti nazar ati hai.. tu NHIN JANAB HUM TU KISI KI NAHI MANTE QURAN O HADES KE ILAWAH.. kya khob policy hai..

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Ubaid-e-Raza aap ne likha jab ap log inki ahades per gawahi ko mante hain tu imam bukhari ke muqalid hone per gawahi kyon nahi mante? yahan quran hades ka hawala kyon yad ajata hai?

Mere dost main ne kab aap se Imam Bukhari ke Muqalid hone per Quran ya Hadees se hawala maanga hai. Mager main ne yeh zaroor likha hai k Imam Bukhari ko Shafai kehne walon k paas iss ki koi daleel nahin bal k iss k hilaaf saabit hai k Imam Bukhari ne apni Sahih main Imam Shafai k maslak k hilaaf abwab baandhe hain. Imam Shafai ne khud apni taqleed se mana kia hai.Doosra yeh k main wazahet ker chuka hoon k kissi ko shafai ya Malki kehne se hergiz murad yeh nahin hoti k woh Imam Shafai ya Imam Malik ka muqalid bhi ho jaisa k main apne mazmoon main saabit ker chuka hoon k Shafai ya Hanafi kehlana wale bohat se aalim khud taqleed ki terdeed ker chuke hain phir bhi unhen muqalid kehna bohat na-insaafi hai.

Teesri baat yeh k kia aap her mohaddis ki her gawahi qabool kerte hain to mere dost ager Imam Abu Hanifa ki hadees qabool na kerne per sirf Abdullah Ibn-e-Mubarik ki gawahi la doon to qabool ker lain ge....? Wohi Ibn-e-Mubarik jinhen hanafi baawer kerwaia jaata hai.

Baat yeh hai k ager kissi mohaddis ne aik raawi ko Saqqa kahe aur koi doosra mohaddis ussi raawi ko zaeef kahe aur saath daleel bhi de to baat uss ki maani jae gi jo saath wajah bhi bata raha hai. Asool-e-Hadees main isse jiraah aur Tadeel kaha jaata hai k jo mufassir ho usse qabool kia jaata hai yeh nahin k her mohaddis ki her gawahi qabool ker li jaati hai. Lahaza iss k liye Asool-e-Hadees ki taraf rajoo karen.

 

Aakhir main phir kehna chahoon ga k mere mazmoon main itne Aema Ikraam aur Muhadisseen ne taqleed ka naam le ker uss per radd kia hai uss k muqable main mubhim baton se unhen muqalid kehna koi maani nahin rakhta. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.

 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

MASAHALLAH talinenoor BAHI MERAY PYARE BHAION NE APP KO JO JO JAWABAT DIYE ISS K BAAD MERA JAWAB DAINE KA KOI MATLUB NAHI REHTA LAIKIN YAAR SUB SAY ZYADA TAQLEED TU TUM LOGH KARTAY HO.

TUMHARE MOLVI LIKH DAI EID-E-MILAD NAJAIZ HAI TUM USS KI BAAT MAAN LAITAY HO YEH TAQLEED NAHI TU KIA HAI ?

TUMAHRE MOLVI KEH DEY K FALAN HADITH ZA'EEF YA GHALAT HAI TU MAN JATAY HO YEH TAQLEED NAHI TU KIA HAI ?

TUMAHARA MOLVI KEH DAY MADINAH SHAREEF RASOOL ALLAH K ROZA-E-ANWAR KI ZIARAT KI NIYAT SAY JANA NAJAIZ HAI TUM MAN LAITAY HO YEH TAQLEED NAHI TU KIA HAI ?

KHAIR ISS PER AIK TAFSEELI JAIZA MAIN INSAHALLAH JALD HE POST KAROON GA.

Link to comment
Share on other sites

  • 5 weeks later...

Asslamualikum All Muslims

BHai Jaan Mein Ye Janna Chahta Hoon K Taqleed Kyun Zaroori Hei Yani K Mujhe Hanafee Ya Shaffee Honain Ki Kyun Zaroorat Hei Jub K Humare Suahaba Aur Naa Tabaeen Aur Naa Tiba Tabaeen Kissi Ki Taqleed Karte The Woh To Simple Aqaa Alihi Aslath Wasslam K Naqshe Qadum pe Chalte THe Aur Log Kehte Hein K Suahaba Kraam Nain Islaam Main Changing Kar Di Hein Yani K Jumme Ko 2 Azaan Aur Raffa Ya Dein Naan Karnaa Aur Aourton Ki Namaaz Gher Main HI Karnaa Aur Taraweeh BHi 8 ya 11 chod ker 20 hi karnaa un ko ye tabdeeli kyun dar paish aai ager aai to is ko kissi sahee ahadees se wazeh karein

Shukriyaa

Asslamualikum Warehmatullah Waberkathaoo

Link to comment
Share on other sites

(wasalam) Brother

 

Mufti Ahmed yaar Khan Naeemi rehmatullah alaih nay iss mozoo par Jaa ul Haq kay pehlay chapter main "Taqleed" kay topic par likha hay

 

Jaa-ul-Haq

 

Iss kay ilawa Muhtarram Professor Dr.Muhammad Masood Ahmed ki kitab Taqleed bhi iss mozoo par mufassil behas farmai hay.

 

Taqleed By Dr.Muhammad Masood Ahmed

 

 

iss kay ilawa Taqleed o Ijtehad kay topic par Dr. Altaf Hussain Saeedi kay 2 articles IslamiEducation.com par mojood hain.

 

Taqleed-e-Imam Azam Abbu Haneefa raddi ALLAH anhu

 

Click here to Download

 

Taqleed-e-Mujtahid....Aik Mehfooz Rasta

 

Click here to Download

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...