Syed Kamran Qadri مراسلہ: 10 جون 2020 Report Share مراسلہ: 10 جون 2020 زمین کے ساکن ہونے پر امام اہلسنت کے دلائل کی توثیق اور مخالفین کے دلائل اور ان کا رد 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
hanfigroup مراسلہ: 11 جون 2020 Report Share مراسلہ: 11 جون 2020 JANAB AP KI SARI BATYN DARUST MAGAR YE TU BATA DYN ANTARTICA MAIN SUN GHARUB NAHE HOTA. YE KON SA SUN HY? EUROPE K KUCH AREA MAIN 6MONTH KA DIN HY, YE SURAN KON SA HY. APKY MUTABAK KAM AZ KAM KOE 5 SUN HOON TU SHAYAD KOE BAAT BAN JAY اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 11 جون 2020 Report Share مراسلہ: 11 جون 2020 Salam alaykum. Sayyidi Ala Hazrat nay zameen kay sakin honay par joh dalahil deeyeh hen woh darust hen. Zameen Sakin heh magr dunya sakin nahin. Zameen kay sakin honay ka Quran mein Zikr heh aur bilqul zameen sakn heh magr zameen al-ardh ka lafz mana dunya mein istimal nahin huwa ... joh bi daleel dunya kay sakin par pesh hogi woh haqiqat al-ardh kay sakin par heh aur al-ardh ka lafz istimal huwa heh ... mein Arabi nahin janta magr yeh pata heh al-ardh ka sirf mana al-duna nahin ... balkay in ayaat mein dunya kay tukreh kay mafoom mein istimal huwa heh jissay jild kahen ... Quran mein 7 zameenoon ka zikr ... aur aaj kay dawr mein ussay layers/jilden kaha jata heh ... Quran mein 7 zameenen is wasteh kaha gaya keun kay har aik jild ki matti ki kism mukhtalif heh ... Quran mein zameen kay sakin honay ki waja bayan heh kay Allah ta'ala nay zameen (7 jildoon mein say joh upar wali jild) par pahar pegs/killa banahay hen. Killa punajbi ka lafz heh ... lakri ka khardar hissa zameen dooz keeya jata heh aur dihaat mein gahay, behal ki rassi us say bandi jaati heh ... us lakri ko killa kehtay hen ... Allah nay paharoon ko killa farmaya ... science kay dawr mein aaj sabat huwa heh kay zameen ki 7 jildoon mein pahar hen aur yeh zameen ki 4 jild taq gehray jatay hen. aur hasil yeh hota heh kay upar wali jild jis par ham abaad hen woh hilti nahin. Misaal tor par ... aap 7 bread/rotiyan lenh ... aap upar wali ko khenchen asaani say kehnch lenh gay ... magar agar aap upar wali roti mein aap nails/meikhen gusa denh kay us nail ki aakri had upar say ginneh toh joh 4 number par roti aati heh us mein gussen ... phir aap kheench kar kay dekh lenh ya sari 7 kheenchen gay ya phir nain. Is upar wali jild kay sakin honay ka zikr heh ... Quran mein 7 zameenoon aur 7 asmanoon ka zikr heh ... magr har jaga aik hi murad nahin balkay aik jaga zameen ki 7 jildoon ka zikr heh aur dosri jaga space ki 7 jildoon ka ...65:12 ... Zameen ki 7 jilden, here. aur space ki 7 jilden . Abh science kay mutabiq joh 7 jildoon mein joh zameen ki core kay kareeb hen woh hilti aur gumti hen pressures ki waja say aur toot-ti phoot-ti hen. Abh joh zameen tooti phooti us par insaan ka reh sakta ... kia bana sakta ... Allah (subhanahu wa ta'ala) nay joh farmaya kay zameen (ki upar wali jild) sakin heh ... batanay ka maqsid yeh huwa kay insaan par ihsaan keeya kay is ko sakin banaya ... warna agar zameen ki har jild goomti toh phir kohi makhlooq zinda nah rehti ... Mein nay Sayyidi Ala Hadhrat ki kitab nahin pari ... magr joh un kay dalahil hen zameen kay sakin honay kay woh apni jaga darust hen ... shahid us sakin ki tabeer samajnay mein khata ki ho. Shahid unoon nay upar wali jild, pehli zameen kay sakin ko, unoon nay dunya kay sakin honay par mahmool keeya ho. Aur agar aisa heh toh phir ham un ki khatahoon kay mukhallif nahin hen. Jis zamanay mein Sayyidi Ala Hadhrat (rahimullah) nay yeh kitab likhi us dawr mein Einstein bi Dunya kay sakin honay ka qail thah ... baad mein Edward Hubble nay tehqeeq pesh ki toh us nay ruju keeya ... batanay ka maqsid yeh kay jin logoon ka pesha hi science thah woh ghalti par thay aur joh dunya par sab say ziyada mana huwa scientist heh woh ghalti par thah toh phir Sayyidi Ala Hadhrat (rahimullah) jinoon nay shahid hi kohi sceince ki kitab pari ho aur agar study bi ki toh sar waraq huwi hogi. Hammen joh un ki talimaat ayn deen mutabiq hen woh maaneeh chahyeh ... science kay mozoo par aaj ki science kaal jhooti huwi aur kal ki parsoon ho jahay gi ... agar aisay mozmoon mein Sayyidi Ala Hadrat rahimullah say khata huwi toh un ki shan o shokat mein nah kami aur nah aur nah hogi. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
hanfigroup مراسلہ: 12 جون 2020 Report Share مراسلہ: 12 جون 2020 jo mainy puch uska jawab kahan hy? zamen sakan hy, magar apny mahwar k gird goom rahe hy. janab 5 7 sun agar hoon tu ahamd raza sacha sabit hota hy. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 12 جون 2020 Report Share مراسلہ: 12 جون 2020 Abhi mein nay Sayyidi Ala Hadhrat ki kitab ki aaik ibarat pari, Sayyidi Ala Hadhrat farmatay hen kay agar sooraj ki gravitational force heh toh phir lakhoon hazaroon saaloon kay baad bi zameen ko sooraj apni taraf keun nahin keench saka? Sawal ka maqsid heh kay agar gravitational force hoti to phir aisa zeroor hota ... woh aik misaal bi detay hen kay aik magnet kheenchay toh loha keench sakta heh ... agar gravitational magnetic force hoti toh zameen ko sooraj kheench kar apnay qareeb kar leta. Sayyidi Ala Hadhrat kay nazirat Steady State Theory kay qail thay ... is'see ka Einstein bi qail thah ... Sayyidi Ala Hadhrat rahimullah kay ihtiraaz ka jawab yeh heh kay Allah subhanahu wa ta'ala asman mein aik balance/tawazo qaim keeya heh. Jis ka zikr Allah nay Quran mein bi farmaya heh, Q55:7/8. Sayyidi Ala Hadhrat ka farmana kay gravitational force ki kashish joh sooraj ki heh woh zameen ko keench leti bilqul durust heh. Aur haqiqat mein aisa hi hota heh ... Jitni raftar say sooraj zameen ko apni taraf keenchta heh ya yoon keh lenh jitni raftar say zameen sooraj taraf girti heh ... utni hi raftar say sooraj apni jaga chor kar agay nikal jata heh aur istera nah zameen sooraj ko paunch paati heh. Zameen ko sooraj kheenchta heh jaisay Sayyidi Ala Hadhrat nay farmaya kay hona chahyeh magr kheechay janay kee raftar kay barbar sooraj door hota jata heh ... Samjanay ki khatir ... do cheezen aik hi raftar mein gir rahi hen ... A aur B ... A gir raha heh aur jitni raftar mein khud gir raha heh utni hi raftar mein B ko be kheench raha heh ... hasil kia hoga ... B kabi bi A ko nahin paunch pahay ga. Aur sooraj apni manzil ki taraf ja raha heh jis ka zikr Quran mein heh, Q36:38. Yehni Sooraj aur zameen donoon aik hi raftar mein asman mein safar par ja rahay hen aur jitni raftar say sooraj apni manzil ki taraf ja raha heh utni hi raftar say zameen sooraj ki taraf girti heh ... nateeja zameen sooraj ko nahin paunch pati.Yeh nahin kay Sayyidi Ala Hadhrat rahimullah nay sab kuch ghalt likha heh ... fundamentals/bunyaden durust hen ... magr nataij akhaz karnay mein khatahen huween hen. Jis dawr mein Sayyidi Ala Hadhrat likh rahay thay us dawr mein sooraj kay manzil ki taraf safar ka nazria nahin thah ... yehni sooraj travelling through space ka nazria nahin thah ... magr Ala Hadhrat ki kitab al fauz ul-mubeen mein is ka zikr heh ... is lehaz say woh science say agay thay ... jahan par Sayyidi Ala Hadhrat ki khatahen hen wahan par un kay awr nazriat ki taeed bi mojood heh. Allah ta'ala Sayyidi Ala Hadhrat rahimullah ko azeem ajr deh ameen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
غلام محمد مراسلہ: 12 جون 2020 Report Share مراسلہ: 12 جون 2020 قول متین رد ابطال حرکت زمین.pdf اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
غلام محمد مراسلہ: 12 جون 2020 Report Share مراسلہ: 12 جون 2020 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔