Khans Ullah مراسلہ: 17 اپریل 2020 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2020 AsA . Umeed Hay Sub loog Khairyat se hongay .Tafseel me likho ga uskay ley maazrat. Mujhay ek buhat e sangeen masla darpaish hay ,Abtak jo bhi menay daikha wo Tam Khuateen apnay masaly masail share kar ri hay. Masla kuch ye hay k meri shadi ko 5 years ho gay hay . Meray 2 betay hay ek ki age 3.5years or dosray ki 1.5 years hay .meray ghar me just meri ammi hay meri 3 sisters married hay sub ka apna Allah ka shukar bhara pura susral hay. meri wife ko meri ammi se beintiha shikayat hay meri walda ghar k majority kamoon me hath batati hay infact ye kehna ghalat na hooga k meri wife per ghar ki 30 % zimedari bhi nai hay han lekin jub is 30% me bhi kharabi nazar aaye menas purapa nazar aye tuor toak dia jaye to meri wife out of control hoo jati hay na baray ki tameez na shohar ka leehaz. Dosra usko continous bharpoor support hay apnay mehkay ki regardi talaq khula .... or unka pas haur choti sey choti baat ka solution talaq o khula hay Ab mera jo issue hay wo ye hay k mujhay apnay bachay buhat aziz hay or hamaray qanoon k mutabiq pura qanoon Aurton k haq me hay Khula bhi loo bachay bhi lo Or kharcha bhi loo is situation me mey or meri faimily( Mother) buhat distrub hay .Zara kuch ho jaye tu police ki dhamkian etc . Ye jo me bayan kar raha hoo ye buhat kuch avoid kar kay batara hoo . Kia koi mujhay koi solution bata sakta hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 17 اپریل 2020 Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2020 Biwi ko ilada kar denh. Agar phir bi problem ho ... yehni talaq khula waghayra ki damkiyan ... toh us ka joh solution joh aap ki biwi nay apnay maanh baap kay saath mil kar banaya heh ... yehni talaq khula ... us ko poora kar denh ... yehni Talaq deh denh. Hadith mein aya heh kay Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay Hazrat Ismail (alayhis salam) ko hukum deeya thah kay apni biwi ko talaq deh doh keun kay woh apnay haal par raazi nahin thee aur na-khushi ka izhar keeya thah ... is kee waja say talaq ka hukum deh deeya. Joh aurat moonh ziyada damagh aur haath kam chalahay us ko Talaq deh kar farigh kar dena chahyeh. Bachoon ki khatir biwi ki jhooti banna pata nahin aap kesay gawara kar rahay hen. Allah ka naam leh kar aur yeh tawaqoh rakh kar kay Allah achi aur naik biwi say nikkah karwahay ga ... pehli Talaq muhallay kay bandoon ko bula kar likh kar kissi chachay, baray chota, ammi, abu, taya, mamoon ki aaik nah suneh ... us kay brothers sisters baap maan sab ko bula kar ... jama keren ... aur araam say beth kar likhen ... mein Khansullah ... hosh o hawas mein ... apni biwi ko sirf aik talaq deta hoon ... aur baghayr kuch kahay sab ko parh kar sunah denh ... aur jah kar biwi haath mein denh ... saath mubarak ho ... baqi doh aynda ayyam e pakeezi mein aik aik kar kay doonh ga ... aur phir aram say bazaar mein jahen ... enjoy keren ... aap ki biwi kay saray ball aur aap kay susr waghayra kay saray ball ... aik ki talaq say nikal jahen gay ... agar nah niklay... aur seedhi nah huwi toh aglay maheenay ... masjid kay loud speaker par jahen aur dosri talaq ka ilaan kar denh ... agar phir bi seedhi nah ho toh ... Allah ka naam leh kar tesri aur aakhri talaq tesray 3 maheenay mein likh denh ... raazi nama sirf in sooratoon mein keren ... biwi kay maanh baap aap ko 5 lakh rupay denh gay ... mein dosri shaadi karoon ga ... gar ka sara kaam kaaj biwi karay gi aur ammi kuch bi nahin karay gi ... aur jab taq mein gar mein jag raha hoon tab taq biwi meri jhootiyan sar par utha kar bethay gi. Yehni aisi sharait joh woh maneh hee nah aur aap tesri aur aakhiri talaq likh kar hawalay kar denh. Ya seedhi ho jahay gi ya phir aap is ko talaq deh kar aur biwi gar leh ahen gay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Khans Ullah مراسلہ: 17 اپریل 2020 Author Report Share مراسلہ: 17 اپریل 2020 Thanks Dear Muhammad Ali Unfortunately abhi recently alag flat rent per janay ki baat hui or jaisay e menay agree kara tu dobara se woe masail shuru ho gaye . Or sub se ziada masla jo aata hay wo dhamkion ka .... Or jo batain aapnay kahin wo buhat sahi kahi yaar lekin meri weakness shayad meray bachay hay wo court k throug apnay tamam kaam karwalaingay . or masjid k loud speaker wala tariqa buhat aala hay but....... after talaq bachoon ka kia hooga ??????? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 21 اپریل 2020 Report Share مراسلہ: 21 اپریل 2020 Bachoon ka mamla thora complex heh ... asaan nahin heh ... meray bi do bachay hen ... bachoon say muhabbat aik aisi fitrati feeling heh joh control nahin hoti agar sabr shukr aur izzat say guzara hota heh toh theek warna ... aap ko balance karna heh ... bachay ya izzat ki zindgi ... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mughal... مراسلہ: 21 اپریل 2020 Report Share مراسلہ: 21 اپریل 2020 2 hours ago, MuhammedAli said: Bachoon ka mamla thora complex heh ... asaan nahin heh ... meray bi do bachay hen ... bachoon say muhabbat aik aisi fitrati feeling heh joh control nahin hoti agar sabr shukr aur izzat say guzara hota heh toh theek warna ... aap ko balance karna heh ... bachay ya izzat ki zindgi ... بچوں سے سب کو محبت ہوتی ہے مگر ان پرشانیوں سے آپ ذہنی طور پر بیمار ہو گے ہیں محمد علی صاحب نے جو مشورہ دیا ایک طلاق کا اس پر عمل کریں باقی اللہ پر چھوڑ دیں ۔بچوں کی کفالت ماں کو ہی ملےگی بشرط کے وہ دوسری شادی نہ کرے طلاق کے بعد۔بعض اوقات ماں اور اسکے رشتے دار بچوں کا دماغ بھی واش کرتے ہیں باپ کے حوالہ سے اس لیے کسی ماہر قانون سے بھی مشورہ کریں اللہ پاک آپ کی مشکلات دور فرماے ٓامین اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 21 اپریل 2020 Report Share مراسلہ: 21 اپریل 2020 Joh baat raazi nama wali likhi thee kay aisi sharahit hoon joh nah man-neh wali hoon ... woh sirf is soorat mein jab aap sirf talaq chahen. Agar woh raazi nama par tayar hoon toh aap shart likhen kay aap pehli/dosri aap is waqt wapis lenh gay jab aap walden ki taraf say zamanat ho kay un ki beti aynda kohi aisi harkat nah karay gi ... yehni talaq doh ... khula loon gi wali ... aur zamanat kay tor par kahen kay yeh likh denh kay larki kay maanh baap aap ki biwi ki harkatoon kay zummedar hoon gay ... aur agar woh zamanat kay khilaf karay gi toh phir ... joh rakam/pesay aap samjen woh deh saktay hen ... us ko bator e zamanat mangen ... yehni agar un ki beti nay aisa keeya tor phir walden ko zamanat kay pesay ada karnay hoon gay. Agar aap England mein rehtay hen ... ya kissi European mulk, ya America, Australia mein to phir Talaq deh denh keun kay nah aap ki biwi sudharay gi aur nah us kay waldenh. Keun kay idhar UK mein bachoon ka khana peena kapray taleem gar sab kuch goverment pay kar deti heh ... is wasteh aurat ko kohi fikr nahin. Joh solution mein nay bataya heh woh sirf Pakistan, India, Bangladesh, waghayra mein rehnay wali auratoon par kamyab ho skta heh. Bachay piyaray hotay hen. Mein kabi tassawar bi nahin kar sakta keh bachoon say door hoon magr mein nay 2 hadden mutayyin ki hen: aik biwi ko bardasht karnay ki, aur dosri bachoon ki waja say biwi ko bardasht karnay ki. Biwi ko bardasht karnay wali hadd thori low heh ... magr bachoon wali thori high ... magr aik hadd heh ... aur dosri ko biwi jab bi par kar deh ... raat kay 3 bajay bi biwi ko gar bahir kar doon aur agar bachoon ko leh janay ka israr ho toh un ko bi saath behij doon. Mein kabi bi bachoon ki waja say aurat ka jhoota nah banna gawara karoon aur nah aap ko mashwara doon ga. Mairay bachay mujjay bhot aziz mein. Meray beta 3 saal 6 maheenay ka heh ... subho uth-ta heh toh bister par a jata heh ... agar moonh kambal mein ho toh kambal utaar kar bosa deta heh ... i love you daddy ... daddy did you missed me ... let me hug you daddy ... bhot meethi adat aur bhot kush adat wala heh ... kabi mein gussa hoon toh ... haath ko bosa deta heh ... are you angry daddy ... do you love me daddy ... aur meray sar par haath pherta heh aur kehta heh ... daddy don't be angry, ok ... uska mairay saath piyar aur maira us kay saath ... magr phir bi aik hadd mutayyin ki heh ... Husband wife mein wesay bhot jagra hota heh ... aur yeh aik fitrati baat heh ... doh banday hamesha raazi nahin reh saktay khaas kar joh aik gar mein rahen ... aur husband wife aik dosray ko bardasht kartay hen ... aur karna bi chahyeh ... aur woh aisi shadiyon mein hota heh jahan par biwi ko husband say aur husband ko biwi say piyar/lagaho ho ... respect ho ... biwi ko husband ki aur husband ko biwi ki ... phir shadi kamyab hoti heh ... joh aap bata rahay hen us say pata lagta heh keh is ka solution wohi heh joh bataya heh keun kay aap ki biwi mein thori bi respect nahin aap wasteh ... Meri bari behan ko khawand say kuch gila shikwa thah toh us nay khawand kay bahiyoon ... behnoon ... bahbiyoon ko jama keeya aur mujjay bi ... takay meri behan sab kay samnay apnay khawand kay mutaliq batahay ... mein nay sab ko mukhatib keeya aur poocha kia aap husband wife mein kabi kohi narazgi huwi ... aur zahir baat heh husband wife mein hoti heh ... sab nay kaha han ... phir poocha kabi aap nay gar mein muhallay kay bandoon ko jama keeya ... takeh husband wife ki burahi karay ya wife husband ki burahi karay aur woh aap ko faisla sunahen kay kis say ziyadti huwi ... sab nay kaha nahin ... phir behan ko mukhatib kar kay kaha kay tum bataho kay tum nay mujjay aur in logoon ko keun jama keeya ... kia tumari aur tumaray husband ki is mein izzat heh ... behan ko toh samp soong gaya ... magr husband kay khnay par woh bol pari us nay kaha kay hamaray akhrijaat par anh banh huwi heh ... kehnay lagi akhrijat pooray nahin hotay aur yeh fazool kharchi karta heh ... mein nay poocha kia tumara is saath guzara nahin ... kehnay lagi nahin ... mein nay kaha jab guzara nahin toh phir is ka ilaaj talaq heh kharcha poora ho nah ho jab guzara nahin toh toh talaq heh ... donoon kay pass panch mint hen soch lo kia karna heh ... panch mint baad ... mein nay behnoi ko mukhatib keeya kia tum gar kay akhrajat nahin pooray kar saktay ... kehnay laga kar sakta hoon ... behan say poocha tumara is kay saath guzara heh ya nahin kehnay lagi ... guzara heh toh reh rahi hoon ... behnoi ko kaha tumara kaam gar kay akhrajat pooray karna heh ... behan tumara kaam gar chalana ... behan ko kaha tumara haq yeh heh kay tumara husband tumaray tamam shar'i huqooq puray karay aur biwi ka bi yahi heh ... magr is kay saath husband wife aur wife husband ki izzat kay muhafiz hen ... aur agar meri behan ainda is tera logh jama karay toh phir is ko talaq deh dena ... aur mein uth kar chala aya ... mein abhi 42 saal ka hoon yeh mamla taqriban 10 saal purana heh ... aaj taq nah khawand ki taraf say complain aahi heh kay tumari behan nay yeh kar deeya ... aur nah behan ki taraf say kohi complain aahi heh kay husband nay yeh kar deeya ... donoon ko samaj lag gahi kay ... YEH TALAQ WALI SARKAR rehmatullah alay ... fori tor par talaq karwa deh ga ... woh cigret peeta thah us nay cigret chor deeyeh ... aur haftay mein teen/char bahir dostoon kay saath hotaloon resturantoon mein khana khata thah sab kuch chor deeya ... achi koshis aur niyat ka nateeja yeh nikla kay abhi woh hateh mein 530 pound aik hafteh mein kamata heh ... achi job milli cigret jaisi shaytaniat say jaan chooti .... health behtr huwi ... Yeh batanay ka maqsid yeh heh kay mein nay yeh aap ko talaq ka mashwara nahin deeya ... mein Talaq wali sarkar hoon ... achi aurat talaq kay naam say kamp jati heh ... aur bewaqoof ko kohi fikr nahin ... dosra bataneh ki yeh waja heh kay insaaf kay saath chalen ... tesri waja yeh keh agr aap ki biwi achi aur agar us mein khoobi hoti toh woh kabi bi aap ko talaq ka nah kehti aur nah istera family ko involve karti ... chalen us nay kar leeya ... agar us kay gar walay aqalmnd hotay toh ulta us ki khabr letay ... takay us kay hosleh past hotay aur aap ko position aur marriage ki position strong hoti ... magr beti ki muhabbat mein aur aap ko dabbanay kay jazbay mein unoon nay poori koshish kee huwi heh kay un ki beti ko talaq ka gold medal millay ... aap ki biwi agar achi hoti toh yeh baat gar say bahir nah nikalti ... nikli toh father mother samjatay ... balkay unoon nay toh talaq doh ... ya khula loon ka wird sikha deeya agay say ... Lamba kissa mukhtasir ... do talaq bad agar woh nah seedhi ho ... aur us kay gar walay seedhay nah hoon ... toh phir chup kar kay talaq deh denh ... Talaq nay hona hee hona heh ... farq sirf itna heh ... woh aap ko gar say bahir nikaal deh kar khula leh gi ... jis mein aap ko mazeed zillat hogi ... aur phir talaq bi ... dosra tariqa yeh heh kay aap apni izzat ko mafooz keren aur us kay khula lenay say pehlay hi talaq ki step shoroon kar denh ... kam say kam aap ki nafs ko toh yeh taskeen toh hoga kay mein nay ussay talaq deeh ... itni zillat bad talaq ka gold medal jab ussay millay ga toh kam say kam yeh sakoon toh hoga kay aap nay talaq di. Rahi bachoon ki baat toh ... unoon nay aap kay bachay aap say chura lenay hen ... aap talaq denh ya woh khula leh ... donoon sooratoon mein bachay aap say jahen gay ... aur talaq bi hogi ... sirf woh mentally prepare ho rahi heh ... jab woh mentally prepar howi toh us nay khula leh leni heh ... misaal lenh ... jistera jagray/larahi say pehlay gali galoch shor sharaba hota heh aur jab bardasht say bhir ho jahay toh larahi hoti heh ... is'see tera aap ki biwi talaq say pehlay shor sharaba kar rahi heh ... jab aap ka wujud aur shakal us ki bardasht say bahir huwi toh us nay talaq/khula leni heh. Abhi woh first stage par heh ... ainda saal do teen mein next step ahay gi. Is wasteh aap talaq denh ya nah us nay leni heh ... aur behtr yahi heh kay aap teen char saal keun barbad keren gay ... abhi meray mashwaray par amal keren joh pehlay deeya thah ... agar nah seedhi huwi toh kam say kam bey-fazol aurat mein waqt pesa invest karnay say bach jhen gay aur achi biwi millay gi. Niyat achi aur koshish achi aur larki achi talash keren ... Moti bad-shakal musalman aur ba-adab aurat patli khoobsurat bad-akal kafir ziyada aur musalman kam aurat say behtr heh. Biwi mein miyaar musalman aur kirdar ka doonden. Mard aur aurat woh achay joh zuban say musalman, amal mein musalman, lebas mein musalman, aur rehan sehan mein bi musalman aur tahzeeb mein bi musalman. Woh mard aurat joh sirf zuban say muslam aur lesbas mein bi kafir, tazeeb mein bi kafir, amal mein bi kafir ... un say bachen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔