Jump to content

Waseela Ka Munkir Mushrik? Bamaa Taqleed, Imam-e-Aazam Abu Hanifa Aur Waseela

Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Pehle to main aap sab logon se maazret'khua hoon k kuck mesroofiet ki wajah se IM ko waqt na de saka. Itne arse main kaafi new posts aai hain. Main inshaAllah koshish keroon ga k kuch na kuch likhta rahoon.

Masla yeh hai k main jo post kerta hoon bajae uss per bahes kerne k doosre aitrazaat shuroo ker die jaate hain aur jab main aisa koi qadam uthata hoon to kaha jaata hai k sirf aqaed per baat ho gi.

Baherhaal main dobara yeh wazeh ker doon k main Ahlehadees hoon iss naate se k main Quran o Hadess ko apna Manhaj maanta hoon aur main AhleSunnat hoon iss naate se k main Quran o Sunnat ko tasleem kerta hoon. Lahaza mari aap se guzarish hai k mujh per kissi doosre k hawale se attack na karen na main abb unn main se kissi bhi baat ka jawab doon ga. Jo main Quran o Sunnat k hawale se samajhta hoon main ussi per baat keroon ga kissi doosre ne kia kaha hai main uss ka jawab dene ka paband nahin.

Abb kuch iss post k baare main jo ooper Khalil rana sahib ne ki hai.

Khalil Rana sahib bawajood aalim hone k jab iss tarah ki post kerte hain to dukh hota hai. Mazeed yeh k Arshad Kaazmi saahib k istadlaal k to kia kehne.

Aik aadmi galat namaz parhe aur jab usse kaha jae k bhai teri namaz sahih nahin to woh taana yeh de k tum namaz ko hi nahin maante to samjhane wala kia keh sakta hai? Zaahir hai k samjhane wale ne to uss ki namaz ke tareeqe ko galat kaha tha namaz ko nahin.

Main sirf Khalil Rana sahib se yeh poochna chahta hoon k doosron per to aap k aitrazaat bohat tez rehte hain, wahan per Arshaed Kaazmi sahib se poochna tha k Hazrat Imam Abu Hanifa R.A. bhi kia mushrik hain jo Nabi (saw) ke dua main waseele ya waste ko jaez nahin samajhte?

Doosri guzarish yeh hai k hamen to kaha jaata hai k ham aap ke maoqaf ko samajh ker phir baat karen aur doosron se mutaliq aap ka rawaia yeh hai k jo kissi no kaha hai use samjhe bagai aitrazaat kerte chale jaana. Allah ham sab ko hadayat de, Aameen.

Link to comment
Share on other sites

tawasalzb5.jpg

Link to comment
Share on other sites

(ja) Rana Sahib.. Buhut Khoob..

Talinenoor sahib Aap Apni Her Post Mein Likh Rahay Hain Key Mera Minhaj Quran-o-Hadees Hai. Mager Abhi Tak Aap Sirf Alfaz Tak Hi Yeh Bat Ker Rahay Hain.. Abhi Aap Dalail Key Sath Bhi Kuch Post Ker Dein..

Aap Ney Sarkar (saw) Key Waseela Ka Inkar Kiya Hai.. Aap Iska Saboot Quran-o-Hadees Sey Dein.. Jo Hadees Rana Sahib Ney Post Ki Hai Iska Bhi Jawab Dein.. Aur Jo Baat Aap Ney Imam-e-Aazam (ra) Key Barey Mein Likhi Hai Uska Saboot Bhi Pesh Kerein.. Umeed Hai Aap Dalail Sey In Sub Baton Ki Wazahat Kerein Gey.

Link to comment
Share on other sites

be shak talinoor sahab app plz Hadees k hawale se sabit karain na. k waseela kerna galat hai.

jab app ko koi derkhuast kisi bare bande tak bilferz presedent tak puhnchani ho to app bech men kisi na kisi ka reference use karain ge k main is bande k tawasut se app se guzarish ker raha hon. to ye reference app ne is leye lagaya ta k app ki derkhuast per nazr-e-sani ki jai. app k pass wo power nahi jo us bande k pass hai jis ka reference app use ker rahe ho.

to isi terha humari kya oqaat hai, hum to gunahon men dobe hove hain.humare pass wo zaban kahan, humare pass wo alfaz kahan, humare pass wo hath kahan, kis mu se direct Allah se mangain.

Is terha to app masjid men bad namaz sab k sath mil ker dua k leye hath bhi nahi uthaya karain. apni dua alag se manga karain. k kaheen kisi or ki ameen se ager app ko faida ho gaya to ye bhi shirk ho jai ga na.

Allah app ko Aql-e-Saleem de......

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 alla muslims,

Khalil Rana sahib, Aap ko baat badale main kamal haasil hai. Main ne to waseele ka topic start nahin kia. Bal k aap ne jo Ahmed Saeed Kazmi ki baat pesh ki hai uss ka jawab dia hai k Zaat ka waseela na manane wala mushrik hai to phir Imam Abu Hanifa kia hain....?

Jab main Waseele per baat keroon ga tab mujh se Quran-o-Hadees k hawale mangie ga.

Sag-e-Attar, Jahan tak baat hai Aqaed main taqleed na kerne ki to aap log khud gor kero k kia aqaed main aap log direct sab samajh jaate ho jo aap ko taqleed ki zaroorat nahin parhti. Aqaed main Gaer-Muqalid kion ho...?

Woh konsi Aayet ya Hadees hai jis main likha hai k Aqaed main to taqleed na kero, Faroa main kero.

Her baat ke liye aap logon ne man garrhat asool bana rakhe hain.

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam) momino ko...

yahan talinenoor ne imam abu hanfia or dusry aimma mujtahedeen ke qowl ke refernces diya hai jinhy wasily ke khilaaf paish kareny ki koshish ki hai...agar waqai jo ref diya gaye hain wo unhi aimma ke hain...to yahan ye baat saaf dekhi ja sakti hai ki yahan wasily ka inkar nahin balki jo alfaaz wasily ke liye istemaal huey hain (bandy ka ALLAH (azw) par haq) unka inkar hai ki is tarh wasila jayaz nahin...kyu ki waseely par to be inteha ahadees e muqaddisa hain or quran ki kai ayatein shahid hain....jinka inkaar nahin kar sakta magar ehmaq bad bakht be deen bad mazhab......warna Wabtaghu Elyhil Wasila ka kya banega iska jawab wahabi la dein...i mean GMs.. (sa)

Link to comment
Share on other sites

Talienoor sahib... Mujhey Hairat Hai.. Aapkey Qool Aur Amal Mein Kitna Tazad Hai.. Aap Ney Beesiyon Jagah Likha Key Mera Minhaaj Quran-o-Hadees Hai.. Ager Koi Nutral Aadmi Yeh Topics Check ker Ley Tu Usay Pata Chal Jaye Ga Key Quran-o-Hadees Sey Dalail Kon Dey Raha Hai Aur Dawey Kon Ker Raha Hai..

Jitney Bhi Topics Guzrey Hain Aap Ney Apney Kisi Aqeedey Ko Quran-o-Hadees Sey Sabit Nhin Kiya.. Aap Makhloq Key Waseela Key Munkir Hain.. Aap Is Ka Saboot Quran-o-Hadees Sey Dein.. Hamari Taqleed, Hamarey Imam Aazam (ra) Aur Hamarey Muhadiseen Sey Aap Ka Kiya Wasita? Aap Waseela Ko Quran-o-Hadees Sey Ghalat Sabit Ker Dein.. Baat Khatam.. Aur Hairat Balaye Hairat Yeh Hai.. Key Aap Sey Jo Pocha Jata Hai Ya Jo Daleel Pesh Ki Jati Hai Usko Aap Touch Bhi Nhin Kertey..

Mujhey Pata Tha Aap Ney Aqaid Per Taqleed Key Barey Mein Aisa Jawab Dena Hai.. Agerchey Iska Jawab Mojod Hai.. Per Jo Topic Hai.. Aap Is Per Baat Kerein Aur Kisi Bhi Muhadis Imam Sey Nhin Balkey Quran-o-Hadees Sey Waseela Ka Rad Kerein Aur Jo Daleel Pesh Ki Gayi Hai Uska Jawab Dein..

Asif Bhayi Aap Ney Bilkul Sahi Fermaya Hai.. In Mein Alfaaz Ka Ghalat Istimal Hai.. Is Mein Waseela Ka Rad Nhin Hai.. Jald Hi Iska Jawab Aur Imam-e-Aazam (ra) Ka Allah (azw) Sey Waseela Talab Kerney Key Dalail Mujtaba Bhayi Post Kerein Gey.. Insha Allah (azw) .. Phir Dekhtey Janab Talinenoor sahib Konsey Muhadis Ki Daleel Latey Hain Quran-o-Hadees Sey Hat Ker...

Ya-Muhammadah aap ne to jee kush ker dia hai. Hamara aap se ikhtilaaf yehi hai k yeh alfaaz jo istimaal kie jaate hain iss tarah se sahih nahin. Shuker hai aap iss ko maan ga hain.

Waseela lafaz ke mukhalif ham bhi nahin hain, samajhne wali baat sirf yeh hai k waseela ho ga kia....? Aap se guzarish hai k waseele ke topic per kissi Ahlehadees ki koi tasneef bhi parrh lain phir faisla karen.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Talienoor sahib... Mujhey Hairat Hai.. Aapkey Qool Aur Amal Mein Kitna Tazad Hai.. Aap Ney Beesiyon Jagah Likha Key Mera Minhaaj Quran-o-Hadees Hai.. Ager Koi Nutral Aadmi Yeh Topics Check ker Ley Tu Usay Pata Chal Jaye Ga Key Quran-o-Hadees Sey Dalail Kon Dey Raha Hai Aur Dawey Kon Ker Raha Hai..

Jitney Bhi Topics Guzrey Hain Aap Ney Apney Kisi Aqeedey Ko Quran-o-Hadees Sey Sabit Nhin Kiya.. Aap Makhloq Key Waseela Key Munkir Hain.. Aap Is Ka Saboot Quran-o-Hadees Sey Dein.. Hamari Taqleed, Hamarey Imam Aazam (ra) Aur Hamarey Muhadiseen Sey Aap Ka Kiya Wasita? Aap Waseela Ko Quran-o-Hadees Sey Ghalat Sabit Ker Dein.. Baat Khatam.. Aur Hairat Balaye Hairat Yeh Hai.. Key Aap Sey Jo Pocha Jata Hai Ya Jo Daleel Pesh Ki Jati Hai Usko Aap Touch Bhi Nhin Kertey..

Mujhey Pata Tha Aap Ney Aqaid Per Taqleed Key Barey Mein Aisa Jawab Dena Hai.. Agerchey Iska Jawab Mojod Hai.. Per Jo Topic Hai.. Aap Is Per Baat Kerein Aur Kisi Bhi Muhadis Imam Sey Nhin Balkey Quran-o-Hadees Sey Waseela Ka Rad Kerein Aur Jo Daleel Pesh Ki Gayi Hai Uska Jawab Dein..

Asif Bhayi Aap Ney Bilkul Sahi Fermaya Hai.. In Mein Alfaaz Ka Ghalat Istimal Hai.. Is Mein Waseela Ka Rad Nhin Hai.. Jald Hi Iska Jawab Aur Imam-e-Aazam (ra) Ka Allah (azw) Sey Waseela Talab Kerney Key Dalail Mujtaba Bhayi Post Kerein Gey.. Insha Allah (azw) .. Phir Dekhtey Janab Talinenoor sahib Konsey Muhadis Ki Daleel Latey Hain Quran-o-Hadees Sey Hat Ker...

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Sage-e-Attar main pehle bhi bian ker chuka hoon k yeh topic main ne start nahin kia bal k jo galat baat khalil-Rana sahib ne Ahmed Saeed Kazmi k hawale se ki thi uss ka jawab dia hai.

Mujhe aik saath kai kai logon ko jawab dena parrta hai issi lie main her baat ka tafseeli jawab nahin dw sakta. Thora sa saber ker lain jab main khud iss topic per aaon ga to iss ka jawab doon ga. Abhi mujhe taqleed wale topic per apni guzarishaat mukamal ker lene dijeie. InshaAllah aik do din main aap tak yeh topic pohanch jae ga.

Rahi baat Imam Abu Hanifa R.A. ke hawale ki to aap khud dekh sakte hain k aap log aise hi waseela talab kerte hain. Ham bhi isse hi galat kehte hai.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Buhut Hi Khoob Mujtaba Bhayi.. Allah (azw) Aapko Jazaye Khair Ata Fermaye.. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen (saw)

talinenoor sahib.. I Think Aub Tu Aapko Jawab Mil Chuka Hoga Imam-e-Aazam (ra) Key Barey Mein.. Aur Ager Aub Bhi Imam-e-Aazam (ra) Sey Muta'aliq Jawab Nhin Mila Tu Phir Malang Aur Aap Mein Kuch Difference Na Rahay Ga..

Haan Ager Aapko In Sub Hawala Jaat Sey Ikhtilaf Hai Tu Rad Kerney Ka Aapko Haq Hasil Hai.. Ya Maan Lejiye Ya Rad Kejiye..

Aur Aap Apna Tawasul Per Mukhtasaran Aqeedah Zahir Kerein.. Pora Article Likhney Ki Filhal Zarorat Nhin.. Na Hi Hawalajat Ki.. Filhal Aap Yeh Batain Aap Key Nazdeek Konsa Tawasul Jaiz Aur Kin Alfaaz Sey Jaiz Hai..? Kiyon Key Aap Likh Chukey Hain Key AhleHadees Bhi Tawasul Ko Mantey Hain..

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...