Ramsha Ahmed مراسلہ: 11 جون 2018 Report Share مراسلہ: 11 جون 2018 Aoa mujhe apny ik khawab ki tabeer puchni ha ..khawab kuch yun tha ma kholay asmaan ar sar sabz zameen pe namaz parh rhi thi..shaid hum kisi safar pe thy.. Ar b log maray sath thy lakin namaz parhty wakt kuch aurtain thin.. Mane dekha jb ma namaz parh chuki tu ik larki maray paas ai ..usne mujhse kuch puch mane jawab ma kaha Allah k khushnudgi k liye ya phr Allah razi ho jaye kuch is tarhan kaha wo larki mujhse baat kr k wahan se uth gai..usne namaz ni parhi thi.. Ma us se farigh ho k wse e namaz halat ma baithi hath philay ar karb se dua mangny lagi..mujhe ye b ni yaad mujhe itna dard kis baat ka tha ar ma Allah se kis cheez k liye kamyabi mang ri thi.. Phr usi lamhay mujhe ik ar film chalti nazar ai..mane dekha mujhe kuch fasalay pe maray se peechay ik jamat chat k neechy namaz parh k farigh hwi ar usme ik admi nazar aya uski shakal shansai ni thi.. Wo b salam phair kr dua mangny laga ..uska chahra pur sakoon tha ar shafaf tha.. Mujhe apny chahray ma b itna roshan laga..lakin uski ar mari dua ik jaisi thi ..wo ar ma khuda se ik cheez mang rahy thy.. Wo kia cheez thi mujhe yaad ni.. Ye khawab mane takreeban ik saal pehly dekha tha.. Lakin mujhe baar baar ye yaad aa raha ha plz iski tabeer bta dain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
aaftab مراسلہ: 19 جون 2018 Report Share مراسلہ: 19 جون 2018 yaha fatwa service / tabeer waghaira ki tarkeeb filhal nahe hai aap kisi darul ifta say rabta karain aur apna masla mukammal likh kay fatwa hasil karain https://www.dawateislami.net/bookslibrary/822/page/1157 Al furqan : +92 321 2734345 baki tafseel malom karni hai tu yaha say rabta karain http://mufti.faizaneattar.net/ is posts mai mazeed number hain for contact : اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔