Jump to content

Shirk Ka Gunaah Maaf Nahi Ho Sakta

SanaAli

تجویز کردہ جواب

(salam)

Upar jo mene shirk ki defination parhi wo to aaj tak mujhy maloom hi nahin thi....or phir ye aitraaz ke Allah (azw) ke alawa is duniya ke umoor ka intezaam karny wala koi nahin jabki khud Allah (azw) quran me farmata hai ki duniya ke kamo ke intezam wo malaika ke zariye se karwata hai ya maut Malekul Maut dete hain..to yahan bhi yahi aitraaz kar do ki kya Allah duniya ke kamo ke tadbeery karty karty thak gaya hai ya phir logo ki rooh kabz karty karty ki usny malailka ki duty laga di hai....phir katiben kiramen, munkar nakeer, barish barsany waly hawyein chalany waly malaika, rizk pohchany waly malaika...in sab ke bary me shirk shirk ka wazeefa parhy walon ka kya kehna hai... wahan bhi Allah ki thakan murad hogi ?? Astaghfirullah !!!

Allah_Jahan_ke_Kamo_ka_Intezaam_Karta__Hai___10_yunus_3_.mp3

Malaika_Jahan_Ke_Kamo_Ka_Intezaam_Karty_Hain___79_an_naziyat__1_5__.mp3

Allah_Maot_Deta_Hai___57_al_hadeed__2__.mp3

Malekul_Maut_Maut_Dete_Hain___32_as_sazda__11__.mp3

Link to comment
Share on other sites

(bis)

post-393-1192862021.gif

shirk ki nas ke khilaf aisi defination karne wale johla bhi mojod hain. Allah in deen ke lutero se hum sub musalmano ko mahfoz farmae. ameen

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari Sahib

Ye sari post siwaye ghalat istadlal ke or kuch nahin, jo kuch bhi aap ne post kia woh sab agar sahi maan liya jaye to phir Mushrikeen-e-makka ka koi wajood baqi nahin rehjata hai, baqi rahye Nasara (Eesayee, or Yahoodi) to in donon ko to naam leker or kahin tashbh dekar pukara gaya hain, tambih ki gai hai, waeed ki khabar di gai hai etc........

jitni bhi attachment aap ne itni mehnat ker ke post ki un sab main ye zahir hai (zaroori hai ke dil ki aankhain khol ker perhain) ke

is main aik taraf to Allah ki Sifat ka bayan hai us ki Qudrat ka bayan hai to doosri taraf us ki ataa ka, Ambiya Ikram (as) ko di gai zimedarion ka, lakin aap hain ke isi se ghalat istadlal ker ke shirk main mubtla rahtye hain.

Quran main jin farishton ke zimye jo kam hain un ka bayan hai, kia aap kahin ye bata saktye hain ke aap ke ulama, buzargon ka kahin is tarha se zikr hai ya nahin ke unke zimye bhi kuch takweeni amoor hain?????????

Hazrat Jibraell (as), Malakul Mot, Barish barsanye walye, Man ke kookh main bachye ki khabar denye walye etc ye sab Quran se sabit hai ke Allah ne ye sab kaam Farishton ke zimye diye hain...... lakin aap is se istadlal kartye hain ke is tarha se humraye buzurg bhi takwinee amoor main tasarruf (yahan aap ke kehnye ke mutabiq atai nahin bulke Tassaruf ka aqqedah hai) rakhtye hain.....

Chalin aik or rukh se is ko dekhtye hain, Quran main Farishton ko Allah ( (azw) ) ne Hazrat Aadam (as) ko sajda kernye ko kaha, to kia aap is se zameen main mojood insanon ko sajda ke layeq samjhtye hain????????

Yaqeenan Nahin kion ke ye sirf Allah (azw) ka hukm tha farishton ke liye or aik khas waqt ke liye to phir aap farishton ke zimye kamon se buzargon ka tassarruf kesye sabit kernye ki koshish kertye hain??

Or Shirk ka gunnah bilkul bhi muaf nahin ho ga...... ab kisi bhi amal main zara sa bhi shak ho ke is main shirk ka shubah hai to us ko nahin karna chahiye...... lakin...................

Kia aap kisi ayese karobar main invest karna chahyengye jis main zara sa bhi nuqsan ka andesha ho????? Ya aap kisi ayese shakhs ko qaraz dena pasand karengye jis se thora sa bhi ye andesha ho ke yahan se raqam wapis nahin milye gi to kia aap us shakhs ko raqam qaraz ke tor per dengye???????

lakin ibadat, o munajat main hum ye sab bhool jatye hain................?

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(saw)

(bis)

shirk ki tareef karein...Quran (Nas e qataye) se or Hadees (sahih sareeh Marfooh) se...Phir kuch baat karny ka faida bhi ho? Aaap hi Jaisy Wahabiyo ne NE Tassub me akar Dulhy ka Sehra pehnny tak ko shirk keh mara hai...to shirk kisy kehty hain Quran or hadees (may moatbir mufassir and muhaddis ke) na ki apni khayanato ke hashiye or zinda murda door qareeb matehtul asbaas mafoqul asbaab waghera waghera ki qaid laga ky...(ye qaid lagany ki biddat khwarij ki hi sunnat hai)

1. to janab pehly shirk ki tareef from Quran

2. phir janab shirk ki tareef from sareeh Sahih Marfoo Hadees se

3. Along with Moatbir Mufassir & Muhaddis ki sharah ...(ur khayanti hashiye will not do)

Enjoy IM

Link to comment
Share on other sites

(saw)

(bis)

1. to janab pehly shirk ki tareef from Quran

2. phir janab shirk ki tareef from sareeh Sahih Marfoo Hadees se

3. Along with Moatbir Mufassir & Muhaddis ki sharah ...(ur khayanti hashiye will not do)

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari sahib

Chalain aap bhi Janab Toheedi bahi and sybarite ki tarha is qisim ke sawalat pesh karain......

lagata to ye hai ke aap logon ko zaroorat hai shirk ki tareef ko rattnye ki

Wesye jawab isi site per mukhtalif posts per mojood hai.......... ab ye aap logon ko nazar nahin aata to main kia kar sakta hon.......

Chalain aap phir bhi jawab hi mangtye hain to wo bhi aap ko de donga..... or Allah se dua karonga ke aap ko seedha rasta dikhaye.. Aameen

warna phir parye rahye isi daldal main, mera kam khabardar karna hai na ke zabardasti karna....

NOTE: AIK QEID MAIN BHI LAGATA HON AAP PER KE QURAN-o-HADITH KE BAAD AAP KISI(AALIMON, SOFIYA, BANDON) KE AMAL SE APNI BAAT KO SABIT KERNYE KI KOSHISH NAHIN KARENGYE

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...
1. to janab pehly shirk ki tareef from Quran

2. phir janab shirk ki tareef from sareeh Sahih Marfoo Hadees se

3. Along with Moatbir Mufassir & Muhaddis ki sharah ...(ur khayanti hashiye will not do)

(bis)

(salam)

Janab Asif Attari sahib

Aap ke mutalibye ke jawab main hazir -e- Khidmat hai Quran se Shirk ki taareef, or Janab Ibn-e-Kathir ki tafseer

Baraye Meharbani Tafseer Ibn-e-Kathir se Sorah Inam ki tafseer mulahiza karain..

chonke ye sorah koi chooti sorat nahin hai lihaza sirf is ka bata raha hon,

Aap ke tamam mughalton ka jawab mojood hai is ki tafseer main.

Is ke Barkhilaf

agar aap ke hi aik bhai Janab Ahmed Saeed Kazmi ki kitab "Wahdat-ul-Wajood kia hai" ka hawal don to ye maloom hota hai ke

post-2536-1238418350.jpg

to jawab bahar haal aap ko mil jayega Sorra Inam ki tafseer main

Note: main apni research ki janib dobara mutwajjah ho raha hon, to ho sakta hai ke bohat se sawalon ka waqt per jawab na de sakon, behar hal main posts waqtan fa waqtan (time to time) dekhta rahonga

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

Janab Asif Attari sahib

Aap ke mutalibye ke jawab main hazir -e- Khidmat hai Quran se Shirk ki taareef, or Janab Ibn-e-Kathir ki tafseer

Baraye Meharbani Tafseer Ibn-e-Kathir se Sorah Inam ki tafseer mulahiza karain..

chonke ye sorah koi chooti sorat nahin hai lihaza sirf is ka bata raha hon,

Aap ke tamam mughalton ka jawab mojood hai is ki tafseer main.

(salam)

Mohtaram Abdulsalam bhai aap kin logon say quran aur hadees ki baat ker rahay hain? mera aap say sawal hai k aap nay khoob is forum per posts ki hain? Kissi nay ap ki quote ki huwi Ayaat aur Ahadees ko mana hai to batain?

In per Quran aur Ahadees asar naheen kertin.

(wasalam)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Mohtaram Abdulsalam bhai aap kin logon say quran aur hadees ki baat ker rahay hain? mera aap say sawal hai k aap nay khoob is forum per posts ki hain? Kissi nay ap ki quote ki huwi Ayaat aur Ahadees ko mana hai to batain?

In per Quran aur Ahadees asar naheen kertin.

(wasalam)

Khwarij bari lambi ibadatain kartay thay aur zoar o shoar say Quran parhtay thay aur usi Quran ki aayat quote kar kay unhoo nay ma'aazAllah sahaba kiram rizwanullah ajmaeen tak ko mushrik qarar day dia tha.

Khwarij ki baaqiyat Wahabi aaj yehi kar rahay hain nae baat koi nahee. Allah azzwajal kay pyary Habib alaihiSlam nay buhat pahlay nishani bata dee thee kay Quran aur Sunnat ki taraf bulaiy gain buhat Quran parhay gain magar Quran un kay galay say neachay nahe utray ga.

apni nishandahi kernay ka buhat shukariya, aap to Quran Hadees perhtay ho paish bhi kertay ho aur phir bhi taqleed kertay ho. Yani taqleed awal aur Quran aur Hadees Akhir. Aap k liya imam k qaul hujjat, Quran aur Hadees hujjat nahee.

apni nishandahi ko pasand kanay ka buhat shukariya, aap to Quran Hadees perhtay ho paish bhi kertay ho aur phir bhi (ibn timiya or abdul wahab or usky ke pairokar GM) ki taqleed kertay ho. Yani taqleed awal aur Quran aur Hadees Akhir. Aap k liya imam (ibn timiya or abdul wahab or usky pairokar GM) k qaul hujjat, Quran aur Hadees hujjat nahee.

Mujeh umeed thi is baat per jawab buhat jald aye ga. Pehli to yeh baat apnay dil-o-damagh say clear ker lain k humaray liya ulema ka qaul hujjat nahee lakin agar humaray ulema ka qaul quran aur hadees k mutabiq hai to hum usko mantay hain warna chor daitay hain. buhat saray ulema nay taqleed aur ittebaa k farq ko wazeh kia hai. taqleed andhi hoti hai baghair kissi dalil k aur ittebaa dalail per hoti hai.

ab aap batain aap imam k qaul ko chor dain gay agar Quran aur ahadees a jain? ya taqleed hi kerain gay?

Pehli to yeh baat apnay dil-o-damagh say clear ker lain k humaray ulema Quran or hadees ke khilaaf bolty hain or humary ulema ka har qowl hujjat hai jo qran aur hadees k mutabiq hai to hum usko mantay hain...humari taqleed andhi nahin hoti hai or na hi baghair kissi dalil k aur

ab aap batain aap imam k qaul ko chor dain gay agar Quran aur ahadees a jain? ya taqleed hi kerain gay?

ab pelhy aap batyaein ki unky qowl ko chor dengy jo quran or sunnat ke khilaaf hain or un par kya fatwa lagaengy? apny akabir se aisy palla jhar lene se to baat nahin banny ki ?

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...