Jabir Khan مراسلہ: 15 مئی 2018 Report Share مراسلہ: 15 مئی 2018 naam nihad ahle hadees kehte hai ki agar ummat shirk ni kr skti to to jo nusheri hai wo shirk krte hai....lihaza jo bukhari ki hadees hai wo sahaba ke lie khaas hai...iska jawab chahie....plz jaldi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 15 مئی 2018 Report Share مراسلہ: 15 مئی 2018 1) Pehli baat kay Wahhabi ko ilfaaz ka mana hi nahin pata. Ummat Shirk nahin kar sakti bilqul darust heh ... keun kay lafz Ummat das, bees, pachaas, 10 lakh par nahin bola jata, balkay Ummat lafz saray Musalmanoon par bola jata heh ... yehni tamam Ummat e Muhammadi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) Shirk nahin karay gi ... aur Wahhabi sabat kar deh kay Ummat Mushrik ho gai toh khud bi Kafir hi hoga. Ummat mein say afrad ka Kafir ho jana, Mushrik ho jana muhaal nahin balkay sabat shuda baat heh ... misaal kay tor par Musaylmah Bin Kazzab kay fitnay say kitnay log Kafir ho gay aur baad mein bi hotay rahay. 2) Dosri baat lafz Ummat Jamhoor yehni aksiriat/majority jissay sawad al azam aur al-Jammat par bi ittlaq hota heh. Is ki misaal Quran say lenh, Farishtoon mein Iblees thah ... Allah nay farmaya farishto Sajdah karo halan kay wahan par Jinn yehni Shaytan bi thah aur ussay bi hukum thah ... ... hasil kalam yeh kay aksiriat ki waja say lafz farishta istimal huwa. Is'see tera jamhoor kay wasteh lafz Ummat istimal huwa. Ummat ka Jamhoor Shirk nahin kar sakta. keun kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) nay farmaya kay meri Ummat ka jamhoor gumrahi par kabi raazi nahin hoga. Gumrahi toh aik choti baat heh jis par Jamhoor Ummat raazi nahin ho sakti toh ... Shirk e Azeem par jamhoor ka raazi hona kesay ho sakta heh. Aur Wahhabi toh Ummat kay Jamhoor ko hi Mushrik mantay aur shirk azeem ka ilzam detay hen minority ko nahin phir un ka ilzaam kesay darust ho sakta heh aur Wahhabi kesay Musalman ho sakteh hen, keun kay Takfir uneeh par wapis lauti. Aur ham Ahle Sunnat Wal Jammat Musalman aur Jahmoor aur Sawad alAzam hen ham kesay Kafir/Mushrik hoon gay ... 3) Sahabah kay leyeh khaas karnay kay wasteh khasoosiyat ki daleel chahyeh apnay qiyas ki bunyad par khaas un kay wasteh nahin kee ja sakti. Us say poocho kay farman e RasoolAllah say khasoosiyat sabat karay warna maan leh keh esi beghayr daleel wali takhsees ko qatti jannay wala biddati heh. Umoom ki takhsees daleel par hoti heh qiyaas ki bina par nahin. Aur joh hamari takhsees heh aur us ki daleel heh mein nay bayan kar di point doh mein. 4) Aur akhiri baat kay joh Wahhabi aap ko kohi point bayan karay us ki Quran Hadith say daleel mangen. Jab taq woh apnay mowaqif ki daleel pesh na karay aap us ki jaan nah choren. Us ka dawah yeh Sahabah wasteh heh ... aap kahen Quran Hadith say sabat kar doh ... agar nahin toh Ummat wasteh heh Sahabah wasteh nahin. Yeh asool bana lenh joh Wahhabi kehta heh us ki daleel mangen, agar woh sans bi leta heh daleel mangen. Mein janta hoon in ko mein Wahhabi thah ... in kay pass kohi Quran aur Hadith say daleel nahin ... yeh tor mor kar aur apni aqal aur qiyas arahi say kehtay hen Hadith ka matlab yeh heh ... yeh Quran say aur Hadith say kuch bi sabat nahin kar saktay. Agar yeh sachay hotay mein in kay mazhab ko parh kar samaj kar kabhi nah chorta. Jitni bi yeh Ahadith is maslay par pesh kartay hen un ki tashri ghalat kartay hen. Mein nay is mozoo par English mein taqriban panch chay article likhay hen aur in kay tamam itrazat ka jawab deh deeya heh. 7 aur 8 mein ziyada hoon gay pehaly teenoon mein mein bi aik aik hoon gay. Is kay ghor say parh lenh inshallah in ko aap lajawab kar denh gay.https://www.islamimehfil.com/forum/94-articles-and-books/?page=4https://www.islamimehfil.com/forum/94-articles-and-books/?page=5https://www.islamimehfil.com/forum/94-articles-and-books/?page=6https://www.islamimehfil.com/forum/94-articles-and-books/?page=7https://www.islamimehfil.com/forum/94-articles-and-books/?page=8 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔