Muhammad Ahsan Israr مراسلہ: 28 فروری 2018 Report Share مراسلہ: 28 فروری 2018 (ترمیم شدہ) Sir,kya firkawariyat me dakhil hona ya fikawariyat ki behas ya is se kisi se narazgi karni chahiye ya nahi. Edited 28 فروری 2018 by Muhammad Ahsan Israr اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 1 مارچ 2018 Report Share مراسلہ: 1 مارچ 2018 Salam alayqum, Firqawariat kay mana ka pehlay tayyun zeroori heh. Firqa kay nazriat ka tahaffuz aur forigh firqawariat kehtay hen. Magr firqawariat ki kismein hen: 1a - Na-haq firqawariat: Ek nazria na-haq ko na-haq samajna aur na-haq jantay huway nazria ko Islam kay mutabiq batana. 1b - Na-haq firqawariat: Ek nazria na-haq ko haq samajna aur haq jantay huway nazria ko Islam kay mutabiq batana. 2 - Haq wali firqawariat: Ek Nazria haq ko haq samajna aur haq jantay huway Islam kay mutabiq batana aur difa karna. RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) nay farmaya kay Ummat 73 firqoon mein batay gi sirf ek jannati hoga baqi 72 jahanumi hoon gay. Note karyeh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) nay joh ayn Islam par chaltay hoon gay un ko bi 73 firqoon mein say ek firqa ginna. Jis ka mana yeh huwa kay haq wali jammat joh jannati hogi woh bi Ummat mein ek Firqay ki hasiyat ikhtiyar kar jahay gi. Na-haq firqawariat (1a) mein kohi kameena aur ghaleez insaan paray ga. Magr afsos kay is na-haq mein bi kuch logh istera magan hen jistera yeh ayn Islam heh. Na-haq firqawariat (1b) wali firqawariat mein bot say logh dakhal hen, aur is darjay kay logh 72 firqoon mein aksiriat kay hen. Yeh logh apnay Ulamah ki han mein han milanay ki waja say is ka shikar hotay hen. Is tabkay ki dushman la-ilmi aur aqahid mein taqleed ko tarjeeh heh. In ki islah tehqeeq say ho sakti heh. Abh aahi Haq wali firqawariat, yehni number (2), yeh ahle haq, ahle iman, ahle islam, ahle sunnat, ki shaan heh, aur un ka sheva heh, is firqawariat mein ghalat, kufr, shirk ka radd heh, aur har kissi ko shamil hona chahyeh. Yeh Allah kay Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki Sunnat aur Allah (subhanahu wa ta'ala) ki Sunnat heh jis ka suboot pura Quran heh. Is leyeh gumrah karnay walay mamulat kay mutaliq apnay ilm mein izafa karna chahyeh yeh firqawariat jaiz heh. Najaiz joh woh 1a aur 1b wali aur us kay saath joh qatal aam hota heh, woh wali firqawariat qattan najaiz heh. Narazgi aur Qata talluqi: Narazgi do qism ki, ek dil wali: dil mein kufr/bad-mazbi ko bura jan-na aur dil mein is ka iqrar karna. Ek zahir wali: kufr/bad-mazhbi ki bunyad par qata talluq karna. Joh banday ilm nahin rakhtay un logoon kay wasteh zeroori heh kay woh qata-talluqi aur narazgi donoon keren. Taqay bad-mazboon ki suhbat mein reh kar gumra aur bad-mazhab nah ho-jahen. Ahle Ilm hazrat bil-khasoos joh hazrat specialist hen gumrahi ki islah mein un kay wasteh dil wali narazgi toh lazam heh ... zahir wali narazgi yehni qata talluqi zeroori nahin. Keun kay un ka kaam islah karna heh agar woh bad-mazhboon mein bethen gay nahin toh islah kesay keren gay. Alhasil mubaligh wasteh dil wali narazgi zeroori heh magr jahil wasteh donoon zeroori hen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Muhammad Ahsan Israr مراسلہ: 4 مارچ 2018 Author Report Share مراسلہ: 4 مارچ 2018 Thanks Ali bhai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔